Search
Sections
< All Topics
Print

UMRAH KARNE WALON KE LIYE MAKKAH AUR MADINA MEIN TARAWEEH APNE HOTEL MEIN AFZAL HAIN YA KE HARAM MEIN AFZAL HONGI? [Is it better for men and women who come to do ‘umrah to pray Taraweeh in Makkah and Madinah in the hotel or in the Haram?]

Sawal: 161102

UMRAH KARNE WALON KE LIYE MAKKAH AUR MADINA MEIN TARAWEEH APNE HOTEL MEIN AFZAL HAIN YA KE HARAM MEIN AFZAL HONGI?

 

 

Mujhay ilm hai ke nafli namaz aur sunnatain maslan tahajjud wagherah ghar mein adaa karna mustahib aur afzal hain, lekin agar Makkah aur Madinah ki ziyaarat karne jayen aur hotel mein rahen to kiya hukum mukhtalif hoga?
ya’ani kya sunnat aur nawaafil kamre mein afzal hongi ya ke Haram mein adaa karna afzal hongi?
Aur aurton ke bare mein kya hukum hai jin ke bare mein ghar ki namaz masjid mein namaz adaa karne se afzal hai ke main apne ghar walon ke sath Makkah aur Madina jaun to kya hukum hoga?
Kya inki farzi namaz ghar mein afzal hogi ya ke Haram mein, aur kya hum musaafir shumar hongay kyunke hum hotel mein reh rahay hain bara-e- meherbani is silsile mein malomat faraham karen,
Jazakummullahu khaira.

 

 

 

Jawab ka matan

 

Alhamdulillah.

 

 

Awwal:

 

namaz taraweeh ke bare mein ke aayaa namaz taraweeh bajama’at masjid mein adaa karni afzal hai ya ke ghar mein akele taraweeh karna afzal hai, Ulama-e-Karam ke teen aqwaal paye jatay hain:

 

pehla qaul:

Namaz taraweeh masjid mein bajama’at adaa karna afzal hai, qadeem Ahnaf aur Imam Ahmed Bin Hanbal aur unke jamhoor Ashaab ka yehi qaul hai.

Is qaul ke dalaail aur qaaileen ke mutalliq hum sawal number (45781) ke jawab mein tafseelan bayaan kar chuke hain, aur humne wahan raajeh bhi usay hi qaraar diya hai.

Doosra qaul:

Gharon mein namaz taraweeh akele adaa karna afzal hai, Imam Malik, Imam Shafa’ii aur unke jamhoor Ashab ka qaul yehi hai Imam Malik رحمہ اللہ ne kibaar-e- Sahaba Kiraam aur apne kibaar mashaikh ke fe’l se istadlaal kiya hai.

Aur Imam Shafa’ii رحمہ اللہ ne darjj zail hadees se istadlaal kiya hai:

Zaid Bin Sabit رضی اللہ عنہ bayan karte hain ke Rasool Kareem (ﷺ) ne Ramzan-ul-Mubarak mein chatai ka kamrah banaya aur us mein kai raatein namaz ada ki to logon ne aap ke peechay namaz adaa karna shuru kar diya, jab Rasool Kareem (ﷺ) ko is ka ilm hua to aap beth gaye aur unke pas baahir aaye aur farmaya:

“jo tumne kiya wo meine dekh liya aur maaloom kr liya, logo apne gharon mein namaz ada kiya karo kyunke farz namaz ke ilawah baqi namaz ghar mein afzal-o-behtar hai.”

 

[Sahih Bukhari hadees number (698); Sahih Muslim hadees number (781)]

 

Imam Malik رحمه الله kehte hain:

 

“Rabi’ aur kai aik Ulama-e-Karam masjid se chalay jate aur logon ke sath qiyaam nahi karte the.

Imam Malik رحمه الله kehtay hain:

“Aur main bhi yehi karta hon kyunke Rasool Kareem (ﷺ) ne bhi qiyaam apne ghar mein hi kiya hai.”

aur Imam Shafi رحمه الله ne bhi Zaid Bin Sabit رضي الله عنه ki hadees se istadlaal kiya aur usayl bayan karne ke bad kaha hai:

“khaas kar Rasool Kareem (ﷺ) ke sath aur masjid-e-Nabawi mein qiyam karne ki jo fazilat thi ke bawajood farmaya ghar mein afzal hai.” antahi

Dekhen: At Tamheed (8/116 ).

