Search
Sections
< All Topics
Print

18. Maghribi eesayi maashron mein aurton ko maarna [The Beating of Women in Western Christian Societies]

Maghribi eesayi maashron mein aurton ko maarna

Islam ke bahot se dushmanon ne Islam ke baare mein kuch shohbaat phelaane ki koshish ki hai, Unhi mein se aurat ko maarne ka masla bhi hai, Jis par mamool ke mutaabiq woh apni jadui qenchiyon ko istemaal karte huwe Qur’an Kareem ki ayaat aur Ahadees Rasool mein se har woh baat kaat dete hain, Jo unke shohbaat ki tardeed karti ho, Aur sirf wahi kalaam rehne dete hain jo unke shobe ke kaam aasake, Chunancha maarne ka lafz siyaaq-o-sabaaq se kaat kar nakar kiya jata hai, Taake apni radi aur kamatar helon ke zar’iye, Jo haqeeqat aur maqooliyat se yaksar door hote hain, Islam ke mutaliq jhoote shohbat utha saken, Chunancha mozoo ko mukkamal pesh karne ke bajaye usse kaant chaant kar pesh karte hain jisse ghalat mahfoom aur shakook-o-shohbaat janam lete hain, Jiske zari’ye woh Islam par tahmatein lagane ki khidmat sar anjaam dete hain, Aur unka daawaa yeh hai ke unka aurton ke saath baalkhasoos apni biwyon ke eila qisim ka sulook hai aur woh taraqi yaafta hain, Jabke dar haqeeqat woh mandarja zel haqooq se lailim hain.

 

  1. Bilashaba Islam woh waahid Deen hai jis ne zojeen ke darmiyaan rehmat aur shafqat ke taluq ki taraf ishara kiya hai aur yeh waahid Deen hai jo badsulooki aur eezaar saani se rokta hai chahe woh qol ke zari’ye se ho ya fel ke zari’ye se, Allah Ta’ala ka farman hai: وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَکُمْ مِنْ أَنْفُسِکُم أَزْوَاجًا لِتَسْکُنُوا إِلَيْه‍َا وَجَعَلَ بَيْنَکُمْ مَوَدَّةً وَرَحْمَةَ

(197).

Tarjuma: Aur uski nishaaniyon mein se hai ke tumhari hi jans se biwyaan peda kin taake tum unse araam pao usne tumhare darmiyaan mohabbat aur humdardi qayim kardi.

 

Maloom hona chahiye ke yeh shafqat aur rehmat shran jaiz nikah ke zari’ye hi aasakti hai.

 

  1. Islam woh waahid mazhab hai jisne aurat ko maarne, Uski toheen karne, Aur usko haqaarat ki nazar se dekhne par choda so saal pehle tanqeed ki, Aur usse mard ki nakaami shumaar kiya hai, Agar hum nisara ka muqaddas kitaab, Chahe woh ehednama qadeem ho ya jadeed, Mein talaash karen to qareeb-o-baeed ka aisa koi ishaara nahin milta jo aurton ko maarne ko Haram qaraar deta ho.
  2. Islam ne aurat ke saath husun sulook ki targheeb dilayi hai, Tamaam Qur’ani aayat aur Ahadees-e-mubarka jo zojeen ke taluq ke hawaale se hain, Woh zojeen ko ek doosre ke saath husun mamla aur ehsaan karne ki targheeb deti hain Allah Ta’ala ka farman hai:وَلَه‍ُنَّ مِثْلُ الَّذِي عَلَيْه‍ِنَّ بِالْمَعْرُوفِ

(198).

Tarjuma: Aur aurton ke bhi waise hi haq hain jaise un par mardon ke hain achai ke saath.

