Search
Sections
< All Topics
Print

12. ‘Umrah ke arkaan aur wajibaat

✿ ‘Umrah ke arkaan aur wajibaat

 

‘Umrah ke arkaan teen hain:

 

Ihram:

Is se muraad ‘Umrah mein daakhil honay ki niyat karna hai kyunkay Hadees mein aaya hai:

 

إنما الْأعْمال بالنیات

 

“A’amaal ka ai’tbaar niyat se hai.” 1⃣

 

[Sahih Bukhari, Hadees: 1, Sahih Muslim, Hadees: 1907]

 

*Tawaaf aur  Sa’i:

 

Nabi kareem (ﷺ) ne tawaaf aur sa’i ke baaray mein irshaad farmaaya:

“Tum mein se jis shakhs ke paas qurbaani ka jaanwar nahi woh Baytullah ka tawaaf aur Safa wa Marwah ki sa’i kare.” 2⃣

 

Aur sa’i ke baaray mein Aap (ﷺ) ka farmaan hai:

“Sa’i karo, Allah Ta’ala ne tum par sa’i farz ki hai.” 3⃣

 

✿ ‘Umrah ke wajibaat do hain:

 

Hal (hudood-e-Haram ke baahar) se ihram baandhna:

Kyunkay Aap ne Hazrat ‘Aisha (رضی اللہ عنہا) ko maqaam-e-Tan’eem se ‘Umrah ka ihram baandhnay ka hukum diya tha. 4⃣   Mawaaqeet ke baaray mein Hazrat Ibn ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) ki Hadees bhi is ki daleel hai. 5⃣

 

 

  1. Sahih Bukhari, Hadees: 1691, Sahih Muslim, Hadees: 1227.

   2. Musnad Ahmad: 422/6, Mustadrak Hakim: 70/4.

   3. Sahih Bukhari, Hadees: 1783, Sahih Muslim, Hadees: 1211.

   4. Sahih Bukhari, Hadees: 1524, Sahih Muslim, Hadees: 1181

 



✿ Baal mundwaana ya katwaana:

 

Nabi kareem (ﷺ) ka farmaan hai:

“(Hajj ya ‘Umrah karne waalay ko) chaahiye keh baal katwaaye aur ihram khol day.” 1⃣

Jo shakhs ‘Umrah ka koi rukan chhod day, us ka ‘Umrah is rukan ki adaaigi ke baghair durust na hoga. Albatta jo shakhs koi waajib chhod day, usay kami poori karne ke liye jaanwar zibah karna ho ga. Aur jo shakhs hajaamat se pehlay douraan-e-‘Umrah jamaa’ kar baithy usay fidya mein aik Ountani ya aik Gaaye ya aik Bakri zibah karna hogi jabkay afzal Ountani zibah karna hi hai. Aur us ka

 

[Sahih Bukhari, Hadees: 1691, Sahih Muslim, Hadees: 1227]

 

‘Umrah durust hoga. Kyunkay Hazrat Ibn ‘Abbas (رحمہ اللہ) ka fatwa is mafhum mein mojood hai. 1⃣

Aur jo shakhs ‘Umrah ke tawaaf se pehlay jamaa’ kare us ka ‘Umrah mutafiqa tor par faasid ho jaaye ga. Aur agar tawaaf ke ba’ad Safa wa Marwah ki sa’i se qabal jamaa’ kar le to is soorat mein bhi ‘Omrah faasid ho jaaye ga. Jamhoor ka yehi muaqqaf hai. Lekin in donon haalaton mein woh shakhs apne faasid ‘Umre ko jaari rakhay ga, jaanwar zibah kare ga aur qaza bhi day ga. 2⃣

 

  1. Sunan Kubra, Bayhaqi: 172/5.
  1. Izwaa Al Bayaan: 389/5, Al Astazkaar, Ibn ‘Abdul Barr: 290/12.

 

 

REFERENCE: Muratib Karda : Shoba Tahqeeq-o-Taleef Darussalam.
Nazar-e-Saani: Moulana Safir ur Rahman Mubarak puri.

 

 

Table of Contents