Search
Sections
< All Topics
Print

03. WADU KI SUNNATEIN [The Sunnahs in Performing Wudou’ Ablution]

WAZU KI SUNNATEIN

 

 

1. Bismillah padhna.

 

2. Wazu shuru’ kartay waqt teen martabah haathon ka dhona.

 

3. Chehra dhonay se pehle kulli karna aur naak mein paani chadhana.

 

4. Baayen haath se naak ka paani jhaadna.

 

Hadees mein hai “Aap ﷺ ne teen martabah donon haath dhoye, phir kulli ki aur naak mein paani chadaya aur jhaada, phir apnay chehre mubarak ko teen martabah dhoya”.

[Sahih Bukhari: 164]

 

5. kulli karnay aur naak mein paani chadaane mein mubalghah karna.

 

Hadees mein hai:- kulli karnay aur naak mein paani chadhaane mein mubaalgha karna hai, magar roze ki haalat mein(Roza ki haalat mein mubaalghah nahin karna).

[Tirmizi: 788]

 

Kulli karnay mein mubaalghah ka matlab hai ki paani ko munh mein achi tarah ghumaana aur naak
mein paani chadhaane mein mubaalghah ka matlab hai ki paani ko naak ki jad tak pahuncha dena.

ek hi chullu se munh aur naak mein paani chadaana: Aadhe se kulli karna aur aadhe se naak mein paani chadana. phir apnay baayen haath se naak ki safayi bhi karna hai.

 

6. Wazu Ke Waqt Miswaak Karna :

 

Hadees mein hai:- Agar main apni ummat par mushaqqat na samajhta toh har wazu ke waqt unko miswaak karnay ka hukm deta.

 [Bukhari: 887] 
 
7. Chehra Dhotay Waqt Ghani Daadhi Ka Khilaal Karna :

Tirmizi Shareef mein hai ke Rasool ﷺ dauraane wazoo apni daadhi mubarak ka khilaal kiya kartay.

8. Donon Haathon Ko Kohniyon Tak Dhona :

 

Hadees mein hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne apnay donon haathon ko kohniyon tak dhoya.

[Sahih Bukhari: 159,Sahih Muslim: 561]

 

Pehle dayen haath ko kohni tak phir baayen haath ko kohni tak teen teen martabah dhona hai. Donon haathon ko kohniyon samet dhona hai.

[Mutarjim]

 

9. Sar Ke masah Ka Tareeqa :

 

Bukhari aur Muslim mein hai ke donon haathon ko sar ke ibtidaayi hissa se shuru’ karke (Gardan)guddi ke aakhir tak le jaakar phir ibtedaaye sar tak donon haathon ka waapas le aana jahaan se masah shuru kiya tha, gardan ke masah ke liye alaahidah paani lena yaa alaaiheda masah karnay ki zaroorat nahin. Sar ka masah karna guddi ke aakhir tak hai jis mein gardan shaamil hai.

[Mutarjim]
Kaanon Ka masah Karna :

 

Hadees mein hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne apnay kaanon ka andar se donon shahaadat ki ungliyon ke saath aur bahar ka ungoothon ke saath masah kiya.

a) kaanon ke masah ke liye naya paani lene ki zaroorat nahin balkay sar ke masah se faraaghat ke ba’d usi paani se kaanon ka masah karna hai.

b) Kaanon ka ta’alluq sar se hai jis ke liye naya paani lene ki zaroorat nahin.

 

Paauon ko Takhnon Samet Dhona :

 

Hadees mein hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne sar ka masah karnay ke ba’d teen martabah takhnon tak apnay pair ko dhoya.

Aap ﷺ ne apnay chehre ko 3 baar dhoya, aur apnay haathon ko kohniyon tak 3 baar dhoya, phir apnay sar ka masah kiya, phir apnay pairon ko takhnon tak 3 baar dhoya.

 
[Bukhari : 159, Kitaabul Wazoo, Muslim: 561]

 

10. Haathon Aur Paaon Ki Ungliyon Ka Khilaal Karna :

 

Hadees Hai: Wazu achi tarah karen aur ungliyon ka khilaal karen.

