Search
Sections
< All Topics
Print

Sifaat ul Momineen [Qualities

MOMIN MARDON AUR MOMIN AURTON KI SIFAAT

Ahl-e-Islam kay liye zaruri hai keh wo Allah Rabbul izzat ki kitaab Qur’an-e-kareem mein ghaur-o-fikar karein aur samjhen aur Rasool Akram (ﷺ) ki Sunnat ko seekhen aur phir in dono par qayem rahen. Allah Rabbul izzat ki kitaab aur Rasool Akram (ﷺ) ki ahadees mein aawamir-o-nawahi (Do’s & Dont’s) ka bhi bayan maujood hai aur momin mardon aur momin aurton ki in sifaat-o-aadaat aur aamaal ka bayan bhi maujood hai jiski bina par Allah Ta’ala ne unki madah-o-tareef ki hai. 

          Kitaab Allah mein ghaur-o-fikar aur aqal-o-tadbeer karne aur Sunnat-e-Rasool(ﷺ) jo keh Aapki seerat aur ahadees par mushtamil hai isme ghaur-o-fikar karne se ham un sifaat ko maloom kar sakte hain. Jaise keh Surah Furqan ki aakhri ayaaton mein bhi Allah Rabbul izzat ne sifaat ul mominun ka tazkirah is andaaz mein farmaaya hai. 

“وَعِبَادُ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى ٱلْأَرْضِ هَوْنًۭا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ ٱلْجَـٰهِلُونَ قَالُوا۟ سَلَـٰمًۭا ٦٣”

“وَٱلَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمْ سُجَّدًۭا وَقِيَـٰمًۭا”

“وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱصْرِفْ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ ۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا ٦٥”

“إِنَّهَا سَآءَتْ مُسْتَقَرًّۭا وَمُقَامًۭا ٦٦”

“وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَنفَقُوا۟ لَمْ يُسْرِفُوا۟ وَلَمْ يَقْتُرُوا۟ وَكَانَ بَيْنَ ذَٰلِكَ قَوَامًۭا ٦٧”

“وَٱلَّذِينَ لَا يَدْعُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَـٰهًا ءَاخَرَ وَلَا يَقْتُلُونَ ٱلنَّفْسَ ٱلَّتِى حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلْحَقِّ وَلَا يَزْنُونَ ۚ وَمَن يَفْعَلْ ذَٰلِكَ يَلْقَ أَثَامًۭا ٦٨”

“يُضَـٰعَفْ لَهُ ٱلْعَذَابُ يَوْمَ ٱلْقِيَـٰمَةِ وَيَخْلُدْ فِيهِۦ مُهَانًا ٦٩”

“إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ عَمَلًۭا صَـٰلِحًۭا فَأُو۟لَـٰٓئِكَ يُبَدِّلُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِهِمْ حَسَنَـٰتٍۢ ۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورًۭا رَّحِيمًۭا ٧٠”

“وَمَن تَابَ وَعَمِلَ صَـٰلِحًۭا فَإِنَّهُۥ يَتُوبُ إِلَى ٱللَّهِ مَتَابًۭا ٧١”

“وَٱلَّذِينَ لَا يَشْهَدُونَ ٱلزُّورَ وَإِذَا مَرُّوا۟ بِٱللَّغْوِ مَرُّوا۟ كِرَامًۭا ٧٢”

“وَٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُوا۟ بِـَٔايَـٰتِ رَبِّهِمْ لَمْ يَخِرُّوا۟ عَلَيْهَا صُمًّۭا وَعُمْيَانًۭا ٧٣”

“وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ وَٱجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا ٧٤”

“أُو۟لَـٰٓئِكَ يُجْزَوْنَ ٱلْغُرْفَةَ بِمَا صَبَرُوا۟ وَيُلَقَّوْنَ فِيهَا تَحِيَّةًۭ وَسَلَـٰمًا ٧٥”

“خَـٰلِدِينَ فِيهَا ۚ حَسُنَتْ مُسْتَقَرًّۭا وَمُقَامًۭا ٧٦”

“قُلْ مَا يَعْبَؤُا۟ بِكُمْ رَبِّى لَوْلَا دُعَآؤُكُمْ ۖ فَقَدْ كَذَّبْتُمْ فَسَوْفَ يَكُونُ لِزَامًۢا ٧٧

[Surah Furqan:25: 63-77]

   Mazkurah aayaat ka tarjumah bit-tarteeb sifaat kay tazkirah kay saath kiya jaraha hai. 

▪️▪️▪️▪️▪️

  1. PEHLI SIFAT: PURWAQAAR AAJIZAANA CHAAL:

    Jaise Allah Ta’ala ka farmaan hai: 

“وَعِبَادُ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى ٱلْأَرْضِ هَوْنًۭا”

“Rahman kay sachhe bande wo hain jo zameen par araam wa sukoon se chalte hain.”

[Surah Furqan:25: 63]

  1. DUSRI SIFAT: JAHILON SE BAHES-O-TAKRAAR SE GUREZ KARNA:

“وَإِذَا خَاطَبَهُمُ ٱلْجَـٰهِلُونَ قَالُوا۟ سَلَـٰمًۭا”

“Aur jab bay-ilm log unse guftagu karne lagte hain tou wo keh dete hain Salam hai (yaani bay-faida bahes aur uljhao se bachte hain).”

[Surah Furqan:25: 63]

  1. 3. TEESRI SIFAT: QIYAM UL LAYL KA EHTEMAAM:

  Allah waalon ki teesri sifat yeh hai keh wo raaton ko zinda wa jawed rakhte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’aala:

“وَٱلَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمْ سُجَّدًۭا وَقِيَـٰمًۭا ٦٤”

“Jo apnay Rab kay huzoor sajde aur qiyaam mein raatein guzar dete hain.”

[Surah Furqan:25: 64]

  1. CHAUTHI SIFAT: AZAAB-E-JAHANNUM SE PANAAH MAANGNA:

    Mominon ki chauthi sifat yeh hai keh wo hamesha jahannum kay azaab se panah maangte rehte hain. 

   Jaise irshad -e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱصْرِفْ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ ۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا ٦٥”

“إِنَّهَا سَآءَتْ مُسْتَقَرًّۭا وَمُقَامًۭا ٦٦”

“Aur jo yeh Dua kartay hain ke, aye hamaray Parwardigaar, hum say dozakh ka azaab paray hi paray rakh, kyun kay uss ka azaab chimat jaanay wala hai.” (65)

Beshak woh thaharne aur rehne  kay lehaaz say bad tareen jagah hai.” (66)

[Surah Furqan:25: 65-66]

  1. PANCHWI SIFAT: KHARCH KARNE MEIN MAYANA RAWI:

      Mominon ki panchwi sifat yeh hai keh wo kharch karte waqt mayana rawi se kaam letay hain. 

“وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَنفَقُوا۟ لَمْ يُسْرِفُوا۟ وَلَمْ يَقْتُرُوا۟ وَكَانَ بَيْنَ ذَٰلِكَ قَوَامًۭا ٦٧”

“Aur jo kharch kartay waqt bhi na toh israaf kartay hain, na bakheeli, balkay un dono kay darmiyaan m’otadal tareeqay par kharch kartay hain.”

[Surah Furqan:25: 67]

   Note: Allah Ta’ala ki raah mein bohat zyada kharch karna israaf nahi jab keh gunaah kay liye thoda kharch karna bhi fizool kharchi hai. 

(Mutarjim)

Jaise keh Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱلسَّـٰبِقُونَ ٱلْأَوَّلُونَ مِنَ ٱلْمُهَـٰجِرِينَ وَٱلْأَنصَارِ وَٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُم بِإِحْسَـٰنٍۢ رَّضِىَ ٱللَّهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا۟ عَنْهُ وَأَعَدَّ لَهُمْ جَنَّـٰتٍۢ تَجْرِى تَحْتَهَا ٱلْأَنْهَـٰرُ خَـٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدًۭا ۚ ذَٰلِكَ ٱلْفَوْزُ ٱلْعَظِيمُ ١٠٠”

“Aur jo muhajireen aur ansaar sabiq aur muqaddam hain, aur jitnay log ikhlaas kay saath un kay pairokaar hain, Allah un sab say razi hua, aur woh sab uss say razi huye. aur Allah nay unn kay liye aisay baagh muhayyaa kar rakhay hain jin kay neechay nahrein jaari hongi, jin mein hamesha rahengay, yeh badi kaamyabi hai.”

[Surah Tawbah:09: 100]

        Yehi rasta Allah Ta’ala kay deen ka rasta hai jiske saath Allah Ta’ala ne apnay Nabi Mohammad (ﷺ) ko ilm naaf’e aur amal saleh se muzayyan (aarasta) karke bheja aur yehi wo hidayat aur Deen-e-haq hai jissay Allah Rabbul izzat ne apni kitaab Qur’an-e-paak mein aur Rasool Akram (ﷺ) ne apni ahadees mein wazeh kiya hai. Jo keh un umoor ko baja laane aur nawahi ko tark kardene ka naam hai.

(Quran aur Ahadees kay ahkamaat par amal karna aur jin kaamon ke karne se manaa kiya gaya hai unse ruk jaana) 

Jinki wazaahat Allah Rabbul izzat ne Apni kitaab aur apne ameen Rasool (ﷺ) ki zuban mubarak kay zariye farmaadi hai. 

▪️▪️▪️▪️

  1. 6. CHHATHI SIFAT: SHIRK SE MUKAMMAL IJTENAAB KARNA:

  Mominon ki chhathi sifat yeh hai keh wo shirk se mukammal ijtenaab karte hain. 

    Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱلَّذِينَ لَا يَدْعُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَـٰهًا ءَاخَرَ”

“Aur Allah kay saath kisi doosre m’abood ko nahi pukaartay”

[Surah Furqan:25: 68]

  1. 7. SAATVI SIFAT: QATAL NAAHAQ KA IRTEKAAB NA KARNA:

  Mominon ki saatvi sifat yeh hai keh wo kisi jaan ko naahaq qatal nahi karte. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَلَا يَقْتُلُونَ ٱلنَّفْسَ ٱلَّتِى حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلْحَقِّ”

“Wolog jo kisi shakhs ko naahaq qatal nahi karte.”

[Surah Furqan:25: 68]

  1. AATHVI SIFAT: ZINA KAARI SE BACHNA:

     Allah waalon ki aathvi sifat yeh hai keh wo zinakaari nahi karte, balkeh uske qareeb bhi nahi jaate. Irshad-e-baari ta’ala hai:

“وَلَا يَزْنُونَ ۚ وَمَن” 

[25: 68] “Aur wo zina kay murtakib nahi hote.”

———————————-

Qatal-e-Haq ki darja zail surten hain: 1. Jo murtad ho jaye, 2. Shadi shuda zina kare, 3. Jo kisi ko naahaq qatal kare tou ussi tarha maidan-e-Jang mein kafir ko bhi mara jayega waghairah. 

