Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

14. Makkah Mukarramah ke ba’az Khairaati idaaray aur jaam’iyaat [Some Charitable Institutions and Universities in Makkah Al-Mukarramah]

✿ Makkah Mukarramah ke ba’az Khairaati idaaray aur jaam’iyaat

 

✯ Raabita ‘Aalam-e-Islaami:

 

Raabita ‘Aalam-e-Islaami aik khaalis Islaami tanzeem hai jis ka kisi bhi hukoomat se koi ta’lluq nahi hai balkay yeh aik khud mukhtaar idaara hai jis ka maqsad ‘aalam-e-Islaam mein kaam karne waali quwwaton ko ikhatta kar ke un nazriyaat ka muqaabla karna hai jo Islaami ‘aqeedah aur Musalmaan Mumaalik ke khilaaf masroof-e-‘amal hain. Yeh tanzeem kisi Mulk ke daakhli m’aamlaat mein dakhal nahi deti. Us ki bunyaad 1381 h ba mataabiq 1962 ٕ mein pehli Islaami conference ke ba’ad Makkah Mukarramah mein rakhi gai. Is ke maqaasid mandarja zail hain:

 

*1* Islaami Mumaalik mein shari’at-e- Islaamiya ke nifaaz ki koshish karna.

*2* Hajj ke ijtima’ se Islaami t’aleemaat ki yaad dehaani ka faaida uthaana.

*3* Tamaam ‘Aalam-e-Islaam mein Islaami d’awat ki nashar-o-ashaa’t ka kaam karne waalon ki hosla afzaai karna.

*4* Tamaam ‘Aalam-e-Islaam mein Islaami marakaz aur Mudaaris qaaim kar ke Islaami ta’leem ko farogh dena.

*5* Quran ki zubaan (arabi) ki nashar-o-ashaa’t ke liye koshish karna.

In ke ‘ilaawa bhi kai maqaasid hain.

 

✯ Raabita ki ahem commetiyaan aur board:
✯ General Islaami conference (Motamar Al-Alam Al-Islami):

Yeh sab se badi intizaami authority hai.

 

✯ Majlis qaanoon saaz:

Yeh raabita ke programme tay karti hai aur zaroori hidaayaat naafiz karti hai.

 

✯ Nizaamaat ‘aama:

Yeh majlis qaanoon saaz ke progaraamon aur hidaayaat ko naafiz karne waala

idaara hai jo keh raabita ke tamaam progaraamon aur sar garmiyon ki nigraani karta hai.

 

✯ Bain al aqwaami supreme council baraaye Masaajid
✯ Markaz-e-tarbiyat Aaimah-o-Khutba 
✯ Islaami t’aawun council  Fiqhi majlis mushaawarat 1⃣

     [  الدبلوماسیة والمراسم الملكیة ]

         ‘Abdul Rehman bin Muhammad Al Hamudi: 680/1.

 Falaahi anjumaan baraaye hifz Quran kareem:

 

Yeh falaahi anjumaan 1382 h mein chand mukhayyar hazraat ke haathon qiyaam pazeer hui. Un mein se ahem shakhsiyaat Muhammad Yousuf Pakistani (رحمہ اللہ علیہ) thay.

1386 H mein pehli dafa’a 18 Hufaaz kiraam ne mukammal Quran Majeed hifz kiya. Sab se pehlay group ne Hafaair maqaam par Muhammad bin Laadin ki Masjid mein kaam shuru’ kiya. Us waqt unn ki t’adaad bohat kam thi magar ab un ki t’adaad bees hazaar se zaaid ho chuki hai aisay group senkdon tak pohanch chuke hain. Sirf Haram Makki mein chaalees group qaaim ho chuke hain.

Is jamaa’t ke tehat aik aur idaara bhi kaam kar raha hai jis ka naam “M’ahad Dar-e-Arqam Bin Abi Al Arqam” hai. Is mein taalib-e-‘Ilm mukammal Quran Majeed hifz karne ke ba’ad dakhla laita hai aur do saal tak hifz ki duhraai karta aur Tajveed ka ‘Ilm haasil karta hai.

