Fiqh
بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
“اَلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ اَلْعَالَمِينَ، وَالصَّلاَةُ وَالسَّلاَمُ عَلٰي نَبِيْنَا مُحَمَّدٍ، خَاتَمِ النَّبِيِّينَ، وَعَلٰي آلِهِ وَأَصْحَا بِهِ وَمَنْ تَبِعَهُمْ بِإِحْسَا نٍ إِلٰي يَوْمِ الذِّيْنِ، وَبَعْدُ.
أَلَا لِلَّهِ ٱلدِّينُ ٱلْخَالِصُ ۚ
“Khabardaar Allah hi kay liye hai Khaalis Deen”
[Surah Zumar:39: 03]
“بَلْ نَقْذِفُ بِٱلْحَقِّ عَلَى ٱلْبَـٰطِلِ فَيَدْمَغُهُۥ فَإِذَا هُوَ زَاهِقٌۭ ۚ وَلَكُمُ ٱلْوَيْلُ مِمَّا تَصِفُونَ”
“Balkeh ham haq ko bateel par kheench marte hain tou wo uska sar torh deta hai aur bateel usi waqt nabood hojata hai aur jo batein
tum batatay ho unse tumhaari hi kharaabi hai.
[Surah Anbiya:21: 18]
Fiqh-e-Hanafi Bil muqabil Hadees-e-Nabawwi(ﷺ)
Taleef
:
Allamah Sayed Abu Mohammad Badee Uddin Shah Rashedi(رحمه الله)
Haq wazeh hojaane kay ba’ad bhi Rasool Allah(ﷺ) ki mukhalifat kitni barhi jurat-o-jasarat hai:
“وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلْهُدَىٰ وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيلِ ٱلْمُؤْمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىٰ وَنُصْلِهِۦ جَهَنَّمَ ۖ وَسَآءَتْ مَصِيرًا”
[Surah Nisa:04: 115]
“Aur jo shakhs Raah-e-hidayat kay wazeh hojaane kay bawajud bhi Rasool Allah(ﷺ) ki mukhalifat kare aur tamaam mominon ki Raah chorh kar chalay ham usay udhaar hi phair dengay jis tarha wo khud phira aur usay dozaq mein daldingay, Yaqeenan wo bohat hi buri jagah hai.”
Nez Allah Ta’aala ka farmaan hai:
“فَلْيَحْذَرِ ٱلَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنْ أَمْرِهِۦٓ أَن تُصِيبَهُمْ فِتْنَةٌ أَوْ يُصِيبَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ “
[Surah Noor:24: 63]
“Aur jo log hukm Rasool Allah(ﷺ) ki mukhalifat karte hain unhen darte rehna chaheye keh kahin unpar koi zabardast aafat na aaparhe ya unhe dardnaak azaab na pohanchay.
Zer-e-Nazar risalah aslan sindhi zuban mein likha gaya tha. Hamare mohtram bhai Sanaullah khokhar(حفظه اللّٰه) ki koshishon se uska aik hesse ka urdu tarjumah mukammal hua.
Tarjumah Mohtram ul Shaikh Zulfiqaar Ali Taher(حفظه اللّٰه) mudarris “Al-màhad al-salafi li-taleem wa tarbiyyah” mukhlisaana koshish hai.
Jamiyat-e-Ahl hadees Sindh is kitaab kay zariye yeh dawat-e-aam dena chahate hai Kyun keh Fiqhi masail mein ja-baja kitaab-o-Sunnat se tasadum(takraou) aur ta’aruz ki surtein maujood hain lehaza Khalis Kitab-o-Sunnat ko apnay Aqeedah-o-Amal ki asaas qarar diya jaey jis majmoo’ kay baare mein yeh baat payah Saboot ko pohanch chuki hai keh isme bohat se masail Quran-o-Hadees se takrarae hain iski taseeh, Taaeed, Difa’ aur intesaar mein poori umr sarf kardena kaunsa insaaf hai!!!
Nabi Kareem(ﷺ) apnay har khutba mein yeh alfaaz dohraya karte the.
