Search
Sections
< All Topics
Print

07. Islam mein aurat ke haqooq bahesiyat beti [Women as Infants, Children and Daughters]

Islam mein aurat ke haqooq bahesiyat beti

  1. Zindagi ka haq

Allah Taala ne waalden par wajib qaraar diya hai ke woh apni aulaad, Chahe woh bete ho ya betiyaan, Unki zindagi ki hifazat karen, Aur Unka qatal azeem jurm qaraar diya, Allah Taala ka farman hai.

 

وَلَا تَقۡتُلُوۡۤا اَوۡلَادَكُمۡ خَشۡيَةَ اِمۡلَاقٍ‌ؕ نَحۡنُ نَرۡزُقُهُمۡ وَاِيَّاكُمۡ‌ؕ اِنَّ قَتۡلَهُمۡ كَانَ خِطۡاً كَبِيۡرًا ۞

Tarjuma:

Aur muflasi ke khouf se apni aulaad ko na maar daalo, Unko tum ko hum hi rozi dete hain, Yaqeenan Unka qatal karna kabeera e gunnah hai.

 

Aur bete aur beti dono par kharch karne ka haq aur Unki kafaalat tab se wajib hai jab Woh apni maaon ke pait mein hon, Allah farman hai.

 

وَاِنۡ كُنَّ اُولَاتِ حَمۡلٍ فَاَنۡفِقُوا عَلَيۡهِنَّ حَتّٰى يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّ‌‌ ۚ

Aur agar woh hamal se hon to jab tak bacha peda hole Unhein kharch dete raha karo.

 

  1. Razaat ka haq

Allah Taala ne aulaad par, Chahe Woh bete ho ya betiyaan Un par ehsan karna wajib qarar diya hai, Aur yeh ke Unke mamlaat ka khayal rakha jaye, Unki zarooriat poori ki jayein aur Unhein achi zindagi di jaye, Islam ne Usse aulaad ka waalden par haq qaraar diya hai, Allah Taala ka farman hai.

 

وَالۡوَالِدٰتُ يُرۡضِعۡنَ اَوۡلَادَهُنَّ حَوۡلَيۡنِ كَامِلَيۡنِ‌ لِمَنۡ اَرَادَ اَنۡ يُّتِمَّ الرَّضَاعَةَ ‌ ؕ وَعَلَى الۡمَوۡلُوۡدِ لَهٗ رِزۡقُهُنَّ وَكِسۡوَتُهُنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ‌ؕ لَا تُكَلَّفُ نَفۡسٌ اِلَّا وُسۡعَهَا ۚ لَا تُضَآرَّ وَالِدَةٌ ۢ بِوَلَدِهَا وَلَا مَوۡلُوۡدٌ لَّهٗ بِوَلَدِهٖ وَعَلَى الۡوَارِثِ مِثۡلُ ذٰ لِكَ ۚ فَاِنۡ اَرَادَا فِصَالًا عَنۡ تَرَاضٍ مِّنۡهُمَا وَتَشَاوُرٍ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَا ‌ؕ وَاِنۡ اَرَدْتُّمۡ اَنۡ تَسۡتَرۡضِعُوۡٓا اَوۡلَادَكُمۡ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ اِذَا سَلَّمۡتُمۡ مَّآ اٰتَيۡتُمۡ بِالۡمَعۡرُوۡفِ‌ؕ

Tarjuma:

Maayein apni aulaad ko do saal kamil doodh pilane ki midat bilkul poori karne ka ho aur jinke bache hain Unke zime Unka roti kapra hai jo dastoor ka mutabiq ho.

 

  1. Parwarish aur tarbiyat ka haq

Islam ne waalden par wajib qaraar diya hai ke Woh apni aulaad chahe Woh bete hon ya betiyaan, Unki jismani, Aqli aur sharayi tarbiyat ka aehtmaam karen, Rasool Akram(ﷺ)ka farman hai: Insan ke gunahgaar hone ke liye yeh(Amal) kafi hai ke jin ke rizq o ikhrajaat ka yeh zimedaar ho, Unhein zaya karde(Yaani Unke naan o nafqa mein kota hi kare).

Issi tarah aap ne farmaya:

Tum mein se har ek nigraan hai aur Uske maathaton ke mutaliq Usse sawal hoga. Insan apne ghar ka nagraan hai aur Usse Uski rayeet ke baare mein sawal hoga.

Ussi tarah Unke liye ache aur munasib mahol ka aehtmaam karna chahiye, Aur agar shohar aur biwi mein ikhtilaaf peda hojayein to maa aulaad ka parwarish ki zyada haqdaar hai, Aur parwarish ka haq Islam ne mard ke bajaye aurat ko isliye diya hai ke Us mein kamal shafqat aur narmi paayi jati hai.

Syeda na Abdulah Bin Amrرضي الله عنهbayan karte hain ke ek aurat ne kaha: Ae Allah ke Rasool! Mera yeh beta, Mera pait Iske liye bartan, Mera seena Iske liye mashkeeza aur mera daaman iske liye panah ga raha hai. Iske baap ne mujhe talaaq de di hai aur chahta hai ke Usko mujhse cheen le. Rasool Allah(ﷺ)ne isse farmaya: Tu iski zyada haqdaar hai jab tak ke nikah na kare.

 

  1. Shafqat o narmi aur rehm karne ka haq

Aulaad ko rehmat, Shafqat aur narmi ki itni hi zaroorat hoti hai jitni khane peene aur deegar zarooriat ki hoti hai, Isliye ke yeh Unke sulook aur rawaya par asar andaz hoti hai, Aur Islam ne to ghairon ke liye bhi rehmat o shafqat, Bahmi narmi aur mohabbat ka deen hai to apno par Uski rehmat o shafqat ka kya aalam hoga.

 

Abu Hurera(رضی اللہ عنہا)ne bayan kya ke Rasool Allah(ﷺ)ne Hasan Bin Aliرضي الله عنهko bosa diya. Aap(ﷺ)ke paas Syeda aqra Bin Haabasرضي الله عنهbethe huwe the. Syedna Iqra(رضی اللہ عنہا)ne Us par kahan ke mere das larke hain aur maine Un mein se kisi ko bosa nahin diya. Aap(ﷺ)ne Unki taraf dekha aur farmaya ke: Jo makhlooq Khuda par rehm nahin karta Us par bhi rehm nahin kya jata.

 

  1. Taaleem ka haq

Islam ne talan ilim ko har musalmaan mard o aurat par farz qaraar diya hai, Rasool Allah(ﷺ)ka farman hai: Ilim ka hasil karna har musalmaan par farz hai.

Aur betiyon ko taleem dena ajar sawaab mein izafe ka sabab qaraar diya hai, Abu Hureraرضي الله عنهne bayan kya ke Nabi Kareem(ﷺ)ne farmaya: Jis shaks ke paas londi ho Woh Usse taleem de, Aur khoob achi tarah de, Usse adab sikhaye aur poori koshish aur mehnat ke saath sikhaye, Aur Uske baad Usse azad karke Usse shadi karle to Usse dahar aswab milta hai.

 

  1. Masaawat aur barabari ka haq

Sharyat ne aulaad ke darmiyaan adal o masaawaat ko apni tamaam tar mafhoom ke saath waajib qaraar diya hai aur waalden ke rehmat o shifqat ka mamla karne mein tamam aulaad yaqsaan hai, Beti aur betiyon ke darmiyaan koi farq nahin, Allah Taala ka farman hai.

اِنَّ اللّٰهَ يَاۡمُرُ بِالۡعَدۡلِ وَالۡاِحۡسَانِ وَاِيۡتَآىِٕ ذِى الۡقُرۡبٰى وَيَنۡهٰى عَنِ الۡفَحۡشَآءِ وَالۡمُنۡكَرِ وَالۡبَغۡىِ‌ۚ يَعِظُكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُوۡنَ ۞

Tarjuma: Allah Taala adal ka, Bhalai ka aur qurabat daaron ke saath husun sulook karne ka hukum deta hai aur behayai ke kaamon, Nashaista harkaton aur zulm o zyaditi se rokta hai, Woh khud tumhein nasihyatein kar raha hai ke tum nasihyat hasil karo.

 

Nauman Bin Bashirرضي الله عنهmunabar par bayan kar rahe the ke mere baap ne mujhe ek atyaa diya, To Amarh Bint e Rawaha(رضی اللہ عنہا)(Nouman ki waalida)ne kahan ke jab tak aap Rasool Allah(ﷺ)ko is par gawah na banayein mein razi nahin hosakti. Chunacha(Hazrat khidmat hokar)Unho ne arz kya ke Amra Bint e Rawaha se apne bete ko maine ek ataa yeh diya to unho ne kahan ke pehle mein aapko is par gawah banaloon, Aap(ﷺ)ne darfayat farmaya ke issi jaisa atya tumne apni tamaam aulaad ko diya hai?Unho ne jawab diya ke nahin, Us par aap(ﷺ)ne farmaya ke Allah se daro aur apni aulaad ke darmiyaan insaaf ko qaim rakho. Chanacha woh wapas huwe aur hadya wapas le liya.

Jo log kehte hain ke Islam ne aurat ke haqooq ghasab kiye hain kya Unhein yeh hadees nazar nahin aayi?

 

  1. Shohar ko ikhtiyaar karne ka haq

Islam ne shadi ke maamle mein aurat ki raaye ka aehtraam kya hai, Aur Usse nikah ke sahi hone ki sharait mein se ek shart qaraar diya hai, Jo bhi Usse nikah karna chahta hai Islam ne aurat ko ikhtiyaar diya hai ke chahe to qabool kare aur chahe to inkaar karde, Rasool Allah(ﷺ)ka farman hai: Bewa aurat ka nikah Us waqt tak na kiya jaye jab tak Uski ijazat na li jaye, Aur kunwari aurat ka nikah Us waqt na kiya jaye jab tak Uski ijazat na mil jaye. Sahaba ne kahan ke ya Rasool Allah(ﷺ)kunwari aurat azan kyun kar degi. Nabi Kareem(ﷺ)ne farmaya ke Uski surat yeh hai ke Woh khamosh reh jaye. Yeh khamoshi Uska azan samjhi jayegi.

Aur Uske waalid ya Uske wali ko koi haq nahin ke Woh Usse kisi aese shaks ke saath nikah karne par majboor kare jaise Woh na pasand karti hai, Aur jis aurat ka nikah Uski marzi ke baghair karwaya gaya Usse fasakh nikah ka haq hai.

Khansa e Bint e Khazaam(رضی اللہ عنہا)se rawait hai ke unke waalid ne unka nikah kar dia aur yeh bewa thin, Yeh shadi unhein pasand na aayi to woh Rasool Allah(رضی اللہ عنہا)ke paas aayin, To aapne unka nikah rad kar diya.

Aap(رضی اللہ عنہا)ki bunyaad taleemaat mein se tha ke betiyon ka khasoosi khayaal rakha jaye, Unka wajooba akraam o ehtraam kya jaye, Unke saath husun sulook kya jaye, Balkhasoos unki zarooriyaat poori ki jayein.

Abu Syed Khudriرضي الله عنهkehte hain ke Rasool Allah(ﷺ)ne farmaya: Jiske paas teen larkiyaan , Yaa teen behne Yaa do larkiyaan, Yaa do behne hon aur woh unke saath achaa sulook kare aur unke haqooq ke silsilay mein Allah se dare to uske liye janat hai.

Islam ne betiyon par tawajaa, Unka khayal aur un par ehsan karne ko jannat mein daakhla ke isbaab mein se ek sabab qaraar diya hai, Taake waalden ko rughbat dilai jaa sake ke woh ajar ki khaatir aur Allah Taala se jannat ki umeed mein betiyon ke husun sulook karen.