  1. Islam ne eila insani sulook balkhasoos jo zojeen ke darmiyaan ho, Usse ajar-o-sawaab ka baa’as qaraar diya hai Rasoolullah(ﷺ) ne farmaya: Tum jo kuch bhi kharch karo ge aur usse Allah Ta’ala ki razamandi maqsood hogi to Allah Ta’ala tumhein uska sawaab dega, Allah tumhein is luqme par bhi sawaab dega jo tum apni biwi ke mun mein daalo ge(199).
  2. Islam ne aurat ko istasnayi soorat mein maarne ki ijazat di hai aur usse qayida nahin banaya, Aur usse ussi sharoot ke saath muqeed kar diya hai jisse ek mard sirf istasnayi halaat mein batoor aakhri hal ikhtiyaar kar sakta hai, Aur ek bare fasaad ko khatam karne ke liye naguzer aur aakhri hal ke tor par apna sakta hai, Isliye ke tamaam aurten tamaam har zamane maashre aur khandaan mein ek hi aadat-o-utwaar ki haamil nahin hotin, Kyunki kabhi ek mamla jo ek maashre ke liye durust hota hai, Wahi doosre maashre ke liye nuqsaan de hota hai, Aur basaoqaat ek aurat ke saath ek sulook doosri aurat ke saath doosre maashre ya zamane mein wahi sulook durust nahin hota, Chahe aap uske liye kitni hi koshishen kyun na kar lein, Aur yeh Islam ke aalmageer hone aur tamaam ehtmalaat ko apne andar samoye huwe hone ki daleel hai.

    6. Gharelu tashadud ka mamla mojooda dor mein sabse ziyada taraqi pasand aur mazhab mumaalik mein wasee pemaane par          payaa jata hai, Kitne hi maghribi eesayi mardon ne ali eilaelaan logon ke saamne, Hawayi adon, Hotilon, Ya dukaanon mein                  yahan tak ke amoomi shahiraahon par guzarne waalon ke saamne apni biwyon par tashadud kiya, Aur yeh koi raaz ki baaten             nahin balke electronic media par gardish karti khabren hain.

America, Canada, Europe aur Austerlia mein kitni maghribi khawaateen police station ka rukh karti hain, Taake apne shoharon ke khilaaf indraaj karwaayein, Jinho ne unhein maara tha, Aur yahan record sirf zaahiri saboot ki mojoodgi mein hain istemaal kiye ja sakte hain, Jaisa ke humne zikar kiya chahe hadiyaan tooti huwi hon, Ya aankh ke neeche, Ya chehre par maar peet ke nishaan hon, Aur jo bhi America, Europe aur Austerlia mein police ke mehkamon ke sarkari edaad-o-shumaar talaash kare ga, Uske saamne yeh baat khul kar waazeh ho jayegi.

Maghrabi maashron mein aurton ko maarna ka rujhaan

 

Maghrib, Jo tehzeeb aur taraqi ka daawedaar hai, Unke haan gharelu tashadud ka rujhaan tezi se phel raha hai, Uski wazaahat ke liye mandarja zel baaten pesh hain:

 

  1. Europi mumaalik mein sarkari aur ghair sarkari tanzeemen aur idaare aam ho rahe hain, Jo gharelu tashadud ki rok thaam ke liye kaam kar rahe hain, Jo shoharon ki taraf se biwyon par hone waale tashadud ko khatam karne mein nakaam ho chuke hain.
  2. Isi tarah media par hamesha aur baar baar nashar hone waale elaanaat ke baare mein kya kahenge jo is baat ki targheeb dilaate hain ke agar aapke paros mein koi shohar apni biwi par tashadud kar raha hai to foran police ko etlaa karen.
  3. Woh sawalaat jo maghribi maashre mein rehne waale afraad se kiye jaate hain, Un mein se kuch sawalaat yeh hain:

➤ Kya aapne kabhi bhi apni biwi ko maaraa hai?

➤ Kya aapne kabhi bhi apne waalid ko apni maa ko maarte dekha ya suna hai?

➤ Kya aapne suna hai ke aapke khandaan mein se kisi fard ne apni biwi ko maaraa hai?

➤ Kya aapne suna hai ke aapke parosi ne kabhi bhi apni biwi ko maaraa ho?

In sawalaat ka maqsad yeh hota hai ke Europe, America, Canada aur Austerlia mein eesayi shoharon ki taraf se biwyon par hone waale tashadud ke barhte huwe rajhaan ko saabit kiya jaa sake, Jo wasee pemaane par aam ho raha hai.

Aakhir mein hum kahen ge ke har woh shakhs jo insaaf pasand hai uske saamne waazeh hai ke Islam ne aurat ko kya fazeelat di hai, Yeh woh waahid mazhab hai jisne aurat ko izzat bakshi uska maqaam buland kiya aur usse har us cheez se mehfooz rakha jo uske waqar ko kamzor aur uski iffat mein khalal  peda kar sake, Aur intehayi shiddat ke saath us par zulm karne se  roka hai.

Chunancha: Rasoolullah(ﷺ) ne farmaya: “Bilashaba mein do kamzor afraad ke haqooq ki sangeeni ka elaan karta hoon: Ek yateem aur doosri aurat.” (200).


