16A. Hazrat Muhammad Waasi’ Azdi (رحمہ اللہ)
Hazrat Muhammad Waasi‘ Azdi (رحمہ اللہ)
Hamrah Yazeed Bin Muhallab
Baa’z Ulama’a sarbrahon kay haashiah nasheen hote hain aur baa’z Ulama’a daulatmandon kay niyaaz mand. Lekin Muhammad Bin Waasi Azdi Ulamaa’e-Rabbani mein say thay. (Maalik Bin Dinaar) |
Ab ham Ameer ul Momineen Suleiman Bin Abdul maalik kay Daur-e-Khilafat mein hain. Yazeed Bin Muhallab Bin Abi Sughrah Islam ki aik barhana shamsheer bankar nidar aur bahadur General ki surat Khorasaan kay aik taaqatwar General ki haisiyat mein aik laakh tarbiyat yaafta fauji jawaanon ki qayadat karta hua badi tezi kay sath dushman par hamla aawar hone kay liye paish qadmi karta hai. Aur Jurjaan-o-Tabristaan ki fatah ka Azm-e-Raasikh kiye huye sooye manzil rawaan dawaan hai aur us ki Zair-e-Qiyadat lashkar mein aik darwaish mansh lekin Jazbah-e-Jihad se sarshaar Azeem ul martabat Taba’i Hazrat Muhammad Bin Waasi Azdi bhi shaamil thay jo Zeenat ul Fuqaha kay naam say yaad kiye jaate thay aur Basrah mein Abid, Zahid aur Shab zindah daar ki haisiyat say har keh-o-Meh mein ma’roof thay. Yeh Rasulullah (ﷺ) kay Khadim Hazrat Anas Bin Maalik (رضی اللہ) kay shaagird rasheed thay.
General Yazeed Bin Muhallab ne apne lashkar kay hamrah sar Zameen-e-Dhaistaan mein padaao kya jahan jangju, Taqatwar aur mazboot qilon ki maalik turk qaum abaad thi. Yeh log musalmaanon say ladai kay liye har roz Maidaan-e-Jang mein aaya karte thay jab woh thak jaate ya jang unkay liye halaq ka kaanta maloom hoti to woh buland pahaadon ki chotiyon ki gaaron mein panaahguzeen hote ya woh apne mazboot qilon mein dubak kar baith jaate is tarah woh pani hifazat ki tadbeer karte.
Muhammad Bin Waasi Azdi ka un ladayyion mein bada buland maqam tha. Halankeh woh jismaani taur par kamzor aur umar raseeda thay.
Lashkar-e-Islam kay sipaahi is noor Imaan ki jhalak dekh kar khushi mehsoos karte jo Muhammad Bin Wasee’ kay chehray par chamakta tha, Aur Zikr-e-Ilaahi kay nishaat angayiz kalimaat sunkar Chaak-o-Chauband ho jaate jo unki sheeren zubaan say motion ki tarah jhadte aur mehtaab ki ru pehli kirnon ki manind aashkaar hote.
Ranj-o-Alam, Aafaat-o-Baliyat aur Masayib-o-Mushkilat mein mubtala log unsay du’ayen lekar dili itmenaan haasil karte. Unka ye Tarz-e-Amal tha keh jab Lashkar-e-Islam ka General ladayi kay liye tayyar hota to yeh ba awaaz buland pukaarte huye kehte:
Aye Allah kay ghodon! Sawaari kay liye tayyar ho jaao.
Aye Allah kay ghodon! Sawaari kay liye tayyar ho jaao.
Jab Lashkar-e-Islam kay ladaaka jawaan us buzurg ki dard bhari awaaz sunte to Madd-e-Muqabil dushman par is tarah jhapatte jaise bhooka sher apnay shikaar par jhapat ta hai, Aur Maidaan-e-Jang ki taraf is tarah lapakte jaise koi garam tareen din mein thandy meethe paani ki taraf lapakta hai.
