Search
16. FAJR KI NAMAZ KAY BA’AD KA BAITHNA [ Sitting after the Prayer]
Fajr ki Namaaz ke Ba’d Baithhna
Hadees mein hai:
“Jab Allah ke pyaare Rasool (ﷺ) fajr ki namaaz ada kar lete toh apnay jaaye namaaz par hi achchi tarah sooraj tulu’ honay tak baithhe rehte”.
[Muslim]
Kitni badi ne’amat aur kitni khush qismati hai, un namaaziyon ke liye jo masjid mein namaaz se pehle ya ba’d mein baithhe du’aa aur taubah wa istaghfaar mein mashghool rahtay hain. Unke liye Allah Ta’aala ne apnay farishtay muqarrar kar rakhkhe hain aur jo kehtay hain:
(اللهم اغفرله ، اللهم ارحمه)
(Allaahumma-Ghfirlahu,Allaahumma- Rhamhu)
[Muslim: 1540]
(Aye Allah! Is shakhs ko bakhsh de. Aye Allah! Is shakhs par raham farma.)
Aye Musalmaan bhayi! Zara socho! Teri Allah Rabbul izzat ke yahaan kitni qadr hai, aur kitni izzat hai kyun ke tune uski ita’at ki hai aur usnay tere liye farishtay muqarrar kar diye hain jo tere liye du’aa kartay hain. |