[Abu Dawood: 142, Nasai: 114]

 

11. Daayen Taraf se Shuru’ Karna :

 

Ya’ani haath dhotay waqt pehle daayen haath se aur paaon dhotay waqt pehle daayen paaon se shuru karna.

Bukhari aur Muslim ki hadees hai: ke Allah ke Rasool ﷺ daayen taraf se shuru’ karnay ko pasand farmaya kartay hatta ki jootha pahenne aur tahaarat wagairah mein bhi.

[Bukhari: 168]
12. Chehra, donon haath aur donon paaon dhotay waqt ek daf’a se ziyaadah teen daf’ah paani istemaa’l karna.

 

13. Wazu ke ba’d kalima-e-Shahadatain:

 

أشهـذان لا اله الا الله وحده لا شـريـك لـه و أشهـدان محمدا عبده ورسوله

 

Ash-hadu ‘al Laa ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, wa ‘ash-hadu ‘anna Muhammadan’abduhu wa Rasooluhu.

(Main gawaahi deta hoon ke Allah ke elaawah koyi sachcha ma’bood nahin woh akela hai uska koyi shareek nahin aur main gawaahi deta hoon ke yaqeenan Muhammad ﷺ uske bande aur Rasool hain.)

Faayidah:

wazu ke ba’d jo shakhs in kalimaat ko padh leta hai Allah ke Rasool ﷺ ka farmaan hai: Uske liye jannat ke aathhon darwaaze khul jaatay hain jis se uski marzi jannat mein daakhil ho.

 

[Sahih Muslim: 576]

 

14. Ghar Mein Wazu Karna :

 

Rasool ﷺ ka farmaan hai :
“Jo ghar se wazu karke masjid ki taraf Allah ke faraayez mein se kisi farz salaat(namaz) ki adaayigi keliye nikalta hai toh us ke qadmon ki yeh haalat hoti hai ki qadam se gunah girte hain aur doosre se darjaat buland hotay hain”.

[Sahih Muslim: 1519]

 

15. Paani ke saath ya ba’d mein har aza’ par achchi tarah se haath ghumaana (taake koyi jagah khushk na rah jaaye)

 

16. Paani Ziyadah Iste’maal Na Karna :

 

Bukhari aur Muslim mein hai ki “Allah ke Rasool ﷺ ek mud ke saath wazu kiya kartay”.

[Abu Dawood: 92]
[Mud Taqreeban dhaayi kilo hota hai]

 

17. Haath Aur Paaon Ke Dhone Mein Farz Ki Had Se Tajaawuz Karna :

 

Muslim Shareef mein hai ki janaab Abu Hurairah رضي الله عنه ne wazu kiya, Haath kohniyon ke oopar (kandhon se neeche) tak aur paaoun pindliyon tak dhoye. Phir kaha: ki main ne Rasoolullah ﷺ ko aise hi wazoo kartay dekha tha.

 

18. Wazu Karnay ke Ba’d Do Rak’at Namaaz Ada Karna :

 

Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai :

Jis ne mere is wazu jaisa wazoo kiya aur phir do raka’t namaaz ada ki jis mein usne apne nafs se koyi baat na ki toh uske saare gunah m’aaf kar diye jaate hain.

[Sahih Bukhari: 159]

 

Aur Muslim Shareef Mein :
Janaab uqbah bin Amir رضي الله عنه ki hadees mein hai ki us ke liye jannat waajib ho jaati hai.

19. Mukammal Wazu Karna:

 

Ya’ni har Aza’ ke dhone ka haq ada karna.

Wazu ka tareeqah Jibrayeel (علیہ السلام) ne Allah Rabbul Izzat ke hukm se pyaare Rasool (ﷺ) ko sikhaya.

Hadees mein aata hai:

Wahi ke ibtadaayi dinon mein Jibraeel (علیہ السلام) ne Allah ke Rasool (ﷺ) ko wazu aur namaaz ki ta’aleem di. Jab wazu se faarigh huwe toh ek lap paani liya aur apni sharam gaah par(kapdon par se hi)chidak diya.

Faayidah:-

Jis insaan ko wazu ke ba’d peshaab ke qatre nikalne ka shak ya waham waghairah ho toh usko apne waswason se bachne ke liye is sunnat par amal karnay mein zaroor faayidah hoga.

