JISM GUDWANAY AUR ABROO KAY BAAL UKHARNAY AUR DAANT RAGHAR KAR BARIK KARNAY KI MUMANIYAT KAY DALAIYL [Evidence that tattooing, plucking the eyebrows and filing the teeth is haraam]
Sawal: 21119
Aurton ka abroo kay baal ukhairhney kay muta’liq Islam mein kiya hukm hai, aur agar mumkin ho sakey to is mozu kay muta’liq Ahadees bhi zikr karein ?
Jawab ka matan
Alhamdulillah .
Awwal :
Allah (سبحانہ و تعالى) ne aurat ke liye abroo kay baal ukherhney aur katna yaa zayel karna haram kiya hai, aur lughat mein ussey al-nams kaha jata hai jo ke darj e zail dalaiyel ki bina par haram hai :
1 – Allah (سبحانہ و تعالى) ka farman hai :
{Yeh to Allah Ta’ala ko chorh kar sirf aurton ko pukartey hain, aur dar asal yeh sirf sar kash shaitan ko poojtey hain}
{Jis par Allah Ta’ala ne laanat ki hai, aur is ne yeh keh rakha hai ke mein terey bandon mein se muqarrar shuda hissa le kar rahon ga}
{Aur inhein seedhi raah se behkata rahon ga, aur batil umeedein dilata rahon ga, aur inhein sikhaa’on ga ke janwaron kay kaan (ear) cheer dein, aur un se kahon ga ke Allah Ta’ala ki banaee hui soorat ko bigaarh dein, suno! jo shakhs Allah ko chorh kar shaitan ko apna rafeeq banaye ga woh sareeh nuqsaan mein doobey ga.}
[Al-Nisaa ( 117 – 119 ) ].
Is aayet mein shahid yeh hai ke: Shaitan mardood logon ko Allah Ta’ala ki paida kardah soorat mein tabdeeli ka hukum de ga, aur ba’az mufas’sireen ne is ki tafseer yeh ki hai ke is se muraad jism gudwana, aur abroo bareek karna, aur daant ragarh kar un mein faasla karna hai, jaisa ke aagey bayan bhi hoga .
Imam Qartabi (رحمہ اللہ) is aayet ki tafseer mein kehtey hain :
Aik giroh ka kehna hai :
Yeh jism gudwaney aur is kay qayem muqaam jo khoobsurat ban’nay ki koshish karney ki taraf ishara hai, Ibn e Mas’ud aur Hasan ka yahi qoul hai .
Dekhiye : Tafseer Qartabi ( 392/5 ) .
2 – Abdullah bin Mas’ud (رضى اللہ عنہما ) bayan kartey hain ke :
” Allah Ta’ala jism goodney, aur jism gudwaney, aur abroo kay baal ukhairhney, aur khoobsurati kay liye danton ko ragarj kar un mein faasla karney Allah Ta’ala ki paida kardah soorat mein tabdeeli karney walion par laanat karey. “
To yeh qoul Banu Asad ki aik aurat Um e Yaqoob tak pohoncha to woh Abdullah (رضى اللہ عنہ ) kay paas aa kar kehney lagi : aap ne aesi aesi aurton par laanat ki hai ?
To woh farmaney lagey : mujhey kiya hai ke mein is par laanat nah karon jis par Rasool e Kareem (ﷺ) ne laanat farmayi hai, aur jo kitab ullah mein bhi hai ?
To woh aurat kehney lagi : Mein ne to 2 takhtiyon kay darmiyan sara Qur’an e Majeed parha hai, aur jo kuch aap keh rahey hain mujhey to woh nahi mila .
Abdullah (رضى اللہ عنہ ) ne farmaya : agar tu ne waqe’atan parha hota tumhein zuroor mil jata, kiya tu ne Allah (سبحانہ و تعالى) ka yeh farmaan nahi parha :
{Aur jo kuchh tumhein Rasool (ﷺ) dein, tum ussey le liya karo, aur jis se man’a karein us se ruk jaya kro}
Al-Hashr ( 7 )
To woh aurat kehney lagi : kiyon nahi mein ne yeh farman parha hai, to Abdullah (رضى اللہ عنہ) ne farmaya : to Rasool e Kareem (ﷺ) ne is se mana farmaya hai .
