02. Aurat ki azaadi ka mutalba
*Aurat ki azaadi ka mutalba*
Lafz azaadi taqaaza karti hai ke koi cheez muqayyid ho jo azaadi ki muhtaaj ho, Is lafz azaadi mein hi boht bara mughaalta hai insaan ko lagta hai ke shayad aurat baandi hai jisay uski ghulaami se azaad karaana zaroori hai.
Azadi mutlaq mafhoom ke saath ek na mumkin cheez hai, insan apni tabiyat ke e’tibaar se mufeed hai, isliye ke uski imkaniyaat aur qudraat mahdood hain,chanachaa sab insan apne apne muaeshron mein, chahe woh maashre taraqee yaafta hon ya taraqee pazeer kuch qawaneen ke teht zindagi basar karte hain,apne muashee amoor chalate hain,aur apni zindagi ko in qawaneen ke zariye munazzm karte hain, to kya iska maini yeh huwa ke woh azad nahin hain?
Maloom huwa ke azadi ki koi had nahin aur agar usse tajawaz kya jaye to insan hewaniyat par utar aata,jo na to kisi system ko follow karti hai aur na hi kisi qanoon par amal karti hai.
(Ph.D.Henry Makow)(Mosoof Mufkar,Americi taaleem ke mahir.mahqaq aur aurat ke aalmi satah par maamlaat ke mutkhasis hain)kehte hain aurat ki azadi yeh naye international system ka ek dhoka hai,ek badtareen dhoka ke jisne americi aurton ko aghwa kia aur maghreebi saqawat ko tahs nahis kia.
Yeh haqeeqi baat hai ke Islam woh pehla deen hai jisne aurat ko maashre ke saath barahe raast len den karti thi.Islam ne aurat ko sirf be sharmi aur be hayai ke kaamon ki azadi se mahroom rakha hai, aur is mein mard bhi uske barabar hai.
Islam mein hareet ke mafhoom ki tahdeed nabi(ﷺ)ka yeh farman kar raha hai ke”.Allah ke hadood par qaim rehne wale aur us mein ghus jane wale(yaani khilaaf karne wale)ki misaal aese logon ki si hai jinho ne ek kashti ke silsilay mein qurae dala.Jiske nateeje mein baaz logon ko kashti ke upar ka hissa aur baaz ko neeche ka hissa mila.Pas jo log neeche wale the,unhe(darya se)pani lene ke liye upar waalon ke upar se guzarna parta.Unho ne socha ke kyun na hum apne hi hisse mein ek soraakh karlein taake upar waalon ko hum koi taqleef na dein.Ab agar upar wale bhi neeche walon ko man maani karne dein ge to kashti wale sab halaak hojayenge aur agar upar wale neeche walon ka haath pakar lein to yeh khud bhi bachen ge aur saari kashti bhi bach jayegi.
Islam mein hareet ka yehi mafhoom hai ke shaksi tisarfaat sharai zawabat ke saath bandhe hon jo ek shaks ko apne aur maashre ke nuqsan se mehfooz rakhte hain.
Aurat ki azadi ka mutalba karne walon se poocha jaye ke konsa nizam aurat ki harmat ki hifazat aur maashre ko mehfooz rakhne ke liye zyada faida mand hai?yeh Islami nizam ke jisne aurat ko mard ke liye taqmeel aur uska aadha hissa qaraar dia hai ya woh wazai nizam aur aalmi qawaneen ke jiske peeche khas aehdaaf aur maqasid hain ke jinki wajah se izatein pamaal huween,maharam ki be harmati ki gayi, maashre manhadam hogaye aur mulk ujaar diye gaye?
REFERENCE:
Book: “Islam mein Aurat ka Maqaam”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha