01. NAMAZ MEIN AURAT KA APNAY DONON QADAM DHANPNAY KA HUKUM [Ruling concerning women covering their feet in prayer]
Sawal: 1046
NAMAZ MEIN AURAT KA APNAY DONON QADAM DHANPNAY KA HUKUM
Sawal:
Kya namaz mein aurat per apnay donon qadmon ko dhanpna wajib hay? Is ki koe’e daleel hay?
Jawab:
Alhmdulillah!
Aazad aur mukallaf aurat pr lazmi hay kay wo chehray aur hathon kay elawah apnay saray badan ko namaz main dhanpay, kyun kay aurat sari kay sari dhanpney ki cheez hai، chunanchey agr koi aurat namaz iss halat main parhey ke iss kay dhanpnay ki jagah maslan pindli، paon ، sar ، ya sar ka kuch hissa ayaan ho to is ki namaz sahih nahi ho gee’ kiyon ke Nabi (ﷺ) ka farman hai: (Allah Ta’ala kisi hae’zah ki namaz ourhni kay bagher qabol nahi farmata۔) is hadith ko Ahmad ، Abu Dawud، Tirmidhi aur Ibne Majah ne sahih sanad kay saath riwayat kia hay.
aur is liye bhi ke Abu Dawud ne Sayyidah Umm Salimah (رضی اللہ عنہا) se poochha tha ke aurat sirf qameez aur chadar main namaz ada karey ke neechay aazaar na ho to aap ne farmaya: aurat sari ki sari dhanpnay ki cheez hay.
Jab ke chehray kay baarey mein yeh hai ke namaz main chehrah khol kar rakhay، illah ke saamney ajnabee log hoon، aur qadmon kay mutalliq jamhoor ulama-e-karam ka muaq’qaf hai ke qadmon ko dhanp kar rakhna lazim hai، jab ke kuch ehl-e-ilm qadmon ko khula rakhney main narmi kartey hain، lekin jamhoor kehtey hain ke khula rakhna mana hai، aur inhein dhanpna wajib hai، issi liye Abu Dawud ne Sayyidah Umm Salimah (رضی اللہ عنہا) say riwayat kia hai ke in se aesi aurat kay baarey mein poocha gaya jo dopattay aur qameez main namaz parhey ، to unhon ne kaha: “koi harj nahi، ba shart yeh k lambi arbi qameez os kay qadmon ko dhanp day” is liye qadmon ko dhanpna har halat main behtar aur mohtaat amal hai. Jab ke hathailiyon ka muamla wasee hai ke ager inhein khula rakha hai to bhi koi harj nahi ، aur agar unhein dhanp lay to tsb bhi koi harj nahi، jab ke baaz ehl-e-ilm inhein dhanpna behter samajhtey hain.
Allah Ta’ala amal ki tofeeq de.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/1046/ruling-concerning-women-covering-their-feet-in-prayer