 

Aur Ibn Abdul Bir رحمه الله ka kehna hai:

 

“lehaza jab ghar mein nafli namaz ada karna Masjid-e-Nabawi (ﷺ) mein nafil ada karne se bhi afzal hain halake Masjid-e-Nabawi mein aik hazar namaz ka sawab milta hai to phir is say aur kiya fazeelat waazeh ho sakti hai?!

Is liye Imam Malik aur Shafa’II ur inki raah per chalne walon ki yehi raey hai ke ghar mein har nafil namaz infiradi taur per afzal hai, is liye agar Ramzan AlMubarak mein masajid mein chahey kam hi nafli namaz adaa ki jaye to is surat mein bhi ghar mein namaz adaa karna afzal hai.” antahi

Dekhein: Al Istazkar (2/73).

 

yahan is per mutanbah rehna chahiye ke jin Aimma-e- Kiraam ne ghar mein infiradi namaz taraweeh ko masjid mein bajama’at namaz taraweeh adaa karne se afzal qaraar diya hai wo sirf us shakhs ke liye hai jo Quran Majeed ka kuch na kuch ya saare Quran ka hafiz ho, aur ghar mein namaz adaa karne ki taqat rakhta ho, aur usay susti-o-kahili ka khadsha na ho ke namaz taraweeh adaa hi na kare.

aur masjid mein namaz bajama’at ki adaigi munqata na ho to in shuroot ki Mojoodgi mein ghar mein infiradi namaz taraweeh ada karna afzal hoga, aur agar ye shuroot nahi payi jayen to phir unke han bhi masjid mein bajama’at taraweeh adaa karna afzal hai.

 

Imam Nawawi رحمہ اللہ kehte hain:

 

“Hamaray ashab Iraq aur Saidlani aur Baghawi wagherah doosre Khuraasani Hazrat ka kehna hai ke:

jo shakhs Quran Majeed ka hafiz ho aur agar infradi taur per namaz taraweeh adaa karna chahe aur usay susti-o-kahli ka khadsha na ho aur masjid se peeche rehne se masjid mein bajama’at namaz ko koi khalal na hota ho to is mein ikhtilaf hai.

lekin agar un umoor ki adam mujoodgi mein baghair kisi ikhtlaf ke namaz taraweeh bajama’at adaa karna hi afzal hai, aur aik giroh ne is masle mein teen tareeqe bayan kiye hain, aur teesre mein ye farq hai” antahi

Dekhein: AlMajmo’o (4/31).

 

Aur is mein aik aur shart ka izafah mumkin hai is ahem shart ka izafah ba’az Ahl-e-Ilm ne karte hoye kaha hai aur wo shart sail per lagoo hoti hai ke:

ghar mein namaz taraweeh adaa karne wala munfarid ya’ani akela ho to usay Harmain mein namaz taraweeh ada karne se afzal hai. Aur wo Ahl-e-Harmain mein se ho is liye Makkah aur Madinah mein bahir se aane wala shakhs jo Umrah ki adaigi aur ziyaarat ke liye aaya hai is per ye fazilat lagoo nahi hogi ke iske liye bhi ghar mein namaz taraweeh adaa karna afzal hai.

 

Muhammad Dasoqi maliki رحمہ اللہ kehtay hain:

 

“Namaz taraweeh teen shuroot ke sath ghar mein ada karni mandoob hai:

masajid mu’atal ho kar na reh jayen, aur ghar mein namaz taraweeh adaa karne wala shakhs susti ka shikar hokar usay chor na bethay، aur wo Harmein mein rehne wala na ho.

is liye agar un mein se koi aik shart bhi poori nahi hui to namaz taraweeh masjid mein bajama’at ada karna afzal hai.” antahi

Dekhiye: hashia Ad Dasoqi (315/1).

 

Ab is waqt logon ke haal per ghor karne se waazeh yehi hota hai ke unke liye jin mein khaas kar bohot sare ata’at per istiqamat ikhtiyar karne walay naujawan shaamil hain. masjid mein namaz taraweeh bajma’at adaa karna afzal hai.

kyunke masaajid mein namaz adaa karna unke liye nishaat aur chusti ka ba’is hai kyunke wahan raat ke ibtidaai hisse mein namaz taraweeh adaa ki jati hain, aur phir Imam bhi achi qira’at aur awaz mein tilawat karta hai.

Aur isliye bhi ke wahan namaz taraweeh adaa karne walon ki kasrat hoti hai, aur is liye bhi ke ghar mein bhot saare kam hote hain jin ke bina per namaz taraweeh ki adaegi mein susti-o-
kahili hosakti hai, is liye hamari rae to yehi hai ke ab Aamat-un-Naas ko gharon mein namaz taraweeh ki dawat dene ka matlab ye hai ke wo namaz taraweeh chor dein!