Woh kehney lagi : merey khayaal mein teray ghar waliyaan bhi yeh kaam karti hain .
To Abdullah (رضى اللہ عنہ) kehney lagey : jao ja kar dekh lo, to woh aurat un kay ghar gaee aur ussay iss tarah ki koi cheez nazar na aayi.
Abdullah (رضى اللہ عنہ) farmanay lagey : “agar aisa muamla hota to woh hamarey saath reh nahi sakti thi. “
[Sahih Bukhari: 4604 Sahih Muslim: 2125 ]
Imam Qartabi (رحمہ اللہ )” Al-Washm” ka mani kartey huey kehtey hain :
Aur washm haathon mein ho sakta hai, aur woh yeh ke aurat apni hathaili ki pusht aur kalaa’ee mein suee se suraakh kar kay iss mein surma waghaira bhar day to woh sabz ho jaye, to iss ne washm kiya, aur yeh waashmah hai .
Aur al-mashtushama : woh aurat jis kay yeh amal kiya jaye, Al-Hurwi⭕ ka yahi qawl hai .
Dekhein : Tafseer Al-Qartabi ( 392/5 ) .
Aur Ibn e Hajar (رحمہ اللہ) ” al-nams” ke ma’ni mein kehtey hain :
Al – utnamisaat : Mutnamisah ki jama hai .
Aur Ibn Al- Jawzi (رحمہ اللہ) bayan kartey hain ke : mutnamisah noon se qabal meem yeh ullat aur maqloob hai, aur al-mat’namisah woh aurat hai jo nams yaani eyebrow ke baal ukhairna talb karey .
Aur al-namisah: woh aurat hai jo baal ukhairhay .
Aur al-nams: mochney waghairah se chehraley ke baal ukhairhney ko kaha jata hai, aur issliye al-mankaash yani mochney ko manmaas bhi kaha jata hai .
Aur aik qoul yeh hai ke: al-namaas abroo ko bareek karney yaa barabar karney kay liye abroo kay baal zayel karney ko al-namaas kehtey hain .
Sunan Abu Dawud mein Abu Dawud (رحمہ اللہ) kehtey hain : al-namisa : woh aurat hai jo abroo kay baal nochey hatta ke woh bareek ho jayein .
Dekhein : Fatah Al-Bari ( 377/10 ) .
Aur al-mutafalijaat kay ma’ni mein kehtey hain :
Al-mutafalijaat : matafaljah ki jama hai, aur yeh is aurat ko kaha jata hai jo daanton kay mabain faasla karwaye yaa karey .
Al-Falj : faa’ aur laam aur jeem ke saath : iss ka ma’ni saamnay waley 2 daanton kay darmiyan faasla karna hai .
Aur al-falj : Yeh 2 miley huey daanton kay darmiyan reti waghairah se ragarh kar faasla kiya jaye, aur yeh aam tor par saamney waley 2 yaa 4 daanton kay baeen hota hai, aur aurat kay danton mein yeh Khoobsurat aur acha mehsoos kiya jata hai, ho sakta hai yeh is aurat ne khud kiya ho jis kay daant aapas mein miley huey they taa ke woh mutafaljah ya’ani daanton mein faasla wali ban jaye, aur ba’az auqaat barhi umar ki aurat bhi aisa karti hai taa ke kam umar ki nazar aaye ؛ kiyon ke ghaliban choti umar ki aurat kay daanton mein faasla hota hai, aur barhi ho kar aapas mein mil jatay hain. “
Dekhein : Fatah Al-Bari ( 372/10 ) .
Qartabi (رحمہ اللہ ) kehtey hain :
” Aur yeh sab umoor kay faa’il par ahaadees mein laanat ki gayi hai, aur yeh kabayer mein shaamil hotey hain, aur jis ma’ni ki bina par iss sey mana kiya gaya hai iss mein ikhtelaaf hai :
Aik qoul yeh hai keh : yeh tadlees aur chupao ki bina par hai .
Aur aik qoul yeh hai ke : Allah Ta’ala ki paida kardah soorat mein tabdeeli ki wajah se hai, jaisa ke Ibn Mas’ud (رضى اللہ عنہما ) ka qoul hai, aur sahi bhi hai, jo ke pehlay ma’ni ko bhi mutzamin hai .
Phir aik qoul yeh bhi hai keh : yeh iss se man’a kiya gaya hai jo baqi rahey ؛ kiyon ke yeh Allah Ta’ala ki paida kardah soorat mein tabdeeli mein se hai, lekin agar baqi na rahey balkeh khatam ho jaye maslan surmah yaa aurtein jis se banao singhar karti hain, to ulamaah ne is ki ijazat di hai .
Dekhein : Tafseer Qartabi( 393/5 ) .
Mazeed tafseel ke liye aap sawal number ( 13744 ) kay jawab ka mutale’aa zuroor karein .
Wallahu Aalam .
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/21119/evidence-that-tattooing-plucking-the-eyebrows-and-filing-the-teeth-is-haraam
Evidence that tattooing, plucking the eyebrows and filing the teeth is haraam
Question
What is the Islamic ruling on women reducing their eyebrows? Please quote the specific ahaadeeth if possible.
Answer
Praise be to Allah.
Firstly:
Allaah has forbidden women to remove any part of the hair of their eyebrows; this action is called al-namas in Arabic, and it is haraam because of the following evidence:
1 – Allaah says (interpretation of the meaning):
“They (all those who worship others than Allaah) invoke nothing but female deities besides Him (Allaah), and they invoke nothing but Shaytaan (Satan), a persistent rebel!
Allaah cursed him. And he [Shaytaan (Satan)] said: ‘I will take an appointed portion of your slaves.
Verily, I will mislead them, and surely, I will arouse in them false desires; and certainly, I will order them to slit the ears of cattle, and indeed I will order them to change the nature created by Allaah.’ And whoever takes Shaytaan (Satan) as a Wali (protector or helper) instead of Allaah, has surely, suffered a manifest loss”
[al-Nisa’ 4:117-119]
The relevant point in this verse is that Iblees will tell people to change the creation of Allaah. Some of the mufassireen interpreted it by saying that what is meant here in this verse is tattooing, plucking the eyebrows and filing the teeth, as we shall see below.
Al-Qurtubi said in his commentary on this verse:
A group said what was meant by changing the creation of Allaah was tattooing and other things that are done for the purpose of beautification. This was stated by Ibn Mas’ood and al-Hasan.
Tafseer al-Qurtubi, 5/392
2 – It was narrated that ‘Abd-Allaah said: “Allaah has cursed the women who do tattoos and those who ask for tattoos to be done, those who ask for their eyebrows to be plucked, and the women ask for their teeth to be filed for the purpose of beautification, changing the creation of Allaah.” A woman from the tribe of Bani Asad whose name was Umm Ya’qoob heard of that and she came and said, “I have heard that you have cursed So and so and So and so.” He said, “Why should I not curse those whom the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) cursed and who are mentioned in the Book of Allaah?’ She said, “I have read what is between the two covers [of the Qur’aan], and I did not find anything in it like what you have said.” He said, “If you have read it, have you not read that Allaah says,
‘And whatsoever the Messenger (Muhammad) gives you, take it; and whatsoever he forbids you, abstain (from it)’
[al-Hashr 59:7]?”
She said, “Of course.” He said, “He forbade that.” She said, “I think your wife does it.” He said, “Go and look.” So she went and looked and she did not see what she was looking for. He said, “If she had been like that, she would not be with us.”
Narrated by al-Bukhaari, 4604; Muslim, 2125
Al-Qurtubi said concerning the meaning of tattooing:
Tattooing is done on the hand; it involves piercing the back of the hand with a needle and filling it with kohl or another substance so that it changes colour. [Translator’s note: this refers to the type of tattooing known at that time]
Tafseer al-Qurtubi, 5/392.
Ibn Hajar said concerning the meaning of plucking the eyebrows:
The mutanammisah is the one who asks another to pluck her eyebrows, and the naamisah is the one who does it. Al-nimaas means removing the hair of the face with tweezers. It was said that the word nimaas refers specifically to removing hair from the eyebrows in order to reduce them or make them straight. Abu Dawood said in al-Sunan: al-naamisah is the one who plucks the eyebrows in order to reduce them.