Ummul momnin Syeda Ayesha (رضی اللہ عنہا)se rawait hai ek faqeerni mere paas aayi apni dono betiyon ko liye huwe, Maine usko teen khajooren di. Usne har ek beti ko ek ek khajoor di aur teesri khajoor khaane ke liye mu se lagaayi itne mein uski betiyon ne(woh khajoor bbi khaane ko maangi)usne us khajoor ke jisko khud khaana chahti thi do tukre kiye un dono ke liye, mujhe yeh haal dekh kar ta a jub huwaa, Jo usne kya tha maine Rasool Allah(ﷺ)se bayaan kya. Aap(ﷺ)ne farmaaya: “Allah Taala ne is sabab ke uske liye jannat waajib kardi ya usko jahanum se azaad kar dia.

Sharyat e Islaamiya ne aulaad ke darmiyaan jis taraah maadi maamlaat mein bhi aulaad ke darmiyaan adal o masaawaat ka hukum diya hai, Usne atyaa ya hadyaa karne mein beton ko betiyon par yaa betiyon ko beton par foqiat nahin di balke sab baraabar hain.

Nauman Bin Bashirرضي الله عنهmanbar par bayaan kar rahe the ke mere baap ne mujhe ek atyaa diya, To Amra Bint e Rawaaha(رضی اللہ عنہا)(Nauman ki waalidaa)ne kahaan ke jab tak aap Rasool Allah(ﷺ)ko is par gawaah na banaayein mein raazi nahin hosakti. Chanaacha(haazir e khidmat hokar)unho ne arz kya ke Amra Bint e Rawaaha se apne bete ko maine ek atyaa diyaa to unho ne kahaan ke pehle mein aapko is par gawaah banaloon, Aap(ﷺ)ne daryaafat farmaayaa ke ussi jaisaa atyaa tumne apni tamaam aulaad ko diya hai?unho ne jawaab diyaa ke nahin, Us par aap(ﷺ)ne farmaayaa ke Allah se daro aur apni aulaad ke darmiyaan insaaf ko qaaim rakho. Chanaachaa woh waapas huwe aur hadyaa waapas le liya.

Adal woh masaawaat sirf zaahri amoor mein hi kaafi nahin balke un jazwi aur maamooli amoor mein bhi waajib hai jin ke baare mein basaa auqaat insaan sochtaa bhi nahin hai chanaachaa aulaad ko bosaa dene mein bhi adal ka hukum diya gayaa hai, Anasرضي الله عنهse marvi hai ke ek aadmi Nabi(ﷺ)ke saath bethaa thaa uskaa betaa aayaa to usne usse pakar kar uska bosaa liyaa aur usse apni god mein bithaa liaa, Phir uski beti aayi aur usse pakar kar apne pehlu mein bithaa liyaa, Nabi(ﷺ) ne farmaaya: Tumne unke darmiyaan insaaf kyun nahin kiya. Yaani bete aur beti ke darmiyaan bosaa lene mein.

Jab hum Islaam ka aulaad ke mutaliq ehtmaam ka nakar kar rahe hain to munaasib maaloom hotaa hai ke ikhtisaar ke saath Islaam kaa yateem ke saath ehtmaam bhi nakar kya jaye isliye ka yateemi ka bache par ek khatarnaak nafsiyaati asar partaa hai balkhasoos jab maashra uske haqooq adaa naa kartaa ho aur uske waajbaat ki haq talfi karta ho aur usse shafqat o rehmat ki nazar se na dekhtaa ho.

Bilashuba Islaam ne yateem bache ka chaahe woh larkaa ho yaa larki boht zyaadaa khayaal rakhaa hai, Woh is tarah ke uski parwarish aur uski nigdaahshat sabse zyaadaa qareebi rishtedaaron par waajib ki hai, Agar uske rishtedaar na hon to yateem bache ka hukumat waqt par hukumat haq hai ke woh uski parwarish aur taaleem o tarbiyat kaa ehtmaam kare.

