20. YAHUD KA QAWL WO QARAR
YAHUD KA QAWL WO QARAR
Nabi Kareem(ﷺ ) ke medina aane se phele medina ke dono qabileh Aws aur Khazraj lar lar kar thak chuke the aur chaha tha keh apne mein se aik raees ko jiska naam Abdullah bin abi bin salul tha, apna badeshah banalen- Medina mein aik dusra giroh yahudiyon ka aabaad tha- ye hijaz ke saudagar aur Muhajin the aur yahan se lekar sham ki sarhad tak unki tijarati kothiyan aur garhyan theen aur Apne rupiye ke zor se medina ke hakim bane baithe the- Apni maslihat ke lehaz se wo kabhi Aws ka sath dete the aur kabhi khazraj ka- Nabi(ﷺ ) jab medina ae tou shuru shuru mein unho ne shayed ye samjh kar keh ye aik aisa mahzab lekar ae hain jo hamare mazhab ke qareeb qareeb hai. Aap(ﷺ ) ki mukhalifat nahi ki- Aap(ﷺ ) ne sheher ki be-itmenani aur badnami ki halat dekhkar ye munasib samjha keh musalmaanon aur yahudiyon ke darmiyaan aik aisa samjhota hojae keh dono fareeq is sheher mein azadi se rahesakhe- Har aik ka mazhabi haq mehfooz hua aur sheher ke saare rahene wale khawa wo musalmaan ho ya yahudi, bahar se hamle karne walon ke muqable mein aik hue- Chunacha Aap(ﷺ ) ne yahudiyon se baat cheet karke is qism ke aik mu’ahede par unki raza mand karliya aur unho me uska pakka wada kiya- lekin kuch hi dinon ke ba’ad unko nazar aya keh Islam ki taqat sheher mein roz ba-roz barhti jaati hai aur unka pahela zor tootrah hai he ye dekhkar wo dil mein jalne lage.
Abdullah bin Abi ko khayal tha keh Agar Muhammad(ﷺ ) medina na aateh tou medine ki badeshahat usi ko milti- isliye go wo aur uske saathi mu par Musalmaan ke khilaf kuch nahi bolsakte the magar dil mein wo bhi muslamaanon ke khilaf aur yahudiyon ke shareek the- Unhi ko munafiq kahete hain.
MAKKAH WALON KI SHARARTEIN AUR SAZISHEN:
Jo musallman Makkah ko chor kar Madinay chalay aaye they Makkah walon ne un key gharon aur jayedadon par qabza kar lia aur sab sey badi baat ye kee key khanay Kaaba mein aana or hajj karna un k liye band kar diya. Koi jaata to chup kar aur sar ko hatheli par rakh key jaata aur jjo ghareeb musalmaan ya chotey bacchey ya aurtein Madeeney nahi aasakein thin un par pehra bithadiya key wo na jaaney payen.
Itney hi par unhon ney bas na kiya balkey ye dekh kar unke mujrim yaani musalman un ki girift se aazad ho kar Madeena main zor pakarh rahey hain, unhon ne yahoodiyon aur Madeeney key mufiqon sey salam o payam shuru kardiya aur un ko kehla bheja key tum ne hamaare bhage huey mujrimon ko apney gharon mein rakha hai. Behtar ye hai key tum un ko nikal do warna hum tumharey sheher par hamla kar denge.
MUSALMAANON KEY TEEN DUSHMAN:
Makkah mein musalmanon ka eik hi dushman tha yaani Makkah ke kaafir. Madina aakey unke teen dushman hogaye. Makkey key kaafir, Madeeney key munafiq aur Hijaz key yahood. Makkey key kaafif talwar key dhani they isliye wo talwar sey faisla chahtey they. Madeeney key munafiq apni chaalon aur saazishon se nuqsaan pohanchatey rahey they aur Hijaz key yahood jo arab key sarmaaye waaley they purey Hijaz main apni dolat aur sarmaaye ke zor sey udham machaye huey they. Arab ki saari Daulat unkey qabzey main thi. Arab mazdooron ki kaasht aur kheti ki paidawar key maalik baney bethey they. Mulk ka saara beyopar or karobar inkey haathon mein tha aur wo apne sood dar sood aur dusre muhajni hathkandon sey arab key betaaj baadshah aur mulk ki bhalaai ki har koshish key mukhaalif they.
Islam ko in teenon taaqaton ka eik saath muqabila karna parha aur in mein sey har eik key hataaney key liye alag alag tadbeer karna parhi.
MUNAFIQON SE BARTAOU:
Munafiq chukeh zuban se musalmaan hone ka dawah karte the us liye unki aalaniya mukhalifat nahi ki gae aur na saza dekar unko aur ziada dushman banaya gaya balkeh Aap(ﷺ ) ne hamesha unke sath naiki ka bartou kiya- unke qasooron par tarha dete the aur pooch ghuch nahi karte the- maqsad ye tha keh musalmaanon ke naik bartou aur shareefana saluk se wo akhir kaar mutasir hokar pakke musalmaan hojaey- aik ad dafa kisi sahabi ne Aap(ﷺ ) ki khidmat mein ye arz bhi kiya keh Ya Rasool Allah(ﷺ )! Mjhe ijazat ho tou ba’az munafiqon ki gardanein urhado- farmaaya Nahi, kiya tum logon ko ye kahene ka mouq’a dena chahate ho keh Muhammad(ﷺ ) Apne admiyon ko Aap marwa dete hain- Farmaaya jisne Zuban se “La ilaha illallahu Muhammadur Rasool Allah” parh diya uska shumar musalmaanon mein hai aur iske andar(dil) ka mu’amila Allah ke supurd hai- Munafiqon ka Sardar Abdullah bin abi jab mara tou Aap ne uske naik dil musalmaan bete ki darkhast par apne badan ka mubarak kurta usko pinhadiya- Yahin tak nahi balkeh ba’az musalmaanon ke kahene sunne ko bhi nahi maana aur uske janaze ki namaz bhi parhaey.
Unhi dinon mein aik dafa Aap(ﷺ ) Bano Harees ke mahelle se gadhe par sawar guzar rahe the- Raah mein aik jagah kuch muslamaan, kuch yahud aur kuch munafiq baithe the jin mein unka sardar Abdullah bin abi bhi thi- Gadhe ke chalne se kuch gard urhi tou Abdullah ne haqarat se kaha keh gard na urhaou- Aap(ﷺ ) ne kuch khayal na kiya aur majmaa’ ko salam kiya aur unko Allah ke kuch ahkam sunae- Ispar Abdullah ne phir kaha Ae sahab! Mjhe ye pasand nahi- Agar tumhari baat sach bhi ho tou hamari majlis me aakar hamko sunaya na karo. Jo tumhare paas jae ushi ko sunaya karo musalmaanon ko iske is bartou se barha ghussa aya magar Aap(ﷺ ) unko samjha bujha kar thanda kiya aur agay barhgae.
Lekin phir bhi chukeh wo ghar ke bhaidi the isliye musalmaanon ko unse chaukanna rahene ki takeed ki gae- Unse raaz ki baat chupae jaati aur musalmaanon ko unpar bharosa rakhne se baaz rakha aur unki dosti se roka gaya- yeh giroh Islam ke ghalbe ke ba’ad Aap se aap fanaa hogaya.