Fath al-Baari, 10/377
It was said concerning the meaning of those who ask for their teeth to be filed (al-mutafallijaat)
This refers to one who asks for her teeth to be filed or who does that. Falj means making a gap between two teeth and tafalluj means making a gap between two attached things by means of filing or the like. This was usually done to the incisor and the eyetooth for the purpose of beautification. A woman might do this if her teeth were close together so that she would have gaps between her teeth, or an old woman might have do to make it look as if she were younger, because young women usually have gaps between their teeth that disappear as the woman gets older.
Fath al-Baari, 10/372
Al-Qurtubi said:
With regard to all of these matters, the ahaadeeth indicate that those who do them are cursed and that they are major sins. But there is some difference of scholarly opinion concerning the reason why they are forbidden. It was said that it is because it is a kind of deception, or because it is changing the creation of Allaah, as Ibn Mas’ood said. This is more correct, and it also includes the first meaning. And it was said that what is prohibited is what is permanent, because it is changing the creation of Allaah; with regard to what is not permanent, such as kohl and make-up, the scholars have permitted that.
Tafseer al-Qurtubi, 5/393.
See also question no. 13744.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/21119/evidence-that-tattooing-plucking-the-eyebrows-and-filing-the-teeth-is-haraam
جسم گدوانے اور ابرو كے بال اكھيڑنے ا ور دانت رگڑ كر باريك كرنے كى ممانعت كے دلائل
سوال
عورتوں كا ابرو كے بال اكھيڑنے كے متعلق اسلام ميں كيا حكم ہے، اور اگر ممكن ہو سكے تو اس موضوع كے متعلقہ احاديث بھى ذكر كريں ؟
جواب کا متن
الحمد للہ.
اول:
اللہ سبحانہ و تعالى نے عورت كے ليے ابرو كے بال اكھيڑنے اور كاٹنا يا زائل كرنا حرام كيا ہے، اور لغت ميں اسے النمص كہا جاتا ہے جو كہ درج ذيل دلائل كى بنا پر حرام ہے:
1 – اللہ سبحانہ و تعالى كا فرمان ہے:
يہ تو اللہ تعالى كو چھوڑ كر صرف عورتوں كو پكارتے ہيں، اور دراصل يہ صرف سركش شيطان كو پوجتے ہيں
جس پر اللہ تعالى نے لعنت كى ہے، اور اس نے يہ كہہ ركھا ہے كہ ميں تيرے بندوں ميں سے مقرر شدہ حصہ لے كر رہونگا
اور انہيں سيدھى راہ سے بہكاتا رہونگا، اور باطل اميديں دلاتا رہوں گا، اور انہيں سكھاؤں گا كہ جانوروں كے كان چير ديں، اور ان سے كہوں گا كہ اللہ تعالى كى بنائى ہوئى صورت كو بگاڑ ديں، سنو! جو شخص اللہ كو چھوڑ كر شيطان كو اپنا رفيق بنائےگا وہ صريحا نقصان ميں ڈوبےگا النساء ( 117 – 119 ).
اس آيت ميں شاہد يہ ہے كہ: شيطان مردود لوگوں كو اللہ تعالى كى پيدا كردہ صورت ميں تبديلى كا حكم دےگا، اور بعض مفسرين نے اس كى تفسير يہ كى ہے كہ اس سے مراد جسم گدوانا، اور ابرو باريك كرنا، اور دانت رگڑ كر ان ميں فاصلہ كرنا ہے، جيسا كہ آگے بيان بھى ہو گا.
امام قرطبى رحمہ اللہ اس آيت كى تفسير ميں كہتے ہيں:
ايك گروہ كا كہنا ہے: يہ جسم گدوانے اور اس كے قائم مقام جو خوبصورت بننے كى كوشش كرنے كے طرف اشارہ ہے، ابن مسعود اور حسن كا يہى قول ہے.
ديكھيں: تفسير قرطبى ( 5 / 392 ).