Khaatima


Islam Allah Ta’ala ka woh daayimi peghaam hai jo usne Muhammad(ﷺ) ki zaban par tamaam insaanon ki taraf bheja.

 

Is rabbani peghaam ne nazil hote hi insanon ki Allah Ta’ala ki deegar makhlooqaat par foqiyat ka elaan kiya chunancha farmaya:

وَلَقَدْ کَرَّمْنَا بَنِي آدَمَ وَحَمَلْنَاه‍ُمُ فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ وَرَزَ قْنَا ه‍ُمُ مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَفَضَّلْنَا ه‍ُمْ عَلَى کَثيِرٍ مِمَّنْ خَلَقْنَا تَفْضِيلًا
(201).

Tarjuma: Yaqeenan humne aulaad Aadam ko bari izzat di aur unhein khushki aur tari ki sawaaryaan din aur unhein pakeeza cheezon ki rozyaan din aur apni bahot si makhlooq par unhein fazeelat ataa farmayi.

Aur Allah Ta’ala ne insan ko uski qadar-o-qeemat aur yeh ke usse Allah Ta’ala ki bahot si deegar makhlooqaat par foqiyat haasil hai, Uska taruf karwaane ke baad ek aur asool bayan kar diya woh yeh ke tamaam insan asal aur pedaish ke e’itbaar se barabar hain, Allah Ta’ala ka farman hai:

يَا أَيُّه‍َا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّکُمُ الَّذِي خَلَقَکُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ
(202).

Tarjuma: Ae logon!Apne parwaridgaar se daro, Jisne tumhein ek jaan se peda kiya.

 

Is e’itbaar se har insan insani qadar mein apne insani bhai ke barabar hai, Lihaza har ek ko izhar-e-raaye ki azadi hai,  Aur is kainat mein Allah Ta’ala ne jo bhi nematein peda ki hain unse fayida haasil karne ki sabko azadi ho.

Agar unke darmiyaan farq hai to nasal, Hasab-o-Nasab aur rang ki bunyaad par nahin agarcha insani zaat ke e’itbaar se unke darmiyaan muwaashi satah par ikhtilaaf ho, Kyunki Allah Ta’ala ke haan jans, Rang ya nasal ke e’itbaar se kisi ko izzat haasil nahin, Balke sabke sab Allah Ta’ala ke haan barabar hain chahe woh mard ho ya aurat maaldaar ho ya mohtaaj  muaziz ho ya haqeer, Lekin unke darmiyaan farq Allah Ta’ala ki shari’yat par amal peda hone aur haq ke raaste par istaqaamat ke lihaz se hota hai, Chunancha Allah Ta’ala ne logon ko mukhaatib karke us azeem asool ki wazaahat karte huwe farmaya

:يَاأَيُّه‍َا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاکُمْ مِنْ ذَکَرٍ وَأُنْثَى وَجَعَلْنَاکُمْ شُعُوبًا وَقَبَاىِٔل لِتَعَارَ فُوا إِنَّ أَکْرَ مَکُمْ عِنْدَ اللَّه أَتْقَاکُمْ
(203).

Tarjuma: Ae logon! Humne tum sabko ek(hi) mard-o-aurat se peda kiya hai aur isliye ke tum aapas mein ek doosre ko pehchano kunbe aur qabeele bana diye hain, Allah ke nazdeek tum sab mein baizzat hai woh hai jo sabse ziyada darne waala hai.

 

Islami taleemat insan ko apne insani bhai ke saath  asal aur insani qadar ke e’itbaar se barabar haalat mein rakhti hain, Isi tarah aurat ko har cheez mein mard ke barabar qaraar diya hai, Siwaaye un cheezon ke jin mein mard ko istasna karne ki waazeh zaroorat ho, Allah Ta’ala ka farman hai

:وَالْمُؤْمِنُونَ وَالْمُؤْمِنَاتُ بَعْضُه‍ُمْ أَوْ لِيَاءُ بَعْضٍ

(204)

Tarjuma: Momin mard-o-aurat aapas mein ek doosre ke(madadgaar-o-maaoon aur) dost hain.

 

Isi tarah Allah Ta’ala ne farmaya: فَاسْتَجَابَ لَهُمْ رَبُّه‍ُمْ أَنِّي لَا أُضِيعُ عَمَلَ عَامِلٍ مِنْکُمْ مِنْ ذَکَرٍ أَوْ أُنْثَى

(205).