In mein kis ko Quran Majeed hifz hai?! Aur raat ke ibtidai hisse mein masajid mein namaz taraweeh adaa karne ke waqt ye log kiya karenge?

 

Aur wo konsa sabab hai jo unhen raat ke aakhir hisse mein namaz taraweeh adaa karne per tayar karega?

lihaaza farz karen ke is masle mein kuch logon ke han doosra qaul raajeh hai to phir ye note zarori hai ke ye khaas logon ke liye hai na ke Aamat-un- Naas ke liye.

Aur lagta hai ke salff رحمه الله ne jo ikhtiyaar kiya hai unki muraad bhi yehi thi; isiliye Umer Bin Khittaab رضی اللہ عنہ nay logon ko masjid mein namaz taraweeh adaa karne ke liye jama’ kar diya tha, aur khud ghar mein infaradi taur per namaz taraweeh adaa karte the.

 

Aur Imam Malik رحمه الله ne kitni khubsorat baat kahi hai aur jo hum kehna chahte hain Imam Malik ka qaul is ka khulasah hai:
 
Jab Ibn-e-Qasim ne un se dariyaft kiya ke:

 

kia aadmi Ramzan-ul- Mubarak mein logon ke sath bajma’at qiyam kare ya ke apne ghar mein qiyam krna aap ko ziyada pasand hai?

to Imam Malik رحمه الله ne jawab diya:

“agar wo ghar mein qiyam karne ki ziyada taqat rakhta hai to mujhay ye ziyada pasand hai, aur sab log is ki taqat nahi rakhte”. antahi

 

Dekhein: Almadwanat-ul-Kubra (287/1).

 

Duam:

 

Raha masla aurton ka gharon mein namaz taraweeh adaa karne ka masla to is silsilay mein sawal number (3457) ke jawab mein tafseel se bayan ho chuka hai.

Hum is jawab mein ye keh chukay hain ke:

Aurton ke liye afzal aur behtar yehi hai ke wo apne gharon mein namaz taraweeh ada karein, kyunke Rasool-e-Kareem (ﷺ) ka farmaan hai:

“tum apni aurton ko masjid se mat mana karo, aur unke ghar unke liye behtar-o-afzal hain.”

Sunan Abu Dawod.

 

lekin ye afzaliyat unhi masjidon mein jane ki ijazat dene mein maanay’ nahi، lekin unhein masjidon mein jane ke liye kuch shuroot per amal karna hoga, ye shuroot mundarjah bala sawal number ke jawab mein aap dekh sakte hain.

is jawab mein Sheikh Ibn-e-Baaz (رحمة الله) se fatwa bhi manqool hai ke aurat ke liye apne ghar mein namaz taraweeh masjid mein adaa karne se afzal-o-behtar hai.

Aur sawal number (12451) ke jawab mein hum Sheikh Ibn-e-Uthaimeen رحمہ اللہ ka darj-e- zail qaul naqal kar chuke hain:

“Sunnat-e- Nabawwiah is per dalaalat karti hai ke aurat ke liye kisi aur jagah se apne ghar mein namaz adaa karna afzal hai, chahe Makkah ho ya koi aur jagah uski ghar mein namaz afzal hai.”
antahi

 

Wallahu A’alam .

 

 

REFERENCE:

 

https://islamqa.info/ur/answers/161102/%D8%B9%D9%85%D8%B1%DB%81-%D9%83%D8%B1%D9%86%DB%92-%D9%88%D8%A7%D9%84%D9%88%DA%BA-%D9%83%DB%92-%D9%84%D9%8A%DB%92-%D9%85%D9%83%DB%81-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D9%85%D8%AF%D9%8A%D9%86%DB%81-%D9%85%D9%8A%DA%BA-%D8%AA%D8%B1%D9%88%D8%A7%D9%8A%D8%AD-%D8%A7%D9%BE%D9%86%DB%92-%DB%81%D9%88%D9%B9%D9%84-%D9%85%D9%8A%DA%BA-%D8%A7%D9%81%D8%B6%D9%84-%DB%81%D9%8A%DA%BA-%D9%8A%D8%A7-%D9%83%DB%81-%D8%AD%D8%B1%D9%85-%D9%85%D9%8A%DA%BA-%D8%A7%D9%81%D8%B6%D9%84-%DB%81%D9%88%D9%86%DA%AF%D9%89

Is it better for men and women who come to do ‘umrah to pray Taraweeh in Makkah and Madinah in the hotel or in the Haram?