2 – عبد اللہ بن مسعود رضى اللہ تعالى عنہما بيان كرتے ہيں كہ:
” اللہ تعالى جسم گودنے، اور جسم گدوانے، اور ابرو كے بال اكھيڑنے، اور خوبصورتى كے ليے دانتوں كو رگڑ كر ان ميں فاصلہ كرنے اللہ تعالى كى پيدا كردہ صورت ميں تبديلى كرنے واليوں پر لعنت كرے “
تو يہ قول بنو اسد كى ايك عورت ام يعقوب تك پہنچا تو وہ عبد اللہ رضى اللہ تعالى عنہ كو پاس آ كر كہنے لگى: آپ نے ايسى ايسى عورتوں پر لعنت كى ہے ؟
تو وہ فرمانے لگے: مجھے كيا ہے كہ ميں اس پر لعنت نہ كروں جس پر رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے لعنت فرمائى ہے، اور جو كتاب اللہ ميں بھى ہے ؟
تو وہ عورت كہنے لگى: ميں تو دو تختيوں كے درميان سارا قرآن مجيد پڑھا ہے، اور جو كچھ آپ كہہ رہے ہيں مجھے تو وہ نہيں ملا.
عبد اللہ رضى اللہ تعالى عنہ نے فرمايا: اگر تو نے واقعتا پڑھا ہوتا تمہيں ضرور مل جاتا، كيا تو نے اللہ سبحانہ و تعالى كا يہ فرمان نہيں پڑھا:
اور جو كچھ تمہيں رسول ( صلى اللہ عليہ وسلم ) ديں، تم اسے لے ليا كرو، اور جس سے منع كريں اس سے رك جايا كرو الحشر ( 7 ) ؟
تو وہ عورت كہنے لگى: كيوں نہيں ميں نے يہ فرمان پڑھا ہے، تو عبد اللہ رضى اللہ تعالى عنہما نے فرمايا: تو رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے اس سے منع فرمايا ہے.
وہ كہنے لگى: ميرے خيال ميں تيرے گھر والياں بھى يہ كام كرتى ہيں.
تو عبد اللہ رضى اللہ تعالى عنہما كہنے لگے: جاؤ جا كر ديكھ لو، تو وہ عورت ان كےگھر گئى اور اسے اس طرح كى كوئى چيز نظر نہ آئى.
عبد اللہ رضى اللہ تعالى عنہما فرمانے لگے: اگر ايسا معاملہ ہوتا تو وہ ہمارے ساتھ رہ نہيں سكتى تھى “
صحيح بخارى حديث نمبر ( 4604 ) صحيح مسلم حديث نمبر ( 2125 ).
امام قرطبى رحمہ اللہ ” الوشم ” كا معنى كرتے ہوئے كہتے ہيں:
اور وشم ہاتھوں ميں ہو سكتا ہے، اور وہ يہ كہ عورت اپنى ہتھيلى كى پشت اور كلائى ميں سوئى سے سوراخ كر كے اس ميں سرمہ وغيرہ بھر دے تو وہ سبز ہو جائے، تو اس نے وشم كيا، اور يہ واشمہ ہے.
اور المستوشمۃ: وہ عورت جس كے يہ عمل كيا جائے، الھروى كا يہى قول ہے.
ديكھيں: تفسير القرطبى ( 5 / 392 ).
اور ابن حجر رحمہ اللہ ” النمص ” كے معنى ميں كہتے ہيں:
” المتنمصات: متنمصۃ كى جمع ہے.
اور ابن الجوزى رحمہ اللہ بيان كرتے ہيں كہ: منتمصۃ نون سے قبل ميم يہ الٹ اور مقلوب ہے، اور المتنمصۃ وہ عورت ہے جو نمص يعنى ابرو كے بال اكھيڑنا طلب كرے.
اور النامصۃ: وہ عورت ہے جو بال اكھيڑے.
اور النماص: موچنے وغيرہ سے چہرے كے بال اكھيڑنے كو كہا جاتا ہے، اور اسى ليے المنقاش يعنى موچنے كو منماص بھى كہا جاتا ہے.
اور ايك قول يہ ہے كہ: النماص ابرو كو باريك كرنے يا برابر كرنے كے ليے ابرو كے بال زائل كرنے كو النماص كہتے ہيں.