امابعد فان الحديث كتاب الاه وخيرالهدي هدي محمد(ﷺ) وشر الامور محدثاتها…]
[Sahih Muslim]
Yeh Mubarak alfaaz momin ki maata’(Poonji/ like valuable assets) hain, In alfaaz ki haqeeqat-o-mànawiyyat par tanhaeyon aur khilwaton mein ghaur-o-fikar kiya jaey aur Allah Ta’aala kay is farmaan:
(لا لِلّٰهِ الذِّيْنُ الْخَالِصُ)
[Surah Zumar:39: 03]
Ki muqtazayat(Requirments) samjhi jaen aur apne Aqeedah-o-Amal ki sahih Samt(Sahih Janib) ka tàayyun(Choose) kiya jaey, Aur Allah Ta’aala ka farmaan hai:
“وَمَنْ أَرَادَ ٱلْـَٔاخِرَةَ وَسَعَىٰ لَهَا سَعْيَهَا وَهُوَ مُؤْمِنٌۭ فَأُو۟لَـٰٓئِكَ كَانَ سَعْيُهُم مَّشْكُورًۭا”
[Surah Bani Israeel:17: 19]
“Aur Jiska iradah Akhirat ka ho, aur jaisi koshish uske liye honi chaheye wo karta bhi ho aur wo imaandaar bhi ho, bus yehi wo log hain jinki koshish ki Allah kay yahan poori qadar ki jaegi.
Allah Ta’aala kitaab kay mo’allif-o-mutarjim, Nashir aur Jumla muàawineen-o-musahimeen ko ajar-e-jazeel ata farmaaye aur Allah Ta’aala issay bohat se logon ki hidayat ka zariya banaden.
“وهو ولي التوفي وبنعمتهِ تتم الصالحات وصلي الله علي نبيه محمد وآله وصحبه اجمعين”
وكتب ذلك
Fazilatush Shaikh Allamah Abdullah Nasir Rehmaani(حفظه اللّٰه)
(Ameer Jamiyat Ahl-e-Hadees sindh)
﷽
الحمدلله الذي جعل الحق في طريق واحد وسماء صراطا مستقيما وسهله لمن اراده وكان بالمؤمنين رحيما وجعل الباطل في طريق شتى قيما فلا يبلغ السالك سبيلا مقيما بل يبقى متحيرا في الغيهم لئيما لا يعرف خطأ ولا صوابا ولا يعلم صحيحا ولا سقيما فقال
{وَ اَنَّ هٰذَا صِرَاطِیْ مُسْتَقِیْمًا فَاتَّبِعُوْهُۚ-وَ لَا تَتَّبِعُوا السُّبُلَ فَتَفَرَّقَ بِكُمْ عَنْ سَبِیْلِهٖؕ-ذٰلِكُمْ وَصّٰىكُمْ بِهٖ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُوْنَ} [1]
واشهد أن لا اله إلا الله وحده لا شريك له سميعا عليما لا أجد من دونه وليا ولا نصيرا ولا نديما واشهد أن محمدا العربي عبده و رسوله لا أرى هاديا سواه لا مرشدا ولا اماما ارسله بالهدى ودين الحق وجعله دليلا عظيما وانزل عليه كتابا منيبا وقرآنا كريما فبين لمريده بيانا شافيا عميما واوضح لطالب الحق السبيل واوقد على رأسه شمعا شميما واخبر ان هذا سبيل الله جعله نقيا صميما وهذه سبل دونها وان على كل منها شيطانا مريدا رجيما كما قال سبحانه و تعالى
{اِنَّ الشَّیْطٰنَ لَكُمْ عَدُوٌّ فَاتَّخِذُوْهُ عَدُوًّاؕ-اِنَّمَا یَدْعُوْا حِزْبَهٗ لِیَكُوْنُوْا مِنْ اَصْحٰبِ السَّعِیْرِؕ} [2]
فمن اطاعه فقد رشد واهتدى و قال الله تعالى ندخله مدخلا كريما ومن عماه فقد ضل و غوى وأعد له عذاباً اليما اللهم صل عليه وعلى آله واهله وصحبه ومن تبعهم وسلم تسليما.
Wajah-e-taaleef:
Amma ba’ad! Kuch ayyam qabl zila’ Nawabshah kay sheher Moro kay qareeb kisi basti mein ek deeni program mein shirkat ka moqa mayassar aya wahan hamare pas ek tehreer tasheeh kay lie laai gai jis mein fiqhi riwayat kay mutabiq churiya kay kunwen mein girne kay ba-sabab kunwen ki taharat kay lie us se 20 daul nikalne ka tazkirah tha ham ne Sahih maslak kay mutabiq is par mukhtasaran chand alfaz tehreer kie keh hadithe Mubarak se tou yeh bat sabit hai keh
الماء طهور إلا ما غلب عليه
Ya’ani Pani ka asal hukum taharat hai yahan tak keh us ki ausafe salasah (rang,boo,zaiqah) mein se koi wasf tabdeel ho jae aur ham Qur’an o Hadith kay elawa kisi cheez ko sanad aur qabile istadlaal wa iltifat nahin samajhte.
Yeh tehreer ek maulvi sahab kay hath lagi tou us ne Hadithe Mubarak kay samne sar-e-tasleem kham na kia halan keh har momin kay lie esa karna zaruri hai ba-mujib Qaulillahi ta’ala :
{وَ مَا كَانَ لِمُؤْمِنٍ وَّ لَا مُؤْمِنَةٍ اِذَا قَضَى اللّٰهُ وَ رَسُوْلُهٗۤ اَمْرًا اَنْ یَّكُوْنَ لَهُمُ الْخِیَرَةُ مِنْ اَمْرِهِمْؕ-وَ مَنْ یَّعْصِ اللّٰهَ وَ رَسُوْلَهٗ فَقَدْ ضَلَّ ضَلٰلًا مُّبِیْنًاؕ} [3]
————————–
[1] Al-Anaam: 153
[2] Al-Faatir : 6
[3] Al-Ahzaab : 36
********************
Ya’ani kisi Momin mard aur Momina aurat ko laaiq nahin keh jab (kisi ma’amle mein) Allah ta’ala aur us kay Rasul (ﷺ) faisla kar len tou woh apne kisi Amar ka koi ikhtiyar rakhen.
Balkeh use josh agaya aur yeh bardasht na kar Saka keh fiqh ko ghair mustanid samajhte hue is kay muqable mein Qur’an o Hadith ko paish kia jae lihaza kuch ai’terazat likh kar bhej die Jin mein na koi mu’tabar daleel hai aur na hi qawio durust jawab. Balkeh mukammal mazmun etaab balkeh uqaab se mash’hoon (pur) hai. Haqeeqate haal se agahi kay lie yeh kitab supurde qalam ki ja rahi hai jis se mosuf ki ilmi hesiat bhi munkashif ho jaegi aur is kitaab ko ahata-e-tehreer mein laane se hamara yeh maqsad bhi hai keh khata wa sawab kay mabain hijab murtafe’ ho jab keh ulil-albaab aur ehle tehqeeq wa tadqeeq se insaf aur faslul khitab ki umeed rakhi jati hai :
{ كَفٰى بِاللّٰهِ شَهِیْدًۢا بَیْنِیْ وَ بَیْنَكُمْۙ-وَ مَنْ عِنْدَهٗ عِلْمُ الْكِتٰبِ۠} [1]
Is kitaab ka Nam
التنقيد المضبوط في تسويد تحرير الملبوط
Rakha gaya hai
وهذا أن الشروع من المقصود ومتوكلا على الله المحمول.
Aurat mard kay musawi ya ma-tehet?