Question

I know that it is mustahabb to offer Sunnah prayers (such as tahajjud) at home, but if we are visiting Makkah or Madinah and are staying in the hotel, is the ruling different? I mean, is it better to offer Sunnah prayers in the hotel room or in the Haram? With regard to women, for whom it is regarded as being preferable to offer obligatory prayers at home – when my family travels with me to Makkah and Madinah, is it better for them to offer the obligatory prayers in the hotel or in the Haram? Are we regarded as travelling, as we are staying in the hotel?.
Answer

Praise be to Allah.

Firstly: 

The scholars differed as to what is preferable in the case of Taraweeh prayer: Is it better to offer it in the mosque in congregation or to offer it at home individually? There are three opinions concerning that: 

1.

That offering it in congregation in the mosque is preferable. This is the opinion of the earlier Hanafis, Ahmad ibn Hanbal and the majority of his companions. 

We have quoted the evidence presented by those who hold this view, in the answer to question no. 45781, where we stated that we regard it as more likely to be correct. 

2.

That praying it individually at home is preferable. This is the view of Maalik and al-Shaafa‘i and most of their companions. Maalik (may Allah have mercy on him) quoted as evidence the action of the seniors among his shaykhs and the senior Sahaabah. 

Al-Shaafa‘i (may Allah have mercy on him) quoted as evidence the hadeeth of Zayd ibn Thaabit (may Allah be pleased with him), according to which the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) made a booth out of a reed mat in Ramadan and prayed in it at night, and some men among his Companions followed him in prayer. When he realized that they were doing that, he started praying seated (so that people could not see him and follow him in prayer). Then he came out to them and said: “I know what you did. O people, pray in your houses, for the best of a man’s prayer is in his house, apart from the obligatory prayers.”

Narrated by al-Bukhaari (698) and Muslim (781). 

Ibn ‘Abd al-Barr (may Allah have mercy on him) said: 

Maalik said: Rabee‘ah and more than one of our scholars would leave and not pray qiyaam with the people. Maalik said: And I also do that; and the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) did not pray qiyaam except in his house. 

Al-Shaafa‘i also quoted as evidence the hadeeth of Zayd ibn Thaabit, which he quoted. And al-Shaafa‘i said: The point is further emphasized by the fact that the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) told them to pray qiyaam in their homes rather than in his mosque despite all the virtue that there is in that.

End quote from al-Tamheed, 8/116 

Ibn ‘Abd al-Barr also said: 

If offering a naafil prayer at home is better than offering it in the mosque of the Prophet (blessings and peace of Allah be upon him) in which one prayer is better than a thousand prayers offered anywhere else, what can be clearer than this? Hence Maalik and al-Shaafa‘i, and those who followed their path, thought that praying alone at home was better in the case of all naafil prayers. If qiyaam is held in the mosque in Ramadan, even with the smallest number of people, prayer at home is still better.

End quote from al-Istidhkaar, 2/73 

It should be noted that those imams who said that praying Taraweeh alone at home is better than praying it in congregation in the mosque only applied that to the one who has memorised some Qur’aan – or the entire Qur’aan – and has the motivation to pray at home and there is no fear that he will become lazy and miss the prayer, and that the prayer in congregation in the mosque will not be affected by his absence. If these conditions are not met, then there is no doubt, according to their view, that praying Taraweeh in congregation in the mosque is better. 

 
Al-Nawawi (may Allah have mercy on him) said: 

Our companions, the Iraqis, al-Saydalaani, al-Baghawi and others among the Khorasanis said: The difference of opinion has to do with one who has memorised Qur’aan and for whom there is no fear that he will become lazy if he prays on his own and that the congregation in the mosque will not be affected if he stays away. If one of these conditions is not met, then praying in congregation is preferable and there is no difference of opinion concerning that.

End quote from al-Majmoo‘, 4/31 

We may add another important condition here which was added by some of the scholars and which is relevant to what the questioner asked about. This is that for it to be preferable for a person to pray in his house on his own rather than offering the prayer in the Haramain, he should be one of the people of the Haramain (i.e., a resident of Makkah or Madinah). The one who comes to the Haram in Makkah to do ‘umrah – and, similarly, the one who comes to Madinah to pray in the Prophet’s Mosque – is not subject to the ruling that praying Taraweeh in his house is preferable. 