MAKKAH KE KAFIRON KI ROK THAAM:
Makkah ke kafir talwaar ke dhaani the- isliye unki rok thaam ke liye dor dhoop ki zarurat hui- makkah walon ne kamzor musalmaanon ko makkah aane nahi dete the- Had ye hai keh kaaba ka tawaf aur Hajj jo saare arab ke liye khula hua tha, musalmaanon ke liye wo bhi band tha- Aap( ) ne makkah walon ko unke is bartou ke badalne par majboor karne ke liye ye kiya keh unke bepaariyon ko jo shaam aate jaate the do do, chaar chaar, aur kabhi kabhi Dus bara musalmaanon ko bhejkar darane lage, taake wo apne beyopaar ke khatir musalmaanon se sulah karlen aur muslamaanon par se apni pabandiya uthalen magar unho ne aisa nahi kiya aur barabar apni zid par qayem rahe aur musalmaan bhi unke beyupaar ke raste ko rokne ke liye arhe rahe- Medina, sham aur hijaz ke bech mein parhta tha- Usliye makkah wale apna rasta badal bhi nahi sakte the- Usi ke sath Aap(ﷺ ) ne ye kiya keh medina ke aas paas mein jo arab qabileh aise the jinke bigar jaane ya makkah walon ka sath dene se medina ka aman wo amaan khaak mein miljaata, unke paas jaa jaa kar unse sulah ka mu’aheda karne lage- is tarha pehle jahina ke qabileh se phir Bano zumrah se sulah aur dosti ke mu’ahede hue.
Makkah ke kafir ye dekhkar aur jalne lage aur samjhe keh isse Muhammad(ﷺ ) ka zor aur barhega jiska tor zaruri hai- chunacha makkah ke aik raees Karz bin jabar fehri ne medina ki charagah par chaapa mara aur Aap ﷺ ke ount loot kar legaya- musalaanon ne pecha kiya magar wo bachke nikalgaya.
Is waqiya’ ke tesre mahene Aap(ﷺ ) Do sou(200) muhajiron ko lekar Bani Madlaj key qabileh mein pohanche aur usse dosti ka mu’aheda kiya.
Kuch dinon ke ba’ad ye hua keh rajab 2 hijri mein Aap(ﷺ ) ne bara(12) admiyon ko nakhlah ki Waadi mein bheja aur unko aik band khat dekar farmaaya keh isko do din ke ba’ad kholna- Do din ke ba’ad khat khola tou usme likha tha keh Nakhlah mein thairkar quraish ke iradon ka pata lagou aur khabar do- itefaq yeh keh makkah keh kuch log jo shaam se tijarat ka maal lekar aarahe the- Samne se guzre- Musalmaanon ke daste ne Aap(ﷺ ) ki ijazat ke baghair unpar hamlah kardiya- Unme se aik shakhs Umro bin Hazrami maara gaya aur do pakar legae aur qafile ka maal loot liya gaya- Aap(ﷺ ) ko jab iski khabr mili tou narazgi zahir ki aur farmaaya keh mein ne tum se ye tou nahi kaha tha, tum ne tou larhai ki aag lagadi aur usi ke sath arab ke qaide ke mutabiq us daste ne jo maal loota tha wo bhi usi ko loutadiya- Makkah ka jo admi mara gaya tha wo quraish ke aik barhe sardar ka saathi tha aur jo do admi pakar liye gae the wo bhi quraish ke aik dusre sardar ke pote the- Is waqi’ah ne makkah waalon mein badlah lene ka naya josh peda kardiya.
REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
A Treaty with the Jews
Soon after emigrating to Madinah and making sure that the pillars of the new Islamic community were well established on strong bases of administrative, political and ideological unity, the Prophet started to establish regular and clearly-defined relations with non-Muslims. All of these efforts were exerted solely to provide peace, security, and prosperity to all mankind at large, and to bring about a spirit of understanding and harmony within his region, in particular. Geographically, the closest people to M adinah were the Jews. While harboring evil intentions, and nursing a bitter feeling of resentment, they showed neither the least resistance nor the slightest hostility. The Prophet decided to conclude a treaty with them with clauses that provided full freedom in faith and wealth, He had no intention whatsoever of following severe policies involving expulsion, seizure of wealth and land or hostility. The treaty came within the context of another of a larger framework relating to inter-M uslim relationships. The most important provisions of the treaty are the following:
1. The Jews of Bani ’Awf are one community with the believers. The Jews will profess their religion and the Muslims theirs.
2. The Jews shall be responsible for their expenditure, and the M uslims for theirs.
3. If attacked by a third party, each shall come to the help of the other.
4. Each party shall hold counsel with the other. Mutual relation shall be founded on righteousness; sin is totally excluded.
