Search
Sections
< All Topics
Print

02. Makkah Mukarramah ki Afzaliyat

Makkah Mukarramah ki Afzaliyat

 

Makkah Mukarramah ki afzaliyat aur maqaam wa martaba bayaan karnay waali Ahaadees bohat ziyaada hain, un mein se aik ‘Abdullah bin ‘Addi bin Hamra (رضی اللہ عنہ) ki Hadees hai kay mein nay Rasool Allah (ﷺ) ko Makkah Mukkarrmah mein Oontni par sawaar “Hazurah” 1⃣   maqaam par yeh farmaatay suna:

 

واللَّهِ إِنَّكِ لَخَيْرُ أَرْضِ اللَّهِ وَأَحَبُّ أَرْضِ اللَّهِ إِلَى اللَّهِ عَزَّوَجَلَّ وَلَوْلَا أَنَّى أَخْرِجْتُ مِنْكِ مَا خَرَجْتُ

 

“Allah ki qasam! Tu Allah Ta’ala ki zameen mein behtareen jagah hai aur Allah Ta’ala kay haan mehboob tareen hai agar Mujhe tujh say nikalny par majboor na kiya jaata to Main kabhi na nikalta.” 2⃣

 

Is mazmoon ki yeh sab se sahih Hadees hai aur is say istadlaal kiya gaya hai keh Makkah Mukarramah har jagah say afzal hai. Makkah Mukarramah ki afzaliyat kay liye yehi kaafi hai keh Masjid-e-Haraam ki Namaaz ka ajar har jagah say kar hai. Jabir (رضی اللہ عنہ) say riwaayat hai Rasool Allah (ﷺ) nay farmaaya:

 

صلاة فی مسْجدى هذا أفْضل منْ الْف صلاةٍ فیما سواه إلا

 

 1. Yeh woh baazaar hai jo Makkah mein Sayeda Umm-e-Haani (رضی اللہ عنہا) kay ghar kay baahar tha jo keh ba’ad mein Masjid-e-Haraam ki tausii’ mein shaamil ho gaya. Tafseel kay liye mulaahiza farmaaein: Zaad al Mi’aad: 420-425/ 2, Matbu’a Ansaar al Sunnat Al-Muhammadiyah, Qahira, Misar.

    2. Musnad Ahmad: 305/4 Jaame’ Tirmizi Hadees: 3925, Sunan Ibn Maajah, Hadees: 3108.

 

الْمَسْجِدَ الْحَرَامَ وَصَلَاةُ فِي الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ أَفْضَلُ مِنْ مَائَةِ الْفِ صَلَاةِ

 

“Meri is Masjid (Nabwi) mein aik Namaaz deegar Masajid mein hazaar Namaaz say behtar hai, albatta Masjid-e-Haraam ki aik Namaaz aik laakh Namaazon say bhi badh kar hai.” 1⃣

 

Agar hum Masjid-e-Haraam ki aik Namaaz ki fazeelat ka aik laakh Namaazon kay mutaabiq hisaab lagaaein to Masjid-e-Haraam ki aik Namaaz pachpan saal chhe maah bees din ki namaazon kay baraabar banti hai aur aik din raat ki paanch Namaazein do sau sattar (270) saal nau-mahiine das din ki Namaazon kay baraabar hon gi. Haram ki Namaaz kay sawaab ki is qadar kasrat, taqaaza karti hai keh Haram ki har neki ka sawaab laakh neki kay baraabar ho ga. ‘Allama Muhib Al Deen Ahmad bin ‘Abdullah Tabari nay farmaaya:

 

“Namaaz roza kay sawaab ki kasrat waali riwaayaat daleel hain keh sawaab ki yeh kasrat tamaam naikiyon mein hogi.” 2⃣

 

 

1. Musnad Ahmad: 397,343 / 3.

 2. Manaah al Karam: 234/1, Manaasik al Nawawi S: 407, Al Qira Li maqaasid Umm al Qura, ‘Allama Muhib al Deen Tabari, S: 658.