Allah Subhan Wa Taala ki taraf se un logon ke liye shadeed tareen waeed waard huwi hai jo yateem ka maal khaate hain aur uske haqooq zaaya karte hain, Allah Taala ka farmaan hai.

 

اِنَّ الَّذِيۡنَ يَاۡكُلُوۡنَ اَمۡوَالَ الۡيَتٰمٰى ظُلۡمًا اِنَّمَا يَاۡكُلُوۡنَ فِىۡ بُطُوۡنِهِمۡ نَارًا‌ ؕ وَسَيَـصۡلَوۡنَ سَعِيۡرًا  ۞

Tarjuma: Jo log na haq zulum se yateemon ka maal khaate hain, Woh apne pait mein aag hi bhar rahe hain aur an qareeb woh dozakh mein jayenge.

Rasool Allah(ﷺ)ne farmaaya: Bilaashuba mein do kamzor afraad ke haqooq ki sangeeni ka ehlaan kartaa hoon: Ek yateem aur doosri aurat.(72)

Hadees mein lafz harj waarid huwa hai jiskaa maaini yeh hai ke: Mein sangeeni aur gunnah ko un logon ke liye laazmi qaraar deta hoon jo in dono ke haqooq zaayaa karte hain, Un par zulm par karte hain aur unhein taqleef dete hain.

Isi taraah yateem bache ko daantne aur us par sakhti karne se bhi manaa kya gayaa hai, Allah ka farmaan hai.

فَاَمَّا الۡيَتِيۡمَ فَلَا تَقۡهَرۡؕ ۞

Tarjuma: Pas yateem par tu sakhti na kya kar.

 

Sharayi nasoos mein yateem ki kafaalat aur uske saath husun sulook karne ki wasiyat waarid huwi hai, Rasool Allah(ﷺ)ka farmaan hai: Mein aur yateem ki kafaalat karne waale jannat mein is taraah honge jaise yeh, Aapne apni do ungliyon ingisht e shahaadat aur darmyaani ungli se ishaaraa karke bataayaa, aur un dono ke darmiyaan kuch faasla peda kya(74).

Isi taraah is par rehmat o shafqat ki bhi targheeb dilai gayi hai, Rasool Allah(ﷺ)ne farmaya: Kya tu chahta hai ke tera dil naram hojaaye aur teri haajatein poori hon?tu yateem par rehm kya kar aur uske sar par haath pheraa kar aur apne khaane mein se usko khilaayaa kar aesaa karne se teraa dil naram hogaa haajatein poori hongi(75).

Isi taraah Islaam ne lawaaris bachaa, Chaahe woh Larkaa ho ya Larki, Uske liye bhi ehtmaam karne ki raghbat dilai hai aur iska musalmano aur Islaami mumlikat par haq qaraar diyaa hai ke iska bhi isi taraah khayaal rakhaa jaaye jis taraah yateem bache ka khayaal rakhaa jaata hai, Rasool Allah(ﷺ)ka farmaan hai: Har jaandaar makhlooq ke silsilay mein ajar miltaa hai(76).

Is taraah hum maashre ko do usse fael rakan de sakte hain jo apni zimedaari adaa karenge aur aam aadmi ki taraah mukamal zindagi basar kar sakenge.

REFERENCE:
Book: “Islam mein Aurat ka Maqaam”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha

Women as Infants, Children and Daughters

Allah, the Exalted, states in the Glorious Qur’an concerning the necessity and importance of the preservation and care of new born children, the very first right of the child:

 “And kill not your children for fear of poverty. We provide for them and for you. Surely, such a killing is a great sin.” [17:31]

Islam requires parents to give their children beautiful names, take proper care of them, take care of all their needs, provide for them reasonably in accordance with the parent’s income, and ensure a decent, respected and honorable life for them.

And the authentic prophetic tradition says:

“Verily Allah has prohibited for you to be disobedient and ungrateful to your mothers… or to bury your daughters alive…” [Bukhari #1407 & Muslim #593]

Thus they have the right of blood money if killed, as it is reported by Aishah:

“Two women from Huthail tribe fought and one threw a stone and killed the other and that which was in her womb, the relatives of the killer and the relatives of the victim submitted their case to the Prophet () who judged that the Diya (blood money) for the fetus was a male or female slave, and the Diya (blood money) of the woman (ie. 100 she-camels) was to be paid by her clansmen.” [Bukhari #3512 & Muslim #1681]

Allah, the Exalted, states in the Glorious Qur’an:

“Mothers shall nurse their children for two whole years, for those parents who desire to complete the term of suckling, and the father of the child shall bear the cost of the mother’s food and clothing on a reasonable basis.” [2:233]

Care and guardianship of children is the most important right after the right of (milk) nursing by the mother. The mother is entitled to the custody of the child, son or daughter at the early stage of life, between the ages of one and thirteen or fourteen. This applies particularly in cases of divorce due to essential differences between parents. Islam entitles the mother to her child’s custody during early childhood because she, generally, is more caring and attentive to the child’s needs. ‘Abd Allah bin Amr related that a woman came to the Prophet complaining about her husband saying:

“My womb held my baby as a fetus, my breast nursed the baby as an infant, and my lap carried the child for a long time. Now the father divorced me and he wants to rip the baby away from me!” He said: “You deserve the child’s custody more as long as you do not remarry.” [Abu Dawood #2276 & others]

Parents are obligated to treat all their children mercifully and with compassion. Abu Hurairah reported:

The Messenger of Allah kissed Hasan ibn Ali (his grandson) in the presence of Aqra’ ibn Habis at-Tameemi who said, “I have ten children and I never kissed any of them.” Upon that he looked at him and replied: “Whoever does not have mercy will not receive mercy.” [Bukhari #5651]

Islamic law stipulates that parents must care and pay attention to their children, especially girls for their special needs.

 The Prophet also said:

“Whoever supports two girls till they attain maturity, he and I will come on the Day of Resurrection like this.” The Messenger of Allah () then joined his fingers to illustrate this. [Muslim #2631]

Islamic laws and teachings mandate that parents raise their children with the best manners and offer them a sound, beneficial and healthy education. The Prophet of Allah said:

“It is enough sin for a person to neglect those for whose care he is responsible.” [Muslim #996]

 Ibn Umar (4) reported that the Messenger of Allah said:

“Each one of you is a guardian and each one of you is responsible for those under his care. A ruler is a guardian and is responsible for his citizens. A man is a guardian of his family and is responsible for them. A woman is a guardian in her husband’s home and is responsible for whatever is under her care. A servant is a guardian of his master’s wealth and is responsible for whatever is under his care. Each one of you is a guardian and each one of you is responsible for whatever is under his care.” [Bukhari#853 & Muslim #1829]

 Islam commands justice in all matters and this general ruling is applied to all children regardless of their sexes. Allah, the Exalted, states in the Glorious Qur’an:

“Verily Allah enjoins justice and the doing of good, and liberality to kith and kin, and He forbids all shameful deeds, wickedness, and injustice and oppression. He admonishes you that you may take heed.” [16:90]

 Aishah, the Prophet’s wife and the mother of the believers said:

“A poor woman came to my door carrying two little girls. I offered them three dates (i.e. since I had nothing else). She gave each of her two girls a date, and lifted the third one to her mouth to eat. Both her daughters urged her to feed them more, so she split the last date into two pieces and gave one half to each of her two daughters. I admired what the woman had done and told the story to the Prophet of Allah who said upon hearing it: “Verily Allah obligated paradise for her due to this act of hers” or “liberated her from the Hellfire due to this act of hers”.” [Muslim #2630]

And in another authentic narration he said at the end:

“He who is involved (in the responsibility) of (bringing up) daughters, and he accords benevolent treatment towards them, there would be protection for him against Hell-Fire.” [Bukhari #1352 & Muslim #2629]

Islam calls for material and emotional justice and fair treatment from both parents to their children, regardless of their sexes. A male child is not to be given special preference over a female child, or vice versa.