[Ashraful hawaashi Ayat Hazaa ki tafseer]

MUSHRIK, QAATIL AUR ZAANI KI SAZA

     Jo log shirk, qatal-e-naahaq aur zina kay murtakib hote hain unke liye sakht azaab aur saza hai. Allah Ta’ala ka farmaan:

“وَمَن يَفْعَلْ ذَٰلِكَ يَلْقَ أَثَامًۭا-يُضَـٰعَفْ لَهُ ٱلْعَذَابُ يَوْمَ ٱلْقِيَـٰمَةِ وَيَخْلُدْ فِيهِۦ مُهَانًا ٦٩”

“Aur jo bhi yeh kaam (Shirk, Qatal, Zinaa) kare woh apnay upar sakht wabaal layega.“ 

“Usay Qayamat kay din dohra ‘azaab kiya jayega aur woh zillat wa khwaari kay saath hamesha usi mein rahega.”

[Surah Furqan:25: 68-69]

TAUBA KA DARWAZA HAR WAQT KHULA HAI

    

       Jo shakhs mazkurah buraiyyon ka murtakib ho jaye (Balkeh kisi bhi jurm ka murtakib ho) uske liye tawba ka darwaza khula hai. irshaad-e-Baari Ta’aala:

“إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ عَمَلًۭا صَـٰلِحًۭا فَأُو۟لَـٰٓئِكَ يُبَدِّلُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِهِمْ حَسَنَـٰتٍۢ ۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورًۭا رَّحِيمًۭا ٧٠”

“وَمَن تَابَ وَعَمِلَ صَـٰلِحًۭا فَإِنَّهُۥ يَتُوبُ إِلَى ٱللَّهِ مَتَابًۭا ٧١”

“Siwaaye unn logon kay jo tawba karen aur Imaan laaye aur nek kaam karay, aisay logon kay gunaahon ko Allah Ta’ala nekiyon say badal deta hai, Allah bakhshnay waala meherbaani karnay waala hai.”

   “Aur jo shakhs tawba karay aur naik ‘amal karay, woh toh (haqeeqatan) Allah Ta’ala ki taraf saccha rujoo karta hai.”

[Surah Furqan:25: 70-71]

    Yeh tamaam sifaat momin mardon aur aurton kay mutalaqa hain. 

  1. NAWI SIFAT: JHOOTI GAWAAHI SE KINAARA KASHI KARNA:

    Mominon ki nawwi sifat yeh hai keh wo jhooti gawaahi se kinaara kashi karte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱلَّذِينَ لَا يَشْهَدُونَ ٱلزُّورَ”

“Wo log jo jhooti gawaahi nahi dete.”

[Surah Furqan:25: 72]

(Zor) Batil aur munkar cheezon ko kehte hain jaise kufr aur gunaah kay tamaam umoor hain. Imaan walay na sirf  khud un umoor se ijtenaab karte hain balkeh unki mukhaalifat karte hain aur unke khilaaf barsar-e-paikaar bhi rehte hain. 

  1. DASWI SIFAT: LAGHWIYAAT SE PARHEZ:

   Daswi sifat Ahl-e-Imaan ki yeh bayan ki gayi hai keh wo laghwiyaat (Jis mein shara’aan koi faida na ho) ussay parhez karte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَإِذَا مَرُّوا۟ بِٱللَّغْوِ مَرُّوا۟ كِرَامًۭا” 

“Aur jab kabhi kisi laghwi (behuda) baat par unka guzar hota hai to wo sharafat se guzar jaate hain.”

[Surah Furqan:25: 72]

    Balkeh ussay ‘Airaaz karte hain jaise keh Allah Ta’ala farmaata hai:

“وَإِذَا سَمِعُوا۟ ٱللَّغْوَ أَعْرَضُوا۟ عَنْهُ وَقَالُوا۟ لَنَآ أَعْمَـٰلُنَا وَلَكُمْ”

“Aur jab behuda baat kaan mein padti hai, toh uss say kinaara kar letay hain, aur keh detay hain ke, humaare amal humaare liye, aur tumhaare amaal tumhaare liye, tum par salaam ho, hum jaahilon say (ulajhna) nahi chaahtay.”

[Surah Qasas:28: 55]

  “Aur yeh dua kartay hain ke, “Aye humaaray Parwardigaar! Tu humein humaari biwiyon aur aulaad say aankhon ki thandak ata farma” 

    Yani aisi aulaad jo Allah Ta’ala ki ita’at guzaar aur shara’iyat ki paband ho jissay unki ankhon ko thandak naseeb ho. Is tarah miyan biwi ka mu’aamla hai jab khawind apni biwi ko Allah Ta’ala ki farmabardaar paata hai tou uski ankhein thandi hoti hain aur jab biwi apnay khawind ko Allah Ta’ala ki ita’at aur farmaa bardaari karte huye dekhti hai tou uski ankhein bhi thandi hoti hain. 

      Pas naik khawind biwi kay liye aur naik biwi, khawind kay liye aur naik aulaad apnay walidain aur deegar imaan walay aziz-o-aqaarab kay liye ankhon ki thandak ka baa’is hain. 

  1. 11. GIYARHWEEN SIFAT: ALLAH KI AAYAAT POORI TAWAJJO SE SUNNA:

    Giyarhween Sifat Ahl-e-Imaan ki yeh hai keh wo Allah ki aayaat ko poori tawajjo se sunte hain. Andhe aur behre banke oundhen munh nahi girte. 

      Irshaad-e-Baari Ta’aala:

“وَٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُوا۟ بِـَٔايَـٰتِ رَبِّهِمْ لَمْ يَخِرُّوا۟ عَلَيْهَا صُمًّۭا وَعُمْيَانًۭا ٧٣”

“Aur jab unhay unn kay Rab kay kalaam ki aayatein sunaayi jaati hain, toh woh andhay behray ho kar unn par nahi girtay.”

[Surah Furqan:25: 73]

       Kyun keh momin mardon aur momin aurton ki yehi halat hoti hai keh jab unke samne Allah Rabbul izzat ki aayaat padhi jaati hain tou unme khushoo’ aur dilon ki narmi paida ho jaati hai aur apnay Rab ki azmat aur jalaal kay sabab ‘ussay ajar-o-sawab ki ummeed rakhte huye aur uske azaab se darte huye aab deedah ho jaate hain. 

  1. BARAHWEEN SIFAT:

      Mominon ki barahween sifat yeh bayan ki gayi hai keh wo hamesha naik biwi bachhon kay husool ki duaain karte rehte hain. 

    Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

” وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ وَٱجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا ٧٤”

“Yahi woh log hain jinhay unn kay sabr kay badlay, jannat kay buland wa baala khaanay diye jayengay, jahaan unhay dua salaam pahonchaya jayega.”

[Surah Furqan:25: 74]

    Yeh tamaam sifat momin mardon aur momin aurton mein payi jaati hain aur aisi sifaat kay hamileen hi haqeeqat mein Allah Ta’ala kay banday hain.  قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ (Ankhon ki thandak) se muraad yeh hai tum apnay bachhe ya bachhi ko aamaal-e-saleh se muzayyan dekho. 

       Wald (aulaad) ka lafz muzakkar aur moannas dono ko shamil hai. Bete aur betiyan dono kay liye bola jaata hai- Jaise keh Hadees mubaraka mein aata hai. 

إذَا مَاتَ ابْنُ اٰدَمَ انْقَطَعَ عَمَلُهُ إلأ مِنْ ثَلاَثٍ صَدَقَةٍ جَارِيَةٍ أوْ عِلْمٍ يُنْفَعُ بِهِ أوْ وَلَدٍ َصَالِحٍ يَدْعُوْلَهُ”

       “Jab admi ka beta faut ho jaata hai tou uske aamaal ka silsila munqate’ ho jaata hai magar teen cheezon ka sawab ussay musalsal milta rehta hain Sadqa jariyah, ya wo ilm jissay faida uthaaya jaye ya naik aulaad jo uske liye dua karti rahe.”

[Sahih Muslim: 1231]

    Is hadees mubaraka mein bhi  lafz ‘Walad’ muzakkar-o-moannas donon ko shamil hai jaise issay qibl Allah Ta’ala kay is farmaan mein lafz walad hai. 

“وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ”

[Surah Furqan:25:74]

  1. TERAHWEEN SIFAT: PARHEZGAARON KA IMAAM BANNAY KI DUA KARNA:

Terahween sifat Ahl-e-Imaan ki yeh hai keh wo Allah Ta’ala se parhezgaaron ki imaamat kay husool ki dua karte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا”

“Aur hamain muttaqeen ka imaam bana.”

[Surah Furqan:25: 74]

   Yaani khair-o-bhalayi aur Allah ki makhlooq ki hidayat mein hamain paishwaa aur Imam bana. 

 sifaat-E-MAZKURAH KAY HAMILEEN KA AJAR-O-SAWAB

Mazkurah terah (13) sifaat kay hamileen ka ajar-o-sawab Allah Rabbul izzat is tarah wazeh farmaate hain:

“أُو۟لَـٰٓئِكَ يُجْزَوْنَ ٱلْغُرْفَةَ بِمَا صَبَرُوا۟ وَيُلَقَّوْنَ فِيهَا تَحِيَّةًۭ وَسَلَـٰمًا ٧٥”

“خَـٰلِدِينَ فِيهَا ۚ حَسُنَتْ مُسْتَقَرًّۭا وَمُقَامًۭا ٧٦”

“Yahi wo log hain jinhain unke sabr kay badle Jannat kay baalaa-khaane milengay jahan unhain Dua aur Salaam pohanchaya jayega. Isme hamesha rahengay aur wo bohat achhi jagah hai aur bohat umdah maqaam hai.”

[Surah Furqan:25: 75-76]

‘Ghurfatun (غُرْفَةٌ)’ se muraad Jannat hai. Jannat chunkeh buland hai isliye usko ghurfaa kaha gaya hai. Jannat saaton (7) asmaanon kay upar aur Allah Ta’ala kay arsh kay neeche a’ala jagah par waqeh hai. Mominon ko Allah Ta’ala ki ita’aat’ iski haraam kardah aashya se ijtinaab (parhez karna) aur masaiyb par sabr kay sabab Azeem aur A’ala Jannat ka malik banaya jayega. Allah Ta’ala kay huqooq ki adayegi aur takleef-o-masaiyb maslan bemaari aur faqr (mohtaaji) waghairah par sabr kay natija mein Allah Ta’ala unhain azeem Jaza-e-khair ata farmayega. 

       Momin mardon aur aurton ki sifaat aur akhlaaq wa kirdaar kay mutalliq Qur’an-e-paak mein kaseer aayaat hain. Jin mein Surah Baqarah ki yeh aayat bhi hai. 

“۞ لَّيْسَ ٱلْبِرَّ أَن تُوَلُّوا۟ وُجُوهَكُمْ قِبَلَ ٱلْمَشْرِقِ وَٱلْمَغْرِبِ وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْـَٔاخِرِ وَٱلْمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلْكِتَـٰبِ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ وَءَاتَى ٱلْمَالَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ ذَوِى ٱلْقُرْبَىٰ وَٱلْيَتَـٰمَىٰ وَٱلْمَسَـٰكِينَ وَٱبْنَ ٱلسَّبِيلِ وَٱلسَّآئِلِينَ وَفِى ٱلرِّقَابِ وَأَقَامَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَى ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلْمُوفُونَ بِعَهْدِهِمْ إِذَا عَـٰهَدُوا۟ ۖ وَٱلصَّـٰبِرِينَ فِى ٱلْبَأْسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَحِينَ ٱلْبَأْسِ ۗ أُو۟لَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ صَدَقُوا۟ ۖ وَأُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُتَّقُونَ ١٧٧”

Surah Baqarah:02: 177 ki mazkurah aayat-e-kareema mein Allah Ta’ala ne parhezgaar mard-o-khawateen ki sifaat bayan farmayi hai. 

Jinhain tarteeb ke saath aagay bayan kiya jaa raha hai. 

  1. CHAUDAHWEEN SIFAT: ALLAH TA’ALA PAR IMAAN LANA:

Allah Rabbul izzat ki zaat baa barkaat par mukammal Imaan laana bhi mominon ki sifat hai. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“۞ لَّيْسَ ٱلْبِرَّ أَن تُوَلُّوا۟ وُجُوهَكُمْ قِبَلَ ٱلْمَشْرِقِ وَٱلْمَغْرِبِ وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ”

“Saari bhalayi mashriq wa maghrib ki taraf munh karne mein hi nahi balkeh achha wo shakhs hai jo Allah Ta’ala par Imaan rakhne wala hai.”

[Surah Baqarah:02: 177]

        Iska matlab yeh hua keh wo shakhs Acha hai jo Allah Ta’aala, ‘Youm Aakhirat, Farishton, kitaaboun, aur Anbiyah par imaan laata hai. 

        Allah Ta’ala par imaan laane ka matlab yeh hai keh iske Rabb aur Illah hone par aur Sacha mabood hone par Imaan lanaa. Aur Is baat par mukammal yaqeen rakhna keh wohi khaaliq-o-Raaziq hai aur is baat par Imaan laana keh Allah Ta’ala achay naamon aur aala sifaat ka malik hai jis mein koi uske mushabeh hai aur na hi koi iska hamsar aur sharik hai balkeh wo apni zaat ‘Asma’ sifaat aur Aafaal mein har lehaaz se kamil wa akmal hai isme kisi itibaar se bhi koi nuqs aur ‘Aaib nahi hai- Jaise Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“قُلْ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ ١”

“ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ ٢”

“لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ ٣”

“وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ ٤”

“Aap kehdijie keh wo Allah aik hi hai. 

Allah bayniyaaz hai. 

Na ussay koi paida hua, na wo kisi se paida hua. 

Aur na hi uska koi hamsar hai.”

[Surah Ikhlaas:112: 1-4]

  1. CHAUDAHWEEN SIFAT: ALLAH TA’ALA PAR IMAAN LANA:

Allah Rabbul izzat ki zaat baa barakaat par mukammal imaan laana bhi mominon ki sifat hai. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“۞ لَّيْسَ ٱلْبِرَّ أَن تُوَلُّوا۟ وُجُوهَكُمْ قِبَلَ ٱلْمَشْرِقِ وَٱلْمَغْرِبِ وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ”

“Saari bhalayi mashriq wa maghrib ki taraf munh karne mein hi nahi balkeh achha wo shakhs hai jo Allah Ta’ala par imaan rakhne wala hai.”

[Surah Baqarah:02: 177]

 Iska matlab yeh hua keh wo shakhs achha hai jo Allah Ta’aala, ‘Youm-e-aakhirat, Farishton, kitaaboun, aur Anbiyah par imaan laata hai. 

        Allah Ta’ala par imaan laane ka matlab yeh hai keh iske Rabb aur Ilah hone par aur sachha mabood hone par Imaan lanaa. Aur Is baat par mukammal yaqeen rakhna keh wohi khaaliq-o-raaziq hai aur is baat par Imaan laana keh Allah Ta’ala achhay naamon aur aala sifaat ka malik hai jis mein koi uske mushabeh hai aur na hi koi iska hamsar aur sharik hai balkeh wo apni zaat, asma, sifaat aur a’afaal mein har lehaaz se kamil wa akmal hai isme kisi aitebaar se bhi koi nuqs aur aib nahi hai. Jaise Irshaad-e-baari Ta’ala hai:

قل هول الله أحد. الله صمد. لم يلد ولم يولد ولم يكن له كفوا احد

[Surah Ikhlaas: Mukammal]

“Aap keh dijiye ki vo Allah ek hi hai. Allah be niyaaz na usse koi paida hua na vo kisi se paida hua aur na hi uska koi hamsar hai”

  1. PANDRAHWEEN SIFAT: YOUM-E-AKHIRAT PAR IMAAN:

Allah walon ki pandrahween sifat yeh hai keh wo youm-e-akhirat par imaan rakhte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْـَٔاخِرِ”

“Aur achha wo hai jo Allah Ta’ala aur akhirat kay din par Imaan laata hai.”

[Surah Baqarah:02: 177]

Akhirat kay din par Imaan ka matlab yeh hai keh maut kay ba’ad dobara uthaye jaane par imaan laana. Yaani yeh duniya fanaa ho jayegi aur akhirat ka din barpaa ho jayega wohi qayamat ka din hai jo keh zarur bil zarur aakar hi rahega. Aur Allah Ta’ala apnay bandon ko (Qabron se) uthayega. 

Jaise keh Allah Ta’ala ka farmaan hai:

“ثُمَّ إِنَّكُم بَعْدَ ذَٰلِكَ لَمَيِّتُونَ ١٥”

“ثُمَّ إِنَّكُمْ يَوْمَ ٱلْقِيَـٰمَةِ تُبْعَثُونَ ١٦”

“Phir iske ba’ad yaqeenan tum sab mar jaane walay ho phir qayamat kay din bilashuba tum sabko uthaaya jayega.”

[Surah Mominun:40: 15-16]

Issi tarah irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَأَنَّ ٱلسَّاعَةَ ءَاتِيَةٌۭ لَّا رَيْبَ فِيهَا وَأَنَّ ٱللَّهَ يَبْعَثُ مَن فِى ٱلْقُبُورِ ٧”

“Aur yeh qayamat yaqeenan aane waali hai jisme koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Ta’ala qabar walon ko uthayega.”

[Surah Hajj:22: 07]

      Akhirat ka din wo hai jisme logon ka hisab-o-kitaab hoga. Pul siraat se guzar hoga aur dayen ya bayen haath mein naam-e-aamaal diye jayengay aur aamaal kay awzaan(wazan) kay liye meezaan lagaya jayega. Jannat aur Jahannum laye jayengay jannati jannat mein aur jahannumi jahannum mein chale jayengay. Momin is din jannat, sa’adat aur izzat mein hongay aur kafir jahannum aur zillat-o-ruswayi walay azaab mein hongay. Allah rabbul izzat ham sabko issay mehfooz rakhe. (Aameen)

  1. SOLAHWEEN SIFAT: FARISHTON PAR IMAAN:

Ahl-e-Imaan ki solahween sifat yeh hai keh wo farishton par mukammal Imaan rakhte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْـَٔاخِرِ وَٱلْمَلَـٰٓئِكَةِ”

“Aur achha wo hai jo Allah Ta’ala, Yaum-e-Akhirat aur farishton par imaan laya.”

[Surah Baqarah:02: 177]

     Yaani is baat par imaan rakhna ke farishte Allah Ta’ala kay ita’at guzaar aur uske lashkaron mein se aik hain. Aur Allah Ta’ala kay aawamir aur nawahi (Ahkaam karne aur na karne ke) bandon tak pohanchane mein safiir ki haisiyat rakhte hain. Aur Iski nafarmaani  nahi karte. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“لَّا يَعْصُونَ ٱللَّهَ مَآ أَمَرَهُمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ ٦”

“Wo Allah Ta’ala kay hukm ki nafarmaani nahi karte, wohi karte hai jiska unhain hukm diya  jaata hai.”

[Surah Tahrim:66: 06]

     Allah Ta’ala ne unhein apnay noor se paida farmaaya hai. Wo Allah Ta’ala kay ahkamaat ko duniya mein naafiz karte hain. Jaise keh Allah Rabbul izzat ka farmaan hai:

“بَلْ عِبَادٌۭ مُّكْرَمُونَ- لَا يَسْبِقُونَهُۥ بِٱلْقَوْلِ وَهُم بِأَمْرِهِۦ يَعْمَلُونَ- يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلَا يَشْفَعُونَ إِلَّا لِمَنِ ٱرْتَضَىٰ وَهُم مِّنْ خَشْيَتِهِۦ مُشْفِقُونَ. “

“Balkeh farishte uske ba izzat bande hain kisi baat par Allah Ta’ala se paish dasti nahi karte balkeh wo iske hukm par kaar band hain aur wo (Allah Ta’aala) unke aage peeche kay tamaam umoor se waqif hai. Aur wo Allah Ta’ala ki marzi kay baghair kisi ki sifarish bhi nahi kar sakte aur wo khud haibat-e-ilaahi se larzaan wa tarsaan (khauf se thar tharata hua) hain. 

  1. SATRAHWEEN SIFAT: ASMAANI KUTUB PAR IMAAN LAANA:

Allah waalon ki satrahween sifat ye bayan ki gayi hai keh wo tamaam asmaani kutub par poora Imaan rakhte hain. Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْـَٔاخِرِ وَٱلْمَلَـٰٓئِكَةِ”

“Aur lekin wo achha hai jo Allah Ta’ala, akhirat kay din par, tamaam farishton par, kitaab Allah par Imaan laya.”

[Surah Baqarah:02: 177]

Kitaab se tamaam asmaani kutub (Zabur, Tauraat, Injeel, aur Qur’an) muraad hain. Jin mein afzal kitaab Qur’an-e-paak hai. Ahl-e-Imaan ki ye sifat hai keh wo saabqa anbiya par nazil hone waali tamaam kutub par imaan rakhte hain. Jin mein sabse akhir mein nazil hone waali kitaab Qur’an-e-paak hai. Jo ki tamaam kutub se a’ala aur afzal hai jaise janab Mohammad (ﷺ) par nazil kiya gaya hai. 

  1. ATHAARWEEN SIFAT: TAMAAM ANBIYA PAR IMAAN LAANA:

Allah waalon ki aathaarvi sifat yeh bayan ki gayi hai keh wo tamaam anbiya par sidq dil se imaan laate hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَلَـٰكِنَّ ٱلْبِرَّ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْـَٔاخِرِ وَٱلْمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلْكِتَـٰبِ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ”

“Aur wo acha hai keh jo Allah Ta’aala, Yaum-e-Akhirat, tamaam farishtoun, Allah ki kitaab aur tamaam anbiya par imaan laya.”