Muhammad al-Dasooqi al-Maaliki (may Allah have mercy on him) said: 

The recommendation to do it (pray Taraweeh) in one’s house is subject to three conditions: that the mosques should not be left empty, that he has the motivation to do it and he should not be one of those who are coming from afar to visit the Haramain. If one of these conditions is absent, then doing it in the mosque is preferable.

 
End quote from Haashiyat al-Dasooqi, 1/315 

Looking at the state of people nowadays – including many of the good and righteous youth who are devoted to worship – we find that praying Taraweeh in congregation in the mosque is better for them, because praying in the mosque is very encouraging for them, as it is done at the beginning of the night, and because of the beauty of the imam’s voice – for those who seek to pray with an imam like this – and because of the large numbers of people who pray. And also because there are many distractions in the home that lead people to become lazy in offering the prayer. Hence we think that calling on ordinary people nowadays to pray Taraweeh at home is an invitation to abandon this prayer! Where are those who have memorized anything of the Qur’aan among those people? What else will these people be doing if they are not praying in the mosque at the beginning of the night? Where is the motive that will make them get up at the end of the night to pray qiyaam? 

If we assume that the correct view concerning this matter according to some people is the second opinion, then let this apply only to the elite, not the common folk; perhaps this is what was meant by those among the salaf who favoured this opinion. Hence ‘Umar ibn al-Khattab (may Allah be pleased with him) gathered the people together in the mosque to pray Taraweeh, and he prayed on his own in his house. 

How beautiful are the words of Imam Malik, who summed up what we are trying to say. When Ibn al-Qaasim asked him about whether it is better for a man to pray qiyaam in Ramadan with the people or on his own in his house? He replied: If he is able to do it in his house, then I prefer that, but not all the people are able for that.

End quote from al-Mudawwanah al-Kubra, 1/287 
 
Secondly: 

With regard to women praying Taraweeh in their houses, this has already been dealt with in the answer to question no. 3457, where we said that it is better for women to pray qiyaam in their houses, because the Prophet (blessings and peace of Allah be upon him) said: “Do not prevent your women from going to the mosques, although their houses are better for them.” Narrated by Abu Dawood. The fact that praying at home is preferred does not mean that they should not be permitted to go to the mosques, but that is subject to certain conditions, which are mentioned in the question referred to. 

In the same answer we quoted a fatwa of Shaykh Ibn Baaz which states that Taraweeh at home is better for a woman than in the mosque. 

In the answer to question no. 12451, we quoted Shaykh Ibn ‘Uthaymeen (may Allah have mercy on him) as saying: 

The Sunnah indicates that it is better for a woman to pray in her house wherever she is, whether she is in Makkah or elsewhere. End quote. 

And Allah knows best.

REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/161102/is-it-better-for-men-and-women-who-come-to-do-umrah-to-pray-taraweeh-in-makkah-and-madinah-in-the-hotel-or-in-the-haram

عمرہ كرنے والوں كے ليے مكہ اور مدينہ ميں تروايح اپنے ہوٹل ميں افضل ہيں يا كہ حرم ميں افضل ہونگى ؟

 

سوال

مجھے علم ہے كہ نفلى نماز اور سنتيں مثلا تہجد وغيرہ گھر ميں ادا كرنا مستحب اور افضل ہيں، ليكن اگر مكہ اور مدينہ كى زيارت كرنے جائيں اور ہوٹل ميں رہيں تو كيا حكم مختلف ہوگا ؟
يعنى كيا سنت اور نوافل كمرہ ميں افضل ہوں گى يا كہ حرم ميں ادا كرنا افضل ہونگى ؟
اور عورتوں كے بارہ ميں كيا حكم ہے جن كے بارہ ميں گھر كى نماز مسجد ميں نماز ادا كرنے سے افضل ہے كہ ميں اپنے گھر والوں كے ساتھ مكہ اور مدينہ جاؤں تو كيا حكم ہوگا ؟
كيا ان كى فرضى نماز گھر ميں افضل ہوگى يا كہ حرم ميں ، اور كيا ہم مسافر شمار ہونگے كيونكہ ہم ہوٹل ميں رہ رہے ہيں برائے مہربانى اس سلسلہ ميں معلوما فراہم كريں، جزاكم اللہ خيرا.

 

جواب کا متن

 

 

الحمد للہ.

