Search
Sections
< All Topics
Print

03. MUHAMMAD(ﷺ) KI WILADAT AUR PARWARISH:

MUHAMMAD() KI WILADAT AUR PARWARISH:

 

     WILADAT:

 Abdullah ki wafaat ke chand maheenon ke ba’d Bibi Amina ka bacha paida hua, Jiska naam Mohammad(ﷺ) rakha gaya- yehi wo bacha hai jo hamare Rasool Allah(ﷺ) aur paighambar hai- jiske paida hone ki dua Ibrahim( علیہ السلام) ne Khuda se mangi thi aur Hazrat Isa( علیہ السلام) ne apney ba’d iske aane ki khush khabri sab ko sunaee thi aur jo saari duniya ki Qaumon ka Rasool ban’ne wala tha- pedaish 12 tareekh ko Rabbi ul Awwal ke mahene mein peer ke din Hazrat Isa( علیہ السلام) se Panch so ikahatar (571) baras ba’d hui- sab ghar walon ko is bache kay paida hone se barhi khushi hui.

    PARWARISH:

Sabse pehle hamare Rasool () ko unki maa Amina ne doodh pilaaya- Do teen din ke ba’ad unke chacha Abu Jahal ki aik laundi Sobia ne aapko doodh pilaaya.

Us zamane mein qaida ye tha ke Arab ke shareef gharanon ke bache dehaat mein parwarish paate the, dehaat se auraten aaten aur Shareefon ke bachon ko paalne  aur doodh pilane ke liye apne saath apne gharon ko le jaaten, unhi auraton mein se aik jinka naam Haleemah tha jo Hawazan Qabeele aur Sa’d ke khandaan se thein, Makkah aen aur Aapv(ﷺ) ko parwarish ke liye apne qabeele mein le gaen- 6 baras tak Aap (ﷺ) , Hazrat Haleemah( رضی اللہ عنہا) ke paas Hawazan ke qabeele mein parwarish paate rahe.

    BIBI AMINA KE PAAS:

Aap (ﷺ) chay(6) baras ke ho chuke to aapko apki maa Bibi Amina ne apne paas rakhliya, upar parh ae ho ke aapki pardadi yasrib ki rahene wali aur najjar ke khandaan se thein, Bibi Amina aapko lekar kisi sabab se madinah aein aur najjar ke khandaan mein aik mahene tak rahein-

    BIBI AMINA KI WAFAAT:

Aik mahene ke ba’ad jab yahan se wapis huein to kuch manzil chalkar bemar huein aur “Abwa ke muqam par pohanch kar wafaat pa gaein aur yahein dafan huein.

Kesa afsoos naak mouqa tha ! Safar ki halat thi, saath koi yaar na madadgaar na moonas na gham gusaar, aik maa, wo duniya se sadhaarein- Bibi Amina ke saath unki wafa daar laundi Umme Aiman thien- wo Hazrat ko apne szath lekar makkah aen.

   ABD UL-MUTTALIB KI PARWARISH MEIN:

Makkah aa kar Aap (ﷺ) ko aapke dada Abd ul-muttalib ke supurd kiya- Dada ne apne bin maa baap ke yateem potay ko seeney se lagaya aur barhi mohabbat aur piyar se aapki parwarish shuru ki- Mohabbat ke maare hamesha aapko apney sath rakhte they aur har tarha se zapki khatir karte they.

   ABD UL-MUTTALIB KI WAFAAT:

Abd al-muttalib ab boorhey ho chukey they- Bayasee(82) baras ki umar thi- Unko reh reh kar apne yateem potay ka khayal ata tha- Akhir usko apne sab se honhaar bete Abu Talib ke supurd karke wafaat pae aur makkah ke qabristaan mein jiska naam Hujjon hai, dafan hue.

    ABU TALIB KI PARWARISH MEIN:

Chacha ne apne bhatije ko barhe laad aur piyar se paala, apne bachon se barh kar unke araam ka khayal karte aur unkay naaz uthaate- Abu Talib saudagar the, aik baar ka waqiya hai ke wo tijarat ka saman lekar sham ke mulk ja rahe the , Hazrat ne bhi saath chalne ki khaahish ki – chacha apne bhatije ki khaahish ko rad na karsake aur saath le chale, phir kisi wajah se raste hi se wapis kardiya- jab Aap (ﷺ) ki umr 12 baras ki hui to Arab bachon ke dastur ke mutabiq bakriyan charaane lage.

Arab mein us waqt likhne parhne ka riwaj na tha- isliye Aap (ﷺ) ko bhi likhne parhne ki taleem nahi di gae, Albatta apne chacha ke saath milkar kaamon ka tajruba seekhte the-  rafta rafta Aap Jawaani ki umar ko pohanche.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
2:- Seerat Un Nabi ﷺ Huzoor ﷺKi Wiladat Aur Bachpan Sheikh Maqsood Ul Hassan Faizi
Table of Contents