Qaulihi:
Qur’ane Kareem mein ayat;
{كُتِبَ عَلَيكُمُ الصِّيَامُ} [2]
kay ba’ad وَعَلَيكُنَّ الصِّيَامُ nahin lekin is kay bawajud ayat-e-karimah
{اَلرِّجَالُ قَوّٰمُوْنَ عَلَى النِّسَآءِ}[3]
kay hukum kay mutabiq aurat tabe’ ko mard matboo’ kay hukum mein dakhil kar kay un par roze farz kie gae.
Aqwalo bitawfiqihi ajwal: Yeh maulvi sahab ki ilmiat hai
{اَلرِّجَالُ قَوّٰمُوْنَ عَلَى النِّسَآءِ}[3]
se aurton ko mardon kay hukum mein dakhil karna ghalat hai balkeh is ayat mein tou unhen mardon kay ma-tehet rehne ka hukum hai agar is ayat se yeh istidlal karoge tou phir mard nafarman ho kar roze na rakhe tou uski biwi ko bhi nahin rakhne chahie halan keh hadithe Mubarak hai keh
” لا طاعة لمخلوق فى معصية الخالق ” [4]
Ya’ani Allah ta’ala ki nafarmani kay kaamon mein makhlooq ki ita’at nahin. Albattah hadith
“إن النساء شقائق الرجال” [5]
Ya’ani aurten mardon ki misil hain. Is matlab par dalalat kay lie kaafi hai. Is kay elawa ese takalluf ki kia zarurat?
{وَمَا أنَا مِنَ المُتَكَلِّفِينَ} [6]
Ya’ani Nabi Kareem (ﷺ) ko irshaade Rabbani hua keh ap keh den keh main takalluf karne walon mein se nahin hun. Qur’ane Kareem pure ka pura musalman mard khuwah aurat kay lie hai illa yeh keh woh hukum jis mein tafreeq bainar rijaal wan nisaa kay lie nass warid hui ho.
————————-
[1] Ar-Ra’ad: 43
[2] Al-Baqarah: 183
[3] An-Nisa: 34
[4] رواه البخارى
[5] أخرجه الترمذى
[6] Saad: 36
********************
Afsos! Saail sahab Qur’an Kareem par ghaur karte tou bhi unhen aurton Kay lie khaas hukum mil jata jis tarah irshaad hai:
وَالصَّآئِمِينَ وَالصَّآئِمات [1]
Ya’ani roze rakhne wale mard aur roze rakhne wali khawateen,
كالشمس فى نصف النهار
Mazkoor hai, neez is misaal ka mabhoos feeh masle se kia ta’alluq hai?
وسيأتى تحقيقه
Navi aur ummati mein farq:
Qaulihi:
Isi tarah ayat-e-karimah
يَٰٓأَيُّهَا ٱلرُّسُلُ كُلُواْ مِنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَٱعْمَلُواْ صَٰلِحًا ۖ إِنِّى بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ [2]
Ya’ani “ae paighambar, Halal khao aur aa’male saliha karo beshak main usko jo tum amal karte ho janne wala hun”
mein agarcheh khitab Rasulon ko hai magar ummaten tabe’daar hone kay sabab is hukum mein dakhil hain, basurate deegar shari’at ka naamo nishan baqi na rahega.
Aqwalo bitaaidihi usul:
Waqi’atan har hukum mein Anbia’ kay Sath un ki ummaten bhi shamil hain lekin woh kaam Jin kay lie anbia’ kay Sath khaas hone par koi daleel warid hui ho tou woh un kay Sath khas Mana jaega. Jis tarah wisalus sawm waghera.
Neez اكل الطيبات kay muta’alliq tou Momineen kay lie bui khitab warid hua hai irshaad hai:
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا كُلُوْا مِنْ طَیِّبٰتِ مَا رَزَقْنٰكُم [3]
Ae Iman walo! Halal khao jo ham ne tumhen ataa kia hai.
Balkeh aam insanon kay lie bhi hukum mojud hai:
یٰۤاَیُّهَا النَّاسُ كُلُوْا مِمَّا فِی الْاَرْضِ حَلٰلًا طَیِّبًا [4]
Ae logo! Zameen ki cheezon mein se halal pakeezah khao.
