36. HAJJ-E-AKBAR [ performs Hajj ]
EHDE ISLAM KA PEHLA BA QAIDAH HAJJ AUR BARAA’T KA ELAAN
Islam ki Dawat shuru hui Baees(22) baras hochuke the- Baees baras ki lagataar koshishon se ab arab ka zarra zarra Islam ke noor se chamak raha tha- “Lailaha illallahu” ki awazen iski har ghaati se onchi horahi theen- Yemen ki sarhad se lekar shaam ki sar had tak ab Islam ki hukumat thi aur Allah ka Ghar ab Tawheed ka markaz banchuka tha- Ab waqt aya keh Islam ka wo mazhabi darbar jo Hajj ke naam se mashoor hai, Allah ke bataey aur Hazrat Ibrahim(علیہ السلام ) ke banae hue dastur ke mutabiq aarasta ho-
Tabuk se wapisi par Aap(ﷺ) ne 9 hijri mein Zi qadda ke akhri ya Zilhajja keh Shuru mahene mein Teen saou(300) musalmaanon ka aik qafilah medine munawarah se makkah ko rawana farmaaya- Hazrat Abu Bakr Siddeeq(رضی اللہ عنہ ) is qafile ke sardar, Hazrat Ali(رضی اللہ عنہ ) Iske naqeeb aur Hazrat Sa’d bin abi waqas(رضی اللہ عنہ ) Hazrat Jabir(رضی اللہ عنہ ) aur Hazrat Abu Hurerah(رضی اللہ عنہ ) Munadi aur M’allam banae gae the aur qurbaani ke liye bees(20) ount sath the
Qur’an ne is Hajj ka naam Hajj-e-Akbar rakha hai kyunkeh ye kufr ki hukumat khatam hojane aur Islam ke ahad ke shuru hone ka sabse pehla ilaan tha- Abu Bakr Siddeeq( رضی اللہ عنہ) ne logon ko hajj ke asli tareeqe batlaey aur sikhaey aur Qurbaani ke din khare hokar islam ka khutba parhaya aur unke ba’ad Hazrat Ali bin Abi Talib(رضی اللہ عنہ ) ne Surah Buraa’ sr chalees(40) ayaten parhkar sunae jisme kafiron se har tarha ke ta’luq ke tore jaane ka ilaan tha aur manadi kardi gae keh ab se koi mushrik khaane kaaba mein na aane paega aur na koi nanga hokar Hajj karsakhega aur Sulah ke wo tamam muahede jo mushrikon se hue the aj se chaar(4) mahene ke ba’ad toot jaenge.
Kiya ajib baat hai keh wo quresh jo bees (20) baras tak Talwar ki nok se Islam ka muqabla karte rahe, wo makkah ke fatah hojane ke ba’ad kisi qism ke jabar aur lalach ke baghair sirf Islam ka gehra rang aur musalmaanon ko qareeb se dekh bhaal kar apne aapse musalmaan hote chalegae aur jo ab tak mehrum rahe the wo is ilaan ke ba’ad islam ke saye mein agae.
REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
Abu Bakr (رضی اللہ عنہ ) performs Hajj
The pagan Arabs considered themselves followers of the religion of Ibraheem (علیہ السلام ). Indeed they had inherited Hajj (pilgrimage to the Ka’bah) from Ibraheem, although they had added many innovations to the rites.
When the Prophet (ﷺ)conquered Makkah, he put Atab bin Usayd (رضی اللہ عنہ ) in charge. Everyone, Muslims, polytheists included, performed Hajj under his authority, but they performed it in the same manner as during the days before Islam. In the year following the conquest of Makkah (9 A.H.), the Prophet (ﷺ) sent Abu Bakr (رضی اللہ عنہ ) to lead the pilgrims in performing Hajj.
Abu Bakr (رضی اللہ عنہ ) set out for Makkah with three hundred Muslims from Madinah at the end of Dhul Qa’dah. He took twenty of the Prophet’s (ﷺ)camels for sacrifice. After Abu Bakr (رضی اللہ عنہ ) left, the opening verse of Surah Al-Taubah were revealed. These verses contained an important announcement for tribes that had covenants with the Muslims. Any covenant that had not been honoured would be broken, and any tribe that did not have a covenant with the Muslims would have a grace period of four months. Covenants that had been honoured would remain valid.
The Prophet (ﷺ) sent Ali (رضی اللہ عنہ ) to Makkah to inform every one of the new verses. On the day of the sacrifice, Ali (رضی اللہ عنہ ) recited the new verses to the pilgrims. Abu Bakr (رضی اللہ عنہ ) then sent a band of people to announce that from the next year, polytheists would not be allowed to perform Hajj, nor would anyone be allowed to practice the perverted tradition of circumambulating the Ka’bah in the nude.
REFERENCE:
BOOK: WHEN THE MOON SPLIT FINAL.
Compiled by Safiur Rahman Mubarakpuri
Edited and Translated by Tabassum Siraj – Michael Richardson Badr Azimabadi
عہد اسلام کا پہلا باقاعدہ حج اور براءت کا اعلان
اسلام کی دعوت شروع ہوئے بائیس برس ہوچکے تھے۔بائیس برس کی لگاتار کوششوں سے اب عرب کا ذرہ ذرہ اسلام کے نور سے چمک رہا تھا لاالہ الا اللہ کی آوازیں اس کی ہر گھاٹی سے اونچی ہو رہی تھیں ۔ یمن کی سرحد سے لے کر شام کی سرحد تک اب اسلام کی حکومت تھی اور اللہ کا گھر اب توحید کا مرکز بن چکا تھا ۔ اب وقت آیا کہ اسلام کا وہ مذہبی دربار جو حج کے نام سے مشہور ہے ، اللہ کے بتائے اور حضرت ابراہیم علیہ السلام کے بنائے ہوئے دستور کے مطابق آراستہ ہو ۔