5. Neither shall commit sins to the prejudice of the other.
6. The wronged party shall be aided. 7. The Jews shall contribute to the cost of war so long as they are fighting alongside the believers.
8. M adinah shall remain sacred and inviolable for all that join this treaty.
9. Should any disagreement arise between the signatories to this treaty, then Allah the All-High and His Messenger shall settle the dispute.
10. The signatories to this treaty shall boycott the Quraish commercially; they shall also abstain from extending any support to them .
11. Each shall contribute to defending M adinah, in case of a foreign attack, in its respective area.
12. This treaty shall not hinder either party from seeking lawful revenge.
Madinah and its suburbs, after the endorsem ent of this treaty, turned into a coalition state, w ith M adinah proper as capital and M uham m ad Jig as ‘president’; authority lay mainly in the hand of the M uslims, and consequently it was a real capital of Islam. To expand the zone of peace and security the Prophet started to enter into similar treaties with other tribes living around ‘his state’.
The Attempts of the Quraish to provoke the Muslims and their contact with ‘Abdullah bin Ubai :
The Ouraish, offended at the escape of the Prophet jfe along with his devoted Companions, and jealous of his growing power in Madinah, kept a strict watch over the M uslim s left behind and victimized them in every possible way. They also established secret contacts with ‘Abdullah bin Ubai Ibn Salul, chief of M adinese polytheists, and president designate of the tribes ‘Aws and Khazraj before the Prophet’s emigration. They sent him a strongly-worded ultimatum ordering him to fight or expel the Prophet $|g, otherwise they would launch a widespread military campaign that would kill his people and arrest his w om en
His pride wounded and kingship no longer his, ‘Abdullah bin Ubai Ibn Salul responded positively to his Q uraishite co-polytheists. ‘Abdur-Rahman bin Ka’b said, “When this reached ‘Abdullah bin Ubai and those who were worshippers of idols with him, they gathered together to fight with Allah’s Messenger.
When the Prophet heard about it, he visited them and said:
‘The threat of the Quraish to you has expired. They cannot conceive a plot against you more than you intend to harm yourselves. Are you willing to fight with your sons and brethren?’
When they heard this from the Prophet they all left.
Their chief, however, seemingly complied, but at heart, he rem ained a wicked unpredictable conspirator along with Quraish and the envious Jews.
Small fights and provocations started to pave the way for a major confrontation between the Muslims and polytheists.
The Prophet(ﷺ) ﷺ drew up a separate covenant between the Muslims and the Jews:
1) The Jews and Muslims would live together as two separate nations, each with its own way of life, and each in charge of its own financial affairs.
2) Both nations would jointly defend the city from attack, and each would defend its own people.
3) Both nations would coexist peacefully, and neither was to meddle in the affairs of the other or in any way attempt to destabilise the other.
4) Neither nation was responsible for the misdeeds of the other.
5) The oppressed would be helped and supported.
6) Both nations would bear the expenses of war.
7) Subversion and unwarranted bloodshed were unlawful for both nations.
8) All disputes would be referred to Allah and His Prophet(ﷺ).
9) The Quraysh and their allies were not to be aided or given refuge.
10) The covenant would not provide any safeguard to wrongdoers or criminals.
This covenant united the three communities of Madinah and defined the Prophet(ﷺ) ﷺ as the undisputed head of state. Once everyone understood his rights and responsibilities, the Prophet(ﷺ) ﷺ began to actively call the other two communities to Islam. Many embraced Islam, and those who preferred their own religion lived in peace with the ruling Muslims. There were others, however, who were interested in neither Islam nor peaceful coexistence. A faction from them became Muslim so as to weaken Islam from within. They were later known as the Hypocrites. Their leader was Abdullah bin Ubayy, and together with the group of hostile non-Muslims, they represented the greatest threat to the security of Madinah.