Un halaakat khaiz maarkon mein aik nihayat khatarnaak-o-khaufnaak ladai kay dauraan dushman ki saffon mein aik aisa shehsawaar namudaar hua jo jisaamat, Taaqat, Jurrat aur azam raasikh mein sab say badh kar tha, woh Maidaan-e-Jang mein badi tezi say chakkar lagaane laga. Yahan tak keh mujahideen ko qadre peechay hatna pada. Aur unkay dilon mein Khauf-o-Haraas aur dabdabah paida hua. Phir woh jangju bade takabbur aur nakhwat say Lashkar-e-Islam mein say kisi aik ko apne muqable aane ki dawat dene laga. Us ki pukar mein bada tumtadaaq tha. Us ka haqaarat aamaiz rawayya dekh kar Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi muqable mein aane kay liye tayyar huye. Unho ne jab kamzori aur budhaape kay bawajood Azam-e-Jawaan ka muzaahira kiya to Lashkar-e-Islam kay har jawaan mein be panaah jazba paida hua har kisi kay dil mein aaya keh aik budha aur yeh josh! Ham jawaan aur yeh Khauf-o-Haraas sad haif hamari jawaani par phir dekhte hi dekhte fizaa mein talwaarain lehrayin. Har aik doosray say aage maidaan mein qadam rakhne par aamadah dikhaai diya, Aik naujawaan Jazba-e-Shahadat say sarshaar buzurg say araz karata hai keh janaab mujhe is dushman say muqabla karne ki ijazat dijie lekin woh buzurg badastoor dushman say muqabla karne kay liye seena taane khade hain, Main aap ko qasam deta hoon. Hamary hote huye aap is kay muqable mein jayen yeh kaise ho sakta hai? Hamari jawaani kis kaam ki? Woh iltijaa karta hai keh Allah kay liye muqabla karne ki aap mujhe ijazat dein. Aap us mujahid shehsawaar kay halaf ki laaj rakhte huye peechay hatt jaate hain aur us bahadur ki kamyabi kay liye Baargah-e-Ilaahi mein du’aa karte hain.
Is kay baad donon shehsawaar aik dosray par is tarah jhapat’te hain keh jaise maut apne shikaar par panja aazmai karti hai. Dono jangju bahadur aik doosray par khoonkhwar bhookay sheron ki maanind hamlah aawar hote. Tamaam lashkar ki nigaahain unkay jhapatne palatnein aur palat kar jhapatne par lagi hui thein woh dono aik doosre ko peechay dhakelane mein edi choti ka zor laga rahe thay, Muqabla barabar ka dikhayi de raha tha kabhi aik ghaalib aata dikhayi deta to kabhi doosra, Bila’akhir donon ki talwaarain aik hi lamhay mein aik doosre kay saron say takraaen, Turki shehsawaar ki talwaar musalmaan shehsawaar kay khud mein paiwast ho gayi, Lekin musalmaan bahadur ki talwaar ne turki naujawaan ki peshaani ko cheerte huye us ki khopadi ko do hisson mein taqseem kar diya, Us kay baad muslim bahadur lashkar Islam ki taraf faatehana Shaan-o-Shauqat say palta, Yeh aisa haibat naak manzar tha keh is say pehle kabhi kisi ne nahi dekha tha, Musalmaan jawaan kay hath mein khoon alood talwaar aur us ki khud mein jakdi hui dushman ki talwaar aur suraj ki kirnon say lashkaare maarta hua khud aik dilkharaash manzar paish kar raha tha, Lashkar-e-Islam kay naujawaanon ne Jazbah-e-Jihad se sarshaar لاالہ الااللہ، اللّٰہ اکبر ka na’ara lagaate huye aage badh kar us ka istaqbaal kya, General Yazeed Bin Muhallab ne donon talwaaron ki chamak, khud aur hathiyaaron say lais bahadur ko dekha aur pukar utha aafreen is bahadur par, Yeh kaun shakhs hai? Usey bataaya gaya yeh naujawaan Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi ki duaaon say is maqaam ko pahuncha hai.
Turki shehsawaar kay maut ki ghaat utaarnay ki wajah say taqat kay tawazan mein wazeh farq paida ho gaya, Mushrikeen kay dilon mein Khauf-o-Haraas is tarah paida hua jis tarah aag khushk ghaas mein saraayiat kar jaati hai, Aur musalmanon kay seeno mein khuddari ki hararat shoula fagan ho gayi, Woh A’adaa-e-Islam par bijli ban kar giray aur Chashm-o-Zadan mein unhein is tarah ghere mein le liya jis tarah toq gardan ko apni lapait mein le leta hai, Unkay paani aur anaaj ki supply kaat di, Lehazah unkay badshaah ne sulah kay ilawah koi chaara kaar na dekha to Lashkar-e-Islam kay General Yazeed Bin Muhallab ki taraf sulah ka paighaam bheja aur sath hi yeh ittalaa’ baaham pohchayi keh meray qabze mein jo kuch bhi hai usay Baraza-o-Raghbat aap kay supurd karne kay liye tayyar hoon, Bashart yeh keh aap meri aur meray khandaan kay Jaan-o-Maal ki hifaazat ki zamaanat de dein.
General Yazeed Bin Muhallab ne sulah ki paish kash ko darjzail sharaait par qabool kiya:
1- Yeh keh chaar lakh dirham fori naqad ada kiye jayen.
2- Yeh keh saat lakh dirham asaan qiston mein ada kiye jayen.
3- Yeh keh chaar sau jaanwar zafraan say lade huye meray supurd kiye jayen.
4- Yeh keh chaar sau aadmi aise meray paas laayein jin mein say har aik kay hath mein chaandi ka glass pakdaa ho aur us kay sar par resham ka rumaal bandha ho aur us rumaal mein Makhmal-o-Resham kay pewand saliqay say aawezaan kiye gaye ho.