 

قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:
*والله انك الخير أرض الله، وَاجَبُّ أَرْض الله إلى الله، ولولا الي خرجت منك لما خرجت*

 

Hassan Basri (رحمہ اللہ) nay farmaaya:

“Makkah Mukarramah mein aik roza aik laakh rozon kay baraabar aik darham ka sadqa aik laakh darham kay baraabar balkay har neki aik laakh naikiyon kay baraabar hogi.” 1⃣

 

Albatta sawaab ziyaada honay ki do shartein hain:

  1. ‘Amal khaalis Allah Ta’ala kay liye kiya jaaye.
  1. Rasool Allah (ﷺ) ki pairavii ki jaaye.

 

Is kay saath saath Musalmaan kay liye zaroori hai keh woh Makkah Mukarramah mein har gunaah say parhaiz karay kyunkay yahaan jis tarah naikiyon ka sawaab badhta hai usi tarah gunaahon ka ‘azaab bhi badhta hai. Mujaahid (رحمہ اللہ) nay farmaaya:

 

“Makkah Mukarramah mein jis tarah naikiyaan badhti hain gunaah bhi badhatay hain.” 2⃣

 

Imam Ahmad bin Hanbal (رحمہ اللہ) say poochha gaya:

“Kya buraai ka gunaah aik say zaaid likha jaata hai?”

Unhon nay farmaaya:

“Nahi, albatta Makkah Mukarramah ki ‘azmat kay paish-e-nazar wahaan zaaid likha jaata hai.”

 

Syedna Ibn Mas’ood (رضی اللہ عنہ) nay bhi isi tarah farmaaya tha keh:

“Agar Aden Abyan mein koi shakhs kisi shakhs ko Bayt Ullah mein qatal karnay ka iraadah karay to Allah Ta’ala us ko dardnaak ‘azaab chkhaaein ge.” 3⃣

 

1. Fazaail-e-Makkah, Hassan Basri, S: 21.

2. Masheer al Gharaam, S: 234.

3. Tafseer Tabari, Surah Al-Hajj: 25, Musnad Ahmad: 428,451/1.

 


 

Makkah Mukarramah ki Rahaaish

 


 

Makkah Mukarramah ki rahaaish mustahib hai kyunkay is mein naikiyaan aur taa’at badhti hain. Salaf wa Khalaf Aaimah mein say bay shumaar hazraat nay Makkah Mukarramah ki rahaaish ikhtiyaar ki hai. Makkah Mukarramah mein rahaaish kay istijaab ki sab say badi daleel yeh hai keh Nabi Kareem (ﷺ) nay is ki khuwaahish farmaai hai aur Syedna Bilal (رضی اللہ عنہ) nay apnay ash’aar mein Makkah Mukarramah dobaarah jaane ki tamanna ki thi. 1⃣ 

Apnay shehar say hijrat kar kay Makkah Mukarramah mein rahaaish ikhtiyaar karnay kay baaray mein sab say dilchasp baat ‘Allama Zamakhshari ne ” Kashshaf ” mein likhi hai, farmaatay hain:

“Hum aur hamaaray buzurgon nay Allah Ta’ala kay Haram ki rahaaish aur Baytullah kay qareeb rehnay say badh kar koi neki aisi nahi dekhi jo nafs ko maghloob karnay aur shehwat ki nafarmaani mein mu’aawin saabit ho pareshan dil ko mutmain karnay waali aur fikar wa gham kay taanay baanay suljhaanay waali ho. Qanaa’t par ubhaarne waali aur shaytan ko bhagaanay waali ho. Fitnon say bachaanay waali aur deeni m’aamlaat mein nazam wa zabt paida karnay waali ho. Hamaara aur hamaaray buzurgon ka tajurbah is par gawaah hai. Hum nay ghoom phir kar is baat ki tasdeeq ki hai. Allah Ta’ala ka shukar hai keh Us nay hamaaray liye yeh kaam aasaan farma diya aur sabar wa shukar ki taufeeq ‘inaayat farmaai.” 2⃣

 

 

 1. Sahih Bukhari’ Hadees: 3926, Shifa Al-Gharaam: 160,161/1 Al-Qira Limaqaasid Umm al Qura: 660_663.

 2. Al- Kashshaf: 465/3.

 

 

REFERENCE: Muratib Karda : Shoba Tahqeeq-o-Taleef Darussalam.
Nazar-e-Saani: Moulana Safir ur Rahman Mubarak puri.

 

 

Table of Contents