The Quraysh test the Muslim’s resolve
if you were not with Abu Safwan, you would not return home safe and sound.” Abu Jahl’s threat indicated that the Quraysh were intent on keeping Muslims from visiting the Ka’bah and performing their religious duties there. It also indicated that they were prepared to kill unarmed Muslims. The Jews of Madinah also represented a threat to the Muslims. They played on the old rivalry between the two tribes of Madinah, the Aus and Khazraj, hoping to rekindle the bitter feud that had once rent them. The fledgling Muslims community faced threats from both within and without. The danger of bloodshed grew so serious that the Muslims began keeping their weapons next to their beds at night. The Prophet(ﷺ) ﷺ was also protected by armed bodyguards until Allah revealed the verse: “Allah will guard you from mankind.” (5: 67) In spite of all the precautions the Prophet ﷺ took to ensure that Madinah remained safe and peaceful, the Quraysh determined to destabilise the city. The Quraysh sent word to the polytheists of Madinah, ordering them to help drive out the Muslims. If the polytheists refused to help, the Quraysh threatened to kill their children and capture their women. The Prophet(ﷺ) ﷺ found out about the threats and convinced the polytheists not to give in to the strong-arm tactics of the Quraysh. The Quraysh seethed at the turn of events. Their frustration was apparent when Sa’d bin Mu’adh went to Makkah to perform Umrah, the minor pilgrimage. As he circumambulated the Ka’bah, with Abu Safwan Umayya bin Khalaf, he met Abu Jahl. Abu Jahl recognised him as one of the residents of Madinah who had become Muslim and accosted Sa’d. “So you find safety in Makkah while you have provided refuge to the faithless. By God,…
REFERENCE:
BOOK: WHEN THE MOON SPLIT FINAL.
Compiled by Safiur Rahman Mubarakpuri
Edited and Translated by Tabassum Siraj – Michael Richardson Badr Azimabadi
یہود کا قول و قرار
حضورانور ﷺ کے مدینہ آنے سے پہلے مدینے کے دونوں قبیلے اَوس اور خزرج لڑلڑ کر تھک چکے تھے اور چاہا تھا کہ اپنے میں سے ایک رئیس کو جس کا نام عبداللہ بن ابی بن سلول تھا، اپنا بادشاہ بنا لیں. مدینہ میں ایک دوسرا گروہ یہودیوں کا آباد تھا. یہ حجاز کے سوداگر اور مہاجن تھے اور یہاں سے لے کر شام کی سرحد تک ان کی تجارتی کوٹھیاں اور گڑھیاں تھیں اور اپنے روپے کے زور سے مدینے کے حاکم بنے بیٹھے تھے. اپنی مصلحت کے لحاظ سے وہ کبھی اَوس کا ساتھ دیتے تھے اور کبھی خزرج کا. آنحضرت ﷺ جب مدینہ آئے تو شروع شروع میں انہوں نے شاید یہ سمجھ کر کہ یہ ایک ایسا مذہب لے کر آئے ہیں جو ہمارے مذہب کے قریب قریب ہے،آپﷺ کی مخالفت نہیں کی. آپ نے شہر کی بے اطمینانی اور بدامنی کی حالت کو دیکھ کر یہ مناسب سمجھا کہ مسلمانوں اور یہودیوں کے درمیان ایک ایسا سمجھوتہ ہو جائے کہ دونوں فریق اس شہرمیں آزادی سے رہ سکیں. ہر ایک کا مذہبی حق محفوظ ہو اور شہر کے سارے رہنے والے خواہ مسلمان ہو یا یہودی، باہر سے حملہ کرنے والوں کے مقابلے میں ایک ہوں. چنانچہ آپﷺ نے یہودیوں سے بات چیت کرکے اس قسم کے ایک معاہدے پر ان کو رضامند کر لیا اور انہوں نے اسکا پکا وعدہ کیا. لیکن کچھ ہی دنوں بعد ان کو نظر آیا کہ اسلام کی طاقت شہر میں روز بروز بڑھتی جاتی ہے اور ان کا پہلا زور ٹوٹ رہا ہے یہ دیکھ کر وہ دل میں جلنے لگے.
عبداللہ بن ابی کو خیال تھا کہ اگر محمد ﷺ مدینہ نا آتے تو مدینے کی بادشاہی اسی کو ملتی. اس لیے گو وہ اور اس کے ساتھی منہ پر مسلمانوں کے خلاف کچھ نہیں بول سکتے تھے مگر دل میں وہ بھی مسلمانوں کے خلاف اور یہودیوں کے شریک تھے. انہی کو منافق کہتے ہیں.
مکہ والوں کی شرارتیں اور سازشیں :
جو مسلمان مکہ کو چھوڑ کر مدینے چلے آئے تھےمکہ والوں نے ان کے گھروں اور جائیدادوں پر قبضہ لیا اور سب سے بڑی بات یہ کی کہ خانہ کعبہ میں آنا اور حج کرنا انکے لیے بند کر دیا. کوئی جاتا تو چھپ کر اور سر کو ہتھیلی پر رکھ کر جاتا اور جو غریب مسلمان یا چھوٹے بچے یا عورتیں مدینے نہیں آسکی تھیں ان پر پہرہ بٹھا دیا کہ وہ نا جانے پائیں.
اتنے ہی پر انہوں نے بس نہیں کیا بلکہ یہ دیکھ کر کہ ان کے مجرم یعنی مسلمان ان کی گرفت سے آزاد ہو کر مدینے میں زور پکڑ رہے ہیں، انہوں نے یہودیوں اور مدینے کے منافقوں سے سلام و پیام شروع کر دیا اور ان کو کہلا بھیجا کہ تم نے ہمارے بھاگے ہوئے مجرموں کو اپنے گھروں میں رکھا ہے. بہتر یہ ہے کہ تم ان کو نکال دو ورنہ ہم تمہارے شہر پر حملہ کر دیں گے.
مسلمانوں کے تین دشمن :
مکہ میں مسلمانوں کا ایک ہی دشمن تھا یعنی مکہ کے کافر. مدینہ آکر ان کے تین دشمن ہو گئے. مکے کے کافر، مدینے کے منافق اور حجاز کے یہود. مکہ کے کافر تلوار کے دھنی تھے اس لیے وہ تلوار سے فیصلہ چاہتے تھے. مدینے کے منافق اپنی چالوں اور سازشوں سے نقصان پہنچاتے رہتے تھے اور حجاز کے یہود جو عرب کے سرمائے والے تھے پورے حجاز میں اپنی دولت اور سرمایہ کے زور سے اُودھم مچائے ہوئے تھے. عرب کی ساری دولت ان کے قبضے میں تھی. عرب مزدوروں کی کاشت اور کھیتی کی پیداوار کے مالک بنے بیٹھے تھے. ملک کا سارا بیوپار اور کاروبار ان کے ہاتھوں میں تھا اور وہ اپنے سود در سود اور دوسرے مہاجنی ہتھکنڈوں سے عرب کے بے تاج بادشاہ اور ملک کی بھلائی کی ہر کوشش کے مخالف تھے.
اسلام کو ان تینوں طاقتوں کا ایک ساتھ مقابلہ کرنا پڑا اور ان میں سے ہر ایک کے ہٹانے کے لیے الگ الگ تدبیر کرنا پڑی.
