Search
Sections
< All Topics
Print

AURAT KA APNEY BAAL CHOTEY KARWANA [Women cutting their hair short]

Sawal: 1192

AURAT KA APNEY BAAL CHOTEY KARWANA

 

Zuroorat ki bina paraurat kay liye apney baal chotey karaney ka kiya hukum hai, maslan yahaan Bartaniya mein aurton Ka khayal hai ke lambey aur zayada baal shadeed sardi kay mosam mein dhoney aur ghusl karna mushkil hai, iss liye wooh apney baal chotey kartii karti hain, kiya yeh sahi hai?

 

Jawab ka matan

 

Alhamdulillah

Agar to waqiyatan aisa hi hai jaisa bayan kiya gaya hai, to unkay liye baa qaadr e zuroorat apney baal chotey karney jayez hain, sirf zuroorat tak, lekin agar woh kafira auraton se mushabehat kay liye chotey karein to yeh jayez nahi, kiyon ke Rasool e Kareem (ﷺ) Ka farman hai:

“Jo koi kisi qaum ki mushaabehat ikhtiyar karta hai to woh inhi mein se hai.”

Aur issi tarah aurton Kay liye apney baal iss tarah chotey karney jayez nahi ke woh mardon kay baloon jaisey ho jaen , kiyon ke Ibn e Abbas (رضی اللہ عنہم) ki hadees mein hai ke:

” Rasool e Kareem (ﷺ) ne mardon mein se aurton ki mushaabehat ikhtiyar karney walon aur aurton mein se mardon ki mushaabehat ikhtiyar karney waliyon par la’anat farmayee.”

Note: Aurton ko chaheiye ke baal chotey na karwaen , balkeh ghusl kay liye ab to garam pani mojood hai, aur khas kar Bartaniya mein sahooliyaat to aur bhi zayada hain, aur phir ghusl karney kay liye aurat ko apney baloon ki meendhiyaan kholney ki bhi zuroorat nahi balkeh woh apney sar par pani bahaye aur sar ki jild aur baloon ko tarr kar le yeh hadees se sabit hai.

 

Wallahu Aalam.

 

REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/1192/women-cutting-their-hair-short

Question

What is the ruling about women cutting their hair short for reasons of necessity? For example, in Britain, the women think that washing thick hair is too difficult in a cold climate, so they cut their hair short.

 

Answer

 

Praise be to Allah.

If that is indeed the case, then it is permissible for them to cut their hair short, but only as short as is necessary, and they are not permitted to cut their hair short to look like kaafir women, because the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said, “Whoever imitates a people is one of them.”

(Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/182). Similarly, they are not permitted to cut their hair short in ways that resemble men’s hairstyles, because of the hadeeth of Ibn ‘Abbaas (may Allaah be pleased with them both) who said: “The Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) cursed men who imitate women and women who imitate men.” (Reported by al-Bukhaari, 5435). And Allaah knows best.

 
 
 
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/1192/women-cutting-their-hair-short

عورت كا اپنے بال چھوٹے كروانا

سوال

ضرورت كى بنا پر عورت كے ليے اپنے بال چھوٹے كرنے كا حكم كيا ہے، مثلا يہاں برطانيا ميں عورتوں كا خيال ہے كہ لمبے اور زيادہ بال شديد سردى كے موسم ميں دھونے اور غسل كرنا مشكل ہے، اس ليے وہ اپنے بال چھوٹے كرتى ہيں، كيا يہ صحيح ہے ؟
 

جواب کا متن

الحمد للہ.

اگر تو واقعتا ايسا ہى ہے جيسا بيان كيا گيا ہے، تو ان كے ليے بقدر ضرورت اپنے بال چھوٹے كرنے جائز ہيں، صرف ضرورت تك، ليكن اگر وہ كافرہ عورتوں سے مشابہت كے ليے چھوٹے كريں تو يہ جائز نہيں، كيونكہ رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم كا فرمان ہے:

” جو كوئى كسى قوم سے مشابہت اختيار كرتا ہے تو وہ انہى ميں سے ہے “

اور اسى طرح عورتوں كے ليے اپنے بال اس طرح چھوٹے كرنے جائز نہيں كہ و ہ مردوں كےبالوں جيسے ہو جائيں، كيونكہ ابن عباس رضى اللہ تعالى عنہما كى حديث ميں ہے كہ:

” رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے مردوں ميں سے عورتوں كى مشابہت اختيار كرنے والوں اور عورتوں ميں سے مردوں كى مشابہت اختيار كرنےواليوں لعنت فرمائى “

نوٹ: عورتوں كو بال چھوٹے نہ كروائيں، بلكہ غسل كے ليے اب تو پانى گرم موجود ہے، اور خاص كر برطانيا ميں سہوليات تو اور بھى زيادہ ہيں، اور پھر غسل كرنے كے ليے عورت كو اپنے بالوں كى ميڈياں كھولنے كى بھى ضرورت نہيں بلكہ وہ اپنے سر پر پانى بہائے اور سر كى جلد اور بالوں كو تر كر لے يہ حديث سے ثابت ہے.

واللہ اعلم .

 

REFERENCE:

 

https://islamqa.info/ur/answers/1192/%D8%B9%D9%88%D8%B1%D8%AA-%D9%83%D8%A7-%D8%A7%D9%BE%D9%86%DB%92-%D8%A8%D8%A7%D9%84-%DA%86%DA%BE%D9%88%D9%B9%DB%92-%D9%83%D8%B1%D9%88%D8%A7%D9%86%D8%A7

 

 

Table of Contents