 

Pas unke Rab ne unki dua qabool farmali ke tum mein se kisi kaam karne waale ke kaam ko khawaa woh mard ho ya aurat mein hargiz zayaa nahin karta. Munaasib maloom hota hai ke aakhir mein ikhtisaar ke saath apne khayaalat ka izhaar kar doon.

  1. Mein keh sakta hoon aur mujhe is baat ka durust hone ke yaqeen hai ke aurat apne haqooq aur haqeeqi azadi sirf Islam ke zer-e-saya hi haasil kar sakti hai,is Liye KY ye asmani Deen he Jaise tamaam insanon mard-o-aurat ki khaliq ne banaya hai, Jo unki duniya wi-o-aakhirwi halaat ko durust karne waala amoor janta hai.

         2. Humein chahiye ke kuch musalmanon ke tarz-e-amal ke zari’ye Islam par hukum na lagayein, Kyunki bahot saare aise log hain jo Islam ki taraf mansoob to hote hain, Lekin Islam ka unse koi taluq nahin, Kyunki Islam mahaz zaban se kalma shahaadat adaa karne ka naam nahin, Balke yeh aqeeda aur amal hai, Misaal ke tor par humein aise musalmaan bhi milte hain jo jhoot bolte hain, Dhoka dete hain aur kuch buraiyon ka irtakaab karte hain, To uska maaini yeh nahin ke Islam unka hukum deta hai, Ya Islam unhein barqaraar rakhta hai, Islam ek bara daira hai, Musalmanon mein se baz uski tamaam tar taleemaat par amal pera hote hain, Yahan tak ke darja-e-kamaal ke qareeb pohnch jate hain, Aur un mein se kuch kotahi karte hain, Woh is tarah ke mukhalifaat ka irtakaab karte hain, Jin ki bana par woh duniya aur aakhirat mein saza ke mustahiq thehrte hain lekin daira-e-Islam se khaarij nahin hote, Yeh wahi hain jinhein gunnahgaar musalmaan kahan jata hai.

  1. Mein har ghair muslim ko daawat deta hoon ke usse apne faisle mein azad hona chahiye, Aur doosron ki soch aur tojeehaat ki perwi nahin karni chahiye, Aur usse chahiye ke Islam aur uske nizam ke mutaliq maloomaat ke liye qaabil-e-e’itbaar kitabon ka mutaaliya kare, Kyunki yeh Allah Ta’ala ka Deen hai, Aur jo bhi uske baare mein apne Deeni jazbat aur nasli ta’asub se door reh kar haq ko talash karne ke liye parhe ga, Mujhe Allah Ta’ala se umeed hai ke woh jiske saath bhalayi karna chahe ga uski baseerat ko roshan karke uski seedhi raah ki taraf rehnumayi kare ga.

Musnafa(206) L.Veccia Vaglieri apni kitaab”Islam ka difa” mein ghair muslim hone ke bawajood kehti hain: Badsulooki par ubhaarne waale amoor aur unke nataaij se bachne ke liye zaroori hai ke ek musalmaan aurat parda kare, Aur apne poore jism ko dhaanpe le, Siwaaye un hisson ke jinko khol kar rakhne ki intehai zaroorat ho, Jaise aankhen aur paoon, Aur uska maqsad aurton ke ehtraam mein kami aur unki marzi khatam karne ke liye nahin, Balke mardon ki shehwat se mehfooz rakhne ke liye hai, Aur yeh qadeemi zabta hai jo aurton ko mardon se alehda karta hai, Aur uske nateeje mein haasil hone waali ikhlaaqi zindagi ke sabab usne mashriqi mumaalik mein zina ki tijaarat ko taqreeban mukkamal tor par nabood kardiya hai, Siwaaye un maqamaat ke jahan ghair mulkiyon ka asar-o-rasookh hai, Aur agar koi shakhs us zina ki tijaarat se haasil hone waali qeemat ka inkaar nahin karsakta, To hum par lazim hojata hai ke hum waazeh kar dein ke parda muslim maashre ka ek aisa fayida hai jiski qeemat ka andaza bhi nahin lagaya ja sakta.

