04. MUSALMAAN AURAT KA MUSHRIK AUR KAFIR AURAT SE PARDAH
MUSALMAAN AURAT KA MUSHRIK AUR KAFIR AURAT SE PARDAH
Irshad-e-Baari Ta’aala (أَوْ نِسَآئِہِنَّ ) ki tafseer mein mufassireen kafir aur mushrikah aurat ko shamil nahi karte yani musalmaan aurat ki dayiah mushrikah aurat nahi ban sakti aur na mushrik aurat momin aurat ke saath hamam mein dakhil hosakti hai.
Allamah Albani (رحمه الله) farmaate hain keh (نِسَآئِہِنَّ) ki tafseer sahih hai jo salaf e saliheen se baghair kisi ikhtilaf ke marwi hai keh is se murad sirf musalmaan auraten hain na keh kafir auraten. [Zaad ul maseer: 6/132] Baaz ham asr fazlaa ki yeh tafseer keh is se naik seerat o naik khaslat auraten murad hain chahe woh musalmaan hon ya kafir, aik nai tafseer hone ke saath saath Tafseer e salaf ke khilaf hai aur Arabi usloob e kalam se bhi mutabaqat nahi rakhti- Kyunkeh Allah Ta’aala ne (نِسَآئِہِنَّ) mein izafat musalmaan auraton ki tarf ki hai- yehi wajah hai keh aurat apne qarabat daaron ke saamne apni batini zeenat ka izhaar kar sakti hai aur bil khusoos shohar ke saamne tou har aisi zeenat ka izhaar karegi jiska izhaar apne mahram aur qareebi rishte daaron ke saamne bhi nahi kar sakti. Nez Allah Ta’aala ka farmaan hai: وَ لْيَضْرِبٰنَ بِخُمُرِهِنّ عَلَى جُىُوبِهِنَّ “Yani apne dupatton ko apne girebaan par dal len.” Is baat ki daleel hai keh aurat apni gardan chhupa kar rakhe gi- Chunancheh gardan zahiri zeenat ke bajae batini zeenat mein shumar hogi aur yehi hukm haar aur dusre zewarat ka bhi hai. [Hijab ul marratul muslimah] |
Yahudi auraten Hazrat Ayesha (رضی اللہ عنہا) ke paas aya karti theen aur unke chehre aur haathon wagherah ko dekha karti theen- Albattah mardon ko iski ijazat na thi- Chunancheh chehra aur haath ahl e kitaab, zimi aurton ke haq mein zeenat zahirah shumar hogi- Albattah Ahle kitaab zimi auraton ke liye yeh jayez nahi keh musalmaan auraton ki batini posheedah zeenat ko dekhen- Zeenat ke zahir karne aur chhupane ka mayar yehi hai keh aurat kisi ke liye bhi sirf wohi zeenat zahir kar sakti hai jiska izhaar karna uske liye jayez hai.
Yani aam halat mein bhi aurat apni zahiri zeenat ke elawah apna baaqi jism dusri aurat se chupae gi, lekin agar kisi shar’i aarza jaise ilaaj, wiladat aur deegar zaruriyat ki bina par apna khufiya satar kholna parh jae tou is main bhi musalmaan aurat ka intekhab karna chahye.
REFERENCE:
BOOK: MASAIYL-E-SATAR-O-HIJAAB
TALEEF: SHAYKH UL ISLAM IBN TAYMIYYAH(رحمه الله)
URDU TARJUMA BY: SHAYKH MAQSOOD AL HASAN FAIZI HAFIZULLAH
مسلمان عورت کا مشرک اور کافر عورت سے پردہ
ارشاد باری تعالیٰ (أَوْ نِسَآئِہِنَّ ) کی تفسیر میں مفسرین کافر اور مشرکہ عورت کو شامل نہیں کرتے یعنی مسلمان عورت کی دایہ مشرکہ عورت نہیں بن سکتی اور نہ مشرک عورت مومن عورت کے ساتھ حمام میں داخل ہو سکتی ہے۔
علامہ البانی رحمته اللّٰه فرماتے ہیں کہ (نِسَآئِہِنَّ) کی یہی تفسیر صحیح ہے جو سلف صالحین سے بغیر کسی اختلاف کے مروی ہے کہ اس میں سے مراد صرف مسلمان عورتیں ہیں نہ کہ کافر عورتیں۔ دیکھیے زادالمسیر ۱۳۲/۶
بعض ہم عصر فضلاء کی یہ تفسیر کہ اس سے نیک سیرت و نیک خصلت عورتیں مراد ہیں چاہے وہ مسلمان ہوں یا کافر، ایک نئ تفسیر ہونے کے ساتھ ساتھ تفسیر سلف کے خلاف ہے اور عربی اسلوب کلام سے بھی مطابقت نہیں رکھتی۔ کیونکہ اللّٰه تبارک و تعالیٰ نے(نِسَآئِہِنَّ) میں اضافت مسلمان عورتوں کی طرف کی ہے۔ یہی وجہ ہے کہ عورت اپنے قرابت داروں کے سامنے اپنی باطنی زینت کا اظہار کر سکتی ہے اور بلخصوص شوہر کے سامنے تو ہر ایسی زینت کا اظہار کرے گی جس کا اظہار اپنے محرم اور قریبی رشتے داروں کے سامنے بھی نہیں کر سکتی۔ نیز اللّٰہ تعالیٰ کا فرمان ہے:
وَ لْيَضْرِبٰنَ بِخُمُرِهِنّ عَلَى جُىُوبِهِنَّ
یعنی “ اپنے دوپٹوں کو اپنے گریبان پر ڈال لیں۔” اس بات کی دلیل ہے کہ عورت اپنی گردن چھپا کر رکھے گی۔ چنانچہ گردن ظاہری زینت کے بجائے باطنی زینت میں شمار ہو گی اور یہی حکم ہار اور دوسرے زیورات کا بھی ہے۔
( حجاب المرأۃالمسلمۃ)
یہودی عورتیں حضرت عائشہ رضى الله عنہا کے پاس آیا کرتی تھیں اور ان کے چہرے اور ہاتھوں وغیرہ کو دیکھا کرتی تھیں، البتہ مردوں کو اس کی اجازت نہ تھی۔ چنانچہ چہرہ اور ہاتھ اہل کتاب ذمی عورتوں کے حق میں زینت ظاہرہ شمار ہوں گی، البتہ اہل کتاب ذمی عورت کے لیے یہ جائز نہیں کہ مسلمان عورت کی باطنی پوشیدہ زینت کو دیکھے۔ زینت کو ظاہر کرنے اور چھپانے کا معیار یہی ہے کہ عورت کسی کے لیے بھی صرف وہی زینت ظاہر کر سکتی ہے جس کا اظہار کرنا اس کے لیے جائز ہے۔
یعنی عام حالات میں بھی عورت اپنی ظاہری زینت کے علاوہ اپنا باقی جسم دوسری عورت سے چھپائے گی، لیکن اگر کسی شرعی عارضہ جیسے علاج، ولادت اور دیگر ضروریات کی بنا پر اپنا خفیہ ستر کھولنا پڑ جائے تو اس میں بھی مسلمان عورت کا انتخاب کرنا چاہیے۔