Is M’ahad mein aik darja takhassus bhi hai jis mein dakhla M’ahad ki t’aleem mukammal karne ke ba’ad milta hai. Is mein teen saal tak qiraat aur dusray Quraani ‘uloom ki t’aleem di jaati hai. Is M’ahad mein paanch makhsoos halqay hain jo un Musalmaanon ke liye mukhtas hain jo duniya ke kisi bhi Mulk mein bator ‘aqliat baste hain. Aur chodah halqay aisay hain jin mein Quran Majeed ke Muallimin tayyaar kiye jaatay hain.

Pehlay yeh anjumaan “Jaami’a Islaamia Imaam Muhammad bin Sa’ood” ki zair-e-nigraani kaam karti thi. Jab se wizaarat-e-auqaaf qaaim hui hai, is anjuman ko is wizaarat ke maatehat kar diya gaya. 2⃣

 

[Ibhaaj Al-Haaj Shaikh Zahraani, S:205]

✯ Jaami’a Umm Ul-Qura:

 

Jaami’a Umm Ul-Qura Mumlikat-e-Sa’udia ki ehem university hai jo Makkah Mukarramah mein qaaim hai. Yeh sab se puraani university hai. Is ki ibtida 1369 h mein Shari’at college se hui. 1391 h mein Shari’at college aur is university ke dusray collegon ko Jaddah ki Shah ‘Abdul ‘Aziz university se mulhiq kar diya gaya. 1400 h mein aik Shaahi farmaan ke zariy’e Makkah Mukarrmah mein mustaqil Jaami’a Umm Ul Qura qaaim kar di gai. Is jaam’ia ki bana par wahaan aik poora shehar aabad ho chuka hai. Is university ke tehat bohat se college kaam kar rahay hain aur ghair ‘arabi logon ko ‘arabi zubaan sikahnay ke liye aik markaz bhi qaaim kar diya gaya hai. University mein mandarja zail colleges hain:

*1* Shari’at aur ‘uloom Islaamia college

*2* D’awat-o-Usool-e-Deen college

*3* Tarbiyat college

*4* ‘Arabi zubaan-o-adab college

*5* M’aasharti ‘uloom college

*6* Tatbeeqi ‘uloom college

*7* Engineering college

Taif shehar mein bhi aik tarbiyat college is jaam’ia ke tehat kaam kar raha hai. Yeh university MA aur doctorate ki degriyaan jaari karti hai. Be shumaar tulba is university se faarigh al tehsil ho kar duniya ke konay konay mein ‘Ilm phela rahay hain aur sahih ‘aqeedah ki tableegh ke saath saath bid’aat aur gumraahi ke khilaaf jung kar rahay hain. In sha Allah yeh university Islam ka ‘azeem qila’h aur buland minaar saabit hogi. 1⃣

[‘Ali Tareeq Al-Mustaqbi, Al-Ta’leem ul ‘Aali, Wizaart ul A’alaaam, Ibhaaj ul Haaaj, Zuhraani, S: 209]

 

✯ Dar al Hadees Makkah Mukarramah:

 

Yeh un Mudaaris mein shumaar hota hai jinhon ne Quran kareem aur sunnat-e-Nabawiya ki nashar-o-ashaa’t mein qaabil-e-qadar khidmaat sar-anjaam di hain aur duniya ke goshay goshay se aanay waalay be shumaar tulba ne is se istifaada kiya hai. Is ka aaghaaz 1352 h mein aik private Madrasa ke tor par hua phir 1391 h mein usay jaam’ia Islaamia Madinah Munawwara se mulhiq kar diya gaya. Ab yeh jaam’ia ki nigraani mein kaam kar raha hai.

 

Is mein do ta’leemi marhalay hain:

 

*1*. Middle School:

Is ka nisaab teen saala hai. Is ki takmeel ke ba’ad taalib ‘Ilm ko sanad jaari ki jaati hai.