Saail sahab ne dar’asal ujlat se Kam lia hai neez is misaal ka bhi asal masle kay Sath koi ta’alluq nahin,
كما ستعرفه
Kahin ki eent kahin ka roda:
Qaulihi:
Ayat: اِنَّمَا حَرَّمَ عَلَیْكُمُ الْمَیْتَةَ [5]
mein lafz ميتة mein har choti bari murdaar cheez dakhil hai. Phir is Qur’ani hukum ko.
إلا ما غلب عليه
Ki Hadith se kis tarah radd kia ja sakta hai?
Aqool wa bi’ainihi ajool:
Yaqeenan ميتة mein tamam murdaar dakhil hain lekin is ka is masle se kia ta’alluq!!!
Hadith إلا ما غلب عليه kay Sath kis taur par is Qur’ani hukum ka radd hota hai?
————————–
[1] Al Ahzaab: 135
[2] Al Mominoon: 51
[3] Al Baqarah: 172
[4] Al Baqarah: 168
[5] Al Baqarah: 173
********************
Zara samajh kar sawal kia karen.
لا يدري ما يخرج من رأسه
Saail ko ma’lum nahin kia keh raha hai. Allah kay bande! Hadith Mubarak tou is bat ki tauzeeh karti hai keh Pani us waqt tak Paak hai jab tak us mein giri hui najas cheez us par ghalib na ajae aur us mein apna asar na chor de jis ki Bina par uska rang, boo, zaiqah tabdeel ho jae. Is Hadith mein yeh kahan hai keh choti ya bari cheez halal hai ya Paak keh us kay Sath Qur’an Paak ka radd lazim ata ho.
Neez makhi ta’aam mein mar jati hai lekin tumhare fuqaha use Haram nahin kehte. Wahan
اِنَّمَا حَرَّمَ عَلَیْكُمُ الْمَیْتَةَ [1]
ka khayal kyun nahin karte? Isi tarah tumhari fiqh ka masla hai keh shehed ya ghee mein agar chooha gir kar mar jae tou woh Pani kay Sath ubalne se paak ho jaega wahan Qur’an kay is hukum ko kyun radd karte ho?
ايں گناھے است کہ در شہر شمانینز کنند
Hadith Mubarak tou ausafe salasah kay tabdeel na hone ki surat mein Pani ko Paak kehti hai aur ayat-e-karimahميتة ko Haram kehti hai , donon ehkam apni apni jagah durust hain aur wajibul ita’ah hain aur in mein se koi bhi ek dusre kay khilaf nahin. Lihaza mazkoorah baala amsilah se is masle kay muta’alliq istidlal karna khalte mubhas hai. Kahan misaal aur Kahan mumsil lahu? Kisi ne sach kaha keh kahin ki eent kahin ka roda abhaan mati ne kunba jora. ميتة woh hai jo mar jae jo yahan par mabhoos hi nahin yahan behes Pani kay muta’alliq hai jise ميتة nahin ماء kaha jata hai, likhte waqt yeh khayal rakhen keh behes kia chal rahi hai aur mujhe kia likhna chahie.
Zamzam kay kunwen mein zanji gir gaya, riwayat za’eef hai:
Qaulihi:
Zamzam kay kunwen mein zanji gir kar mar gaya jis ka ilm sayyedena Ibne Abbas رضي الله عنه ko hua tou ap ne kunwen ka Sara Pani nikalwa kar Saaf kr dia. Is riwayat se
إلا ما غلب عليه
ki tardeed hoti hai.