The Prophet of Allah said to one of his companions who had given a present to only one of his children:

“Did you give all your children like this?” He said: “No.” He said: “Fear Allah and be just with all of your children.” (Muslim #1623)

Islam emphasizes the importance of taking care of orphans. Being an orphan has a great negative impact on the mental, spiritual and emotional status of a child. This state may lead an orphan to deviation or corruption at times, especially if the orphan exists in a society that does not give him due care, fulfill his needs and be kind and merciful to him.

 Islam pays special attention to the welfare of orphans, males and females alike. Islam requires that the immediate relatives of that orphan take good care of him/her. If there are no relatives, then it becomes the responsibility of the Islamic State to take care of them, manage their affairs and provide them with care.

Allah, the Exalted, states in the Glorious Qur’an: “As for the orphans, do not treat them with harshness.” [93:9]

 Allah, the Exalted, also states in the Glorious Qur’an:

“Verily, those who unjustly eat up the property of orphans, they eat up only a fire into their bellies, and they will be burnt in the Blazing fire!” [4:10]

The Prophet of Allah said:

 “O Allah, I declare inviolable the rights of two weak ones: the orphans and women.” [Haakim #211 & Tabarani]

Here he indicates the great sin to perpetrate any harm or injustice to these two, who, according to their natural weakness in the society, often are neglected or denied their rights.

Allah’s Prophet also said:

 “Avoid the seven cardinal sins that cause destruction.” The companions asked: “O Prophet of Allah! What are these sins?” He said: “To associate others in the worship of Allah, to practice sorcery, to kill a human soul for no just reason, to deal with interest, to devour the wealth of an orphan, to flee from the battlefield, and to accuse the innocent, chaste, believing women with adultery.” [Bukhari #2615 & Muslim #89]

Many other Prophetic statements have been reported as urging believing Muslims to sponsor orphans, take good care of them, be kind to them, and demonstrate love and affection for them. For instance he said:

“I and the guardian of an orphan are like these two in Paradise.” He then indicated with his index and middle fingers. [Bukhari #4998)

Islam cares for the welfare of those illegitimate children who, through no fault of theirs, are left without any acknowledgement from their parents. The Islamic government is required to take care of such children, exactly as any other orphan so that they may become, by the will of Allah, normal and beneficial members of the society. As the Prophet of Allah said as a general ruling of benevolence:

“…you have reward for (doing good to) every living being.” [Bukhari #2334]

 Islamic jurisprudence obligated the fathers (or guardians) to ask the opinion of the daughters when it comes to marriage, as her opinion is an essential condition for the validity of the marriage. She is free from any coercion, and may accept the person or reject a proposal.

 The Prophet of Allah said:

“A divorced or widow should not be married without her permission and a virgin girl must not enter wedlock until she approves.” They asked: “And how does she approve O Messenger of Allah?” He said: “She stays quiet (i.e. out of shyness but doesn’t indicate disapproval).” [Bukhari #4843]

Imam Ahmad and others report that ‘Aishah (4) said: A woman came to Allah’s Prophet and said:

“O, Prophet of Allah! My father offered me in marriage to his nephew to elevate his social status.” Allah’s Prophet returned the matter to her hands, to accept and approve the marriage or to reject. The woman said:

 “I approve now of what my father has done, but I wanted to teach other women that their fathers have no right in this (to force them to marry whoever they want).” [Ahmad #25027]

 This is because daughters are precious, as the Messenger of Allah said in a verified tradition:

“Do not force the daughters and girls for they are precious and delightful companions.” [Ahmad #17411 and verified]


Power of Guardianship in the Marriage Contract


In Islamic jurisprudence one requirement for a sound marriage is the total agreement of the woman concerned.

