Search
Sections
< All Topics
Print

59. APNE BAAP KAY ALAWAH KISI AUR KI TARAF MANSUB KARNA [Knowingly ascribing oneself falsely someone to other than one’s real father]

 JANTE BUJHTE APNE AP KO APNE BAAP KAY ELAWA KISI AUR KI TARAF MANSOOB KARNA

 

Saad رضي الله عنه bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:

 

Jis ne apne aap ko apne baap kay elawa kisi aur ki taraf mansoob kia halan keh woh janta hai keh woh uska baap nahin tou us par jannat haram hai” [Bukhari: 6766; Muslim: 63]

Abu Hurairah رضي الله عنه Nabi ﷺ se riwayat karte hain aap ne farmaya:

“Apne aaba se ai’raz na karo pas jis ne apne baap se ai’raz kia tou woh kafir hai” [Bukhari: 6768; Muslim: 1370]

Aur is mein yeh bhi hai:

“Jis ne apne aap ko apne baap kay elawa kisi aur ki taraf mansoob kia tou us par Allah ki la’anat hai”          [Bukhari: 7300; Muslim: 1370]

Zaid bin Shareek bayan karte hain main ne Ali رضي الله عنه ko mimbar par khitab farmate hue dekha, main ne unhen farmate hue suna: Allah ki Qasam! Hamare pas Allah ta’ala ki kitab kay siwa koi aur kitab nahin jise ham parhte hon aur jo is saheefe (register) mein hai, pas unhon ne khola tou us mein (zakat kay muta’alliq) oonton ki umren aur kuch zakhmon (ki diyat) kay baare mein tafseel thi, aur us mein tha keh RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Madina eer (Pahar) se saur tak haram hai, pas jis ne is mein koi bid’at jaari ki ya kisi bid’ati ko panah di tou us par Allah, farishton aur tamam insanon ki la’anat hai aur Roz-e-Qayamat Allah usse koi farz qubool karega na nafil aur jis ne apne malikon kay elawa kisi aur se haqqe wilayat sabit kia tou us par bhi isi misil (la’anat) hai aur tamam muslmanon ka zimma ek hi hai”

Abu Zar رضي الله عنه se riwayat hai keh unhon ne Nabi ﷺ ko farmate hue suna:

“Woh shakhs ham mein se nahin jo apne aap ko apne baap kay elawa kisi aur ki taraf mansoob kare halan keh woh janta hai, tou us ne kufur kia, jis ne kisi aisi cheez ka da’wa kia jo keh uski nahin you won ham mein se nahin aur woh apna thikana jahannum mein bana le, ya kaha: ae Allah kay dushman! Halan keh woh aise nahin hai tou phir woh kalimah us par laut ata hai” [Bukhari: 3508; Muslim: 21]

Pas ham Allah se afwo aafiat aur us kay pasandeedah umoor ki taufeeq talab karte hain kyun keh woh sakhi daata hai.

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

 Falsely claiming someone is One’s Father

 

On the authority of Sa’d, (may Allah be pleased with him) who said, “The Messenger of Allah

(pbuh) said, “Paradise is forbidden to whoever falsely claims someone is his father, knowing he is not.”¹

On the authority of Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) who said, “The Prophet (pbuh) said, “Do not wish for fathers other than your own. For someone to wish for a different father is unbelief.”²

In another narration, it is reported,”Whoever claims someone, other than his own to be his father, or belonging himself to a ruler other than his own, he will invoke upon himself the curse of Allah, His angels and all people.”³

On the authority of Abu Dharr who said that, he heard the Prophet (pbuh) as saying, “Whoever claims someone to be his father, knowing he is not, he is a disbeliever, whoever claims something which is not his, is not of us and should anticipate his abode in the Fire, and whoever charges a man with unbelief or an enemy of Allah, he will be the one most deserved of it. “

¹Reported by A1-Bukhari.
²Reported by AI-Bukhari.
³Reported by Muslim.
REFERENCE:
BOOK: “MAJOR SINS” OF IMAM SHAMSU ED-DEEN DHAHABI.
Distributed by : www.islambasics.com
Table of Contents