[Surah Baqarah:02: 177]

     Yaani Ahl-e-Imaan ki yeh bhi sifat hai keh wo Allah Ta’ala kay bhejay huye tamaam anbiya-o-Rasool par mukammal Imaan bhi laate hain aur unki tasdeeq bhi karte hain Janab Mohammad (ﷺ) sab nabiyon kay ba’ad tashreef laye. Jo tamaam Anbiya se afzal aur khaatimin Nabi hain. 

  1. UNTEESWEEN SIFAT: ALLAH KI RAAH MEIN KHARCH KARNA:

Imaan waalon ki unteesween sifat yeh bayan ki gayi hai keh wo Allah Ta’ala ki raah mein kharch karte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَءَاتَى ٱلْمَالَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ ذَوِى ٱلْقُرْبَىٰ وَٱلْيَتَـٰمَىٰ وَٱلْمَسَـٰكِينَ وَٱبْنَ ٱلسَّبِيلِ وَٱلسَّآئِلِينَ وَفِى ٱلرِّقَابِ”

“Aur jo maal se mohabbat kay bawajood qaraabat daaron, yateemon, miskeenon, musafiron, sawal karne walon par aur gardanon kay azaad karne mein kharch karte hain.”

[Surah Baqarah:02: 177]

      Yaani maal se mohabbat kay bawajood wo log apnay maal ko faqeeron, miskeenon, rishtedaaron par, aur uske ilawah deegar bhalayi ke kaamon aur Allah Ta’ala kay dushmaanon kay khilaaf jihaad par kharch karte hain.”

[Surah Baqarah:02: 177]

     Yaani maal se mohabbat kay bawajud wo log apnay maal ko faqeeron, miskeenon, rishtedaaron par aur uske alawah deegar bhalayi kay kaamon aur Allah Ta’ala kay dushmaanon kay khilaaf jihaad par kharch karte hain. Aur aik dusri aayat-e-mubarakah mein Allah Ta’ala irshaad farmaate hain: 

“تَتَجَافَىٰ جُنُوبُهُمْ عَنِ ٱلْمَضَاجِعِ يَدْعُونَ رَبَّهُمْ خَوْفًۭا وَطَمَعًۭا وَمِمَّا رَزَقْنَـٰهُمْ يُنفِقُونَ ١٦”

“Unki karwatein apnay bistaron se alag rehti hain, apnay Rab ko khauf aur ummeed kay saath pukarte hain aur jo kuch hamne unhein de rakha hai ussay kharch karte hain.” 

[Surah Sajdah:32: 16]

 Isi tarah Allah Ta’ala farmaatay hain:

“ءَامِنُوا۟ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَأَنفِقُوا۟ مِمَّا جَعَلَكُم مُّسْتَخْلَفِينَ فِيهِ ۖ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ مِنكُمْ وَأَنفَقُوا۟ لَهُمْ أَجْرٌۭ كَبِيرٌۭ ٧”

“Allah Ta’ala aur uske Rasool par Imaan le aao aur us maal mein se kharch karo jis mein Allah Ta’ala ne tumhen (Dusron ka) jaanasheen banaya hai. Pas tum mein se jo imaan laye aur kharch kare unhain bohat bada sawab milega.”

[Surah Hadeed:57: 07]

      Isi tarah Surah Baqarah ki is aayaat mein (Jo abhi guzri hai) irshaad-e-Baari Ta’ala hai: 

“وَءَاتَى ٱلْمَالَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ ذَوِى ٱلْقُرْبَىٰ وَٱلْيَتَـٰمَىٰ وَٱلْمَسَـٰكِينَ وَٱبْنَ ٱلسَّبِيلِ وَٱلسَّآئِلِينَ وَفِى ٱلرِّقَابِ”

“Aur wo bawajud maal se mohabbat kay apna maal qaraabat daaron, yateemon, miskeenon, musafiron, sawal karne walon aur gardanon kay azaad karne mein kharch karte hain. Yaani wo qarabat daaron, yateemon, miskeenon par aur un musafiron par maal kharch karte hain jo shehron se guzarte hain aur unke paas zad-e-raah khatam ho jata hai aur unpar bhi kharch karte hai jo apni miskeenat aur zarurat kay sabab logon se sawal karte hain. Aur in majhool ul haal saayeleen par bhi kharch karte hain jinko koi pehchanta nahi hai. 

   Aur (وَفِى ٱلرِّقَابِ) ka ma’ana yeh hai jo gardaanon kay azaad karne mein kharch karte hain yaani ghulam mardon aur ghulam aurton aur qaidiyon kay azaad karne mein kharch karte hain. Iske ba’ad Allah Ta’ala farmaate hain. 

“وَأَقَامَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَى ٱلزَّكَوٰةَ”

“Aur jo namaz qayem karte hain aur zakat ada karte hain.”

[Surah Baqarah:02: 177] 

     Yaani Ahl-e-Imaan namaz ki adayegi pabandi kay saath karte hain aur namaz ki hifazat karte hain aur Allah Ta’ala kay hukm kay mutabiq namaz ko ayn muqarrarah waqt par ada karte hain, aur wo zakat ki adayegi karte hain jaise Allah Ta’ala ne uski adayegi ka hukm farmaaya hai. 

  1. BEESWEEN SIFAT: AHAD KI PABANDI KARNA:

Allah waalon ki beesween sifat yeh hai keh wo ahad ki pabandi karte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱلْمُوفُونَ بِعَهْدِهِمْ إِذَا عَـٰهَدُوا۟ ۖ وَٱلصَّـٰبِرِينَ”

“Wo log jis kisi se jo bhi wada karte hain usko poora nibhaate hain. Yaani wada poora karte hain. Dhoka aur fareb nahi dete.”

[Surah Baqarah:02: 177]

  1. IKKEESWEEN SIFAT: MASAIYB AUR LADAYI KAY WAQT SABR:

Imaan waalon ki ikeesween sifat yeh bayan ki jaa rahi hai keh wo tamaam masaiyb par aur ladayi kay waqt sabar ka daaman nahi chhodte. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“وَٱلصَّـٰبِرِينَ فِى ٱلْبَأْسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَحِينَ ٱلْبَأْسِ ۗ”

“Aur wo log jo tangdasti, dukh dard aur ladayi kay waqt sabr karte hain.”

 [Surah Baqarah:02: 177]

Yaani wo log jo tangdasti jaise faqeeri aur dukh dard jaise beemariyaan, takaleef aur zakhm waghairah mein sabr karte hain (وَحِينَ ٱلْبَأْسِ ۗ) se muraad qitaal aur jang ka waqt hai. 

MAZKURAH SIFAAT WALAY SACHHE AUR PARHEZGAAR HAIN

Sifaat 14-21 tak mazkurah tamaam sifaat walaon kay mutalliq irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

أُو۟لَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ صَدَقُوا۟ ۖ وَأُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُتَّقُونَ ١٧٧

“Yahi sachhe log hain aur yahi parhezgaar hain.”

[Surah Baqarah:02: 177]

Yelog isliye sachhe hain keh unhone aamaal-e-saleh aur taqwa se apnay imaan ko sabit kardiya hai. 

  1. BAAYISWEEN SIFAT: NAMAZ MUKAMMAL KHUSHOO’ SE ADA KARNA:

Allah Ta’ala ne Surah Al Anfaal aur Surah Taubah mein mominon ki deegar sifaat ka bhi tazkirah farmaaya hai. Isi tarah Surah Mominun mein Allah Ta’ala ka irshaad hai:

“قَدْ أَفْلَحَ ٱلْمُؤْمِنُونَ ١”

“ٱلَّذِينَ هُمْ فِى صَلَاتِهِمْ خَـٰشِعُونَ ٢”

“Yaqeenan mominon ne falaah hasil karli jo apni namaz mein khushoo’ karte hain.”

[Surah Al Mominoon:23: 1-2]

  1. TAIWISWEEN SIFAT: KITAAB ALLAH MEIN GHAUR-O-FIKR KARNA:

Allah Ta’ala ne mukhtalif jaghon par momin mominon kay akhlaaq-o-aadaat aur sifaat ka tazkirah kiya hai. Jo shakhs Qur’an-e-kareem ko tawajjo se padhe aur isme ghaur-o-fikr kare usko in sifaat ka ilm ho jayega. 

Isliye Irshaad-e-Baati Ta’ala hai:

“كِتَـٰبٌ أَنزَلْنَـٰهُ إِلَيْكَ مُبَـٰرَكٌۭ لِّيَدَّبَّرُوٓا۟ ءَايَـٰتِهِۦ وَلِيَتَذَكَّرَ أُو۟لُوا۟ ٱلْأَلْبَـٰبِ ٢٩”

“Yeh baa barakat kitaab hai jissay hamne apki taraf isiliye nazil farmaaya hai keh log iski aayaat par ghaur-o-fikr karein aur aqal walay issay naseehat pakdein.”

[Surah Saad:38: 29]

Isi tarah Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“إِنَّ هَـٰذَا ٱلْقُرْءَانَ يَهْدِى لِلَّتِى هِىَ أَقْوَمُ”

“Yaqeenan yeh Qur’an wo raasta dikhata hai jo bilkul sidha hai.”

[Surah Bani Israeel:17: 09]

Isi tarah Irshaad-e-Baari hai:

“هُوَ لِلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ هُدًۭى وَشِفَآءٌۭ ۖ”

“Keh dijiye yeh (Qur’an) imaan waalon kay liye hidayat aur shifa hai.”

[Surah Fussilat:41: 44]

Isi tarha Allah Ta’ala farmaate hain:

“أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلْقُرْءَانَ أَمْ عَلَىٰ قُلُوبٍ أَقْفَالُهَآ ٢٤”

“Kya yeh log Qur’an-e-paak mein ghaur-o-fikar nahi karte ya unke dilon par taalay lagey huye hain.”

[Surah Mohammad:47: 24]

Pas main apnay apko aur apnay tamaam deeni bhaiyyon aur behnon ko aam logon ko is baat ki naseehat karta hoon keh wo Qur’an-e-paak ko padhein aur uske ma’aani par ghaur karein aur usko zubaani yaad kare- Zouq-o-shouq, Hirs-o-Tamaa’ aur ba-qayedgi se upar dekar uski tilawat karein. Aur agar Hafiz-e-Qur’an hain tou zubaani uski tilaawat karen. Lekin ghaur-o-khouz aur aqal-o-tadbeer aur fayde kay husool ko madd-e-nazar rakhkar padhen. 

Is tarah ispar amal bhi karein aur isko samjhne ki bhi koshish karen. Kyun keh Allah Ta’ala ne is kitaab ko utaara hi isliye hai keh ispar amal kiya jayeaur usko seekhaa aur samjhaa bhi jaye. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

وَهَـٰذَا كِتَـٰبٌ أَنزَلْنَـٰهُ مُبَارَكٌۭ فَٱتَّبِعُوهُ وَٱتَّقُوا۟ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ ١٥٥

“Aur yeh aik kitaab hai jiss ko hum nay bheja badi khair-o-barkat waali, so iss ka ittebaa karo aur daro taakay tum par rahmat ho.”

[Surah An’am:06: 155]

Qur’an-e-paak sirf padhne aur hifz karne kay liye hi nahi nazil kiya gaya. Kyun keh Hifz-o-Qiraat tou isko samajhne ka aik waseelah hai. Balkeh iska asal maqsood tou yeh hai keh ispar amal kiya jaye aur iski itteba ki jaye. Allah Ta’ala aur uske Rasool par imaan rakhte huye kitaab-o-sunnat ka ilm hasil kiya jaye. Aur Allah Ta’ala kay ahkamaat par amal kiya jaye aur nawahi ko tark kiya jaye. 

Surah Tauba mein irshaad-e-Baari Ta’ala hai jis mein ye tamaam baatein mazkur hain. 

“وَٱلْمُؤْمِنُونَ وَٱلْمُؤْمِنَـٰتُ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَآءُ بَعْضٍۢ ۚ يَأْمُرُونَ بِٱلْمَعْرُوفِ وَيَنْهَوْنَ عَنِ ٱلْمُنكَرِ وَيُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤْتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَيُطِيعُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ ۚ أُو۟لَـٰٓئِكَ سَيَرْحَمُهُمُ ٱللَّهُ ۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌۭ ٧١”

‘Momin mard aur momin aurtein aapas mein aik dusre kay dost (ma’awun) hain. Wo bhalaiyon ka hukm detay hai aur buraiyon se rokte hain, Namazen pabandi se padhte hain. Zakat ada karte hain, Allah Ta’ala aur uske Rasool ki ita’at karte hain, yehi log hai jin par bohat jald Allah Ta’ala rehem farmayega, beshak Allah Ta’ala ghalbe wala hikmat wala hai.”

[Surah Tawba:09: 71]

       Momin mardon aur aurton ki sifaat aur unke wajibaab kay mutalliq yeh aik Jaame’ aayat hai. 

Is aayat mein mazkurah mominon ki sifaat tarteeb waar alaihda alaihda bayan ki jaati hain. 

  1. CHAUBEESWEEN SIFAT: AHL-E-IMAAN SE DOSTI:

     Imaan waalon ki chaubeesween (24th) sifat ye bayan ki gayi hai keh wo aik dusre se (Allah ki razaa kay liye) dosti rakhte hain. 

 Irshaad-e-Baari Ta’ala hai: 

“وَٱلْمُؤْمِنُونَ وَٱلْمُؤْمِنَـٰتُ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَآءُ بَعْضٍۢ ۚ”

“Momin mard aur momin aurten apas mein aik dusre kay dost (madadgaar-o-m’uawin) hote hain.”

[Surah Tawbah:09: 71]

APAS MEIN DOSTI KA TAQAZAA

  Allah Ta’ala ka yeh farmaan is baat par dalaalat karta hai keh momin mard aur momin aurten apas mein Allah kay liye aik dusre ko naseehat karte hain aur mohabbat karte hain, Aik dusre ko haq ki talqeen aur uspar sabr ki taqeed karte hain, aur neki aur taqwe ki buniyaad par aik dusre ka ta’awun karte hain, tamaam momin mardon aur momin aurton ki yahi sifat hai keh wo apas mein aik dusre kay meherbaan hain. Momin mard Allah Ta’ala ki razaa kay liye apnay musalmaan bhai aur musalmaan aurat ka khair khwaah hota hai. 

      Isi tarah aik momina aurat Allah ki razaa kay liye apnay musalmaan bhai aur musalmaan aurat ki khair khaah hoti hai. 

      Har aik par wajib hai keh wo dusre ki khair khwahi kare, aur usay uski dawat de aur jab wo uspar qayem dayem ho jaye tou wo khushi ka izhaar kare aur ussay burai ko dur kare, na uski gheebat kare aur na hi koi aisi baat kare jo uski izzat-o-abroo kay munaafi ho aur na uski chughli kare aur uske khilaaf jhooti gawaahi de na hi usko gaali de aur na uspar koi jhoota da’wah kare. Kyun keh momin mard aur aurten aise hi sifaat kay malik hote hain. 

     Jab tum dekho keh tumhaari taraf se dusre musalmaan bhai ko gheebat, gaali, chughli aur jhoot wagerah kay saath takleef pohanch rahi hai tou yaqeen karlo keh tumhaara imaan naaqis aur kamzor hai. Aur tum kamzor imaan walay ho. 

      Agar tera imaan mukammal aur poora hota tou gheebat, chughli, Jhoote da’wah, jhooti gawaahi, jhooti qasam ya gaaliyan waghairah dekar apnay bhai par zulm aur ziyadati na karta. Kyun keh Allah Ta’ala aur uske Rasool (ﷺ) par imaan, Allah Ta’ala ka dar, neki aur hidayat sab insaan ko apnay deeni bhai aur behen par zulm wa ziyadati se manaa’ karte hain. Chahay wo zulm gheebat, gaali galoch, Jhoot, batil daweh aur jhooti gawaahi waghairah ki surat mein ho ya kisi dusri qism se mutalaqa ho. Uska imaan usko is qism ki tamaam zyadaatiyon se mana karta hai. 

Maslan jab wo dekhti hai keh uska khawind sharaab peeta hai ya cigarette noshi karta hai ya namaz mein susti karta hai ya masjid mein jaanay kay bajaye ghar mein hi namaz padhta hai (baghair shara’i uzr kay) tou wo usko achhe usloob aur achay kalaam se is burai se rokti hai keh Allah kay banday Allah Ta’ala se dar aur uski farmaabardaari ikhtiyaar kar, yeh kaam tere liye jayez nahi balkeh tujhe chahiye keh pabandi se baa jama’at namaz padha kar aur tamaam wo umoor jo Allah Ta’ala ne tujhpar haram kiye hain maslan nasha aawar aashya, Cigarette noshi, dadhi mundwaana, moonchhay badhaana aur kapde niche latkaana sab chhod de. 

     Aise tamaam munkiraat ka inkaar karna aur inse ijtenab karna tamam momin mardon aur tamam momin aurton aur nek logon par hattah keh khawind, biwi, bhai, qareebi rishtedaar, padosi, aur har baithay aur khaday par farz hai. 

    Jaise keh Qur’an-e-paak mein Allah Ta’ala momin mardon aur momin aurton ki sifat kay baare mein irshaad farmaate hain:

“يَأْمُرُونَ بِٱلْمَعْرُوفِ وَيَنْهَوْنَ عَنِ ٱلْمُنكَرِ”

“Keh wo neki ka hukm dete hain aur burayi se manaa’ karte hain.”

[Surah Tawbah:09: 71]

  1. PACHISWEEN SIFAT: NEKI KA HUKM KARNA AUR BURAYI SE ROKNA:

Ahl-e-Imaan ki pachisween sifat ye bayan ki gayi hai keh wo logon ko neki ka hukm dete hain aur burayi se manaa’ karte hain. 

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

“يَأْمُرُونَ بِٱلْمَعْرُوفِ وَيَنْهَوْنَ عَنِ ٱلْمُنكَرِ وَيُقِيمُونَ”

“Wo bhalaiyyon ka hukm karte hain aur buraiyon se rokte hain.”

 [Surah Tawbah:09: 71]

      Ummat-e-Muslimaah ki islaah aur nusrat deen kay liye yeh bohat bada fareeza hai. Halaakat, gunah aur shar kay faislay usi ki buniyaad par kiye jaate hain. Momin mard jab apnay bhai mein koi burayi dekhta hai tou wo khamosh nahi reh sakta. Balkeh usko rokta hai, isi tarah jab wo apni behen, phuphi, khala ya kisi dusri aziza mein koi burayi dekhta hai to usko manaa’ karta hai. 

      Momin admi jab apnay deeni bhai ya bahen mein yeh baat dekhta hai keh wo farayez mein kotaahi karta hai tou wo usko aisa karne se rokta hai aur neki karne ki talqeen karta hai. Lekin yaad rahe keh wo ye tamaam mu’aamlaat naram goyi, himmat wa daanayi aur husn usloob se sar anjaam de. Jab wo dekhe keh uska deeni bhai namaz mein susti se kaam leta hai, ya gheebat ya chughli khaata hai ya cigarette noshi karta hai ya nasha karta hai ya walidain ki nafarmaani karta hai ya qataa’ rehmi karta hai tou usko Husn kalaam aur Husn usloob se in baaton se manaa’ kare. Bure Alqabaat aur sakht rawaiyyah ikhtiyaar na kare, balkeh narmi se usay samjhaye keh ye kaam uske liye jayez nahi. 

Isi tarah jab wo apni deeni behen mein koi burayi dekhta hai keh wo walidain ki nafarmaani karti hai ya apnay khawind ko takleef pohanchati hai ya aulaad ki tarbiyat mein kotaahi karti hai ya namaz mein susti se kaam leti hai tou wo usko aisa karne se rokta hai agarchay wo uska khawind, baap, uska bhai, uske bhai ka beta, ya uski behen ka beta ho ya qareebi to na ho lekin usko jannay wala ho keh falaan burai usme maujood hai. 

         Isi tarah mominah auratein jab apnay khawind mein koi burayi dekhti hai tou wo usay manaa’ karti hai. Maslan jab wo dekhti hai keh uska khawind sharaab peeta hai ya cigarette noshi karta hai ya namaz mein susti karta hai ya masjid mein jaanay kay bajayeghar mein hi namaz parhta hai (baghair shara’i uzr kay) tou wo usko ache usloob aur achay kalaam se is buari se rokti hai keh Allah kay banday Allah Ta’ala se dar aur uski farmaabardaari ikhtiyaar kar, yeh kaam tere liye jayez nahi balkeh tujhe chahiye keh pabandi se baa jama’at namaz parha kar aur tamaam wo umoor jo Allah Ta’ala ne tujhpar haram kiye hain maslan nasha aawar aaishya, Cigarette noshi, darhi mondhna mounchay badhaana aur kapre neche latkaana sab chor de. 

     Aise tamaam munkaraat ka inkaar karna aur inse ijtenab karna tamam momin mardon aur tamam momin aurton aur naik logon par hattah keh khawind, biwi, bhai, qareebi rishtedaar, padosi, aur har baithay aur khaday par farz hai. 

    Jaise keh Qur’an-e-paak mein Allah Ta’ala momin mardon aur momin aurton ki sifat kay baare mein irshaad farmaate hain:

“يَأْمُرُونَ بِٱلْمَعْرُوفِ وَيَنْهَوْنَ عَنِ ٱلْمُنكَرِ”

“Keh wo neki ka hukm dete hain aur burai se manaa’ karte hain.”

[Surah Tawbah:09: 71]

“Keh woh neki ka hukm dete hain aur burayi say mana karte hain. “

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa ka irshad garami hai:

[إن الناس إذا رأوا المنكر فلم يديروه اوشك إن يعمهم الله بعقابه]

[Sunan Ibn Majah, anwabul fitan, baabul amar bil ma’aroof wan naha anil munkar raqmul hadees: 4005 hadees sahih hai.]

“Yaqeenan jab log burayi ko dekh us ko nahin rokenge to anqareeb Allah Ta’ala unhein apne azaab mein pakdega. 

Isi tarah Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad garami hai:

[من رأى منكم منكرا فليتغيره بيده فإن لم يستطع فبلسانه فإن لم

يستطع فبقلبه وذلك اضعف الايمان]

[Sahih Muslim, kitaabul Imaan, baab bayan kunan nahi Anil munkar minal emaan, raqmul hadees: 49]

“Tum mein say jo shakhs burayi dekhe us ko apne haath say khatam kare, agar taaqat na ho to phir zabaan say rokey, lekin agar us ki bhi taaqat na ho to phir dil say us ko bura jane aur yeh kamzor tareen emaan hai.”

Yeh hadees mubarak tamaam munkiraat kay bare mein aam hai chahe woh burayi raasta mein ho ya ghar mein ho ya masjid mein ho ya bazar mein gaari mein ho ya jahaz mein ya kisi bhi muqaam par ho. Isi tarah tamaam mard wazan us ke hukm mein shamil hain. 

Aurat aur mard sab kay sab “Amar bil Ma’aroof” aur “Nahi anil Munkar” ka fareeza sar anjam dein. Kyun keh is mein majmui islaah wa nija’at muzmar hai. 

Burayi dekh kar bhi khawind bhai ya kisi rishte daar aur ta’alluq wale ki khatir khamosh rehna jayez aur durust nahin hai albatta sakhti aur tarshi kay bajaye husn-e-usloob aur naram goyi say kaam lena chahiye aur munasib waqt ka lehaz zaroor karna chahiye kyun keh basa auqaat ba’az log aik waqt mein kisi baat ko sunne kay liye tayyar nahin hote jab keh kisi dusre munasib waqt mein isi baat ko bakhubi qabool karne ko tayyar ho jate ho. 

Momin mard aur momina auratein neki ka hukm dene aur burayi say rokne ka fareeza sar anjaam dene mein mauqah wa munasibat ka khayal rakhte hain aur mayoos na nahin hote balkeh is ummid par woh musalsal burayi say rokte aur neki ka hukm dete rehte hain keh aaj nahin tawakkul zaroor in baaton ka qabool kiya jayega. Woh yeh kaam Allah Ta’ala par husn-e-zan aur is say ajr wa sawab ki ummid rakhte huye karte hain aur Allah Ta’ala ki raza aur bandon ki khair khwahi ki khatir is silsile ko jari rakhte hain. 

  1. CHHABBISWEEN SIFAT: NAMAZ KI PAABAND KARNA

Allah Ta’ala ka farman hai:

[ويقيمون الصلاة]

[Suratut Tauba:71]

“Aur woh namaz qayem karte hain.”

Ya’ani momin mard wa zan namaz ki pa bandi karte hain aur waqt par un ki adayigi karte hain aur tamaam ahl-e-islam moazzin ki aawaz حي على الصلوة حي على الفلاح[Aao namaz ki taraf’ aao kaamiyaabi ki taraf] sun kay fauran masjid mein ja kar apne dusre musalman bhaiyon kay sath mil ke ba jama’at namaz ada karte hain aur paanchon auqaat mein azaan sunte hi jaldi jaldi masjid mein chale jate hain. Tamam musalmanon par farz hai keh is silsile mein Allah Ta’ala ki farma bardaari karein aur is [Ghaflat wa susti] mein mubtala hone say darein jin mein logon ki aksariyat mubtala hai. 

Ya’ani munafiqon ki tarah jama’at kay sath namaz padhne ki bajaye ghar mein hi [Baghair uzr shar’i key] namaz padh lena. 

Allah Ta’ala unhein ma’af farmaye basa auqaat fajr ki namaz ko late kar kay tulu-e-shams kay ba’ad us waqt padhte hain jab kaam ko jane ka waqt hota hai aur basa auqaat namaz bilkul padhte hi nahin. 

Allah Ta’ala hamein un mein shamil na farmaye. [Aameen]

Yeh bahut badi aafat aur khatarnaak burayi hai. Namaz deen ka sutoon hai jis ney us ki hifazat ki us ney apne deen ki hifazat ki aur jis ney namaz ko zaaye kiya goya us ney tamaam deen ko zaaye kar diya aur jis ney namaz chhodi us ney kufr kiya. 

Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad garami hai. 

[العهد الذى بيننا وبينهم الصلوة فمن تركها فقد كفر]

[Sunan An-Nisai’ kitaabus salat’ baabul hukm fe tarikis salat’ raqmul hadees: 364 musnad Imaam Ahmad:5/346, tirmidhi’ kitaabul emaan’ baab ma ja’a fe tarkis salat

Page no: 50

Raqmul hadees:2641]

“Hamare aur un [Kaafiron] kay darmiyan namaz ka ahed wa paimaan hai pas jis ney us ko chhoda us ney kufr kiya. “

Is hadees ke hukm mein tamaam mard aur auratein shamil hain. 

Isi tarah Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farman hai:

[بين الرجل وبين الكفر والشرك ترك الصلوة]

[Sahih Muslim ‘kitaabul emaan ‘baab bayan itlaaq ismul kufr ala min tarakis salat hadees: 8234]

“Aadmi aur kufr wa shirk kay ma bain namaz ka farq hai.”

AZAN SUN KAR MASJID MEIN JANA FARZ HAI 

Is liye kisi momin mard aur momina aurat kay liye is mas’ala mein susti ka koi jawaz nahin hai aur na hi [Baghair uzr shar’i key] ghar mein namaz padhi ja sakti hai balkeh azaan sun kar masjid mein hazir hona farz hai. 

Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hain:

[من سمع النداء فلم بانه فلا صلوة له إلا من عذر]

[Sunan Ibn Majah kitaabul masjid’ baabul talkheez fit takhalluf anil jama’ati’ hadees: 793′ hadees sahih hai]

“Jo kisi shar’i uzr key baghair azan sun kar masjid mein na aaye to us ki namaz na hogi.”

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kay paas aik na beena aadmi aaya. Us ney kaha ya Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam main nabeena hun aur mujhe masjid ki taraf ley jane wale bhi koi nahin kiya mujhe ghar mein namaz padhne ki ijazat hai? 

Aap ney farmaya:

Kya tum azan sunte ho us ney kaha ji han, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ney farmaya to phir us ka jawab do [Ya’ani masjid mein ja kar namaz padho]. 

Page no: 51

Dekhiye us shakhs ko jo na beena tha aur koi usey masjid tak ley jane wala bhi na tha aap ney ghar mein namaz padhne ki ijazat nahin di to jo sehat mand aur beena hai us ko kaise ijazat mil sakti hai. 

Aur yeh baat bhi hadees say sabit hai keh Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ney farmaya: 

[لقد هممت أن امر بالصلوة فنقام ثم امر رجالا فيوم الناس ثم انطلق برجال معهم حزم من حطب إلى رجال لا يشتهدون الصلوة فاحرق عليهم بيوتهم]

[Sahih Bukhari’ kitaabul azan’ baab wujoob salatul jama’at’ raqmul hadees: 644. Sahih Muslim’ kitaabul masajid wa mawaziuz salat baab fazl salatul jama’at’ raqmul hadees : 651]

“Main yeh chahta hun keh main jama’at khadi karne ka hukm dun aur apni bajaye kisi dusre aadmi ko jama’at karwane kay liye kahun aur main jaon aur mere sath kuch aadmi lakadiyan uthaye huye jayein aur main un logon kay paas ja kar un kay gharon ko aag say jala dun jo namaz padhne kay liye [Masjid mein] hazir nahin huye. 

NAMAZ MEIN SUSTI KARNA MUNAFIQON KA SHEWA HAI

Mazkoorah hadees say sabit hota hai keh namaz kis qadar azeem amar hai. Pas namaz ki pabandi karna aur [Azan sunte hi] fauran masjid mein jana aur is ma’amla mein susti aur kaahili say mukammal ijtenaab karna farz hai kyun keh namaz kay ma’amla mein kaahili aur ghaflat ikhteyaar karna munafiqon ka sheywa hai Allah Ta’ala hamein us say mahfooz rakhe Aameen. 

Irshad bari Ta’ala hai:

[اِنَّ الْمُنٰفِقِيْنَ يُخٰدِعُوْنَ اللّٰهَ وَهُوَ خَا دِعُهُمْ ۚ وَاِ ذَا قَا مُوْۤا اِلَى الصَّلٰوةِ

Page no: 52

[قَا مُوْا كُسَا لٰى ۙ يُرَآءُوْنَ النَّا سَ وَلَا يَذْكُرُوْنَ اللّٰهَ اِلَّا قَلِيْلًا°]

[An-Nisa: 142]

“Beshak munafiq Allah Ta’ala say chaal baziyan karte hain aur woh unhein us chaal baziyan ka badla dene wala hai aur jab namaz kay liye khade hote hain to bahut susti aur kaahili ki halat mein khade hote hain. sirf logon ko dikhate hain. Zikr-e-ilaahi to baraye naam thoda hi karte hain.”

Pas har musalman mard aur aurat par namaz ki pa bandi karna farz hai kyun keh namaz deen islam ka sutoon aur kalima shahadat kay iqraar ke baad yeh islam ka sab say aham rukn hai. Jis ney us ki hifazat ki us ney apni deen ki hifazat ki aur jis ney us ko zaaye kiya us ney apna sara deen zaaye kar diya. 

[لا حول ولا قوة إلا بالله]

NAMAZ MEIN KHUSHU AUR IMAAM KI MUTABE’AT ZARURI HAI

Namaz ki mukhaalifat mein yeh baat bhi shamil hai keh namaz ko pure khushu say ada kiya jaye aur ada karte waqt imaam sahab say aage na badha jaye. 

Allah Ta’ala irshad farmate hain:

[قَدْ اَفْلَحَ الْمُؤْمِنُوْنَ °

الَّذِيْنَ هُمْ فِيْ صَلَا تِهِمْ خَا شِعُوْنَ °]

[Al-Mo’minun: 1,2]

“Yaqeenan momin kaamyaab ho gaye. Woh jo apni namazon mein khushu karte hain.”

Is tarah Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad garami hai:

[اسوأ الناس سرقة الذى يسرق صلاته قيل يا رسول الله {صلى الله عليه و سلم } كيف يسرق صلاته قال لا يتم ركوعها ولا سجودها]

[Musnad Imaam Ahmad: 5/310 wa sehahul hakim wa waqihuz zahbi ‘ unzur mishkatul Masabeeh[Al-bani] raqmul hadees: 885]

Page no: 53

“Logon mein bad tareen chor namaz ka chor hai aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam say kaha gaya keh aadmi namaz mein kaise chori karta hai to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ney farmaya keh woh namaz mein ruku aur Sajdah pura nahin karta. 