The Prophet of Allah said:

“An ‘ayyim’ (a divorcee or a widow) must not be wedded unless she is asked, and gives her approval. And a virgin must not be wedded unless she gives her permission.” It was asked: “O messenger of Allah, how can we know her permission?” He said: “If she remains silent (from shyness).” [ Bukhari #4843 & Muslim #1419]

If a woman is coerced into accepting an undesired marriage, she is entitled to present her case before a Muslim judge to seek annulment. A woman by the name of al-Khansa bint Khadam, who had been previously married (and was now divorced or widowed), came complaining to the Messenger of Allah that her father had forced her to marry a person she despised. He disapproved and invalidated it.⁵ (⁵ Reported by Bukhari #6546.)

Another requirement is that she does not give herself in marriage to anyone without guardianship. Her father, or in case he is not alive, her grandfather, paternal uncle, brother or even her mature son, or the ruler of the State, must act as her guardian in this affair to assure her rights are protected and to sign the marriage contract along with her signature. His role is to make sure that the groom is sincere and of standard, that she has a proper dowry, and that two witnesses testify to the contract which she willfully accepts. All these measures are to protect her rights and the sanctity of marriage.

The Messenger of Allah made this perfectly clear when he said:

“There is no marriage except with a guardian.” [Abu Dawood #2058 and verified]

And in another version:

“There is no marriage except with a guardian, and the ruler is the guardian for those who have no guardian.” [Ahmad #2260 & Ibn Maajah #1889 and verified]

Therefore, if she elopes and marries herself, this marriage is considered unlawful, as the Prophet declared:

 “Any woman who marries without the consent of her guardian, then her marriage is invalid, then her marriage is invalid, then her marriage is invalid. If (the man) has had intercourse with her then she must keep the dowry (that she took from him) for his intimacy with her, and if they fall into dispute then the ruler is the guardian for those who have no guardian.” [ Abu Dawood #2083 & Tirmidhi #1102 and verified]

As mentioned above in the rights of daughters, whether a virgin or otherwise, the right of a woman is to accept or reject any marriage offer of her own free will. The institution of guardianship is only to protect her interests. The fact that the ruler or governor becomes her legal guardian to assure that all is in order and that no criminal injustice is perpetrated reinforces the sacredness of the marriage contract and the sanctity of her rights in Islam.

Since the woman remains in a position of natural weakness, Islamic jurisprudence lays down principles and laws to protect her interests and welfare and preserve her rights. The father, the mother and other concerned relatives, if need be, help select the right and most suitable husband for her, since all seek her happiness and none wish her to be victim of a failed marriage. The goal of marriage is to establish an everlasting relationship between a male and a female and a loving and beneficial home for the children, not mere gratification of certain desires. Since women are, in general, more emotional than men and more easily affected and tempted with appearances rather than the deeper realities, Islamic jurisprudence gives the right to the guardian to refuse and reject proposals if the suitor is not deemed a sound and sincere match. Male guardianship in this case is only natural given their role of authority and responsibility. Moreover, it cannot be denied that men, being of the same gender, have a better ability to perceive qualities of other men in certain areas, and are more capable of finding those characteristics of a man that suit his daughter or the woman under his responsibility of guardianship. Of course he seeks counsel of the wife and other concerned females in the process of selection of the bridegroom. If an appropriate man proposed for marriage and the guardian refused for no valid reason, then the guardianship can be contested in the court of law. The guardianship is then given to the nearest responsible male relative of the woman, or, in case she has no responsible male relatives, the Muslim Judge assumes guardianship. In the final analysis, the true measurement of a suitable match in marriage is the statement of the Prophet of Allah:

“If a person comes to you to propose a marriage and you are pleased with his religious commitment and morals, then marry (your daughter or female relative under your care) to him. For if you do not do that there will be Fitnah (great affliction) on earth, and corruption will be widespread.” [ Tirmidhi #1085 and verified]

A man with a sound and good understanding of his Islamic commitment, with good moral standards will honor his wife and dignify her, and treat her justly with decency even if he does not love her.

 

REFERENCE:
Book: “Women in Islam & Refutation of some common Misconceptions”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha
Translated by: Abu Salman Deya ud-Deen Eberle.
Table of Contents