 

*2*. Sh’oba matric:

Is ka nisaab bhi teen saala hai. 1⃣

[Ibhaaj ul Haaaj, S: 213]

 

❁ Madrasa Dar ul Hadees Khairiya aur us ke t’aleemi maraahil:

Yeh aik khairaati Madrasa hai jo 1352 h mein Shah ‘Abdul ‘Aziz Aal-e-Sa’ood (رحمہ اللہ) ki raza mandi se jaari kiya gaya aur us waqt se musalsal kitaab-o-sunnat ki khidmat mein mashgool hai. Aik supreme council is ki nigraani karti hai jis ke sarbaraah hukoomat sa’udia ke mufti-e-A’azam hotay hain. Dar ul Hadees ke chaar t’aleemi maraahil hain:

 

*1* Hifz Quran kareem ke liye Madrasa Dar al Faaizeen:

Is ki t’aleemi muddat chhay saal hai. Wizaarat-e-t’aleem sirf ta’leemi nuqta nazar se is sh’oba ki nigraani karti hai. Maali ya intizaami wizaarat m’aamlaat baraah-e-raast Dar ul Hadees Khairiya ke tehat hain. Is sh’oba ki ibtida 1304 h mein hui thi.

 

*2* Middle school:

Is ki taleemi muddat teen saal hai.

 

*3* Saanwi t’aleem:

Is ki muddat-e-taleem chaar saal hai.

 

*4* Shoba aala taleem:

Is ki muddat bhi chaar saal hai.

 

Dar al Hadees Khairiya mein taalib ‘Ilm ko deegar sahulaton ke saath saath mahaana wazifa bhi diya jaata hai. Dar al Hadees ka nisaab mumlikat-e-S’audia ke t’aleemi mansoobah ke mutaabiq hai. 1⃣

Is Dar al-Hadees ke qiyaam ka maqsad ‘aqaaid ki tasheeh, amar bi al m’arof aur naahi an al munkr hai taakeh khaalis Islaami maahol peda ho aur naye fitnon ka muqaabla kiya ja sakay. Is Madrasa mein chaalees Islaami-o-ghair Islami mumaalik ke tulba t’aleem haasil karte hain. Is waqt un ki tadaad 1100 se zaaid hai.

 

  1. Ibhaaj Al-Haaj. Zahraani Hassan 214.
  1. Al-Salfiyon fi Al-Hind wa Al-Malik ‘Abdul ‘Aziz Saad Al-Shawe’ar.
REFERENCE: 
Muratib Karda : Shoba Tahqeeq-o-Taleef Darussalam.
Nazar-e-Saani: Moulana Safir ur Rahman Mubarak puri.

 

                      Some Charitable Institutions and Universities in Makkah Al-Mukarramah

 

▶️Muslim World League

(Rabitatul-‘Alamil-Islami)

The Muslim World League is a popular-based Islamic institution that has no connections to any government, rather it is independent and seeks to bring together all forces for good working in the Islamic world, resisting alien thoughts that are working against the beliefs and countries of the Muslims. If does not interfere in the internal matters of individual states.

It was founded in 1381 AH/1962 CE, following the first Islamic Conference in Makkah Al-Mukarramah. Its aims include the following:

  1. Working to establish the rule of Islamic Shari’ah in muslim country
  2. Making the most of Hajj in order to spread Islamic awareness.
  3. Encouraging Muslim Da’iyahs in all parts of the Muslim world to work in spreading Islam.
  4. Spreading Islamic teachings by establishing Islamic schools and institutes throughout the world.
  5. Working to spread the language ofthe Qur’an And there are other goals.

 

▶️The main bodies and councils in the Muslim World League

  1. Al-Mu’tamarul-islami Al-‘Aam, which is the highest legislative body.
  2. Al-Majlisut-Ta’sisi, which drafts the policies of the MWL and issues resolutions and recommendations as required.
  3. Al-Amanatul-‘Aammah, which is the executive body that directly supervises the work and activities undertaken by the MWL.
  4. Al-Majlisul-A ‘la Al-‘Alami lil-MasaJid (for mosques).
  5. The Institute for Training Imams and Khatibs.
  6. The Islamic Jurisprudence (Fiqh) Council.
  7. The Islamic Aid Agenc[164]

 

▶️Charitable Organization for Memorization of the Holy Qur’an

(AI-Jama’atul-Khairiyah litahfizuI-Qur’anil-Karim)

This charitable organization was founded in 1382 AH by a group of righteous people. The main force in its founding -after Allah -was Shaikh Muhammad Yusuf Sayti Al-Pakistani (may Allah have mercy on him).

The first group memorized the entire Qur’an graduated in 1386 AH, it was agroup of 18 Hafiz. The first Halaqah (study circle) was held in the mosque of Muhammad bin

Ladin in Al-Hafa’ir, and the number of its members was very small, but now the number of students is more than twenty thousand, and the number of Halaqahs reaches into the hundreds. This organization holds more than forty in the Haram of Makkah.

The Darul-Arqam bin Abul-Arqam Institute belongs to this organization, to which students are admitted after having memorized the entire Qur’an; in this institute they study for two years to master the recitation and Tajwid of the Qur’an.

In this institute there is a Halaqah which is devoted to teach the Qira’at (variant reciting styles of the Qur’an), the students join it after completing their studies in the institute,and spend three years studying the variant readings and sciences of the Qur’an.

There are also five Halaqahs just for students from Muslim minorities throughout the world, and there are fourteen Halaqahs devoted to preparing people to teach the Qur’an in institutes.

This organization operates under the auspices of Imam Muhammad bin Sa’ud Islamic University, and when the Ministry of Awqaf was established, this organization was incorporated into it.[165]

 

▶️Ummul-Qura University (Jami’atu Ummil-Qura)

Ummul-Qura University is one of the universities in the Kingdom, located in Makkah Al-Mukarramah. It is an old university which started as a college of Shari ‘ah in 1369 AH.

In 1391 AH. the college of Shari’ah was added to other colleges that were attached to King ‘Abdul-‘Aziz University in Jeddah.

In 1400 AH, a royal decree was issued to announce the founding of Ummul-Qura University in Makkah Al-Mukarramah. There is a large campus belonging to the University.

The University comprises a number of colleges and an institute for teaching Arabic to non-native speakers. The colleges of the university include the following;

  1. The College of Shari’ah and Islamic Studies.
  2. The College of Da’wah and Usulud-Deen.
  3. The College of Education.
  4. The College of Arabic Language and Literature.
  5. The College of Applied Science.
  6. The College of Social Science.
  7. The College of Engineering Science.

The University also has a College of Education located in the city of At-Ta’if The University also offers Master’s degrees and doctorates. Many students have graduated from this university and spread throughout the world, spreading knowledge and sound belief (‘Aqidah), fighting innovation and misguidance. In sha Allah, this University will remain as a bright beacon of islam.[166]

 

[164: Al-Diblomasiyah wal-Marasim Al-Malakiyah —’Abdur-Rahman bin Muhammad Al-Hammudi (1/680).]

[165: See lbhaj Al-Hajj by Shaikh Az-Zahrani (p. 205).

[166: ‘Ala Tariqil-Mustaqbal -At-Ta’limul-‘Aali, Ministry of Information; Ibhajul-Hajj by Shaikh Nasir bin Musfir Az-Zahrani (p. 209)]

 

▶️Darul-HadithAl-Makkiyah

This is a school which is doing great and blessed work in serving the Holy Qur’an and the pure Sunnah of the Prophet(ﷺ) Many students from all parts of the Muslim world have benefited from it.

It was founded in 1352 AH as a private school, then it under the auspices of the Islamic University of Al-Madinah Al-Munawwarah in 1391 AH.

It is comprised of two stages:

The first is a middle school after which students are granted a certificate. This stage lasts for three years.”[167]

The second is the secondary level, lasting for three years.

 

▶️Madrasah Darul-Hadith AI-Khairiyah

This is a charitable school which was founded with the approval of King ‘Abdul-‘Aziz bin ‘Abdur-Rahman Aal Sa’ud (may Allah have mercy on him) in 1352 AH. Since that time it has continued to serve the Qur’an and Sunnah. It is supervised by a higher committee headed by the Grand Mufti of the Kingdom of Saudi Arabia.

This school comprises four stages, which are as follows:

  1. Madrasah Darul-Faizeen Al-Ibtida’iyah (elementary level), for teaching memorization of the Holy Qur’an.This stage of study lasts for six years and is supervised by the Ministry of Education with regard to its educational aspect only. Financial and administrative matters taken care of by Darul-Hadith  AI-Khairiyah, which founded in 1304 AH.

        2. Middle school; this stage lasts for three years.

  1. Secondary school; this stage lasts for four years.
  2. Department of higher (post-secondary) studies. This stage lasts for four years, and students at this level are given monthly financial assistance and some other kinds of help.

Study is based on the semester system, following the academic year in the Kingdom of Saudi Arabia. The intention is that this school should be a guiding light aimed at correcting belief and enjoining what is good and forbidding what is evil, so that it will help to restore the purity of Islam and rid it of innovated matters.

Children of more than forty different nationalities from within the Muslim world and other countries study at this school. The number of students exceeds 1100[168].

[167:Ibhajul-Hajj by Shaikh Nasir bin Musfir Az-Zahrani (p. 213)]

[168:As-Salafiyun fil-Hind wal-Malik ‘Abdul- ‘Aziz by Ash-Shuway’ir.]

 

Book: “History of Makkah”
Prepared by a Group of Scholars under the Supervision of Shaikh Saifur -Rahman Mubarakpuri.
Translated by: Nasiruddin al- khattab.

*مَکّہ مُکرّمہ کے بعض خیراتی ادارے اور جامعات*

رابطہ عالم اسلامی:

 رابطہ عالم اسلامی ایک خالص اسلامی تنظیم ہے جس کا کسی بھی حکومت سے کوئی تعلق نہیں ہے بلکہ یہ ایک خود مختار ادارہ ہے جس کا مقصد عالم اسلام میں کام کرنے والی قوتوں کو اکٹھا کر کے ان نظریات کا مقابلہ کرنا ہے جو اسلامی عقیدہ اور مسلمان ممالک کے خلاف مصروف عمل ہیں۔ یہ تنظیم کسی ملک کے داخلی معاملات میں دخل نہیں دیتی۔ اس کی بنیاد 1381ھ بمطابق 1962ء میں پہلی اسلامی کانفرنس کے بعد مکہ مکرمہ میں رکھی گئی۔ اس کے مقاصد مندرجہ ذیل ہیں:

1۔ اسلامی ممالک میں شریعت اسلامیہ کے نفاذ کی کوشش کرنا۔

2۔ حج کے اجتماع سے اسلامی تعلیمات کی یاد دہانی کا فائدہ اُٹھانا۔

3۔ تمام عالم اسلام میں اسلامی دعوت کی نشر و اشاعت کا کام کرنے والوں کی حوصلہ افزائی کرنا۔

4۔ تمام عالم اسلام میں اسلامی مراکز اور مدارس قائم کر کے اسلامی تعلیم کو فروغ دینا۔

5۔ قرآن کی زبان (عربی) کی نشر و اشاعت کے لیے کوشش کرنا۔

ان کے علاوہ بھی کئی مقاصد ہیں۔

رابطہ کی اہم کمیٹیاں اور بورڈ:

جنرل اسلامی کانفرنس ( مؤتمر عالم اسلامی): 

یہ سب سے بڑی انتظامی اتھارٹی ہے۔

مجلس قانون ساز:

 یہ رابطہ کے پروگرام طے کرتی ہے اور ضروری ہدایات نافذ کرتی ہے۔

نظامت عامہ:

 یہ مجلس قانون ساز کے پروگراموں اور ہدایات کو نافذ کرنے والا ادارہ ہے جو کہ رابطہ کے تمام پروگراموں اور سرگرمیوں کی نگرانی کرتا ہے۔

 بین الاقوامی سپریم کونسل برائے مساجد مرکز تربیت ائمہ و خطباء اسلامی تعاون کونسل فقہی مجلس مشاورت

(الدبلوماسية والمراسم الملكية – عبد الرحمن بن محمد الحمودی: 680/1)

فلاحی انجمن برائے حفظ قرآن کریم: 

