Search
Sections
< All Topics
Print

31. HAR HAAL MEIN ALLAH KA ZIKR [Remembering Allah at all Times]

HAR HAAL MEIN ALLAH KA ZIKR

 
1. Allah ka zikr :

 

Allah ki ibaadat ka bunyaad hai kyun ke bande aur uske Rab ke darmiyaan har waqt aur har haalat mein ta’alluq qaayem rahne ka yahi ek zariy’a hai.

Sayyadah Ayesha (رضی اللہ عنہا) ka bayaan hai :
Ke Allah ke Rasool (ﷺ) har waqt Allah ka zikr kiya kartay.

[Muslim: 852]

 

Allah ke saath ta’alluq rahne mein hi zindagi hai. Uski taraf ruju’ karnay mein hi nijaat hai. Uski qurbat mein kaamyaabi aur rizwaan hai. Usse doori mein gumraahi, tabaahi wa barbaadi aur nuqsaan hai.

2. Allah ka zikr mein aur munaafiq ke darmiyaan ek nishaan aur ek alaamat hai, ke munaafiq zikr nahin karta magar thoda sa woh ma’mooli sa zikr karta hai.

3. Shaytaan insaan par ghalbah usi waqt karta hai jab woh Allah ke zikr se gaafil hota hai. Aur Allah ka zikr ek mazboot qil’a hai, jo insaan ko shaytaan ke makro fareb se bacha kar rakhkhta hai. Aur shaytaan toh chaahta hai ke insaan Allah ke zikr se gaafil rahe.

4. Allah ka zikr : Khush bakhti ka raastah hai :

Jo log eemaan laaye unke dil Allah ke zikr se itminaan haasil kartay hain. Yaad rakhkho! Dillon ko itminaan Allah ke zikr se hi haasil hota hai.

5. Allah ke zikr par hameshgi karna :

 

Ahle jannat ko kisi cheez ki hasrat na hogi, magar dunyaavi auqaat ki jinn mein woh zikr na kar sake, kyun ke zikr par hameshgi Allah ke saath raastah istawaar karna hai.

Imaam nawawi (رحمه الله عليه) farmaate hain :

Ke ulmaa-e-kiraam ka ittefaaq hai ke dil aur zabaan se be wazu (tilaawate quran kareem, ke maasiwa) junmbi, haayizah aur nafaas waaliyon ka tasbeehaat aur zikr waghairah kar lena jaayez hai.

 

6. Jo Allah ko yaad karta hai, Allah Ta’aala usko yaad karta hai.

 

Allah Ta’aala ka farmaan hai. Tum mujhe yaad karo main tumhen yaad karunga.

[Al Baqrah: 152]

 

Us insaan ki khushi wa musarrat ka andazah lagayen ke jise ilm ho jaaye ke uska dunyaavi baadshaah, uska maalik apni majlis mein baithh kar uski ta’reef karta hai.

Toh us insaan ki haalat ka andaazah kijiye! Ke jiske baare mein baadshaahon ka baadshaah, jo zameen wa aasmaan ka maalik hai jab woh kisi ki ta’reef apne farishton mein kar raha ho? Toh kiya us par rashk na aaye? Subhaanallah

7. Allah ke zikr se yeh muraad nahin ke insaan ek hi kalimah ka wird karta rahe aur “dil” Allah ki ta’zeem aur uski itteba’ se ghaafil ho!!! Nahin.

Bal ke jab zabaan se zikr kiya jaaye toh uske liye huzoor-e-qalb ke saath uske ma’ni aur mafhoom se ghaafil rahna nahin chaahiye.

Allah ka farmaan hai :

Apnay Rab ko yaad kiya kar apnay dil mein aajzi aur khauf ke saath, aur zor ki aawaaz ki nisbat kam aawaaz ke saath subah wa shaam (yaad kiya kar) aur ghaafilon mein se nah ho jana.

[Al-A’raaf: 205]

 

Lihaza:

Har insaan jo zikr karnay waala hai use ma’loom hona chaahiye ke wo kiya zikr kar raha hai. Uske dil ka zikr aur zabaan ka zikr ek jaisa ho taake Allah ke saath raabtah zaahir wa baatin se ek jaisa ho. Aur “dil” zabaan ke zikr se ghaafil nah rahe.

 

 

REFERENCE:
BOOK: “Din aur Raat mein Hazar se bhi ziyadah Sunnatein”
TALEEF: Fazilatus Shaykh Khalid Al-Husaynaan.
URDU TARJUMA BY: Dr. Hafiz Mohammad Ishaaq Zahed.