سنن ابو داود ميں ابو داود رحمہ اللہ كہتے ہيں: النامصۃ: وہ عورت ہے جو ابرو كے بال نوچے حتى كہ وہ باريك ہو جائيں.
ديكھيں: فتح البارى ( 10 / 377 ).
اور المتفلجات كے معنى ميں كہتے ہيں:
المتفلجات: متفلجۃ كى جمع ہے، اور يہ اس عورت كو كہا جاتا ہے جو دانتوں كے مابين فاصلہ كروائے يا كرے.
الفلج: فاء اور لام اور جيم كے ساتھ: اس كا معنى سامنے والے دو دانتوں كے درميان فاصلہ كرنا ہے.
اور التفلج: يہ دو ملے ہوئے دانتوں كے درميان ريتى وغيرہ سے رگڑ كر فاصلہ كيا جائے، اور يہ عام طور پر سامنے والے دو يا چار دانتوں كے ميں ہوتا ہے، اور عورت كے دانتوں ميں يہ خوبصورت اوراچھا محسوس كيا جاتا ہے، ہو سكتا ہے يہ اس عورت نے خود كيا ہو جس كے دانت آپس ميں ملے ہوئے تھے تا كہ وہ متفلجۃ يعنى دانتوں ميں فاصلہ والى بن جائے، اور بعض اوقات بڑى عمر كى عورت بھى ايسا كرتى ہے تا كہ كم عمر كى نظر آئے؛ كيونكہ غالبا چھوٹى عمر كى عورت كے دانتوں ميں فاصلہ ہوتا ہے، اور بڑى ہو كر آپس ميں مل جاتے ہيں “
ديكھيں: فتح البارى ( 10 / 372 ).
قرطبى رحمہ اللہ كہتے ہيں:
” اور يہ سب امور كے فاعل پر احاديث ميں لعنت كى گئى ہے، اور يہ كبائر ميں شامل ہوتے ہيں، اور جس معنى كى بنا پر اس سے منع كيا گيا ہے اس ميں اختلاف ہے:
ايك قول يہ ہے كہ: يہ تدليس اور چھپاؤ كى بنا پر ہے.
اور ايك قول يہ ہے كہ: اللہ تعالى كى پيدا كردہ صورت ميں تبديلى كى وجہ سے ہے، جيسا كہ ابن مسعود رضى اللہ تعالى عنہما كا قول ہے، اور صحيح بھى يہى ہے، جو كہ پہلےمعنى كو بھى متضمن ہے.
پھر ايك قول يہ بھى ہے كہ: يہ اس سے منع كيا گيا ہے جو باقى رہے؛ كيونكہ يہ اللہ تعالى كى پيدا كردہ صورت ميں تبديلى ميں سے ہے، ليكن اگر باقى نہ رہے بلكہ ختم ہو جائے مثلا سرمہ يا عورتيں جس سے بناؤ سنگھار كرتى ہيں، تو علماء نے اس كى اجازت دى ہے.
ديكھيں: تفسير قرطبى ( 5 / 393 ).
مزيد تفصيل كے ليے آپ سوال نمبر ( 13744 ) كے جواب كا مطالعہ ضرور كريں.
واللہ اعلم .
REFERENCE:
https://islamqa.info/ur/answers/21119/%D8%AC%D8%B3%D9%85-%DA%AF%D8%AF%D9%88%D8%A7%D9%86%DB%92-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D8%A7%D8%A8%D8%B1%D9%88-%D9%83%DB%92-%D8%A8%D8%A7%D9%84-%D8%A7%D9%83%DA%BE%D9%8A%DA%91%D9%86%DB%92-%D8%A7-%D9%88%D8%B1-%D8%AF%D8%A7%D9%86%D8%AA-%D8%B1%DA%AF%DA%91-%D9%83%D8%B1-%D8%A8%D8%A7%D8%B1%D9%8A%D9%83-%D9%83%D8%B1%D9%86%DB%92-%D9%83%D9%89-%D9%85%D9%85%D8%A7%D9%86%D8%B9%D8%AA-%D9%83%DB%92-%D8%AF%D9%84%D8%A7%D9%89%D9%84