Jab ladai tham gayi, Aman ki fiza qayem hui to General Yazeed Bin Muhallab ne khaazin say kaha, Maal-e-Ghanimat ka hisaab lagaao takeh har aik haqdaar ko us ka haq adda kar diya jaye aur us kay muaawneen ne Maal-e-Ghanimat ka shumaar karna chaha lekin woh usey shumaar na kar sakay, Lehazah puray lashkar mein Maal-e-Ghanimat wasool karne waale ki razaa ko Paish-e-Nazar rakhte huye taqseem kiya gaya.
Maal-e-Ghanimat mein aik aisa taaj mila jis par sone say kadhai ki gayi thi aur usey motiyon aur jawahiraat say aarasta kiya gaya tha, Jis par umdah, Dilkash aur dilawaiz Naqsh-o-Nigaar banaye gaye thay, Jis ki chamak damak dekh kar nigaahain azkhud us mein murtasim ho jaati, Har aik ka dil chahta keh usey dekhta rahay, General Yazeed Bin Muhallab ne usey hath mein pakad kar upar uthaya aur pure lashkar ko dikhaate huye pucha kya duniya mein koi aisa shakhs hai jo is taaj ko paane ki dili raghbat na rakhta ho? sab ne yak zubaan ho kar kaha:
Allah hamary General ka bhala kare woh kaun aisa shakhs hoga jise yeh taaj marghoob na ho? Jis ki aankhon ko yeh khaira na karta ho.
General ne kaha yaqeenan tum anqareeb aik aisa shakhs dekhoge jise is taaj mein koi dilchasapi nahi balkeh is jaise hazaaron taaj laa kar us kay qadmon mein dhair kar diye jayen, Tab bhi woh unki taraf nigah utha kar na dekhay, Aise khuda mast log insaani mu’ashray kay liye Ba’is-e-Rahmat hua karte hain.
Phir General ne apnay darbaan ko hukm diya. Abhi janaab Muhammad Bin Wase’ Azdi ko dhundh kar hamary paas laao. Darbaan hukm paa kar usey talaash karne kay liye nikla usey aap logon say alag thalag aik kone mein ibaadat karte huye dikhayi diye. Paas ja kar dekha woh Baargah-e-Ilaahi mein giriya zaari kar rahe hain, Darbaan ne Adab-o-Ahtraam say salam arz kya aur General ka paighaam diya, Aap us kay sath chal pade, Wahan pohanch kar Ameer-e-Lashkar ko salaam kaha aur us kay paas baith gaye, Ameer-e-Lashkar ne Mohabbat-o-Aqidat bhare andaaz mein salaam ka jawaab diya.
Phir us ne taaj pakdaa aur kaha, Abu Abdullah! Lashkar-e-Islam ko ye qeemti taaj Maal-e-Ghanimat say mila hai, Mein yeh taaj aap ki khidmat mein paish karna chahta hoon, Pura lashkar meray is faisle say khush hai.
Aap ne irshaad farmaaya: Ameer-e-Lashkar kya aap Maal-e-Ghanimat mein say mera hissa is surat mein inaayat karna chahte hain?
Kaha: haan yeh aap ka hissa hai.
Farmaaya: Ameer-e-Mohtaram mujhe is ki koi zaroorat nahi.
Allah aap ko Jazaa-e-Khair ata kare.
General ne kaha: Main aap ko Allah ki qasam de kar kehta hoon yeh taaj aap ko zaroor lena hoga, Jab Ameer-e-Lashkar ne qasam kha li to Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi ne taaj le liya, Phir General say ijazat li aur chale gaye.
Jo log Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi ko nahi jaante thay woh bole bade tajjub ki baat hai, Ham inhein Khuda mast buzurg samjhte thay, Abid aur Zahid gardaante thay. Hamaray jazbaat in kay mut’alliq nihayat paakizah thay, Lekin aaj ham yeh manzar dekh kar hairaan reh gaye, Yeh to bilkul duniya daar saabit huye, Taaj dekh kar unki aankhain chundhia gayin, Taaj qabzay mein liya aur apne ghar sudhaar gaye, Lekin General Yazeed Bin Muhallab ne aik shakhs ko kaha keh in kay peechay peechay jaye aur raaste mein jo bhi waqia paish aaye us ki fauran wapas aa kar mujhe ittalaa’ de.
Janab Muhammad Bin Wase’ Azdi apni dhun mein raaste pay chale jaa rahe thay taaj unkay hath mein tha.