 

اول:

 

نماز تراويح كے بارہ ميں كہ آيا نماز تروايح باجماعت مسجد ميں ادا كرنى افضل ہے يا كہ گھر ميں اكيلے تراويح كرنا افضل ہے، علماء كرام كے تين اقوال پائے جاتے ہيں:

 

پہلا قول:

 

نماز تراويح مسجد ميں باجماعت ادا كرنا افضل ہے، قديم احناف اور امام احمد بن حنبل اور ان كے جمہور اصحاب كا يہى قول ہے.

اس قول كے دلائل اور قائلين كے متعلق ہم سوال نمبر ( 45781 ) كے جواب ميں تفصيلا بيان كر چكے ہيں، اور ہم نے وہاں راجح بھى اسے ہى قرار ديا ہے.

 

دوسرا قول:

 

گھروں ميں نماز تراويح اكيلے ادا كرنا افضل ہے، امام مالك امام شافعى اور ان كے جمہور اصحاب كا قول يہى ہے امام مالك رحمہ اللہ نے كبار صحابہ كرام اور اپنے كبار مشائخ كے فعل سے استدلال كيا ہے.

اور امام شافعى رحمہ اللہ نے درج ذيل حديث سے استدلال كيا ہے:

زيد بن ثابت رضى اللہ تعالى عنہ بيان كرتے ہيں كہ رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے رمضان المبارك ميں چٹائى كا كمرہ بنايا اور اس ميں كئى راتيں نماز ادا كي تو لوگوں نے آپ كے پيچھے نماز ادا كرنا شروع كر دى، جب رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم كو اس كا علم ہوا تو آپ بيٹھ گئے اور ان كے پاس باہر آئے اور فرمايا:

” جو تم نے كيا وہ ميں نے ديكھ ليا اور معلوم كر ليا، لوگو اپنے گھروں ميں نماز ادا كيا كرو كيونكہ فرضى نماز كے علاوہ باقى نماز گھر ميں افضل و بہتر ہے “

صحيح بخارى حديث نمبر ( 698 ) صحيح مسلم حديث نمبر ( 781 ).

 

امام مالك رحمہ اللہ كہتے ہيں:

 

” ربيع اور كئى ايك علماء كرام مسجد سے چلے جاتے اور لوگوں كے ساتھ قيام نہيں كرتے تھے.

 

امام مالك رحمہ اللہ كہتے ہيں:

 

” اور ميں بھى يہى كرتا ہوں كيونكہ رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے بھى قيام اپنے گھر ميں ہى كيا ہے “

اور امام شافعى رحمہ اللہ نے بھى زيد بن ثابت رضى اللہ تعالى عنہ كى حديث سے استدلال كيا اور اسے بالنص بيان كرنے كے بعد كہا ہے:

” خاص كر رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم كے ساتھ اور مسجد نبوى ميں قيام كرنے جو فضيلت تھى كے باوجود فرمايا گھر ميں افضل ہے ” انتہى

 

ديكھيں: التمھيد ( 8 / 116 ).

 

اور ابن عبد البر رحمہ اللہ كا كہنا ہے:

 

” لہذا جب گھر ميں نفلى نماز ادا كرنا مسجد نبوى عليہ السلام ميں نفل ادا كرنے سے بھى افضل ہيں حالانكہ مسجد نبوى ميں ايك ہزار نماز كا ثواب ملتا ہے تو پھر اس سے اور كيا فضيلت واضح ہو سكتى ہے؟!

اس ليے امام مالك اور شافعى اور ان كى راہ پر چلنے والوں كى يہى رائے ہے كہ گھر ميں ہر نفلى نماز انفرادى طور پر افضل ہے، اس ليے اگر رمضان المبارك ميں مساجد ميں چاہے كم ہى نفلى نماز ادا كى جائے تو اس صورت ميں بھى گھر ميں نماز ادا كرنا افضل ہے ” انتہى

 

ديكھيں: الاستذكار ( 2 / 73 ).

 

يہاں اس پر متنبہ رہنا چاہيے كہ جن آئمہ كرام نے گھر ميں انفرادى نماز تراويح كو مسجد ميں باجماعت نماز تراويح ادا كرنے سے افضل قرار ديا ہے وہ صرف اس شخص كے ليے ہے جو قرآن مجيد كا كچھ نا كچھ يا سارے قرآن كا حافظ ہو، اور گھر ميں نماز ادا كرنے كى طاقت ركھتا ہو، اور اسے سستى و كاہلى كا خدشہ نہ ہو كہ نماز تراويح ادا ہى نہ كرے.

