Search
Sections
< All Topics
Print

37. ARAB KE SUBON MEIN ISLAM KI AAM MUNADI

ARAB KE SUBON MEIN ISLAM KI AAM MUNADI

Ab Arab ka har zarah Aftab risalat ke daaman se lipta tha- Tawheed ki Asha’at ki raah se mushkil ka har har pathar hatchuka tha aur saare hijaz mein Islam ki hukumat thi lekin abhi Shaman, Yamamah, Behrain wagerah arab ke kuch aise subey the jahan go aik aik do do admi musalmaan hochuke the lekin unme islam ki aam munadi nahi hui thi- Ab jabke quraish aur unke saathi qabilon ki mukhalifat ki har koshish nakaam hochuki, waqt aya keh dur ke elaqon mein bhi Islam ki munadi ki jae aur Shah aur riaya aur Ameer aur faqeer har aik ko sachai ki dawat di jae-

     Arab ke saare subon mein barha Yaman ka subah tha jo taqreeban 50-60 baras se Iraaniyon ke qabze mein tha- Yeman ke aik barhe qabile Daus ke raees Tufayl bin Amr(رضی اللہ عنہ ) ne makkah jaakar bohat pehle Islam qubool karliya tha Aur unke asr se us qabile ke kaey admi Waqtan Fawaqtan muslamaan hote rahe- 7 hijri mein jab Aap(ﷺ ) khaiber mein the Daus ke bohat se log musalmaan hokar medina chale ae the- Mashoor Sahabi Abu Hurerah(رضی اللہ عنہ ) unhi mein the- Ashar Naami aik yeman ke dusre qabile mein bhi log Aap hi aap musalmaan hochuke the- Mashoor Sahabi Hazrat Abu Ashri(رضی اللہ عنہ ) usi qabile ke the- yelog bhi medina aakar bas gae the-

Yeman mein Hamdan ka qabilah bohat shohrat rakhta tha- us qabile ne jab Islam ka naam suna tou Apne Raees Aamir bin fahar ko is naey deen ke janchne ke liye medina bheja- Isne wahan pohanchkar jo kuch dekha iska asr ye hua keh Islam ki sachai ne uske Dil mein ghar karliya- wo wapis aya tou apne khandaan mein Islam ka noor phelaya-

    Yeman ke baaz qabilon mein Asha’at Islam ka kaam karne ke liye pehle Hazrat Khalid(رضی اللہ عنہ ) bheje gae- wo chay(6) mahene tak apna kaam karte rahe magar kamyaab na hosakhe- ye dekh kar Aap(ﷺ ) ne unko wapis bulaliya aur unki jagah Hazrat Ali bin Abi Talib(رضی اللہ عنہ ) ko bheja- Hazrat Ali martaza(رضی اللہ عنہ ) ne un sab raeeson ko bulaya aur Nabi Kareem(ﷺ ) ka mubarak khat parhkar sunaya- Saath hi Saara ka saara qabilah muslamaan tha- Chunacha Hamdaan, Juzemah, aur Mazhaj ke qabilon mein Islam ki roshni Hazrat Ali Martaza(رضی اللہ عنہ ) hi ke faiz se pheli- Yeman ke dusre sheheron mein Islam ki dawat phelane ko dusre mumtaz sahabi muqarar hue- Chunacha Sana’a mein jo Shaman ka paya takht tha- Khalid bin Sayed(رضی اللہ عنہ ) ki koshish kamyaab hui- Tae ka qabilah Islam se pehle Easaee thi- Us waqt hatim taey ka beta A’adi us qabile ka sardar tha- Khidmat-e-Nabawi mein hazir hua aur Nabi Kareem(ﷺ ) ki khaakisaari aur bekason se hamdardi dekhkar musalmaan hogaya aur iski dawat par iske qabile ne bhi tawheed ka kalma parha- Hazrat Abu Ashari(رضی اللہ عنہ ) ne adan aur zubed mein aur Hazrat Maaz bin Jubaiyl(رضی اللہ عنہ ) ne Jand mein jaakar islam ka paighaam pohanchaya- Jarir bin Abdullah  (رضی اللہ عنہ ) ne Himyar ke sheheron mein Islam phelaya- Muhajir hin abi Amyah(رضی اللہ عنہ ) aik sahabi yeman ke Shehzaade Harees bin Abd Kalal(رضی اللہ عنہ ) ko Islam ke halqe mein laye- Wabar bin Yahnas(رضی اللہ عنہ ) ne yeman ke un iraani nasl ke logon ko jo yeman mein bas gae the Islam ki khush khabri sunae.

Yeman mein najraan ka ilaqah Esaee aabadi tha, wahan ke logon ne Islam ka khat paakar apne padriyon ko dariyaft haal ke liye medina bheja aur go wo musalmaan nahi hue lekin juziyah dekar Islam ki hukumat qubool ki- Najraan mein jo mushrek arab the unki hidayat ke liye Hazrat khaled(رضی اللہ عنہ ) ne thore din wahan thairkar unko islam ki baten seekhaen-

     Behrain par us waqt Iraaniyon ki hukumat thi aur uski waadiyon mein arab ke qabile aabaad the jinme mashoor aur Ba asr khandaan Abd Al Qais, Bakr bin waiyl aur Tameem the- Unme se Abd al qais ke qabile se Munqaz bin Hayan(رضی اللہ عنہ ) tijarat ke liye nikle- Raah mein medinah parhta tha, wahan thaire- Nabi Kareem(ﷺ ) ko unka aana malum hua tou unke paas tashreef legae aur Islam ki dawat di- Unho ne Islam Qubool kiya aur musalmaan hogae- yahan rahekar unho ne Surah Fatiha aur Surah Iqra seekhi- Aap(ﷺ ) ne unko aik farmaan likhkar diya- jab wo laut kar ghar gae, tou pehle apne us naey mazhab ko chupaya lekin unki biwi ne unko Namaz parhte dekhliya aur apne baap manzar se shikayat ki- Unho ne Manqaz( ) se dariyaft kiya- Baat cheet ke ba’ad Manzar bhi musalmaan hogae- Ab dono ne logon ko jama karke Aap(ﷺ ) ka Naama mubarak sunaya aur Sab ne Islam qubool kiya-

Behrain mein aik muqam Juaasa tha jisme Abd al qais ka qabilah tha- yahan bohat pehle Islam pohanch chuka tha- medinah ke ba’ad Jumu’ah ki namaz sab se pehle yahin ke logon ne ada ki- 8 Hijri mein Behrain ka Arab Raees Manzar bin Saad ne ‘Aala bin Hazarmi(رضی اللہ عنہ ) ki dawat par Islam qubool kiya aur unke sath wahan ke saare arab aur iraani bhi musalmaan hogae- Behrain mein aik muqam hijar tha wahan ke iraani hakim Senjat ne Nabi kareem(ﷺ ) ka khat paakar Islam ki daulat pae-

Oman mein Azd qabilah Aabaad tha- Ubaid aur jaffer yahan ke raees the- 8 Hijri mein  Nabi kareem(ﷺ ) ne Hazrat Abu zaid Ansari( رضی اللہ عنہ) ko jo Hafiz-e-Qur’an the aur Hazrat Amr bin Al aas(رضی اللہ عنہ ) ki apna khat dekar unke paas bheja- Dono raeeson ne Islam qubool kiya aur wahan ke saare log unke kehene se muslamaan hue-

    Shaam ki hudood mein kae raees the- Unme se aik Farwah(رضی اللہ عنہ )  the Jinki riyasat Ma’aan mein thi wo romiyon ke matahait the- Wo Islam se Ashna hokar musalmaan hogae- Romiyon ko Unka musalmaan hona malum hua tou unko pakar kar suli dedi- is waqt arabi ka ye Shayr Is begunaah shaheed ki zuban par tha, Jiska tarjuma ye hai:

“Muslamaan sardaaron ko mera ye paighaam pohancha dou keh mera tan man aur meri Abroo sab parwardigar ke naam par nisaar hai.”

   Gharz unki koshishon se isi tarha islam Arab ke aik aik goshe mein phaiyl gaya aur wo waqt aaya keh Arab mein koi mushreek baaqi na raha.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)

33 :-Seerat Un Nabi ﷺ Allah Kay Deen Mei Fauj Dar Fauj Daakhla Aur Hujjatul Wida By Shk Maqsood ul Hasan Faizi Hafidhahullah.

Table of Contents