Aik paragnda haal phate puraane kapde pehnay huye Faqeer unka paas aaya, Aur us ne Allah kay naam par sawaal kiya. Sheikh ne apne daayen baayen aur peechay dekha, Jab unhein yaqeen ho gaya keh koi Qaabil-e-Zikr shakhs hamein nahi dekh raha to aap ne Faqeer ko woh qeemti taaj de diya, Faqeer woh taaj lekar khushi say bhaghlain bajata hua aik simat chal diya aur Sheikh yeh bojh apne kandhon say utaar kar sooye manzil ki taraf chal diye.
General kay bheje huye aadmi ne Faqeer ko pakdaa aur seedha usey General kay paas le aaya aur puri daastaan suna di. General ne Faqeer say woh qeemti taaj le liya aur is kay badle itna maal diya keh woh khush ho gaya, Phir lashkar ki taraf dekh kar kaha: Kya maine tumhein nahi kaha tha keh Ummat-e-Muhammad ﷺ mein aik aisa shakhs ab bhi maujood hai jisay is qism ki qeemti cheezon say koi dilchasapi nahi.
Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi General Yazeed Bin Muhallab kay jhande tale mushrikeen kay khilaaf Jihad mein Barsar-e-Paikar rahe, Yahan tak keh Hajj ka waqt qareeb aagaya, Hajj mein bohat thode din baaqi reh gaye. Aap ne Ameer-e-Lashkar say Fareeza-e-Hajj adda karne kay liye ijaazat talab ki, Ameer-e-Lashkar ne kaha: Abu Abdullah ijazat aap kay ikhtiyaar mein hai, Aap jab chahain jaa sakte hain, Ham ne aap kay liye kuch maal ka bhi bandobast kiya hai jo safar mein aap kay kaam aayega, Aap ne farmaaya:
Ameer-e-Lashkar kya aap ne lashkar kay har sipaahi ko itna maal diya hai. Unho ne kaha nahi. Aap ne farmaaya mujhe kisi aisi cheez ki zaroorat nahi jo mujhe doosron say mumtaaz banaye. Main ise qat’an pasand nahi karta aur phir alwidaa’i salaam kaha aur chale gaye.
Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi ka yeh safar General Yazeed Bin Muhallab pay giraan guzra aur isi tarah Lashkar-e-Islam kay un sipaahiyon ne bhi aap ki judaai ko shiddat say mehsoos kiya jo aap ki rafaaqat mein rehte thay, Balkeh pure Lashkar-e-Islam ko aap ki judaai ka sadma hua, Har aik ki dili tamanna yeh thi keh Hazrat Hajj say faarigh hote hi hamary paas pahunch jayen. Aap ki ahmiyat ka aap yahan say andaza lagayen keh musalmaan General jo Aknaaf-e-Aalim mein phaile huye thay un mein say har aik ki yeh dili khawahish hoti keh Ameer ul Momineen Hazrat Muhammad Bin Wase’ Azdi ko unkay lashkar mein shaamil kar dein takeh unki du’aaon say mahaaz mein kamyaabi haasil karein. Kis qadar mu’azziz hain woh hastiyan jo apne aap ko haqeer jaane lekin Allah Ta’ala aur aam logon kay nazdeek A’ala, Arfa aur mehboob hoon un Nabghah-e-Asar Fuqeed ul dahar aur Yaktaye–Zamaana hastiyon kay tazkaray tareekh kay auraak mein bikhre pade hain.
Basrah kay is Abid, Zahid Shab zinda daar, Azeem ul martabaat har dil azeez shakhsiyat ki agle safhaat mein aik aur mulaqaat Qutaibah Bin Muslim Bahli say karwate hain. Jis say aap ka Imaan mazeed taaza ho jayega aur us kay tazkirah say aap apni manzil ka raasta mutayyan kar sakenge.
REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef : Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer
حضرت محمد واسع الازدی رضی اللّٰہ عنہ
ھمراہ یزید بن مھّلب
بعض علماء سر براہوں کے حاشیہ نشین ہوتے ہیں اور بعض علماء دولت مندوں کے نیاز مند لیکن محمد بن واسع الازدی علمائے ربانی میں سے ت
(مالک بن دینار)
اب ہم امیر المؤمنین سیلمان بن عبد الملک کے دور خلافت میں ہیں ۔ یزید بن مہلب بن ابی صغرہ اسلام کی ایک برہنہ شمشیر بن کر، نڈر اور بہادر جرنیل کی صورت خراسان کے ایک طاقتور گورنر کی حیثیت میں ایک لاکھ تربیت یافتہ فوج جوانوں کی قیادت کرتا ہوا بڑی تیزی کے ساتھ دشمن پر حملہ آور ہونے کے لئے پیش قدمی کرتا ہے ۔ اورجرجان و طبرستان کی فتح کا عزم راسخ کیے ہوئے منزل رواں دواں ہے اور اس کی زیر قیادت لشکر میں ایک درویش منش لیکن جزبہ جہاد سے سرشار عظیم المرتبت تابعی حضرت محمد بن واسع ازدی بھی شامل تھے جو زینت الفقہاء کے نام سے یاد کیے تھے اور بصرہ میں عابد ، زاہد اور شب زندہ دار کی حیثیت سے ہر کہہ ومہہ میں معروف تھے ۔ یہ رسول اللّٰہ ﷺ کے خادم حضرت انس بن مالک رضی اللّٰہ عنہ کے شاگرد رشید تھے۔
جرنیل یزید بن مہلب نے اپنے لشکر کے ہمراہ سر زمین دھستان میں پڑاو کیا جہاں جنگجو ، طاقتور اور مضبوط قلعوں کی مالک ترک قوم آباد تھی ۔یہ لوگ مسلمانوں سے لڑائی کے لیے ہر روز میدان میں آیا کرتے تھے جب وہ تھک جاتے یا جنگ ان کے لیے حلق کا کانٹا معلوم ہوتی تو وہ بلند پہاڑوں کی چوٹیوں کی غاروں میں پناہ گزیں ہوتے یاوہ اپنے مضبوط قلعوں میں دبک کر بیٹھ جاتے اس طرح وہ اپنے حفاظت کی تدبیر کرتے۔
محمد بن واسع ازدی کا ان لڑائیوں میں بڑا بلند مقام تھا۔ حالانکہ وہ جسمانی طور پر کمزور اور عمر رسیدہ تھے۔
لشکر اسلام کے سپاہی اس نور ایمان کی جھلک دیکھ کر بہت خوشی محسوس کرتے جو محمد بن واسع کے چہرے پر چمکتا تھا، اور ذکر الٰہی کے نشاط انگیز کلمات سن کر چاق وچوبند ہو جاتے جو ان کی شیریں زبان سے موتیوں کی طرح جھڑتے اور مہتاب کی رو پہلی کرنوں کی مانند آشکار ہوتے۔
رنج والم، آفات و بلیات اور مصائب ومشکلات میں مبتلا لوگ ان سے دعائیں لے کر دلی اطمینان حاصل کرتے۔ ان کا یہ طرز عمل تھا کہ جب لشکر اسلام کا جرنیل لڑائی کے لیے تیار ہوتا تو یہ بآواز بلند پکارتے ہوئے کہتے۔
اے اللّٰہ کے گھوڑو سواری کے لیے تیار ہو جاؤ۔
اے اللّٰہ کے گھوڑو سواری کے لیے تیار ہو جاؤ۔
جب لشکر اسلام کے لڑاکے جوان اس بزرگ کی درد بھری آواز سنتے تو مد مقابل دشمن پر اس طرح جھپٹتے جیسے بھوکا شیر اپنے شکار پر جھپٹتا ہے، اور اس میدان جنگ کی طرف اس طرح لپکتے جیسے کوئی گرم ترین دن میں ٹھنڈے میٹھے پانی کی طرف لپکتا ہے۔
ان ہلاکت خیز معرکوں میں ایک نہایت خطرناک و خوفناک لڑائی کے دوران دشمنوں کی صفوں میں ایک ایسا شہسوار نمودار ہوا جو جسامت، طاقت، جرات اور عزم راسخ میں سب سے بڑھ کر تھا، وہ میدان جنگ میں بڑی تیزی سے چکر لگانے لگا۔ یہاں تک کہ مجاہدین کو قدرے پیچھے ہٹنا پڑا۔ اور ان کے دلوں میں خوف و ہراس اور رعب و دبدبہ پیدا ہوا۔ پھر وہ جنگجو بڑے تکبر اور نخوت سے لشکر اسلام میں سے کسی ایک کو اپنے مقابلے میں آنے کی دعوت دینے لگا۔ اس کی پکار میں بڑا طمطراق تھا۔ اس کا حقارت آمیز رویہ دیکھ کر حضرت محمد بن واسع ازدی مقابلے میں آنے کے لیے تیار ہوئے۔ انہوں نے جب کمزوری اور بڑھاپے کے باوجود عزم جوان کا مظاہرہ کیا تو لشکر اسلام کے ہر جواں میں بےپناہ جذبہ پیدا ہوا ہر کسی کے دل میں آیا کہ ایک بوڑھا اور یہ جوش ہم جواں اور یہ خوف وہراس صد حیف ہماری جوانی پر پھر دیکھتے ہی دیکھتے فضا میں تلواریں لہرائیں ہر ایک دوسرے سے آگے میدان میں قدم رکھنے پر آمادہ دیکھائی دیا ایک نوجوان جذبہ جہاد سے سرشار بزرگ سے عرض کرتاہے کہ جناب مجھے اس دشمن سے مقابلہ کرنے کی اجازت دیجئے لیکن وہ بزرگ بدستور دشمن سے مقابلہ کرنے کے لیے سینہ تانے کھڑے ہیں، میں آپ کو قسم دیتا ہوں۔ ہمارے ہوتے ہوئے آپ اس کے مقابلے میں جائیں یہ کیسے ہوسکتا ہے؟ ہماری جوانی کس کام کی؟ وہ التجا کرتا ہے اللّٰہ کے لیے مقابلہ کرنے کی آپ مجھے اجازت دیں۔
آپ اس مجاہد شہسوار کے حلف کی لاج رکھتے ہوئے پیچھے ہٹ جاتے ہیں اور اس بہادر کی کامیابی کے لیے بار گاہ الٰہی میں دعا کرتے ہیں۔
اس کے بعد دونوں شہسوار ایک دوسرے پر اس طرح جھپٹتے ہیں کہ جیسے موت اپنے شکار پر پنجہ آزمائی کرتی ہے۔ دونوں جنگجو، بہادر ایک دوسرے پر خونخوار بھوکے شیروں کی مانند حملہ آور ہوتے ہیں تمام لشکر کی نگاہیں ان کے جھپٹنے پلٹنے اور پلٹ کر جھپٹنے پر لگی ہوئی تھیں وہ دونوں ایک دوسرے کو پیچھے دھکیلنے میں ایڑی چوٹی کا زور لگا رہے تھے، مقابلہ برابر کا دیکھائی دے رہا تھا کبھی ایک غالب دیکھائی دیتا اور کبھی دوسرا بالآخر دونوں کی تلواریں ایک ہی لمحے ایک دوسرے کے سروں سے ٹکرائیں، ترکی شہسوار کی تلوار مسلمان شہسوار کے خود میں پیوست ہو گئی، لیکن مسلمان بہادر کی تلوار نے ترکی نوجوان کی پیشانی کو چیرتے ہوئے اس کی کھوپڑی کو دو حصوں میں تقسیم کر دیا، اس کے بعد مسلم بہادر لشکر اسلام کی طرف فاتحانہ شان وشوکت سے واپس پلٹا، یہ ایسا ہیبت ناک منظر تھا کہ اس سے پہلے کبھی کسی نے نہ دیکھا تھا، مسلمان جوان کے ہاتھ میں خون آلود تلوار اور اس کی خود میں جکڑی ہوئی دشمن کی تلوار اور سورج کی کرنوں سے لشکارے مارتا ہوا خود ایک دلخراش منظر پیش کر رہا تھا، لشکر اسلام کے نوجوانوں نے جذبہ جہاد سے سرشار لاالہ الااللّٰہ، اللّٰہ اکبر کا نعرہ لگاتے ہوئے آگے بڑھ کر اس کا استقبال کیا، جرنیل یزید بن مہلب نے دونوں تلواروں کی چمک، خود اور ہتھیاروں سے لیس بہادر کو دیکھا اور پکار اٹھا آفرین اس بہادر پر یہ شخص کون ہے اسے بتایا گیا یہ نوجوان حضرت محمد بن واسع ازدی کی دعاؤں سے اس مقام کو پہنچا ہے۔
ترکی شہسوار کے موت کی گھاٹ اترنے کی وجہ سے طاقت کے توازن میں واضح فرق پیدا ہوگیا، مشرکین کے دلوں میں خوف وہراس اس طرح پیدا ہوا جس طرح آگ خشک گھاس میں سرایت کر جاتی ہے، اور مسلمانوں کے سینوں میں خودداری کی حرارت شعلہ فگن ہو گئی، وہ اعدائے اسلام پر بجلی بن کر گرے اور چشم زدن میں انہیں اس طرح گھیرے میں لے لیا جس طرح طوق گردن کو اپنی لپیٹ میں لے لیتا ہے، ان کے پانی اور اناج کی سپلائی کاٹ دی لہذا انکے بادشاہ نے صلح کے علاؤہ کوئی چارہ کار نہ دیکھا تو لشکر اسلام کے جرنیل یزید بن مہلب کی طرف صلح کا پیغام بھیجا اور ساتھ ہی یہ اطلاع بہم پہنچائی کہ میرے قبضے میں جو کچھ بھی ہے میں اس برضاودغبت آپ کے سپرد کرنے کے لیے تیار ہوں بشرطیکہ آپ میری اور میرے خاندان کی جان ومال کی حفاظت کی ضمانت دے دیں۔