Aqoolu musta’eena billalhil Wadood:
Yeh riwayat qat’an Sahih nahin hai kyun keh yeh riwayat Sunan Daar Qutni mein Ibne Abbas رضي الله عنه se Muhammad bin Sereen kay tareeq se marwi hai jis ka samaa’ Ibne Abbas رضي الله عنه se sabit nahin, jesa keh a’immah e Hadith maslan Ahmad bin hambal, Ali bin Madeeni, Yahya bin Mu’een aur Baihiqi رحمهم الله se ap kay hanafi mazhab kay maya naz aalim hafiz Jamalud Deen Zail’ee ne nasbur Raayah mein naqal kia hai neez Imam Abu Hatim رحمه الله ne bhi yahi kaha hai
كما فى الجرح والتعديل لابن ابي حاتم
Aur zahir hai keh esi riwayat par jis mein rawi ka marwi anhu se samaa’ saabit na ho munqate’
————————–
[1] Al Baqarah: 173
********************
ka Nam Sadiq aega jo keh za’eef wa mardood riwayat ki ek qisam hai , aur is asar ko Imam Baihiqi رحمه الله ne bhi naqal kia hai lekin iski sanad mein bhi kai illateb hain:
1) Ibne Lahee’aa mash’hoor za’eef hai :
انظر ميزان الاعتدال وتهذيب التهذيب وقال البيهقى رحمه الله اجمع اصحاب الحديث على ضعف ابن لهيعه وترك الاحتجاج بما ينفرد به
Ya’ani ashabul Hadith ka Ibne Lahee’aa ki munfarid riwayaat kay za’eef hone par ijmaa’ hai
كذا فى التخليص الحبير للحافظ ابن حجر العسقلانى رحمه الله
2) Ibne Lahee’aa ka mudallas hona bhi sabit hai jesa keh Hafiz Ibne Hajar رحمه الله ne tabaqatul mudalliseen mein Ibne Habban رحمه الله se naqal kia hai keh
كان يدلس عن الضعفاء
Ya’ani Ibne Lahee’aa zu’afa se tadlees karta tha aur us ne is riwayat mein apne ustad Amr bin deenar se ‘An’anah kay Sath riwayat ki hai, yeh illat qadiha bhi is riwayat kay mardood hone kay lie kafi hai.
3) Is riwayat ki sanad mein 3 rawi majhool hain Jin kay muta’alliq ma’lum nahin keh un ki adalat thi ya keh woh za’eef the , Abu Nasar bin Qatadah aur uska ustaza Abu Umar bin Matar aur Abu Umar ka ustad Abu khalifa.
هذا ظلمات بعضها فوق بعض
kay misdaq yeh riwayat qabile qubul nahin
Neez yeh riwayat Musannif Ibne Abi Shaibah mein bhi hai lekin us ki sanad mein bhi 4 illaten hain:
Awwalan: Qatadah ka Abdullah bin Abbas رضي الله عنه se samaa’ saabit nahin jesa keh is ka iqrar khud tumhare hanafi aalim naimvi ne ta’leeq asaarus Sunan mein kia hai.
Sanian: Qatadah mudallis tha
كما فى التهذيب وغيره
Salisan: Qatadah se is riwayat ko naqal karne Wala Sa’eed bin Abi Urubah mutaghayyarul hifz hai
كما في التهذيب أيضا
Rabi’an : Sa’eed bin Abi Urubah bhi mudallis hai
كما صرح به النيموى الحنفٰى أيضاً
Aur usul kay mutabiq mudallis khuwah mutaghayyarul hifz ki riwayat na qabile qubul hai aur
كما تقرر فى مقره
Aur yeh riwayat Tahawi ne bhi naqal kar rakhi hai lekin is mein Jabir Ju’fi jese mash’hoor jhute rawi ka wasta mojud hai Zail’ee hanafi be nasbur Raayah mein Imam Abu Hanifa رحمه الله se naqal kia hai keh unhon ne farmaya:
ما لقيت فيمن لقيت أكذب من جابر الجعفى ما اتيته بشىء قط إلا جاءنى فيه بحديث
keh Jabir jesa jhuta admi main ne koi aur nahin dekha main ne jo bhi us se bat ki us kay muta’alliq koi na koi Hadith ghr kay mujhe bayan kar deta phir uski riwayat ko jis ka yeh haal khud tumhare fuqaha aur a’immah bataen aur us kay rawion ko jhuta ya za’eef qarar den use daleel banana aur hujjat tasleem karna khuli jahalat nahin to aur kia hai.