Is kaam ke karnay se sunnat par bhi amal hojayega aur shaytaani waswason aur dobaarah wazu ki mushaqqat se bhi insaan bach jaayega.

[Mutarjim]

 

Chunke har Musalmaan din aur raat mein kayi martabah wazu karta hai. Ba’z paanch martabah kartay hain aur ba’z usse bhi ziyadah martabah. Jab woh namaaz-e-zuha ya Qiyaamul-lail waghairah ke liye wazu karta hai, toh jitni martabah insaan wazu karega agar utni hi dafa’ hi un sunnaton ko adaa karta rahega toh ajr-e-azeem paayega.

 

Fayidah:-

Wazu ki sunnaton ka khayaal rakhne ka faayedah yeh hoga ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

 Jisne wazu kiya aur achchhe tareeqe se wazu kiya toh uski khataayen uske jism se nikal jaati hai hatta ki us ke naakhunon ke neeche se bhi.

[Sahih Muslim: 601]

 

Aur ek doosri Muslim Shareef ki hadees mein Rasool (ﷺ) ka farmaan hai:

Tum mein se koi bhi aisa nahin jo wazoo kare, achchi tarah se wazu kare. Phir woh do rak’at namaaz apne dil aur chehre ke saath mutawajjah hokar ada kare toh us ke liye jannat waajib hojaati hai, aur baksh diya jaata hai.

 

[Sahih Muslim: 576]

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: “Din aur Raat mein Hazar se bhi ziyadah Sunnatein”
TALEEF: Fazilatus Shaykh Khalid Al-Husaynaan.
URDU TARJUMA BY: Dr. Hafiz Mohammad Ishaaq Zahed.

The Sunnahs in Performing Wudou’ Ablution

 

 
1. Mentioning the name of Allah :  Bismillah ar-Rahman ar-Rahim

In the Name of Allah, the Most Beneficent, the Most Merciful saying

2. Washing the hands thrice.
 
3. [Starting by] Rinsing the mouth and nose before washing the face.
 
4. Rinsing the nose by one’s left hand.

 

This is because it is mentioned in the hadith that the Prophet (Peace be upon him), “washed his hands thrice, then he rinsed his mouth and washed his nose with water by putting water in it and blowing it out, and he washed his face thrice.

[Narrated by Bukhari and Muslim].
 
5. Exaggerating in rinsing one’s mouth and nose if not fasting by moving water around the mouth and snuffing water to the end of one’s nose.

 

This is because of the hadith, “..and snuff with water well except when you are fasting”.

[Sunnan At-Tirmidhi, Abu Dawoud, ibn Maja and An-Nasa’i]
 
6. Rinsing one’s mouth and nose with the same handful of water.

 

This is because of the hadith, “He [the Prophet] put his hand [into the vessel containing water] rinsed his mouth and his nose”.

[Bukhari and Muslim].

 

7. Using tooth stick [Ar. Siwak] before rinsing one’s mouth.

 

The Prophet (Peace and blessings be upon him) says,
“Had I not thought it difficult  for my Ummah, I would have commanded them to use the Siwak (toothstick) before every Prayer.’’

[Narrated by Ahmed and An-Nasa’i].
 
8. Running one’s wet finger through the beard upon washing the face.

 

It is mentioned in the hadith that the Prophet (peace and blessings be upon him) used to run his wet finger through his beard while performing ablution.

[At-Tirmidhi]
 
9. Wiping over one’s head. This is performed as follows:

 

Passing one’s wet hands over the head from front to back and so forth. As for obligatory wiping over one’s head, it is to wipe over one’s head in any way.

It is narrated that the Messenger of Allah used to pass his hands over his head [in ablution] from the front to the back.

[Bukhari and Muslim]

 

10. Running wet fingers between the fingers and toes.

 

The Prophet (peace and blessings be upon him) said,
“Perform your ablution perfectly and let water to run between the fingers [and toes]”

 
11. Washing the right [limb] before the left.

 

It is narrated in the hadith that the Messenger of Allah (peace and blessings be upon him):
“Used to start from the right side on wearing shoes, combing his hair, cleaning or washing himself and on doing anything else”

[Bukhari and Muslim]

 

12. Performing the actions thrice when washing the face, hands and foot.

 

13. Saying the two testifications of faith [Ar.Shahadatan] after finishing ablution.

 

أشهـذان لا اله الا الله وحده لا شـريـك لـه و أشهـدان محمدا عبده ورسوله

 

Ash-hadu ‘al Laa ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, wa ‘ash-hadu ‘anna Muhammadan’abduhu wa Rasooluhu.

Meaning, to says,
“I testify that there is no God except Allah and that Muhammad is His Messenger”.

 

It is narrated that the Prophet (peace and blessings be upon him) said,

“ If anyone amongst you performs the ablution perfectly and then says:
I testify that there is no god but Allah and that Muhammad is the servant of Allah and His Messenger, the eight gates of Paradise would be opened for him and he may enter by whichever of them he wishes”.

[Muslim]

 

 

REFERENCE:
Book: “1000 SUNNAH PER DAY & NIGHT”

وضو کی سنتیں

 

 

1 وضو گھر میں کرنا:ایک حدیث میں ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:

 

’’ جو شخص اپنے گھر میں وضو کرے اور فرض نماز ادا کرنے کیلئے مسجد کی طرف چل کر جائے تو اس کے ایک قدم پر اس کی ایک غلطی مٹا دی جاتی ہے اور دوسرے پر اس کا ایک درجہ بلند کردیا جاتا ہے۔‘‘

[مسلم]

 

2 وضو سے پہلے ’ بسم اللہ ‘ پڑھنا۔

 

3 وضو کے شروع میں اپنی ہتھیلیوں کو تین مرتبہ دھونا۔

 

4 چہرہ دھونے سے پہلے کلی کرنا اور ناک میں پانی چڑھانا۔

 

5 بائیں ہاتھ کے ساتھ ناک جھاڑنا۔

 

ایک حدیث میں ہے کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے پہلے اپنی ہتھیلیوں کو تین مرتبہ دھویا،پھر کلی کی،پھر ناک میں پانی چڑھایا اور اسے جھاڑا،پھر اپنا چہرہ تین مرتبہ دھویا۔

[بخاری ومسلم]

 

6 کلی کرنے اور ناک میں پانی چڑھانے میں مبالغہ کرنا(پورے منہ میں پانی گھمانا اور ناک کے آخری حصے تک پانی پہنچانا)

ایک حدیث میں ہے:

’’ ناک میں پانی چڑھانے میں مبالغہ کیا کرو،الا یہ کہ تم روزہ دار ہو۔‘‘

[سنن اربعہ]

 

7 ایک ہی چلو سے کلی کرنا اور ناک میں پانی چڑھانا

 

ایک روایت میں ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہتھیلی میں پانی بھرا اور ایک ہی چلو سے کلی کی اور ناک میں پانی چڑھایا۔

[بخاری ومسلم]

 

8 کلی کے وقت مسواک کرنا:رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا فرمان ہے کہ:

 

’’ اگر مجھے امت کی مشقت کا خوف نہ ہوتا تو میں انھیں ہر وضو کے وقت مسواک کرنے کا حکم دیتا۔‘‘

[احمد،نسائی]

 

9 چہرہ دھوتے ہوئے گھنی داڑھی کا خلال کرنا:

 

ایک حدیث میں ہے کہ
’’رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم وضو کے دوران اپنی داڑھی کا خلال کیا کرتے تھے۔‘‘

[ترمذی]

 

10 مسنون کیفیت کے مطابق مسح کرنا:

 

’’ صلی اللہ علیہ وسلم اپنے دونوں ہاتھوں کو سر کے شروع سے گُدی تک لے جاتے،پھر انھیں اسی طرح سر کے شروع تک واپس لے آتے۔‘‘

[بخاری ومسلم]

 

یہی مسنون کیفیت ہے مسح کی۔تاہم اگر کوئی شخص پورے سر پر ہاتھ پھیر لے تو اس سے بھی وضو کا فرض پورا ہو جائے گا۔جیسا کہ حدیث میں ہے کہ رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم مسح اِس طرح کیا کہ اپنے ہاتھوں کو آگے سے پیچھے اور پیچھے سے آگے لے گئے۔

[متفق علیہ]

 

11 ہاتھ پاؤں کی انگلیوں کا خلال کرنا:

 

حدیث میں ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:
’’ مکمل وضو کیا کرو اور انگلیوں کے درمیان خلال کیا کرو۔‘‘

[سنن اربعہ]

 

12 ہاتھ پاؤں دھوتے ہوئے پہلے دائیں ہاتھ پاؤں کو دھونا:

 

حدیث میں ہے کہ:
’’رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو جوتا پہنتے ہوئے اور طہارت میں دائیں طرف پسند تھی۔‘‘

[بخاری،مسلم]

 

13 چہرہ،ہاتھ،بازو اور پاؤں کو ایک سے زیادہ(تین مرتبہ تک)دھونا۔

 

14 پانی بہاتے ہوئے اعضاء ِوضو کو ملنا۔

 

15 پانی کے استعمال میں میانہ روی اختیارکرنا:حدیث میں ہے کہ:

 

’’رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ایک مُد پانی سے وضو کیا کرتے تھے۔‘‘

[بخاری،مسلم]

 

16 بازو اور پاؤں دھوتے ہوئے مبالغہ کرنا:

 

ایک حدیث میں ہے کہ:
’’ حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ جب وضو کرتے تو اپنے بازؤوں کو کندھوں تک اور اپنے پاؤں کو پنڈلیوں تک دھوتے اور پھر کہتے:

میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو اسی طرح وضو کرتے ہوئے دیکھا تھا۔‘‘

[مسلم]

 

17 مکمل وضو کرنا اور ہر عضو کو اچھی طرح دھونا۔

 

18 وضو کے بعد یہ دعا پڑھنا:

 

﴿أشْہَدُ أنْ لَّا إلٰہَ إلَّا اللّٰہُ وَحْدَہُ لَا شَرِیْکَ لَہُ وَأشْہَدُ أنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُہُ وَرَسُوْلُہُ﴾

 

’’ میں گواہی دیتا ہوں کہ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں وہ اکیلا ہے،اس کا کوئی شریک نہیں۔اور میں گواہی دیتا ہوں کہ محمد(صلی اللہ علیہ وسلم)اس کے بندے اور اس کے رسول ہیں۔‘‘

اس دعا کے پڑھنے کی فضیلت حدیث میں یہ بیان کی گئی ہے کہ پڑھنے والے کیلئے جنت کے آٹھوں دروازے کھول دئے جاتے ہیں،وہ جس میں سے چاہے جنت میں داخل ہو جائے۔

 

[مسلم]

 

19 وضو کے بعد دو رکعت نماز ادا کرنا:رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا ارشاد ہے:

 

’’ جو شخص میرے وضو کی طرح وضو کرے،پھر دو رکعات نماز اس طرح ادا کرے کہ اس میں دنیاوی خیالات سے بچا رہے تو اس کے پچھلے گناہ معاف کردئے جاتے ہیں۔‘‘

[بخاری،مسلم]

 

نوٹ : مسلمان دن اور رات میں کئی مرتبہ وضو کرتا ہے،پانچ نمازوں کے علاوہ کئی مسلمان نماز چاشت اور نماز تہجد کیلئے بھی وضو کرتے ہیں۔اگر وہ ہرمرتبہ ان مذکورہ سنتوں کا خیال رکھیں تو یقینی طور پر بہت زیادہ اجروثواب حاصل کرسکتے ہیں۔ان سنتوں کے مطابق وضو کرنے سے کتنا ثواب ملتا ہے ! اس کا اندازہ درج ذیل دو حدیثوں سے کیا جا سکتا ہے:

 

1 ’’جو شخص اچھی طرح وضو کرے،اس کے گناہ اس کے جسم سے حتی کہ اس کے ناخنوں کے نیچے سے نکل جاتے ہیں۔‘‘

[مسلم]

 

2 ’’تم میں سے جو شخص اچھی طرح وضو کرے،پھر دو رکعت نماز پوری توجہ کے ساتھ اداکرے تو اس کیلئے جنت واجب ہو جاتی ہے اور اس کی مغفرت کردی جاتی ہے۔‘‘

[مسلم]

 

 

ريفرينس:
“دن اور رات ميں ۱۰۰۰ سے زياده سنتيں”
تاليف: “الشيخ خالد الحسينان”
اردو ترجمعه: “ڈاکٹر حافظ محمد اسحاق زاهد”

 

Table of Contents