جرنیل یزید بن مہلب نے صلح کی پیشکش کو درج ذیل شرائط پر قبول کیا۔
یہ کہ چار لاکھ درہم فوری نقد ادا کیے جائیں۔
یہ کہ سات لاکھ درہم آسان قسطوں میں ادا کیے جائیں۔
یہ کہ چار سو جانور زعفران کے لدے ہوئے میرے سپرد کیے جائیں۔
یہ کہ چار سو آدمی ایسے میرے پاس لائے جائیں جن میں سے ہر ایک کے ہاتھ میں چاندی کا گلاس پکڑا ہوا ہو اور اس کے سر پر ریشم کا رومال بندھا ہوا ہو اور اس رومال میں مخمل و ریشم کے پیوند سلیقے سے آویزاں کیے گئے ہوں۔
جب لڑائی تھم گئی، امن کی فضا قائم ہوئی تو جرنیل یزید بن مہلب نے خاندان سے کہا، مال غنیمت کا حساب لگاؤ تاکہ ہر ایک حقدار کو اس کا حق ادا کر دیا جائے خازن اور اس کے معاونین نے مال غنیمت شمار کرنا چاہا لیکن وہ اسے شمار نہ کر سکے، لہذا پورے لشکر میں مال غنیمت وصول کرنیوالے کی طلب ورضا کو پیش نظر رکھتے ہوئے تقسیم کیا گیا۔
مال غنیمت میں ایک ایسا تاج ملا جس پر سونے سے کڑھائی کی گئی تھی اسے موتیوں اور جواہرات سے آراستہ کیا گیا تھا، جس پر عمدہ، دلکش اور دلآویز نقش ونگار بنائے گئے تھے، جس کی چمک دمک دیکھ کر نگاہیں ازخود اس میں مرتسم ہو جاتیں ہر ایک کا دل چاہتا کہ اس دیکھتا رہے، جرنیل یزید بن مہلب نے اس ہاتھ میں پکڑ کر اوپر اٹھایا اور پورے لشکر کو دیکھتے ہوئے پوچھا کیا دنیا میں کوئی ایسا شخص ہے، جو اس تاج کو حاصل کرنے کی دلی رغبت نہ رکھتا ہو، سب نے یک زبان ہو کر کہا!
اللّٰہ ہمارے جرنیل کا بھلا کرے وہ کون ایسا شخص ہو گا جسے یہ تاج مرغوب نہ ہو؟ جس کی آنکھوں کو یہ خیرہ نہ کرتا ہو۔
جرنیل نے کہا یقیناً تم عنقریب ایک ایسا شخص دیکھو گے جسے اس تاج میں کوئی دلچسپی نہیں بلکہ اس جیسے ہزاروں تاج اس کے قدموں میں ڈھیر کر دیے جائیں، تب بھی وہ ان کی طرف نگاہ اٹھا کر نہ دیکھے ایسے خدا مست لوگ انسانی معاشرے کے لیے باعث رحمت ہوا کرتے ہیں۔
پھر جرنیل نے اپنے دربارن کو حکم دیا۔ ابھی جناب محمد بن واسع ازدی کو ڈھونڈ کر ہمارے پاس لاؤ دربان حکم پا کر تلاش کے لیے نکلا اسے آپ لوگوں سے الگ تھلگ ایک کونے میں عبادت کرتے دیکھائی دیے۔
پاس جا کر دیکھا کہ وہ بارگاہِ الٰہی میں گریہ زاری کر رہے ہیں دربان نے ادب واحترام سے سلام عرض کیا اور جرنیل کا پیغام دیا آپ اس وقت اس کے ساتھ چل پڑے وہاں پہنچ کر امیر لشکر کو سلام کہا اور اس کے پاس بیٹھ گئے، امیر لشکر نے محبت و عقیدت بھرے انداز میں سلام کا جواب دیا۔
پھر اس نے تاج پکڑا اور کہا، ابو عبداللّٰہ لشکر اسلام کو یہ قیمتی تاج مال غنیمت سے ملا ہے، میں یہ تاج آپ کی خدمت میں پیش کرنا چاہتا ہوں پورا لشکر میرے اس فیصلے سے خوش ہے۔
آپ نے ارشاد فرمایا: امیر لشکر کیا آپ مال غنیمت میں سے میرا حصہ اس صورت میں عنایت کرنا چاہتے ہیں؟
کہا: ہاں آپ کو حصہ ہے۔
فرمایا امیر محترم مجھے اس کی کوئی ضرورت نہیں۔
اللّٰہ آپ کو جزائے خیر عطا کرے-
جرنیل نے کہا :
میں آپ کو اللّٰہ کی قسم دے کر کہتا ہوں یہ تاج آپ کو ضرور لینا ہو گا, جب امیر لشکر نے قسم کھا لی تو حضرت محمد بن واسع ازدی نے تاج لے لیا, پھر جرنیل سے اجازت لی اور چلے گئے –
جو لوگ حضرت محمد بن واسع ازدی کو جانتے نہیں تھے وہ بولے بڑے تعجب کی بات ہے ہم تو انہیں خدا مست بزرگ سمجھتے تھے, عابد اور زاہد گردانتے تھے-