REFERENCE:
Book: “Islam mein Aurat ka Maqaam”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha

The Beating of Women in Western Christian Societies

Many fanatics tried to raise some misconceptions about Islam, one of which is the beating of one’s wife, using their usual magic scissors, with which they ‘cut’ from the Verses of the Holy Qur’an and the Prophet’s sayings all the words that are before the word ‘beat’ and all the words that are after it, leaving just the word ‘beat”. Namely, they cut the words that contradict their misconceptions and leave only those that seem to support them, thus trying with their dirty tricks to raise false misconceptions about Islam, entirely departing from the real truth and objectivity. In this way they do not present the subject in its complete form, but chopped, in order to raise misunderstanding and confuse other people. They also claim that they are the civilized ones who treat their wives in the best manner, but in fact they turn a blind eye to and ignore the following:

  1. Most of those who loudly claim that they treat their wives in the best manner are in fact demonstrably lying and pretending.
  2. Islam is the only religion that has mentioned the affectionate and merciful relationship between the spouses, and also prevents one from hurting his wife, either verbally or physically. Allah, the Exalted, says:

“And among His Signs is that He created for you wives from among yourselves, that you may find repose in them, and He has put between you affection and mercy. Verily, in that are indeed signs for a people who reflect.” (30:21)

  1. Islam is the only religion that condemned whoever insults and beats his wife, or looks at her down arrogantly as though her position were degraded in relation to his, 1400 years ago. This is considered a defect in the man who does it.
  2. Islam encourages the best behavior towards one’s wife, since all the Verses of the Qur’an and all the sayings of the Prophet regarding the relation of the two spouses encourage the best behavior between them. Allah, the Exalted, says:

“And they (women) have rights (over their husbands), similar (to those of their husbands) over them, to what is reasonable.” (2:228)

  1. Islam has set rewards for the good behaviour amongst people and especially between the spouses. The Prophet said: “Allah will reward you for whatever you spend with the intention of gaining Allah’s Pleasure even if it were a mouthful of food you put into your wife’s mouth.” (Al- Bukhari)
  2. Islam has made the beating of women an exception, not a rule, only under certain circumstances that prevent the husband from resorting to beating her as a solution, except for very special cases, and only as a final solution, so as to prevent more serious calamities. That is because women are not the same in all eras, societies and families. What may work in one society may not work in another. On the contrary, it may escalate the situation instead of correcting it. And a behavior that may fit a woman may not fit another from a different society or era, no matter how hard one tries to make it fit.
  3. The phenomenon of domestic violence is rampant in the most civilized countries of our century. How many Westerners attack their wives in front of other people, at airports, restaurants, in bars or even in the streets before the passersby? This is no secret, you may see it in the mass media. Additionally, how many Western women in America, Canada, Europe or Australia go to the police in order to sue their husbands because they were subjected to violence? These lawsuits are taken into no consideration if there are no manifest proofs, as we have mentioned before, such as fractures, bruises, bleeding etc. And whoever takes a look at the official statistics of police stations in America, Europe or Australia, will be convinced about that.

The spreading of beating women in Westerns societies

We will submit the following comments to clarify the spreading of the phenomenon of domestic violence in the West: 1. The existence of numerous governmental and non- governmental organizations fighting the phenomenon of domestic violence against women and children, which have so far failed to curb it.

We will submit the following comments to clarify the spreading of the phenomenon of domestic violence in the West:

  1. The existence of numerous governmental and non- governmental organizations fighting the phenomenon of domestic violence against women and children, which have so far failed to curb it.

.2. The existence of recurrent and ongoing media campaigns which encourage the direct call to the relevant authorities in case of observing the phenomenon of domestic violence from a neighbor.

  1. We address the following questions to Western citizens:

Has it never happened to you to beat your wife, not even once?

 Have you ever seen or heard your father beat your mother?

Have you heard that anyone of your relatives has ever beaten his wife?

 Have you heard that anyone of your neighbours has ever beaten his wife?

The aim of these questions is only to prove the existence of the phenomenon of domestic violence from husbands towards their wives in Europe, America, Canada, Australia etc.

Finally, it can be clear to any unbiased person that Islam honours the woman, exalts her place from anything that can harm her dignity and has strictly warned against her being wronged. The Prophet said:

 “O Allah, bear witness that I declare inviolable the rights of two weak ones: the orphans and the women.” (An-Nasa’i & Ahmed & Ibn Maja & in As-Silsilah As-Sahiha No. 1015)

REFERENCE:
Book: “Women in Islam & Refutation of some common Misconceptions”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha
Translated by: Abu Salman Deya ud-Deen Eberle.

 

Table of Contents