Aur jab Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ney us aadmi ko dekha jo apni namaz mein galati kar raha tha us ney na ruku pura kiya tha aur na hi sajdah pura kiya tha. 

To aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ney us ko namaz dobara padhne ka hukm diya aur farmaya:

[إِذَا قُمْتَ إِلَى الصَّلاَةِ فَأَسْبِغِ الْوُضُوءَ، ثُمَّ اسْتَقْبِلِ الْقِبْلَةَ فَكَبِّرْ، ثُمَّ اقْرَأْ بِمَا تَيَسَّرَ مَعَكَ مِنَ الْقُرْآنِ، ثُمَّ ارْكَعْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ رَاكِعًا، ثُمَّ ارْفَعْ حَتَّى تَسْتَوِيَ قَائِمًا، ثُمَّ اسْجُدْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ سَاجِدًا، ثُمَّ ارْفَعْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ جَالِسًا، ثُمَّ اسْجُدْ حَتَّى 

تَطْمَئِنَّ سَاجِدًا، ثُمَّ ارْفَعْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ جَالِسًا، ثُمَّ افْعَلْ ذَلِكَ فِي صَلاَتِكَ كُلِّهَا]

[Sahih Bukhari ‘Kitaabul iste’zaan, baab man radda faqaal alaikas salaam’ raqamul hadees: 6251, sahih Muslim ‘kitaabus salat’ baab wujoob qeyra’atul fatiha fe kulli rek’atin ‘ raqamul hadees: 397]

“Jab tu namaz kay liye uthe to acchi tarah pura wazu kar phir qibla rukh ho kar Allahu Akbar keh phir Qur’an paak mein say jo tere liye aasan ho padh phir pure itminaan say ruku kar’ phir seedha khada hoja phir itminaan say sajdah kar phir uth kar [Dono sajdon ke darmiyan] itminaan say baith’ phir apni baqiya namaz ko usi tariqe say ada kar.”

Aksar log namaz is qadar jaldi padhte hain jaise koi thonge maar raha hota hai. Yaqeenan yeh bahut ghalat aur na jayez harkat hai. 

Is liye keh mandarja bala hadees ki raushni mein jo shakhs thonge maar maar kar jaldi jaldi namaz padhta rahta us ki namaz batil ho jati hai. 

Page no: 54

Pas ruku aur sujood mein itminaan aur ruku ke baad dono sajdon ke darmiyan aitedaal [Puri tarah sidhe theherna] zaruri hai. Isi tarah imaam say aage padhne say bachna chahiye. Jab imaam Allahu Akbar kahe to jab tak us ki aawaz puri tarah khatam na ho jaye us waqt tak Allahu Akbar nahin kehna chahiye isi tarah ruku jate waqt jab imaam puri tarah ruku mein na chala jaye aur us ki aawaz puri tarah mokammal na ho jaye us waqt tak ruku mein nahin jana chahiye. Isi tarah sajde mein karna chahiye. Na imaam say aage badhna chahiye aur na hi us kay sath sath balkeh us kay piche piche chalna chahiye. 

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farman hai:

[إِنِّي إِمَامُكُمْ فَلاَ تَسْبِقُونِي بِالرُّكُوعِ وَلاَ بِالسُّجُودِ وَلاَ بِالْقِيَامِ وَلاَ بِالاِنْصِرَافِ]

[Sahih Muslim ‘kitaabus salat’baab tahreem sabaqul imaam baruku au sujood wa nahwa huma’ raqamul hadees: 426]

“Bey shak main tumhari imaamat kar wata hun pas tum ruku’ sujood’ qiyaam aur salaam pherne mein mujh say aage na badho.”

Aur sahih hadees mein hai keh Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ney farmaya:

[انما جعل الامام ليؤتم به فلا تختلفوا عليه فإذا كثير فكبروا ولا تكبروا حتى يكبر’ واذا ركع فاركعوا ولا تركعوا حتى يركع واذا قال سمع الله لمن حمده فقولوا ربنا لك الحمد، واذا سجد فاسجدوا ولا تسجدوا حتى يسجد]

[Sahih Bukhari ‘kitaabul azaan’ baab iqamatus saffi min tamamis salat raqamul hadees: 722,

 733, 734] 

“Imaam banaye jane ka maqsad yeh hai keh is ki iqteda ki jaye pas tum [Aage badh

Page no:55

Kar us ki mukhalifat na karo jab woh puri tarah Allahu Akbar kahe to us kay ba’ad tum Allahu Akbar kaho’ aur jab woh mukammal ruku mein chala jaye to phir tum ruku’ karo’ aur jab سمع الله لمن حمده [Allah Ta’ala ney us shakhs ki sun li jis ney us ki ta’areef ki] kahe to phir tum [ربنا ولك الحمد] [Aye hamare parwardigar tamaam ta’areefein tere liye hain] kaho’ aur jab woh puri tarah sajdah mein chala jaye to phir tum sajdah karo. 

Yeh hukm kis qadar wazeh aur saaf hai. Har us shakhs kay liye jisey Allah Ta’ala  taufeeq dey. Lekin ba’az log Allah Ta’ala hamein bachaye sabr nahin kar pate balkeh jaldi say kaam lete huye imaam say aage badhte hain. Halaankeh us say bachna farz hai. 

ISHA KE BA’AD JALDI SONA MASNOON AMAL HAI

Raat isha kay ba’ad zyada [Fizool] jagne ki bajaye jaldi sona fajr ki namaz pa bandi say ba jama’at ada karne kay liye bahut accha madad gaar hai kyun keh Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz Isha say qibl sone aur us kay ba’ad baatein karne ko na pasand farmate they. 

Pas har musalman mard-o-zan par hasab-e-isteta’at namaz ki hifazat karna’ usey waqt par ada karna aur isha kay ba’ad kam jaagna aur jaldi sona farz hai kyun keh raat der tak jagne say insan fajr ki namaz kay waqt jaag nahin pata aur jama’at say mahroom reh jata hai. Is kay liye time piece ka istemaal bahut munasib hai. 

(27) SATTAYISWEEN SIFAT: NEKI MEIN BAHIMI TA’AWUN KARNA

Namaz fajr waqt par ba jama’at ada karne kayliye subah bedaar hone mein miyan biwi ko

Page no:56

bahimi aik dusre ka is mas’ala mein ta’awun karna chahiye. Kyun keh irshad bari Ta’ala hai:

[وتعلونوا على البر والتقوى ولا تعاونا على البر والعدوان]

[Suratul Maidah: 2]

“Neki aur parhezgari par aik dusre ka ta’awun karo jab keh gunah aur zyadati par kisi ki madad na karo.”

Is tarah Allah Ta’ala farmate hain:

وَالْعَصْرِ,إِنَّ الْإِنْسَانَ لَفِي خُسْرٍ, إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَتَوَاصَوْا بِالْحَقِّ وَتَوَاصَوْا بِالصَّبْرِ]

[Suratul Asr: Mukammal]

“Zamane ki qasam yaqeenan insan sarasar khasare mein ja raha hai siwaye un logon kay jo Imaan laye aur nek amal kiye aur jinhon ney aapas mein aik dusre ko haq ki nasehat aur sabr ki talqeen ki.”

Is liye Allah Ta’ala ka azaab aane say pehle pehle haqq ki wa’z wa naseehat’ neki kay kaamon mein ta’awun aur amar bil ma’aroof aur nahi anil munkar ka fareeza zaroor ada karna chahiye. 

Sahih hadees mein Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad garami hai:

[إن الناس إذا رأوا المنكر فلم يغيروه أو شك أن يعمهم الله بعقابه]

[Sunan Ibn Majah, abwaabul fitan’ baabul amr bil ma’aroof wan naha anil munkar’ hadees: 4005 hadees sahih hai]

Jab log burayi dekh kar us ko nahin mitayenge to anqareeb Allah Ta’ala unhein apne azaab mein mubtala kar dega.”

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad garami hai:

[الدين النصيحة الدين النصيحة الدين النصيحة قيل لمن

Page no: 57

يا رسول الله صلى الله عليه و سلم قال لله ولكتابه ولرسوله ولائمة المسلمين وعامتهم]

[Sahih Bukhari ‘kitaabul emaan’baab qaulun Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ad deenun naseha. . . . ‘ raqamul hadees 57. sahih Muslim ‘ kitabul emaan’ baab bayan anid deenun naseeha’ wa raqamul hadees:55]

“deen khair khawahi ka nam hai, deen kher khawahi ka nam hai’ deen kher khawahi ka nam hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam say pucha gaya kis kay liye to aap ney farmaya Allah Ta’ala kay liye ‘is ki kitab’ us kay rasool’ islami hukmraanon aur aam musalmanon kay liye”

Aur janab Jareer bin Abdullah Bajli Raziallahu Anho kehte hain:

[بايعت النبي صلى الله عليه و سلم على اقام الصلاة وإيتاء الزكاة والنصح لكل مسلم]

[Sahih Bukhari’ kitabul emaan’ baab qaulun Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ad deenun naseha. . . . . . ‘raqamul hadees: 57 sahih Muslim ‘ kitabul emaan’baab bayan anid deenun naseeha’raqamul hadees: 56]

“Maine Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam say namaz qayem karne’ zakat ada karne aur har musalman ki khair khawahi karne par bayt ki thi.”

Har musalman par shar’i taur par yeh zimmedari aayed hoti hai keh woh jo bhi fayedamand baat sune us ko dusron tak pahunchaye. Kyun keh Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farman hai:

[وبلغوا عنى ولو اية]

[Sahih Bukhari ‘kitaab ahadeesul anbiya’ baab ma zakara an bani israyil’ raqamul hadees:3450]

“Meri taraf say tumhein aik farman bhi mile to usko dusron tak pahunchao.”

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam logon ko khutba dete waqt farmaya karte they:

Page no: 58

[ليبلع المشاهد الغائب فرب مبلغ اوعى من سامع]

[Sahih Bukhari kitabul hajj’ baabul khutbata aayamin minni raqamul hadees:1721]

“Jo maujood hai woh apne is bhai tak pahuncha dey jo yahan maujood nahin’ kyun keh bahut say aisey log jinhein baat pahunchai jaye sunne wale say zyadah yaad rakhne wale hote hain.”

(28)ATTHAYEESWIN SIFAT: ILM KI RAAH PAR CHALNA

Fazilat-e-ilm kay mutalliq Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farman hai:

[من سلك طريقا يلتمس فيه علماء سهل الله له به طريقا إلى الجنة]

[Sahih Bukhari ‘kitabuz zikr wad du’a’ baab fazlul ijteyma ala teylawatil qur’an. . . . raqamul hadees: 2699]

“Jo shakhs husool-e-ilm ki khatir kisi raaste par chalta hai to Allah Ta’ala us kay liye jannat ka raasta aasan farma deta hai.”

Is azeem hadees kay zaman mein har woh shakhs bhi aa jata hai jo ilm seekhne aur us say mustafeed hone ke liye masjid mein jata hai ya kisi aisi jagah jata hai jahan ilmi halqe qayem hon ya wa’z wa nasehat ka saman maujood ho. 

Isi tarah Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad garami hai:

[من يرد الله به خيرا يفقهه فى الدين]

[Sahih Bukhari’ kitabul ilm’ baab mayy yuridil lahu bihi khairan raqamul hadees:71. sahih muslim’ kitabuz zakat’ baabun naha anil maslati raqamul hadees: 1037]

“Allah Ta’ala jis shakhs say bhalayi ka irada karna chahta hai us ko deen ki samajh bujh ata kar deta hai. 

Page no: 59

Isi tarah Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farman hai:

[نضَّر الله امرءًا سمِع مقالَتي فوعاها وحفِظها وبلَّغها فرُبَّ حاملِ فقهٍ إلى من هو أفقهُ منه]

[Musnad Ahmad: 5/183. hadees sahih hai. dekhiye mishkat[Al-Albani] raqamul hadees: 2280]

“Allah Ta’ala us shakhs ko taro taza rakhe jo meri hadees ko sunta hai phir us ko zehen nasheen karta hai phir jaise us ney suni hai usi tarah us ko aage pahuncha deta hai. Kitne Faqeeh hone ka da’wa karna wale Faqeeh nahin hote aur kitne fiqh kay aisey da’wedaar hain keh un say badh kar Faqeeh maujood hote hain.”

Isi tarah Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farman hai:

[ما اجتمَعَ قومٌ في بيتٍ من بيوتِ اللَّهِ يتلونَ كتابَ اللَّهِ ، ويتدارسونَهُ فيما بينَهم إلَّا نزلَت عليهِم السَّكينةُ ، وغشِيَتهُمُ الرَّحمةُ ، وحفَّتهُمُ الملائكَةُ ، وذكرَهُمُ اللَّهُ فيمَن عندَهُ]

[Sahih Muslim’ kitabuz zikr wad du’a. . . . . baab fazlul ijteyma ala teylawatil qur’an wa alaz zikr’ hadees:2699]

“Jo log Allah Ta’ala kay gharon mein say kisi ghar mein jama ho kar Allah Ta’ala ki kitab tilawat karte hain aur us ki ta’leem wa tardeed mein masroof rehte hain. Un par sakeenat nazil hoti hai aur unhein rahmat khuda wandi dhaamp leti hai aur farishte unko apne ghere mein liye huye hote hain aur Allah Ta’ala un ka tazkirah apne muqarrib farishton mein farmate hain.”

Isi hadees say yeh sabit hota hai keh ilmi majlison mein musabiqat karna aur un ka ehtemaam karna aur Qur’an paak ki tilawat karna aur us ki ta’leem wa tadrees par mushtamil ijtema’aat mein zauq wa shauq say shirkat karna shar’an mustahsan hai. isi tarah radio waghaira par nashar hone

Page no: 60

wale aisey deeni programon ko bhi sunna bahut mufeed hai jin mein Qur’an wa sunnat ki nashar-o-isha’at hoti hai. Aise programon ki sar parasti karne wale log sahib-e-ilm wa baseerat aur salafi aqeede wale hone chahiyen. 

Phir yeh baat bhi jaanna keh Allah Subhanahu Wa Ta’ala ney jinn wa ins ko apni iba’dat kay liye paida farmaya hai aur iba’dat kay liye ilm ka hona zaruri hai kyun keh jis iba’dat ka insan ko mukallaf banaya gaya hai us ko ilm wa aagahi aur tafqa fid deen kay baghair nahi samjha ja sakta hai. 

Irshad bari Ta’ala hai:

[وما خلقت الجن والإنس إلا ليعبدون]

[Suratuz Zaariyat: 56]

“Ki main ney jinn wa ins ko sirf apni iba’dat kay liye paida farmaya hai.”

Iba’dat jis ko seekhna aur samajhna zaruri hai woh cheez hai jisey Allah Ta’ala ney apne bandon kay liye mashru’ aur pasand farmaya hai. 

Jaise : Namaz,Zakat aur roza waghairah hai. 

(29) UNTEESWIN SIFAT: ZAKAT ADA KARNA

Unteeswin sifat yeh hai keh momin apne maalon say zakat bhi nikalte hain. 

Irshad bari Ta’ala hai:

[ويؤتون الزكاة]

[Suratut Tauba:71]

“Woh zakat ki adayegi karte hain.”

Zakat ada karna maal ka haqq hai. 

Har musalman par wajib hai keh woh khalis Allah Ta’ala ki raza us say sawab ki ummid aur us kay azaab kay khauf say apne maal mein say zakat ki adayegi kare aur haqq daron tak maal pahunchaye. Allah Ta’ala ney Qur’an paak mein zakat kay haqq daron ka tazkirah farmaya hai:

[انما الصدقات للفقراء و المساكين والعالمين عليها والمؤلفة

 

Page no: 61

قُلُوْبُهُمْ وَفِى الرِّقَا بِ وَا لْغٰرِمِيْنَ وَفِيْ سَبِيْلِ اللّٰهِ وَا بْنِ السَّبِيْلِ ۗ فَرِيْضَةً مِّنَ اللّٰهِ ۗ وَا للّٰهُ عَلِيْمٌ حَكِيْمٌ]

[Suratut Tauba:60]

“Sadqaat sirf faqeeron, masakeen, un kay wasool karne walon, taleef quloob, gardanon ki aazadi, maqrooz par Allah Ta’ala ki raah mein aur musafiron kay liye hai. Yeh farz Allah Ta’ala ki taraf say hai aur Allah Ta’ala ilm wa hikmat wala hai”

[30] TEESWIN SIFAT: ALLAH TA’ALA AUR US KAY RASOOL KI FARMABARDARI KARNA

Mominon ki teeswin sifat yeh bayan ki gayi hai keh woh har kaam mein Allah Ta’ala aur us kay Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itaa’at aur farma bardari karte hain. 

Irshad bari Ta’ala hai:

[ويطيعون الله ورسوله]

[Suratut Tauba: 71]

“Aur woh Allah Ta’ala aur us kay Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itaa’at karte hain.”

Is aayat mein Allah Ta’ala ney namaz’ zakat’ mominon say dosti aur amar bil ma’aroof aur nahi anil munkar kay bayan kay ba’ad Allah aur us kay Rasool ki itaa’at ka hukm diya hai. 

Ya’ani tamam momin har kaam aur har halat mein Allah Ta’ala aur us kay Rasool ki farmabardaari karte hain ya’ani amar bil ma’aroof aur nahi anil munkar kay fareeza ko sar anjam dene mein aur namaz aur zakat ki adayegi mein balkeh tamam ahkam aur nawahi mein woh har haal aur har maqam par Allah aur us kay Rasool ki itaa’at karte hain. Is kay baghair deen mukammal nahin.

Page no: 62

YAHI LOG QABIL-E-REHEM HAIN

Mazkurah sifat kay haamilain kay muta’alliq Allah Ta’ala irshad farmate hain:

[اولئك سير حمهم الله]

[Suratut Tauba:71]

“Unhi logon par anqareeb Allah Ta’ala rehem farmayega.”

Allah Ta’ala ney apne is farman say yeh baat wazeh kar di hai keh jo log Allah kay deen par qayem dayem rehte huye us ka haqq ada karte rehte hain aur Allah Ta’ala aur us kay Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itaa’at wa farma bardaari karte hain yahi log isteqaamat deen’ Allah aur us kay Rasool ki itaa’at aur un par Imaan rakhne aur Allah kay haqq ki adayegi kay sabab dono jahanon mein rahmat-e-ilahi kay mustahiq hain. 

Allah Ta’ala ka yeh farmaan is baat par bhi dalalat karta hai keh aisi umdah sifaat say munh pherne wala aur un mein ghaflat baratney wala khud ba khud apne aap ko azaab ilaahi aur us kay ghazab wa gussa ki da’wat deta hai kyun keh rahmat ilahi ka husool to nek a’maal Allah ki itaa’at aur us kay ahkamaat ki baja aawri say mumkin hai aur jo shakhs apni khawahishat aur shaitan ki pairwi karte huye us say munh pher leta hai us ka thikana qayamat kay din jahannam hoga. 

Irshad bari Ta’ala hai:

[فَأَمَّا مَنْ طَغَى° وَآثَرَ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا ° فَإِنَّ الْجَحِيمَ هِيَ الْمَأْوَى°]

[Suratun Nazi’aat: 37]

“Pas jis ney sarkashi ki aur duniya ki zindagi ko tarjeeh di us ka thikana jahannam hi

Page no: 63

hai. Haan jo shakhs apne rab kay samne khada hone sar dar gaya aur apne nafs ko khawahishat say roka to us ka thikana jannat hi hai.”

DU’A-E-KHAIR 

Pas ham Allah Rabbul izzat say us kay asmaul husna aur a’la sifaat kay sath du’a go hain keh ham musalmanon ko ilm naafe aur ‘amal saleh ki taufeeq ata farmaye aur hamare quloob wa a’maal ki islaah farmaye aur hamein haqq ki tableegh, sabr ki talqeen, neki aur taqwa ki bunyad par bahimi ta’aawun aur aakhirat ko duniya par tarjeeh dene ki taufeeq ata farmaye. 

Allah Ta’ala hamein apne quloob wa a’maal ki salamati aur har jagah maujood tamam musalmanon ko fayeda pahunchane ki hirs aur tamanna ata farmaye. 

Ham Allah Subhanahu Wa Ta’ala say du’a go hain keh woh apne deen ki nusrat farmaye aur apne kalima ko buland farmaye aur tamam musalman hukmraanon ko is ki taufeeq ata farmaye aur un kay dilon aur un kay a’maal ki islaah farmaye aur unhein apni deen ki pukhta samajh bujh ata farmaye aur unhein insharah sadar ata farmaye taakeh woh us ki shari’at aur ahkam ko nafiz kar sakein aur us kay mutabiq faisle kar sakein aur phir us par qayem dayem rahein. 

Aur Allah Rabbul Izzat say du’a hai keh woh ham sab musalmanon aur islami hukmraanon ko gumrah kun fitnon aur gumrahi kay tamam raaston say mahfooz rakhe aur dushmanaan islam ko har jagah zaleel wa khwaar kare aur un ka dayera-e-kaar tang kare aur Allah ki rah mein bar sar-e-paikaar hamare bhaiyyon ki har jagah madad farmaye. 

Allah Rabbul izzat us kay layeq aur qadir hai. 

Wa Sallallahu wa sallam ala nabiyyina Muhammad wa aalihi wa sahbihi

Table of Contents