Remembering Allah at all Times

 

1. The remembrance of Allah is the basis of slavery to Allah, as it is the header of the relation between the slave and his Creator, in all his time and conditions. It was reported that Aisha, may Allah be pleased with her, said:
[the Messenger of Allah (Peace be upon him) used to remember Allah in all his time].

[Narrated by Muslim]

Being connected with Allah is life, seeking refuge with him is salvation, being near him is success and satisfaction and keeping away from him is loss and deviation.

2. The remembrance of Allah is what differentiates between believers and hypocrites, as the hypocrites’ attribute is that they do not remember Allah except a little.

3. The devil does not pre-dominate man, except when the latter overlooks the remembrance of Allah, as the remembrance of Allah is the immune fort that protects man against the devil’s plots.

The devil likes man to forget the remembrance of Allah.

4. Remembrance (thikr) is the way to happiness. He (Exalted be He) said:
The ones who have believed and whose hearts (feel) composed
with the Remembrance of Allah -verily in the Remembrance of Allah the hearts are composed)

[Ar-Raad: 28]

5. One should always remember Allah, as the people of paradise do not regret anything, except an hour that passed by them in this life without remembering Allah (Glorified and Sublime be he).

Verily, permanent remembrance means permanent relationship with Allah.

An-Nawawi said:
Scholars agreed that remembrance, by (both) heart and tongue, is permissible for this who has broken his ablution, this who is ritually unclean, menstrual and postpartum women.
This includes glorification (saying: Subhan Allah), praise (saying: Al-Hamdulillah), saying Allahu Akbar (Allah is the Greater), saying la ilaha ila Allah (there is no god but Allah), asking Allah to send His peace and blessings on the Messenger of Allah (Peace be upon him) and supplication. This is unlike the case of reciting Qur’an.

6. This who remembers his Lord (Glorified and Sublime be He), his Lord remembers him. He (Exalted be He) said:
So, remember Me, (and) I will remember you; and give thanks to Me; and do not disbelieve Me.

[AlBaqarah: 152]

 

If man feels much delight, when he is informed that one of the kings has mentioned him in his council and that he has praised him, so, how would he feel, if Allah, the King of all kings (Exalted be He), mentioned him to a crowd, which is better than those to whom he is mentioned to?

 

7. Remembrance of Allah does not mean muttering with a word or words, while the heart is inattentive, overlooking glorification of Allah and obeying Him. Remembrance by tongue should be accompanied by reasoning and being affected by the meanings of its words. He (Exalted be He) said:
And remember your Lord within yourself, in supplication and in
fright, other than being (too) loud in words, in the early mornings and the (hours) before sunset, and do not be among the heedless.

[Al-Aaraf: 205]

The person who remembers Allah should be aware of what he says, so that heart remembrance and tongue remembrance may gather and man can be connected with his Lord both manifestly and immanently.

 

 

REFERENCE:
BOOK: “1000 SUNNAH PER DAY & NIGHT”

ہر حال میں اللہ کا ذکر

٭ اللہ کا ذکر اللہ کی بندگی کی بنیاد ہے کیونکہ ذکر سے تمام اوقات واحوال میں بندے کا اس کے خالق سے تعلق ظاہر ہوتاہے۔حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں کہ
’’ صلی اللہ علیہ وسلم ہر وقت اللہ کا ذکر کرتے تھے۔‘‘

[مسلم]

ذکر اللہ کے ساتھ ایک رابطہ ہے اور اس کے ساتھ رابطہ رکھنے میں زندگی ہے۔اور اس کی پناہ میں نجات ہے اور اس کے قرب میں کامیابی اور اس کی رضا ہے۔اور اس سے دوری اختیار کرنے میں گمراہی اور گھاٹا ہی گھاٹا ہے۔

٭ اللہ کا ذکر مومنوں اور منافقوں میں فرق کرتا ہے،کیونکہ منافق بہت کم اللہ کا ذکر کرتے ہیں۔

٭ شیطان صرف اس وقت انسان پر غالب آسکتا ہے جب وہ اللہ کے ذکر سے غافل ہو۔سو اللہ کا ذکر ایک مضبوط قلعہ ہے جو انسان کو شیطان کی چالوں سے بچا لیتا ہے اور شیطان کو یہ بات پسند ہوتی ہے کہ انسان اللہ کے ذکر سے غافل رہے تاکہ وہ اسے بآسانی شکار کر سکے۔

٭ ذکر سعادتمندی کا راستہ ہے۔فرمان الٰہی ہے:

﴿اَلَّذِیْنَ آمَنُوْا وَتَطْمَئِنُّ قُلُوْبُہُمْ بِذِکْرِ اللّٰہِ أَلاَ بِذِکْرِ اللّٰہِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوْبُ﴾

’’ جو لوگ ایمان لائے ان کے دل اللہ کے ذکر سے اطمینان حاصل کرتے ہیں۔یاد رکھو ! اللہ کے ذکر سے ہی دلوں کو تسلی حاصل ہو تی ہے۔‘‘

[الرعد:۲۸]

٭ ہمیشہ اللہ کا ذکر کرتے رہنا انسان کیلئے ضروری ہے کیونکہ اہل جنت صرف اس گھڑی پر حسرت کریں گے جس میں انھوں نے اللہ کا ذکر نہیں کیا ہوگا۔

٭ ہمیشہ اللہ کا ذکر کرتے رہنا ہمیشہ اللہ کے ساتھ تعلق قائم رکھنے کی دلیل ہے۔

امام نووی رحمہ اللہ کہتے ہیں:

’’ علما کااتفاق ہے کہ بے وضو اور جنبی شخص اور حیض ونفاس والی عورت کیلئے دل اور زبان کے ساتھ اللہ کا ذکر کرنا جائز ہے،جیسے سبحان اللّٰه،الحمد للّٰه،اللّٰه اکبر،لا إلہ إلا اللّٰه اور درود شریف پڑھنا اور دعا کرنا،ہاں قراء ت کرنا جائز نہیں۔‘‘

٭ جو شخص اللہ کا ذکر کرتا ہے اللہ اس کا ذکر کرتا ہے۔فرمان الٰہی ہے:

﴿فَاذْکُرُوْنِیْ أَذْکُرْکُمْ وَاشْکُرُوْا لِیْ وَلاَ تَکْفُرُوْنِ﴾

’’ پس تم میرا ذکر کرو میں تمھارا ذکر کروں گا۔اور تم میرا شکر ادا کرو اور ناشکری نہ کرو۔‘‘

[البقرۃ:۱۵۲]

کسی انسان کو اگر اس بات کا پتہ چل جائے کہ اسے فلاں بادشاہ نے یاد کیا ہے اور اس نے اپنی مجلس میں اس کی تعریف کی ہے تو اسے انتہائی خوشی ہوتی ہے۔اسی طرح اگر اسے یہ معلوم ہو جائے کہ اسے بادشاہوں کے بادشاہ نے فرشتوں کے سامنے یاد کیا ہے تو اس کی خوشی کا عالم کیا ہو گا !

٭ ذکر سے مقصود یہ نہیں کہ صرف زبان چلتی رہے اور دل اللہ کی عظمت اور اس کی اطاعت سے غافل رہے،بلکہ زبان کے ذکر کے ساتھ ساتھ یہ بھی ضروری ہے کہ اس کی سوچوں کا مرکز اللہ رب العزت ہو اور وہ ذکر کے معانی میں تدبر کر رہا ہو۔

فرمان الٰہی ہے:

﴿وَ اذْکُرْ رَّبَّکَ فِیْ نَفْسِکَ تَضَرُّعًا وَّ خِیْفَۃً وَّ دُوْنَ الْجَھْرِ مِنَ الْقَوْلِ بِالْغُدُوِّ وَ الْاٰصَالِ وَ لَا تَکُنْ مِّنَ الْغٰفِلِیْنَ﴾

[الا عراف:۲۰۵]

’’ اور صبح وشام اپنے رب کو اپنے دل میں یاد کیا کر،عاجزی اور خوف کے ساتھ اور زور کی آواز کی نسبت کم آواز کے ساتھ۔اور اہل غفلت میں سے مت ہونا۔‘‘

لہذا ذکر کرنے والے کو پتہ ہونا چاہیے کہ وہ کیا کہہ رہا ہے اور کس عظیم ذات کا ذکر کر رہا ہے ! تاکہ ظاہری اور باطنی طور پر اللہ سے اس کا تعلق قائم رہے۔

ريفرينس:
“دن اور رات ميں ۱۰۰۰ سے زياده سنتيں”
تاليف: “الشيخ خالد الحسينان”
اردو ترجمعه: “ڈاکٹر حافظ محمد اسحاق زاهد”
Table of Contents