مکہ کے کافروں کی روک تھام:
مکہ کے کافر تلوار کے دھنی تھے۔ اس لیے انکی روک تھام کے لیے دوڑ دھوپ کی ضرورت ہوئی۔ مکہ والوں نے کمزور مسلمانوں کو مدینہ آنے سے روک کر گویا ان کو اپنی قید میں لے لیا تھا۔ باہر سے مسلمانوں کو مکہ آنے نہیں دیتے تھے۔ حد یہ ہے کہ کعبہ کا طواف اور حج جو سارے عرب کے لیے کھلا ہوا تھا، مسلمانوں کے لیے وہ بھی بند تھا۔ آپ صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے مکہ والوں کو ان کے اس برتاؤ کے بدلنے پر مجبور کرنے کے لیے یہ کیا کہ ان کے بیوپاریوں کو جو شام آتے جاتے تھے دو دو، چار چار اور کبھی کبھی دس بارہ مسلمانوں کو بھیج کر ڈرانے لگے، تا کہ وہ اپنے بیوپار کی خاطر مسلمانوں سے صلح کر لیں اور مسلمانوں پر سے اپنی پابندیاں اٹھا لیں مگر انہوں نے ایسا نہیں کیا اور برابر اپنی ضد پر قائم رہے اور مسلمان بھی ان کے بیوپار کے راستے کو روکنے کے لیے اڑے رہے۔ مدینہ، شام اور حجاز کے بیچ میں پڑتا تھا۔ اس لیے مکہ والے اپنا راستہ بدل بھی نہیں سکتے تھے۔ اسی کے ساتھ آپ صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے یہ کیا کہ مدینہ کے آس پاس میں جو عرب قبیلے ایسے تھے جن کے بگڑ جانے یا مکہ والوں کا ساتھ دینے سے مدینہ کا امن و امان خاک میں مل جاتا، ان کے پاس جا جا کر صلح کا معاہدہ کرنے لگے۔ اس طرح پہلے جہینہ کے قیبلہ سے پھر بنو ضمرہ سے صلح اور دوستی کے معاہدے ہوئے۔
مکہ کے کافر یہ دیکھ کر اور جلنے لگے اور سمجھے کہ اس سے محمد صلی اللہ علیہ والہ وسلم کا زور اور بڑھے گا جس کا توڑ ضروری ہے۔ چنانچہ مکہ کے ایک رئیس کرز بن جافر فہری نے مدینے کی چراگاہ پر چھاپا مارا اور آپ صلی اللہ علیہ والہ وسلم کے اونٹ لوٹ کر لے گیا۔ مسلمانوں نے پیچھا کیا مگر وہ بچ کر نکل گیا۔
اس واقعے کے تیسرے مہینے آپ صلی اللہ علیہ والہ وسلم دو سو مہاجروں کو لے کر بنی مدلج کے قبیلے میں پہنچے اور اس سے دوستی کا معاہدہ کیا۔
کچھ دنوں کے بعد یہ ہوا کہ رجب 2 ہجری میں آپ صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے بارہ آدمیوں کو نخلہ کی
وادی میں بھیجا اور ان کو ایک بند خط دے کر فرمایا کہ اس کو دو دن کے بعد کھولنا۔ دو دن کے بعد خط کھولا تو اس میں لکھا تھا کہ نخلہ میں ٹھہر کر قریش کے ارادوں کا پتہ لگاؤ اور خبر دو۔ اتفاق یہ کہ مکہ کے کچھ لوگ جو شام سے تجارت کا مال لے کر آ رہے تھے۔ سامنے سے گزرے۔ مسلمانوں کے دستے نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ والہ وسلم کی اجازت کے بغیر ان پر حملہ کر دیا۔ ان میں سے ایک شخص عمرو بن حضرمی مارا گیا اور دو پکڑ لیے گئے اور قافلے کا مال لوٹ لیا گیا۔ حضور صلی اللہ علیہ والہ وسلم کو جب اس کی خبر ملی تو ناراضی ظاہر کی اور فرمایا میں نے تم سے یہ تو نہیں کہا تھا، تم نے تو لڑائی کی آگ لگا دی اور اسی کے ساتھ عرب کے قاعدے کے مطابق اس دستے نے جو مال لوٹا تھا وہ بھی اسی کو لوٹا دیا۔ مکہ کا جو آدمی مارا گیا تھا وہ قریش کے ایک بڑے سردار کا ساتھی تھا اور جو دو آدمی پکڑ لیے گئے تھے وہ بھی قریش کے ایک دوسرے سردار کے پوتے تھے۔ اس واقعے نے مکہ والوں میں بدلہ لینے کا نیا جوش پیدا کر دیا۔
حواله:
كتاب: “رحمتِ عَالم”
تاليف: “علاّ مه سيد سليمان ندوى”