اور مسجد ميں نماز باجماعت كى ادائيگى منقطع نہ ہو تو ان شروط كى موجودگى ميں گھر ميں انفرادى نماز تراويح ادا كرنا افضل ہوگا، اور اگر يہ شروط نہ پائى جائيں تو پھر ان كے ہاں بھى مسجد ميں باجماعت تراويح ادا كرنا افضل ہے.

 

امام نووى رحمہ اللہ كہتے ہيں:

 

” ہمارے اصحاب عراق اور صيدلانى اور بغوى وغيرہ دوسرے خراسانى حضرات كا كہنا ہے كہ:

جو شخص قرآن مجيد كا حافظ ہو اور اگر انفرادى طور پر نماز تراويح ادا كرنا چاہے تو اسے سستى و كاہلى كا خدشہ نہ ہو اور مسجد سے پيچھے رہنے سے مسجد ميں باجماعت نماز كو كوئى خلل نہ ہوتا ہو تو اس ميں اختلاف ہے.

ليكن اگر ان امور كى عدم موجودگى ميں بغير كسى اختلاف كے نماز تراويح باجماعت ادا كرنا ہى افضل ہے، اور ايك گروہ نے اس مسئلہ ميں تين طريقے بيان كيے ہيں، اور تيسرے ميں يہ فرق ہے ” انتہى

 

ديكھيں: المجموع ( 4 / 31 ).

 

اور اس ميں ايك اور شرط كا اضافہ ممكن ہے اس اہم شرط كا اضافہ بعض اہل علم نے كرتے ہوئے كہا ہے اور وہ شرط سائل پر لاگو ہوتى ہے كہ:

گھر ميں نماز تراويح ادا كرنے والا منفرد يعنى اكيلا ہو ـ تو اسے حرمين ميں نماز تراويح ادا كرنے سے افضل ہے ـ اور وہ اہل حرمين ميں سے ہو؛ اس ليے مكہ اور مدينہ ميں باہر سے آنے والا شخص جو عمرہ كى ادائيگى اور زيارت كے ليے آيا ہے اس پر يہ فضيلت لاگو نہيں ہو گى كہ اس كے ليے بھى گھر ميں نماز تراويح ادا كرنا افضل ہے.

 

محمد دسوقى مالكى رحمہ اللہ كہتے ہيں:

 

” نماز تراويح تين شروط كے ساتھ گھر ميں ادا كرنى مندوب ہے:

مساجد معطل ہو كر نہ رہ جائيں، اور گھر ميں نماز تراويح ادا كرنے والے شخص سستى كا شكار ہو كر اسے چھوڑ نہ بيٹھے، اور وہ حرمين ميں رہنے والا نہ ہو.

اس ليے اگر ان ميں سے كوئى ايك شرط بھى پورى نہ ہو تو نماز تراويح مسجد ميں باجماعت ادا كرنا افضل ہے ” انتہى

 

ديكھيں: حاشيۃ الدسوقى ( 1 / 315 ).

 

اب اس وقت لوگوں كے حال پر غور كرنے واضح يہى ہوتا ہے كہ ان كے ليے ـ جن ميں خاص كر بہت سارے اطاعت پر استقامت اختيار كرنے والے نوجوان شامل ہيں ـ مسجد ميں نماز تراويح باجماعت ادا كرنا افضل ہے.

كيونكہ مساجد ميں نماز ادا كرنا ان كے ليے نشاط اور چستى كا باعث ہے كيونكہ وہاں رات كے ابتدائى حصہ ميں نماز تراويح ادا كى جاتى ہيں، اور پھر امام بھى اچھى قرآت اور آواز ميں تلاوت كرتا ہے .

اور اس ليے بھى كہ وہاں نماز تراويح ادا كرنے والوں كى كثرت ہوتى ہے، اور اس ليے بھى كہ گھر ميں بہت سارے كام ہوتے ہيں جن كى بنا پر نماز تراويح كى ادائيگى ميں سستى و كاہلى ہو سكتى ہے، اس ليے ہمارى رائے تو يہى ہے كہ اب عامۃ الناس كو گھروں ميں نماز تراويح كى دعوت دينا كا مطلب يہ ہے كہ وہ نماز تراويح چھوڑ ديں!

ان ميں كس كو قرآن مجيد حفظ ہے؟! اور رات كے ابتدائى حصہ ميں مساجد ميں نماز تراويح ادا كرنے كے وقت يہ لوگ كيا كريں گے؟!

اور وہ كونسا سبب ہے جو انہيں رات كے آخرى حصہ ميں نماز تراويح ادا كرنے پر تيار كرےگا ؟!

