17. Taareekh-e-Makkah Mukarramah
✿ Taareekh-e-Makkah Mukarramah
✦ Yeh kitaab Makkah Mukarramah aur Baytullah shareef ke mukhtalif pehluwon se behas karti hai aur un khaas khaas taareekhi waaqi’aat ka zikar karti hai jin ka Baytullah shareef ki bunyaad-o-tameer us ke taqaddus aur deeni maqaam-o-martaba se baraah-e-raast talluq hai.
✦ Kitaab mein un maqaamaat par bhi roshni daali gai hai jin ka zikar Makkah Mukarramah ke zikar ke saath laazim-o-malzoom hai jaisay hijr-e-aswad, chaah zamzam, Mina aur ‘Arfaat waghera.
✦ Khaanah-e-Ka’aba aur Masjid-e-Haram ke zikar ke liye alag ‘unwaan qaaim kiya gaya hai jis mein taareekh ke mukhtalif adwaar mein Masjid-e-Haram mein honay waali tosee’ aur tazaeen-o-aaraaish ka azkara hai.
✦ Kitaab ke aakhri hissa mein Hujjaj Bayt ul Haram aur muatmarin ki raahnumaai ke liye manaasik-e-Hajj aur ‘Umrah ki adaaigi ka mukammal tareeq kaar aur mukhtasir ehkaam zikar kiye gaye hain.
✦ Makkah Mukarramah ki taareekh aur is ke ehwaal ke mauzu’ par yeh kitaab aik Islaami library ki haqeeqi zaroorat hai jo ‘aam qaareyin aur mohqiqeen ke liye yaksaan mufeed hai.
✦ Dauraan-e-taaleef is baat ka khayaal rakha gaya hai keh sirf mustanid waaqi’aat riwaayaat aur sahih Ahaadees hi kitaab mein shaamil ki jaaein.