یہ فلاحی انجمن 1382ھ میں چند مخیر حضرات کے ہاتھوں قیام پذیر ہوئی۔ اُن میں سے اہم شخصیت محمد یوسف پاکستانی رحمتہ اللہ علیہ تھے۔

1386ھ میں پہلی دفعہ 18 حفاظ کرام نے مکمل قرآن مجید حفظ کیا۔ سب سے پہلے گروپ نے حفائر مقام پر محمد بن لادن کی مسجد میں کام شروع کیا۔ اُس وقت اُن کی تعداد بہت کم تھی مگر اب اُن کی تعداد بیس ہزار سے زائد ہو چکی ہے ایسے گروپ سینکڑوں تک پہنچ چکے ہیں۔ صرف حرم مکی میں چالیس گروپ قائم ہو چکے ہیں۔

اس جماعت کے تحت ایک اور ادارہ بھی کام کر رہا ہے جس کا نام ”معہد دار اَرقم بن ابی الا رقم“ ہے۔ اس میں طالب علم مکمل قرآن مجید حفظ کرنے کے بعد داخلہ لیتا ہے اور دو سال تک حفظ کی دہرائی کرتا اور تجوید کا علم حاصل کرتا ہے۔ 

اس معہد میں ایک درجہ تخصص بھی ہے جس میں داخلہ معہد کی تعلیم مکمل کرنے کے بعد ملتا ہے۔ اس میں تین سال تک قراءت اور دوسرے قرآنی علوم کی تعلیم دی جاتی ہے۔ اس معہد میں پانچ مخصوص حلقے ہیں جو اُن مسلمانوں کے لیے مختص ہیں جو دنیا کے کسی بھی ملک میں بطور اقلیت بستے ہیں۔ اور چودہ حلقے ایسے ہیں جن میں قرآن مجید کے معلّمین تیار کیے جاتے ہیں۔

پہلے یہ انجمن ”جامعہ اسلامیہ امام محمد بن سعود“ کی زیر نگرانی کام کرتی تھی۔ جب سے وزارت اوقاف قائم ہوئی ہے، اس انجمن کو اس وزارت کے ماتحت کر دیا گیا۔

(ابهاج الحاج شیخ زهرانی، ص: 205۔)

 

جامعہ اُم القریٰ:

 

 جامعہ اُم القریٰ مملکت سعودیہ کی اہم یونیورسٹی ہے جو مکہ مکرمہ میں قائم ہے۔ یہ سب سے پرانی یونیورسٹی ہے۔ اس کی ابتدا 1369ھ میں شریعت کالج سے ہوئی۔ 1391ھ میں شریعت کالج اور اس یونیورسٹی کے دوسرے کالجوں کو جدہ کی ”شاہ عبدالعزیز“ یونیورسٹی سے ملحق کر دیا گیا۔ 1400ھ میں ایک شاہی فرمان کے ذریعے مکہ مکرمہ میں مستقل جامعہ ام القریٰ قائم کر دی گئی۔ اس جامعہ کی بنا پر وہاں ایک پورا شہر آباد ہو چکا ہے۔ اس یونیورسٹی کے تحت بہت سے کالج کام کر رہے ہیں اور غیر عربی لوگوں کو عربی زبان سکھانے کے لیے ایک مرکز بھی قائم کر دیا گیا ہے۔ یونیورسٹی میں مندرجہ ذیل کا لجز ہیں:

 

(1) شریعت اور علوم اسلامیہ کالج

(2) دعوت و اصول دین کالج

(3) تربیت کالج

(4) عربی زبان و ادب کالج

(5) معاشرتی علوم کالج

(6) تطبیقی علوم کالج

(7) انجینئرنگ کالج

طائف شہر میں بھی ایک تربیت کا لج اس جامعہ کے تحت کام کر رہا ہے۔ یہ یونیورسٹی ایم ۔ اے اور ڈاکٹریٹ کی ڈگریاں جاری کرتی ہے۔ بے شمار طلبہ اس یونیورسٹی سے فارغ التحصیل ہو کر دنیا کے کونے کونے میں علم پھیلا رہے ہیں اور صحیح عقیدہ کی تبلیغ کے ساتھ ساتھ بدعات اور گمراہی کے خلاف جنگ کر رہے ہیں۔ ان شاء اللہ یہ یونیورسٹی اسلام کا عظیم قلعہ اور بلند مینار ثابت ہوگی۔

 

(على طريق المستقبل التعليم العالى، وزارة الاعلام، ابهاج الحاج، زهرانی، ص: 209)



دار الحدیث مکہ مکرمہ: 

 

یہ ان مدارس میں شمار ہوتا ہے جنہوں نے قرآن کریم اور سنت نبویہ کی نشر و اشاعت میں قابل قدر خدمات سرانجام دی ہیں اور دنیا کے گوشے گوشے سے

آنے والے بے شمار طلبہ نے اس سے استفادہ کیا ہے۔ اس کا آغاز 1352ھ میں ایک پرائیویٹ مدرسہ کے طور پر ہوا پھر 1391ھ میں اسے جامعہ اسلامیہ مدینہ منورہ سے ملحق کر دیا گیا۔ اب یہ جامعہ کی نگرانی میں کام کر رہا ہے۔

اس میں دو تعلیمی مرحلے ہیں:

 

(1) مڈل اسکول:

 اس کا نصاب تین سالہ ہے۔ اس کی تکمیل کے بعد طالب علم کو سند جاری کی جاتی ہے۔

 

(2) شعبہ میٹرک: 

اس کا نصاب بھی تین سالہ ہے۔ 

(ابهاج الحاج، ص: 213)

 

مدرسہ دارالحدیث خیریہ اور اس کے تعلیمی مراحل:

 یہ ایک خیراتی مدرسہ ہے جو 1352ھ میں شاہ عبدالعزیز آل سعود رحمتہ اللہ علیہ کی رضا مندی سے جاری کیا گیا اور اس وقت سے مسلسل کتاب وسنت کی خدمت میں مشغول ہے۔ ایک سپریم کونسل اس کی نگرانی کرتی ہے جس کے سربراہ حکومت سعودیہ کے مفتی اعظم ہوتے ہیں۔ دارالحدیث میں چار تعلیمی مراحل ہیں:

 

(1) حفظ قرآن کریم کے لیے مدرسہ دار الفائزین: 

 

اس کی تعلیمی مدت چھ سال ہے۔ وزارت تعلیم صرف تعلیمی نقطۂ نظر سے اس شعبہ کی نگرانی کرتی ہے۔ مالی یا انتظامی معاملات براه راست دارالحدیث خیریہ کے تحت ہیں۔ اس شعبہ کی ابتدا 1304ھ میں ہوئی تھی۔

 

(2) مڈل اسکول:

 اس کی تعلیمی مدت تین سال ہے۔

 

(3) ثانوی تعلیم:

 اس کی مدت تعلیم چار سال ہے۔

 

(4) شعبہ اعلٰی تعلیم: 

اس کی مدت بھی چار سال ہے۔

دار الحدیث خیریہ میں طالب علم کو دیگر سہولتوں کے ساتھ ساتھ ماہانہ وظیفہ بھی دیا جاتا ہے۔ دارالحدیث کا نصاب مملکت سعودیہ کے تعلیمی منصوبہ کے مطابق ہے۔

 

(ابهاج الحاج، زهرانی حسن 214)

 

اس دار الحدیث کے قیام کا مقصد عقائد کی صحیح، امر بالمعروف اور نہی عن المنکر ہے تاکہ خالص اسلامی ماحول پیدا ہو اور نئے فتنوں کا مقابلہ کیا جا سکے۔ اس مدرسہ میں چالیس اسلامی و غیر اسلامی ممالک کے طلبہ تعلیم حاصل کرتے ہیں۔ اس وقت اُن کی تعداد 1100 سے زائد ہے۔

 

(السلفيون فی الهند والملك عبد العزيز . در سعد الشويعر)

 

 

 

حوالا :
“تاریخ مکہ مکرمہ”
شعبہ تصنیف و تا لیف دارُ اسلام
نظرثانی :  مولانا صفی الرحمن مبارکپوری”
Table of Contents