لہذا فرض كريں كہ اس مسئلہ ميں كچھ لوگوں كے ہاں دوسرا قول راجح ہے تو پھر يہ نوٹ ضرورى ہے كہ يہ خاص لوگوں كے ليے ہے نہ كہ عامۃ الناس كے ليے.

اور لگتا ہے كہ سلف رحمہ اللہ نے جو اختيار كيا ہے ان كى مراد بھى يہى تھى؛ اسى ليے عمر بن خطاب رضى اللہ تعالى عنہ نے لوگوں كو مسجد ميں نماز تراويح ادا كرنے كے ليے جمع كر ديا تھا، اور خود گھر ميں انفرادى طور پر نماز تراويح ادا كرتے تھے.

اور امام مالك رحمہ اللہ نےكتنى خوبصورت بات كہى ہے اور جو ہم كہنا چاہتے ہيں امام مالك كا قول اس كا خلاصہ ہے:

جب ابن قاسم نے ان سے دريافت كيا كہ:

كيا آدمى رمضان المبارك ميں لوگوں كے ساتھ باجماعت قيام كرے يا كہ اپنے گھر ميں قيام كرنا آپ كو زيادہ پسند ہے ؟

تو امام مالك رحمہ اللہ نے جواب ديا:

” اگر وہ گھر ميں قيام كرنے كى زيادہ طاقت ركھتا ہے تو مجھے يہ زيادہ پسند ہے، اور سب لوگ اس كى طاقت نہيں ركھتے ” انتہى

 

ديكھيں: المدونۃ الكبرى ( 1 / 287 ).

 

 

دوم:

 

رہا مسئلہ عورتوں كا گھروں ميں نماز تراويح ادا كرنے كا مسئلہ تو اس سلسلہ ميں سوال نمبر ( 3457 ) كے جواب ميں تفصيل سے بيان ہو چكا ہے.

ہم اس جواب ميں يہ كہہ چكے ہيں كہ: عورتوں كے ليے افضل اور بہتر يہى ہے كہ وہ اپنے گھروں ميں نماز تروايح ادا كريں، كيونكہ رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم كا فرمان ہے:

” تم اپنى عورتوں كو مسجد سے مت منع كرو، اور ان كے گھر ان كے ليے بہتر و افضل ہيں ” سنن ابو داود.

ليكن يہ افضليت انہيں مسجدوں ميں جانے كى اجازت دينے ميں مانع نہيں، ليكن انہيں مسجدوں ميں جانے كے ليے كچھ شروط پر عمل كرنا ہوگا، يہ شروط مندرجہ بالا سوال نمبر كے جواب ميں آپ ديكھ سكتے ہيں.

اس جواب ميں شيخ ابن باز رحمہ اللہ سے فتوى بھى منقول ہے كہ عورت كے ليے اپنے گھر ميں نماز تراويح مسجد ميں ادا كرنے سے افضل و بہتر ہے.

اور سوال نمبر ( 12451 ) كے جواب ميں ہم شيخ ابن عثيمين رحمہ اللہ كا درج ذيل قول نقل كر چكے ہيں:

” سنت نبويہ اس پر دلالت كرتى ہے كہ عورت كے ليے كسى اور جگہ سے اپنے گھر ميں نماز ادا كرنا افضل ہے، چاہے مكہ ہو يا كوئى اور جگہ اس كى گھر ميں نماز افضل ہے ” انتہى

 

واللہ اعلم .

 

REFERENCE:

 

https://islamqa.info/ur/answers/161102/%D8%B9%D9%85%D8%B1%DB%81-%D9%83%D8%B1%D9%86%DB%92-%D9%88%D8%A7%D9%84%D9%88%DA%BA-%D9%83%DB%92-%D9%84%D9%8A%DB%92-%D9%85%D9%83%DB%81-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D9%85%D8%AF%D9%8A%D9%86%DB%81-%D9%85%D9%8A%DA%BA-%D8%AA%D8%B1%D9%88%D8%A7%D9%8A%D8%AD-%D8%A7%D9%BE%D9%86%DB%92-%DB%81%D9%88%D9%B9%D9%84-%D9%85%D9%8A%DA%BA-%D8%A7%D9%81%D8%B6%D9%84-%DB%81%D9%8A%DA%BA-%D9%8A%D8%A7-%D9%83%DB%81-%D8%AD%D8%B1%D9%85-%D9%85%D9%8A%DA%BA-%D8%A7%D9%81%D8%B6%D9%84-%DB%81%D9%88%D9%86%DA%AF%D9%89

 

Table of Contents