ہمارے جزبات ان کے متعلق نہایت پاکیزہ تھے, لیکن آج ہم یہ منظر دیکھ کر حیران رہ گئے, یہ تو بلکل دنیا دار ثابت ہوئے, تاج دیکھ کر ان کی آنکھیں چندیا گئیں تاج قبضے میں لیا اور اپنے گھر سدھار گئے, لیکن جرنیل یزید بن مہلب نے ایک شخص کو کہا ان کے پیچھے پیچھے جائے اور راستے میں جو واقعہ بھی پیش آئے اس کی فورا واپس آکر مجھے اطلاع دے-
جناب محمد بن واسع ازدی اپنی دھن میں راستے پہ چلے جا رہے تھے تاج ان کے ہاتھ میں تھا –
ایک پراگندہ حال پھٹے پرانے کپڑے پہنے ہوئے فقیر ان کے پاس آیا اور اس نے اللّٰہ کے نام پر سوال کیا- شیخ نے اپنے دائیں بائیں اور پیچھے دیکھا, جب انہیں یقین ہو گیا کہ کوئی قابل ذکر شخص ہمیں دیکھ نہیں رہا تو آپ نے فقیر کو وہ قیمتی تاج دے دیا , وہ تاج لے کر خوشی سے بغلیں بچاتا ہوا ایک سمت چل دیا اور شیخ یہ بوجھ اپنے کندھوں سے اتار کر سوئے منزل روانہ ہوئے –
جرنیل کے بھیجے ہوئے آدمی نے فقیر کو پکڑا اور سیدھا جرنیل کے پاس لے آیا اور پوری داستان سنا دی جرنیل نے فقیر سے وہ قیمتی تاج لے لیا اور اس کے بدلے اتنا مال دیا جس سے وہ خوش ہو گیا, پھر لشکر کی طرف دیکھ کر کہا :
کیا میں نے تمہیں نہیں کہا تھا کہ امت مسلمہ محمد صلی اللّٰہ علیہ و سلم میں ایک ایسا شخص اب بھی موجود ہے, جسے اس قسم کی قیمتی چیزوں سے کوئی دلچسپی نہیں –
حضرت محمد بن واسع ازدی جرنیل یزید بن مہلب کے جھنڈے تلے مشرکین کے خلاف جہاد میں بر سر پیکار رہے, یہاں تک کہ حج کا وقت قریب آگیا حج میں بہت تھوڑے دن باقی رہ گئے تھے – آپ نے امیر لشکر سے فریضہ حج ادا کرنے کے لیے اجازت طلب کی – امیر لشکر نے کہا :
ابو عبداللہ اجازت آپ کے اختیار میں ہے آپ جب چاہیں جا سکتے ہیں, ہم نے آپکے لیے کچھ مال کا بھی بندوبست کیا ہے, جو سفر میں آپ کے کام آئے گا –
آپ نے فرمایا –
امیر لشکر کیا آپ نے لشکر کے ہر سپاہی کو اتنا مال دیا ہے- انہوں نے کہا نہیں –
آپ نے فرمایا:
مجھے کسی ایسی چیز کی ضرورت نہیں جو مجھے دوسروں سے ممتاز بنائے – میں اسے قطعا پسند نہیں کرتا پھر الوداعی سلام کہا اور چلے گئے –
حضرت محمد بن واسع ازدی کا یہ سفر جرنیل یزید بن مہلب پہ گراں گزرا اور اسی طرح لشکر اسلام کے ان سپاہیوں نے بھی آپ کی جدائی کو شدت سے محسوس کیا جو آپ کی رفاقت میں رہتے تھے, بلکہ پورے لشکر کو آپ کی جدائی کا صدمہ ہوا, ہر ایک کی دلی تمنا یہ تھی کہ حضرت حج سے فارغ ہوتے ہی ہمارے پاس جلد پہنچ جائیں – آپ کی اہمیت کا آپ یہاں سے اندازہ لگائیں کہ مسلمان جرنیل جو اکناف عالم میں پھیلے ہوئے تھے ان میں سے ہر ایک کی یہ دلی خواہش ہوتی کہ امیرالمومنین حضرت محمد بن واسع ازدی کو ان کے لشکر میں شامل کر دیں تاکہ ان کی دعاؤں سے محاذ میں کامیابی حاصل کریں – کس قدر معزز ہیں وہ ہستیاں جو اپنے آپکو حقیر جانیں لیکن اللّٰہ تعالیٰ اور عام لوگوں کے نزدیک اعلی, ارفع اور محبوب ہوں ان نابغہ عصر, فقیدالدھر اور یکتائے زمانہ ہستیوں کے تذکرے تاریخ کے اوراق میں جابجا بکھرے پڑے ہیں –
بصرے کے اس عابد زاہد, شب زندہ دار عظیم المرتبت ہر دلعزیز شخصیت کی اگلے صفحات میں ایک اور ملاقات قتیبہ بن مسلم باھلی سے کراتے ہیں – جس سے آپکا ایمان مزید تازہ ہو جائے گا اور اس کے تزکرے سے آپ اپنی منزل کا راستہ متعین کر سکیں گے –
حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر