Search
Sections
< All Topics
Print

23. Hazrat Zain ul  Abideen Ali Bin Hussain Bin Ali (رحمہ اللہ)

Hazrat Zain ul  Abideen Ali Bin Hussain Bin Ali (رحمہ اللہ)

Main ne Ali Bin Hussain say Fazaail-o-Manaaqib mein badh kar kisi Quraishi ko na dekha.

(Imaam Zuhri)

Is raushan aur ba barkat saal mein Irani shenshaahiat ki tareekh ka aakhri safah bhi lapet diya gaya, Woh is tarah keh Iran kay aakhri badshaah ko zillat aamez andaaz mein maut kay ghaat utaar diya gaya. Us kay tamaam general hifaazati dastah aur Ahl-e-Khana musalmaanon kay hathon qaidi ban gaye aur Maal-e-Ghaneemat ko samait kar Madinah Munawwarah laaya gaya. Is azeem fatah kay mouqa par jis kaseer taa’dad mein qeemti qaidi Madinah Munawwarah laaye gaye, Us ki tareekh mein misaal nahi milti. Un qaidion mein Iran kay aakhri badshaah Yazdajar ki teen betiyan bhi thein.


Log qaidiyon ki taraf mutawajjah huye aur unhein palak jhapakte hi khareed liya aur raqam baitul maal mein jama’ kara di, Un mein say sirf Iran kay baadshah Yazdajar ki betiyan reh gayeen.

Woh bila shubah Husan-o-Jamaal ka paikar, Pari rukh aur seemi banaad doshizaayen thein.

Jab unhein farokht kay liye pesh kiya gaya to maare Zillat-o-Ruswaai kay un ki aankhain zameen par gad gayeen, Hasrat-o-Yaas aur Inksaari-o-Darmaandi ki wajah say un ki ghazaali aankhon say aansu beh nikle, Unhein dekh kar Hazrat Ali Bin Abi Taalib ( كرم الله وجه ) kay dil mein taras aa gaya aur khayaal aaya keh kaash inhein woh shakhs kharide jo in kay saath Husn-o-Sulook say pesh aaye. Is mein hairaan hone ki bhi koi baat nahi Rasool-e-Akram (ﷺ) ne irshaad farmaaya tha:

Shiksat khordah qaum kay mu’azziz afraad par taras khaya karo.

Hazrat Ali (رضى الله عنه) ne Hazrat Umar Bin Khataab (رضی اللّٰہ عنه) say kaha:

Aye Ameer ul Momineen! Baadshah ki betiyon say imtiyazi salook hona chahiye.

Hazrat Umar (رضي الله عنه) ne farmaaya:

Aap sach kehtay hain lekin is ki surat kya ho?

Hazrat Ali (رضي الله عنه) ne farmaaya:

Aik to in ki qeemat zyadah lagayen aur doosra in ko ikhtiyar da dain jis par yeh raazi ho jayen un kay haath inhein diya jaaye aur in par qat’an koi jabar na ho.

Hazrat Umar (رضي الله عنه) ko yeh sun kar bohat khushi hui aur Hazrat Ali (رضي الله عنه) ki is tajweez ko naafiz kar diya.

Un mein say aik ne Hazrat Abdullah Bin Umar Bin Khattaab (رضی اللّٰہ عنه) ko pasand kiya.

Doosri ne Hazrat Muhammad bin Abi Bakar Siddique (رضی اللّٰہ عنه) ko pasand kiya aur teesri Husan-o-Jamaal ki wajah say jisay Malkah-e-Khawateen kaha jaata thaa us ne apne liye Nawas-e-Rasool Hazrat Hussain (رضي الله عنه) ko pasand kiya.


Thoday hi arsay mein Malkah-e-Khawateen ne apni dili raghbat ki wajah say Islaam qubool kar liya, Yeh deen-e-Qayyim ki raah par gaamzan hueen, Ghulaami say azaad kar di gayeen. Kaneez say aazaad biwi ka ba izzat maqaam haasil kiya, Phir us ne socha keh maazi ki tamaam shirkiyah yaaden yaksar bhulaa di jayen. Us ne apna naam (Shah zanaan) say badal kar Ghazalah rakh liya.

Ghazalah kay naseeb mein behtareen Rafeeq-e-Hayaat aaya, Badi hi Khush gawaar zindagi basar hone lagi, Mahine lamhon mein guzarnay lage.

Ab aik hi dili khwahish reh gayi thi keh usay chaand sa beta naseeb ho jaaye. Allah Subhana wa ta’alaa ne us ki yeh khwahish bhi puri kar di aik mehtaab chehra bate ne janam liya.

Barkat kay liye us ka naam dada kay naam par Ali rakha gaya. Lekin Ghazalah kay liye yeh khushi chnad lamhaat say zyaadah dekhna naseeb na hui kyunkeh yeh apnay betay ko janam detay hi Allah ko pyari ho gayi.


Us no molood ki Parwarish-o-Nighedasht kaneez kay sapurd ki gayi, Jis ne usay maa jaisa pyaar diya, Us par apni mohabbat ko is tarah nichaawar kiya jis tarah koi maa apne iklotay betay say pyaar karti hai aur us ki parwarish is tarah ki keh yeh no molood bada ho kar usay hi apni haqeeqi maa samjhnay laga.


Hazrat Ali Bin Hussain jab Sann-e-Sha’oor ko pohchay to Husool-e-Ilm ki taraf Shoq-o-Raghbat say mutawajjah huye.

Pehla madarsa ghar tha aur yeh kitna acha Madarsa tha.

Pehle ustaad un kay waalid Hussain Bin Ali (رضى الله عنه) thay aur yeh kitnay azeem ustaad thay, Doosra madarsa Rasool-e-Aazam( ﷺ) ki Masjid tha.

Masjid-e-Nabwi mein un dinon Sahaaba Kiram (رضي الله عنهم) aur tab’aeen izzaam (رضى الله عنهم) ki chahal pahal thi.

Sahaaba Kiraam aur tab’aeen izzaam badi hi dili raghbat kay sath phoolon jaise no nihaal beton ko kitaab-e-Ilaahi padhaaya kartay thay. Aur us mein Ghaur-o-Tadabbur ki talqeen kartay, Hadees-e-Rasool (عليه السلام) un kay saamne bayaan kartay aur un kay maqaasid samjhatay.

Rasool-e-Aazam (ﷺ) ki seerat aur ghazwaat kay waqiyat bayaan kartay, Mukhtalif sho’ra kay ash’aar padh kar sunaate, Phir un kay mataalib bayaan kartay aur un kay dilon mein Hubb-e-Ilaahi, Khashiyat-e-Ilaahi aur taqwa kay jot jagaatay.

Is tarah yeh no nihaal ba amal Ulama aur ba kirdaar rehnuma ban kar ubhartay.


Hazrat Ali Bin Hussain رضى الله عنه kay dil mein Qur’ani ilm ne ghar kar liya, Us kay siwa kisi aur ilm ki taraf dil raaghin hi na hua. Quran-e-Majeed kay Waad-o-Wayeed ki wajah say un kay ahsasaat mein larzah taari ho jaata.

Jab Quran-e-Majeed ki koi aisi aayat suntay jis mein Jannat ka tazkarah hota to dil Shoq-o-Raghbat say us kay husool ka mutmani hota, Aur jab Quran-e-Majeed ki aisi aayat padhte jis mein Jahannum ka tazkarah hota to aik garam aur lambi saans letay, Unhein yun mehsoos hota jaise Jahannum  ki aag ka dehakta hua sho’la unkay daaman mein utar aaya hai.


Jab Hazrat Ali Bin Hussain (رضی اللہ عنه) jawaani aur ilm kay Nuqta-e-Urooj par pohche to madni maa’shray ko aik aisa jawaan mila jo Banu Hashim kay jawaanon mein ibaadat aur taqwa mein misaali shaan rakhnay waala, Fazal-o-Sharf aur Akhlaq-o-Kirdaar mein sab say badh kar, Naiki aur burdbaari mein sab say aage, A’alaa maqaam par fayez, Un ki ibaadat aur taqwa ka yeh haal tha keh wazu aur namaz kay darmiyan un kay jism mein kapkapi taari ho jaati.

Aur un ka jism musalsal reshay ki zad mein aa jaata jab is silsile mein us say baat ki jaati to farmaate:

Tum pe bada afsos hai!

Kya tum nahi jaantay keh main kis kay saamne khada honay waala hoon?

Kya tum nahi jaantay kis kay saath main sargoshi karnay ka iraadah rakhta hoon?


Is Hashimi nojawaan ki neki, Taqwa aur ibaadat say mutaasir ho kar logon ne usay Zain ul Abideen kay naam say pukaarna shuru kar diya aur isi naam say aap mashoor ho gaye, Yahan tak keh log un kay asli naam ko bhool gaye. Gharz yeh keh laqab asli naam par ghaalib aa gaya, Un ki sajdah raizi aur namaz kay dauraan duniya ki beniyaazi ki wajah say Ahl-e-Madinah ne usay “Fanaa fil Sujood” ka laqab de diya.

Un kay baatin ki safaai aur dil ki pakeezagi ki wajah say logon ne unhein paak baazo paak tinat shakhsiyat qaraar de diya.


Hazrat Zain ul Abideen (رضى الله عنه ) ka is baat par yakeen thaa keh ibaadat ka maghz du’aa hai.

Woh Ka’bah Shareef kay parday say chimat kar ghanton Rab-e-Jaleel ki baargah mein du’aaen kartay.

Baitullah kay saath kitni hi martabah chimat kar unho ne yeh du’aa ki. Parwardigaar tu ne apni bepaayan mohabbat mujh par nichaawar ki mujh par apnay In’aam-o-Karam ki be intehaa baarish ki.

Main bila Khauf-o-Khatar teri baargah mein iltijaa karta hoon, Mohabbat-o-Ulfat ki bina par tujh say sawaali hoon teri baargah say mazeed rehmat ka multaji hoon.

Teray haqooq ki adaaigi kay liye Himmat-o-Taaqat ki iltijaa hai.

Ilaahi main tujh say us bechaaray gehray paani mein doobnay waale ki maanind maangta hoon jisay kinaaray lagnay kay liye teray siwa koi sahaara nazar na aata ho.

Ilaahi karam farmaa aur meri zindagi ki munjhdhaar mein phansi hui naao ko kinaare laga de, Bila shubah tu sab say badh kar apni makhlooq par karam karnay waala hai.


Hazrat Taoos Bin Kaisan (رحمہ اللہ ) ne aik martabah dekha keh yeh Baitullah kay saaye mein khadey huye shakhs ki tarah Peech-o-Taab khaa rahay thay.

Sakht bemaar ki tarah karraah rahay thay. Mohtaaj ki tarah du’aa kar rahay thay, Hazrat Taoos Bin Kaisan khaday intzaar kar rahay thay, Yahan tak keh unho ne rona band kar diya, Du’aa say faarigh huye aap aage badhay aur us say kaha:

Aye Rasool ul Allah kay farzand, Main ne aaj teri haalat dekhi hai tujh mein paanch khoobiyan aisi paai jaati hain jo tujhe khauf say bacha lengi.

Hazrat Zain ul Abideen ne pucha, Aye Taoos woh kaunsi hain?

Aap ne farmaaya:

Aik to Aap Rasool ul Allah (ﷺ) kay nawaase hain, Doosri tujhe apnay nana ki shafa’at haasil hogi aur teesri Allah ta’ala ki rehmat teray shaamil haal hogi.

Unho ne farmaaya:

Aye Taoos Quran-e-Majeed ki darjzail aayat sunnay kay ba’ad main samjhta hoon keh mera Rasool ul Allah ﷺ kay saath intisaab mujhe faidah na dega. Allah ta’ala ka irshaad hai:

فَاِذَا نُفِخَ فِي الصُّوْرِ فَلَآ اَنْسَابَ بَيْنَهُمْ يَوْمَىِٕذٍ

Tarjumah: “To jab soor phoonka jaayega to us din un kay darmiyan koi hasab nasab kaam na aayega”.

( Al moominoon: 101)

Jahan tak meray nana ki shafa’at ka t’alluq hai.

Allah ta’ala ka yeh irshaad meray Pesh-e-Nazar hai:

وَلَا يَشْفَعُوْنَ ۙ اِلَّا لِمَنِ ارْتَضٰى

Tarjuma: Aur nahin sifarish kar saky gain magar us kay liy  jis ky liye allah razi ho.

(Sorat ul Anbia: 28)

Aur jahan tak Allah ta’ala ki rehmat ka t’alluq hai is silsile mein Irshaad-e-Rabbaani hai:

اِنَّ رَحْمَتَ اللّٰهِ قَرِيْبٌ مِّنَ الْمُحْسِنِيْنَ   56؀

Tarjuma: Beshak allah ki rahmat ahsan karny walo ky qarib ha.

( sorat ul Aaraf: 56)

Taqwa aur Khauf-e-Khuda ne Zain ul Abideen mein bohat si khoobiyan paidah kar dein, Fazal-o-Sharf aur narmi aur burdbaari kay khugar huye, In misaali osaaf kay dilpazir tazkaron say seerat ki kitaaben muzayyan hain aur tareekh kay safhaat chamak rahay hain. Hazrat Hasan Bin Hasan bayaan kartay hain:

Meray aur chacha zaad bhaai Zain ul Abideen kay darmiyan aik martabah ikhtalaf paidah ho gaya, Main us kay paas gaya woh Masjid mein apnay saathion kay hamrah baithay huye thay, Ghussay mein aakar jo munh mein aaya usay keh diya, Lekin woh meri kadwi kaseeli baatain khaamoshi say suntay rahay aur mujhay koi jawaab na diya, Main ghussay ka bharpur izhaar kar kay chala gaya, Raat ko mere darwaazy par kisi ne dastak di main yeh dekhnay kay liye utha keh is waqt meray darwaazy par kaun ho sakta hai. Main ne dekha keh Zain ul Abideen khaday hain. Mujhe is baat mein koi shak na raha keh yeh ab apna badlah lene aaye hain, Lekin unho ne farmaaya:

Meray bhai aaj subah Jo tu ne meray baaray mein kaha agar us mein tum sachay ho to Allah ta’ala mujhe m’aaf kar de aur agar aap un baaton mein sachay nahi hain to Allah ta’ala aap ko m’aaf kar de.

Yeh kaha mujhe salaam kiya aur wapis chale gaye. Main ne unhein rokaa aur arz ki aayinda main koi aisi baat nahi karunga jo aap ko nagawaar guzray. Bhai mujhe m’aaf kar dijye.

Un ka dil naram ho gaya aur farmaaya koi baat nahi meray baaray mein aap ko baat karnay ka haq pahunchta hai.


Madinay ka aik bashinda bayaan karta hai keh aik martabah Zain ul Abideen Masjid say bahir nikle aur main bhi un kay peechay ho liya, Main baghair kisi wajah kay unhein gaaliyan denay laga. Log yeh sun kar mujh par pal paday. Mujhe apni jaan kay laale pad gaye. Qareeb tha keh woh mera kachumar nikaal detay, Zain ul Abideen ne logon ki taraf dekha aur farmaaya ruk jaao. To woh sab ruk gaye, Jab aap ne mujhe kaanptay huye dekha to badi khandah peshaani say meri taraf mutawajjah huye, Mujhe dilaasa denay lage takeh mera khauf jaata rahay.

Phir aap ne farmaaya:

Aap ne mujhe apni m’aaloomat kay mutaabiq gaali di, Lekin woh aib jin par pardah pada hua hai aap nahi jaantay woh to kahin zyadah hain, Phir mujh say pucha kya teri koi aisi zarurat hai jisay ham pura kar kay teri madad kar sakain.

Main sharmindah hua aur kuch keh na saka.

Jab unhon ne meri sharamsaari ko dekha to apni qeemti chaadar utaar kar mujh par daal di aur aik hazaar dirham mujhe inaayat kiya.

Main yeh Husn-e-Sulook dekh kar pukaar utha.

Waqayi aap Nawasa-e-Rasool عليه السلام hain.

Aik ghulam kehta hai keh main Zain ul Abideen Ali Bin Hussain رحمہ اللہ ka ghulam tha. Unho ne mujhe kisi kaam kay liye bheja, main ne takheer kar di, Jab main un kay paas aaya to bade ghussay say koda pakda aur meri pitaayi shuru kar di, Main ronay laga, mujhe ghussa bhi bohat aaya, Aap ne is say pehle kisi ko maara bhi na tha.

Main ne kaha Aye Ali Bin Hussain رحمہ اللہ Allah say daro, Aik to aap mujh say khidmat letay hain, Main aap kay hukm kay mutaabiq har kaam puri mehnat say karta hoon oopar say aap meri pitaayi kartay hain, Yeh kahan ka insaaf hai?

Meri baat sun kar ro pade aur farmaaya abhi Masjid-e-Nabwi jaao. Do raka’at namaz padho phir yeh du’aa karo.

Ilaahi Ali Bin Hussain ko m’aaf kar de, Agar aaj aap yeh karainge to meri ghulami say aap azaad honge.

Main Masjid gaya namaz padhi aur du’aa ki.

Jab main ghar wapis lauta to azaad tha.


Allah Subhana wa ta’ala ne Hazrat Zain ul Abideen رحمہ اللہ par badi waafir miqdaar mein Maal-o-Daulat aur rizq kay khazane khol rakhay thay.

Tijaarat mein unhein bohat nafa hota tha.

Zara’at mein bhi badi farwaani mayassar thi.

Yeh dono kaam aap kay nokar chaakar sar anjaam diya kartay thay. Zara’at-o-Tijaarat kay zariye unhein waafir miqdaar mein Maal-o-Daulat un kay haath lagta, Lekin is tonagri aur farawaani ne un kay andar nakhwat ya takabbur ka koi shayba paidah nahi kiya.

Albatta duniya kay maal ko unhon ne aakhirat ki kamyabi ka zariya banaya. Un ki Daulat-o-Sarwat har lihaaz say un kay liye Mufeed-o-Kaarmand saabit hui. Raazdaari aur poshidah andaaz mein Sadqah-o-Khairaat karna unhein bohat mehboob tha. Jab raat ka andhera chaa jaata to yeh apni kamzor kamar par aatay kay thaile uthaatay aur Madinay kay un zarurat mandon kay ghar chupkay say chod aatay.

jo khuddaari ki wajah say logon kay saamne Dast-e-Sawaal daraaz nahi kartay thay. Yeh kaam sar anjaam denay kay liye raat ki taareeki mein us waqt nikaltay jab log soye huye hotay.

Madinah Munawwarah mein bohat say log khush haali ki zindagi basar kar rahay thay jinhein yeh bhi pata nahi tha keh un kay paas waafir miqdaar mein rizq kahan say aata hai. Jab Hazrat Zain ul Abideen Ali Bin Hussain رحمہ اللہ faut ho gaye aur un logon kay paas atta aana band hua tab unhein pata chala keh yeh kahan say aata tha.

Jab Hazrat Zain ul Abideen ko ghusal denay kay liye takhtay par rakha gaya.

Ghusal denay waalon ne peeth par siyah nishaan dekha to kehnay lage yeh kya hai? Unhein bataya gaya keh yeh aatay ki boriyan uthaanay ki wajah say nishaan pada, Woh jo Madinay kay taqriban aik sau ghar mein pohchaya kartay thay.

Aaj yeh faiyyazi kay saath kharch karnay waale faut ho gaye.


Hazrat Zain ul Abideen Ali Bin Hussain رحمہ اللہ apnay ghulamon ko is kasrat aur faiyyazi say aazadi diya kartay thay keh us ka charcha Mashriq-o-Maghrib mein safar karnay waale musaafiron tak pohonch chuka tha.

Un ka yeh kaarnama logon ki Fikar-o-Nazar kay ufaq say bhi kahin buland tha, Us ki parwaaz takhliyat say bhi kahin unchi thi, Koi aam insaan us ka tasawwur bhi nahi kar sakta.

Yeh har us ghulam ko azaad kar diya kartay thay jo un sy Husn-e-Sulook sy paish aata, Us ki aazadi us kay Husn-e-Sulook ka badlah hoti.

Yeh is gulam ko bhi aazad kar dia karty thy jo nafarmaani karta aur phir taubah kar leta. Usay apni taubah kay badle aazadi mil jaati.

Un kay mut’aliq yeh bayaan kiya jaata hai keh unho ne apni zindagi mein aik hazaar ghulam aazaad kiye. Yeh apnay kisi ghulam ya kaneez say aik saal say zayed khidmat nahi liya kartay thay.

Eidul Fitar ki raat yeh bohat zyadah ghulamon ko aazaad kiya kartay thay, Un say yeh mutaalbah kiya kartay keh woh Qiblah rukh ho kar Allah ta’ala say yeh du’aa karain:

Ilaahi Ali Bin Hussain رحمہ اللہ ko m’aaf kar de is tarah unhein dohri khushi naseeb hoti. Aik khushi Eid ki aur doosri khushi aazaadi ki.


Hazrat Zain ul Abideen Ali Bin Hussain رحمہ اللہ ki mohabbat logon kay dilon mein utar chuki thi. Log unhein badi izzat ki nigah say dekha kartay thay, Logon kay dilon mein un ka aik martabah tha. Goya yeh logon kay be taaj badshah thay, Un kay daur mein yeh maqaam kisi aur ko haasil na tha, Log un say sachi mohabbat kartay thay, Un kay saath badi ta’zeem kay saath pesh aatay, Bada hi gehra t’alluq tha, Logon ki nigaahain har dam un ki matlaashi rehtien. Ghar say nikaltay huye ya ghar mein daakhil hotay huye, Masjid jaatay huye ya Masjid say wapis aatay huye log un ki ziyaarat ki s’aadat haasil kiya kartay thay.


Aik dafa ka zikar hai keh Hisham Bin Abdul malik Hajj kay liye Makkah mu’azzmah aaya us waqat woh wali ‘ahad tha. Woh tawaaf karna aur Hajr-e-Aswad ko chumna chahta tha. Hifaazati dastay ne logon ko hato bacho kartay huye us kay liye raasta banana shuru kar diya.

Lekin logon mein say aik shakhs ne unki taraf dekha hi nahi aur na hi un kay liye raasta banaya balkeh woh yeh keh raha tha.

Yeh Allah ka ghar hai.

Tamaam log us kay banday hain.

Isi dauraan door say لا اله الاالله aur الله أكبر ki awaazen sunaai denay lagein. Log tiktiki lagaa kar uski taraf dekhnay lagay, Woh kya dekhtay hain keh logon kay jhurmat mein aik khubsurat, Charhare badan aur raushan chehray waala shakhs ahraam bandhay bade hi waqaar kay sath Baitullah ki jaanib chala aa raha hai. Us ki peshaani par sajdon ka nishaan numaayan hai. Log aqeedat ka izhaar kartay huye us kay liye raastah bana rahay hain. Aur usay Mohabbat-o-Aqeedat ki nazar say dekh rahay hain, Woh shakhs Hajr-e-Aswad tak pohcha aur usay bade hi ba waqaar andaaz mein chuma.

Hisham Bin Abdul malik kay haashiyah biradaron mein say aik shakhs ne us say pucha yeh kaun hai jis ki log is andaaz mein ta’zeem bajaa laa rahay hain?

Hisham ne kaha main isay nahi jaanta.

Duniya Ahl-e-Arab ka mashoor shaair Farzoq wahan maujood tha.

Us ne kaha agar Hisham is ko nahi jaanta to kya hua main to isay jaanta hoon tamaam duniya isay jaanti hai.

Yeh Hazrat Hussain رضى الله عنه ka farzand Arjamand Ali hai jisay log Zain ul Abideen kay naam say jaantay hain.

Phir barjasta us ki shaan mein ash’aar kahe jin ka tarjamah darjzail hai:

1: Yeh woh shakhs hai jis kay qadmon ki aahat ko Waadi-e-buthaa jaanti hai.

2: Yeh Allah kay bandon mein sab say behter insaan ka nawasa hai yeh muttaqi, Parhaiz gaar, Paak saaf aur mumtaaz insaan hai.

3: Yeh Fatimatul Zahrah ka nawasa hai agar tu nahi jaanta to sun le, Is kay Nana Khatimul Anbiya عليه السلام hain.

4: Tera kehna keh yeh kaun hai usay koi nuksaan nahi dega, Tu isay agar nahi jaanta Arab-o-Ajam to isay jaantay hain.

5: Is kay dono haath bade fayyaaz hain.

Log is ki fiyaazi say khoob mustafeez hotay hain, Is kay haath na dena to jaantay hi nahi.

6:  Yeh naram tabiyat hai is mein tursh rawi ka shayba tak nahi hai do khubiyon ne is ko aarasta kiya hai woh Husn-o-Akhlaak aur naram tabiyat hai.

7:  Tashahhud kay ilaawah is ki zubaan par laa nahi aata, Agar Tashahhud na hota to yeh laa bhi na’am hota.

8:  Is kay ahsaanat Khalq-e-Khuda par aam hain. Jin ki wajah say tareekiyan, Gurbat-o-Iflaas khatam ho gaye.

9: Jab Quraish ne usay dekha to us ka aik shakhs pukaar utha yeh woh shakhs hai jis par Husan-o-Akhlaak khatam hai.

10: Yeh yahan ki wajah say apni nigaahain nichay rakhta hai aur log is ki haibat say nigaahain jhuka letay hain. Jab tak yeh muskuraty nahi kisi ko baat karnay ki jurrat nahi hoti.

11: Is ki hatheli resham ki tarah naram hai aur is say kastoori ki khushboo aati hai. Aur is ki naak teekhi hai jis say shakhsi azmat aashkaar hoti hai.

12: Is ka asal Rasool ul Allah ﷺ say mashtaq hua hai. Is ka Hasab-o-Nasab kis qadar umdah hai.


Allah ta’alaa Aal-e-Rasool عليه السلام say raazi ho gaya.

Hazrat Zain ul Abideen har us shakhs kay liye nadir namunan thay Jo poshidah aur ailaaniya Allah ta’ala say darta hai jo Allah ta’ala kay azaab say dartay huye aur us kay sawaab ka laalach kartay huye apnay aap ko bacha bacha kar rakhtay hain.


Hazrat Zain ul Abideen kay mufassal Halaat-e-Zindagi ma’loom karnay kay liye darjzail kitaabon ka mutaala karain:

1: Tabaqat Ibn-e-Saad                                                                               5/211
2: Tarikh ul Bukhari                                                                                       2/266
3: Al Maarif                                                                                                     214
4: Al Marifah wal Tarikh                                                                           1/360-544
5: Al Jarah wal Tadeel                                                                               3/178
6: Tabaqat ul Fuqaha ( Shirazi)                                                          63
7: Tarikh Ibn-e-Kaseer                                                                            12/515
8: Al Asmaa wal Lhugat                                                                          1/343
9: Wafayat ul Aayan                                                                               3/266
10: Tarikh ul Islam                                                                                     4/34
11: Al Ibar                                                                                                       1/111
12: Al Bidayah wal Nihaya                                                                   9/103
13: Al Nujoom ul Zahirah                                                                        1/229

REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef :  Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer

حضرت زین العابدین علی بن حسین بن علی رضی اللّٰہ عنہ



میں نے علی بن حسین سے فضائل و مناقب میں بڑھ کر کسی قریشی کو نہ دیکھا ۔

(امام ز ھری)

 

اس روشن اور بابرکت سال میں ایرانی شہنشاہیت کی تاریخ کا آخری صفحہ بھی لپیٹ دیا گیا, وہ اس طرح کہ ایران کے آخری بادشاہ کو ذلت آمیز انداز میں موت کے گھاٹ اتار دیا –
اس کے تمام جرنیل حفاظتی دستہ اور اہل خانہ مسلمانوں کے ہاتھوں قیدی بن گئے اور مال غنیمت کو سمیٹ کر مدینہ منورہ لایا گیا – اس عظیم فتح کے موقعہ پر جس کثیر تعداد میں قیمتی قیدی مدینہ منورہ میں لائے گئے اس کی تاریخ میں مثال نہیں ملتی ان قیدیوں میں ایران کے آخری بادشاہ یزد جر کی تین بیٹیاں تھیں –

                     




لوگ قیدیوں کی طرف متوجہ ہوئے اور انہوں نے پلک جھپکتے ہی انہیں خرید لیا اور رقم بیت المال میں جمع کرا دی ان میں سے صرف ایران کے بادشاہ یزد جر کی بیٹیاں باقی رہ گئیں-
وہ بلاشبہ حسن و جمال کا پیکر, پری رخ اور سیمیں بدن دوشیزائیں تھیں- جب انہیں فروخت کرنے کے لیے پیش کیا گیا تو مارے ذلت و رسوائی کے ان کی آنکھیں زمین پر گڑ گئیں حسرت و یاس اور انکساری و درماندگی کی وجہ سے ان کی غزالی آنکھوں سے آنسو بہہ نکلے, انہیں دیکھ کر حضرت علی بن ابی طالب کرم اللّٰہ وجہہ کے دل میں ترس آگیا اور یہ خیال آیا کہ کاش انہیں وہ خریدے جو ان سے حسن سلوک سے پیش آئے – اس میں حیران ہونے کی بھی کوئی بات نہیں رسول اکرم ﷺ نے ارشاد فرمایا تھا –
شکست خوردہ قوم کے معزز افراد پر ترس کھایا کرو –

حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ نے حضرت عمر بن خطاب رضی اللّٰہ عنہ سے کہا –
اے امیرالمومنین بادشاہ کی بیٹیوں سے امتیازی سلوک ہونا چاہیے –
حضرت عمر رضی اللّٰہ عنہ نے فرمایا –
آپ سچ کہتے ہیں لیکن اس کی صورت کیا ہو؟
حضرت علی رضی اللّٰہ نے فرمایا-
ایک تو ان کی قیمت زیادہ لگائیں اور دوسرا ان کو اختیار دے دیں جس پر یہ راضی ہو جائیں ان کے ہاتھ انہیں دے دیا جائے اور ان پر قطعا کوئی جبر نہ ہو –
حضرت عمر رضی اللّٰہ عنہ کو یہ سن کر بہت خوشی ہوئی اور حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ کی اس تجویز کو نافد کر دیا –
ان میں سے ایک نے حضرت عبداللہ بن عمر بن خطاب کو پسند کیا –
دوسری نے حضرت محمد بن ابو بکر صدیق رضی اللّٰہ عنہ کو اور تیسری حسن جمال کی وجہ سے جسے ملکہ خواتین کہا جاتا تھا اس نے اپنے لیے نواسہ اور رسول حضرت حسین رضی اللّٰہ عنہ کو پسند کیا –

         




تھوڑے ہی عرصے بعد ملکہ خواتین نے اپنی دلی رغبت کی وجہ سے اسلام قبول کر لیا یہ دین قیم کی راہ پر گامزن ہوئیں ,غلامی سے آزاد کر دی گئیں -کنیز سے آزاد بیوی کا با عزت مقام حاصل کیا, پھر اس نے سوچا کہ ماضی کی تمام شرکیہ یادیں یکسر بھلادی جائیں – اس نے اپنا نام (شاہ زنداں)

سے بدل کر غزالہ رکھ لیا –
غزالہ کے نصیب میں بہترین رفیق حیات آیا, بڑی ہی خوشگوار زندگی بسر ہونے لگی مہینے لمحوں میں گزرنے لگے –
اب ایک ہی دلی خواہش باقی رہ گئی تھی کہ اسے چاند سا بیٹا نصیب ہو جائے – اللّٰہ سبحان و تعالیٰ نے اس کی یہ خواہش بھی پوری کر دی ایک مہتاب چہرہ بیٹے نے جنم لیا –
برکت کے لیے اس کا نام دادے کے نام پر علی رکھا گیا, لیکن غزالہ کے لیے یہ خوشی چند لمحات سے زیادہ دیکھنا نصیب نہ ہوئی کیونکہ یہ اپنے بیٹے کو جنم دیتے ہی اللّٰہ کو پیاری ہو گئی-

             




اس نومولود کی پرورش و انگہداشت کنیز کے سپرد کی گئی جس نے اسے ماں جیسا پیار دیا, اس پر اپنی محبت کو اس طرح نچھاور کیا جس طرح کوئی ماں اپنے اکلوتے بیٹے سے پیار کرتی ہے اور اس کی اس طرح پرورش کی کہ یہ نومولود بڑا ہو کر اسے ہی اپنی حقیقی ماں سمجھنے لگا-

     




حضرت علی بن حسین جب سن شعور کو پہنچے تو حصول علم کی طرف شوق ور غبت سے متوجہ ہوئے –
پہلا مدرسہ گھر تھا اور یہ کتنا اچھا مدرسہ تھا-

پہلے استاد ان کے والد حسین بن علی رضی اللّٰہ عنہ تھے اور یہ کتنے عظیم استاد تھے, دوسرا مدرسہ رسول اعظم ﷺ کی مسجد تھا-
مسجد نبوی میں ان دنوں صحابہ کرام رضی اللّٰہ عنہ اور تابعین عظام رضی اللّٰہ عنہ کی چہل پہل تھی – صحابہ کرام اور تابعین عظام بڑی ہی دلی رغبت کے ساتھ پھولوں جیسے نونہال بیٹوں کو کتاب الٰہی پڑھایا کرتے تھے – اور اس میں غورو تدبر کی تلقین کرتے, حدیث رسول علیہ السلام ان کے سامنے بیان کرتے اور اس کے مقاصد سمجھاتے –
رسول اعظم ﷺ کی سیرت اور غزوات کے واقعات بیان کرتے, مختلف شعراء کے اشعار پڑھ کر سناتے اور پھر ان کے مطالب بیان کرتے اور ان کے دلوں میں حب الٰہی خشیت الٰہی اور تقوی کا جوت جگاتے-
اس طرح یہ نونہال باعمل علماء اور باکردار راہنما بن کر ابھرتے –

                 




حضرت علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ کے دل میں قرآنی علم نے گھر کر لیا اس کے سوا کسی اور علم کی طرف دل راغب ہی نہ ہوا- قرآن مجید کے وعد و وعید کی وجہ سے ان کے احساسات میں لرزہ طاری ہو جاتا –
جب قرآن مجید کی کوئی ایسی آیت پڑھتے جس میں جنت کا تزکرہ ہوتا تو دل شوق ورغبت سے اس کے حصول کا متمنی ہوتا, اور جب قرآن مجید کی ایسی آیت پڑھتے جس میں جہنم کا تذکرہ ہوتا تو ایک گرم اور لمبی سانس لیتے, انہیں یوں محسوس ہوتا جیسے جہنم کی آگ کا دھکتا ہوا شعلہ ان

کے دامن میں اتر آیا ہے –

                       




جب حضرت علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ جوانی اور علم کے نکتہ عروج پر پہنچے تو مدنی معاشرے کو ایک ایسا جوان ملا جو بنو ہاشم کے جوانوں میں عبادت اور تقوی میں مثالی شان رکھنے والا, فضل و شرف اور اخلاق و کردار میں سب سے بڑھ کر نیکی و بردباری میں سب سے آگے, اعلی مقام پر فائز, ان کی عبادت اور تقویٰ کا یہ حال تھا کہ وضو اور نماز کے درمیان ان کے بدن میں کپکپی طاری ہو جاتی – اور ان کا جسم مسلسل رعشے کی زد میں آ جاتا جب اس سلسلے میں ان سے بات کی جاتی تو فرماتے-
تم پہ بڑا افسوس ہے!
کیا تم جانتے نہیں کہ میں کس کے سامنے کھڑا ہونے والا ہوں؟
کیا تم جانتے نہیں کس کے ساتھ میں سرگوشی کرنے کا ارادہ رکھتا ہوں ؟

         




اس ہاشمی نوجوان کی نیکی, تقوی اور عبادت گزاری سے متاثر ہو کر لوگوں نے اسے زین العابدین کے نام سے پکارنا شروع کر دیا اور اسی نام سے آپ مشہور ہو گئے یہاں تک کہ لوگ ان کے اصلی نام کو بھول گئے –
غرضیکہ لقب اصلی نام پر غالب آگیا, ان کی سجدہ ریزی اور نماز کے دوران دنیا کی بے نیازج کی وجہ سے اہل مدینہ نے اسے ” فنافی سجود” کا لقب دے دیا ۔

ان کے باطن کی صفائی اور دل کی پاکیزگی کی وجہ سے لوگوں نے انہیں پا ک بازو۔ پاک طینت شخصیت قرار دے دیا۔

           




حضرت زین العابدین رضی اللّٰہ عنہ کے اس بات پر یقین تھا کہ عبادت کا مغز دعا ہے
وہ کعبہ شریف کے پردے سے چمٹ کر گھنٹوں رب جلیل کی بارگاہ میں دعائیں کرتے ۔
بیت اللّٰہ کے ساتھ کتنی ہی مرتبہ چمٹ کر انہوں نے یہ دعا کی ۔
پروردگار تو نے اپنی بے پایاں رحمت مجھ پر نچھاور کی ، مجھ پر اپنے انعام و اکرام کی بے انتہا بارش کی ۔
میں بلا خوف و خطر تیری بارگاہ میں التجا کرتا ہوں ، محبت والفت کی بنا پر تجھ سے سوالی ہوں تیری بارگاہ سے مزید رحمت کا ملتجی ہوں ۔
تیرے حقوق کی ادائیگی کے لیے ہمت و طاقت کی التجا ہے ۔
الہٰی میں تجھ سے اس بے چارے گہرے پانی میں ڈوبنے والے کی مانند مانگتا ہوں ، جسے کنارے لگنے کے لیے تیرے سوا کوئی سہارا نظر نہ آتا ہو۔
الہٰی کرم فرما اور میری زندگی کی منجد ھار میں پھنسی ہوئی ناؤ کو کنارے لگا دے ، بلاشبہ تو سب سے بڑھ کر اپنی مخلوق پر رحم کرنے والا ہے ۔

حضرت طاؤوس بن کیسان رضی اللّٰہ عنہ نے ایک مرتبہ دیکھا کہ یہ بیت اللّٰہ کے سائے میں کھڑے مضطرب شخص کی طرح پیچ و تاب کھا رہے تھے ۔
سخت بیمار کی طرح کراہ رہے تھے ۔ محتاج کی طرح دعا کر رہے تھے ، حضرت طاؤوس بن کیسان کھڑے انتظار کر رہے تھے ، یہاں تک کہ انہوں نے رونا بند کر دیا ، دعا سے فارغ ہوئے آپ آگے بڑھے اور اس سے کہا ۔
اے رسول اللّٰہ کے فرزند میں نے آج تیری حالت دیکھی ہے تجھ میں پانچ خوبیاں ایسی پائی جاتی ہیں جو تجھے خوف سے بچا لیں گی۔
حضرت زین العابدین نے پوچھا ، اے طاؤوس وہ کون سی ہیں ؟
آپ نے فرمایا ۔
ایک تو آپ رسول اللّٰہ ﷺ کے نواسے ہیں دوسری تجھے اپنے نانا کی شفاعت حاصل ہوگی اور تیسری اللّٰہ تعالیٰ کی رحمت تیرے شامل حال ہو گی۔
انہوں نے فرمایا ۔
اے طاؤوس قرآن مجید کی درج ذیل آیت سننے کے بعد میں سمجھتا ہوں کہ میرا رسول اللّٰہ ﷺ کے ساتھ انتساب مجھے فائدہ نہ دے گا ۔
اللّٰہ تعالیٰ کا ارشاد ہے ۔



“فاذا نفخ فی الصور فلا انساب بینھم یو مئذ “


ترجمہ: تو جب صور پھونکا جائے گا تو اس دن ان کے درمیان کوئی

 

حسب نسب کام نہ آئے گا ۔
جہاں تک میرے میرے نانا کی شفاعت کا تعلق ہے۔
اللّٰہ تعالیٰ کا یہ ارشاد میرے پیش نظر ہے۔

*”ولا یشفعون الا لمن ارتضی” ( الانبیاء)*

اور جہاں تک اللّٰہ تعالیٰ کی رحمت کا تعلق ہے اس سلسلے میں ارشاد ربانی ہے ۔

“ان رحمتہ اللہ قریب من المحسنین” ( الاعراف)

تقوی اور خوف خدا نے حضرت زین العابدین میں بہت سی خوبیاں پیدا کر دیں فضل و شرف اور نرمی و بردباری کے خوگر ہوئے ، ان مثالی اوصاف کے دلپزیر تزکروں سے سیرت کی کتابیں مزین ہیں اور تاریخ کے صفحات چمک رہے ہیں ۔ حضرت حسن بن حسن بیان کرتے ہیں ۔
میرے اور چچا زاد بھائی زین العابدین کے درمیان ایک مرتبہ اختلاف پیدا ہو گیا ، میں اس کے پاس گیا وہ مسجد میں اپنے ساتھیوں کے ہمراہ بیٹھے ہوئے تھے ، غصے میں آ کر میں نے جو منہ میں آیا اسے کہہ دیا، لیکن وہ میری کڑوی کسیلی باتیں خاموشی سے سنتے رہے مجھے کوئی جواب نہ دیا میں غصے کا بھر پور اظہار کر کے چلا گیا ، رات کو میرے دروازے پر کسی نے دستک دی میں یہ دیکھنے کے لیے اٹھا کہ اس وقت میرے دروازے پر کون ہو سکتا ہے ۔ میں نے دیکھا کہ زین العابدین کھڑے ہیں ۔ مجھے اس بات میں

کوئی شک نہ رہا کہ یہ اب اپنا بدلہ لینے آئے ہیں لیکن انہوں نے فرمایا:
میرے بھائی آج صبح جو تو نے میرے بارے میں کہا ہے اگر اس میں تم سچے ہو تو اللّٰہ تعالیٰ مجھے معاف کر دے اور اگر آپ ان باتوں میں سچے نہیں ہیں تو اللّٰہ تعالیٰ آپ کو معاف کر دے ۔
یہ کہا مجھے سلام کیا اور واپس چلے گئے ۔ میں نے انہیں روکا اور عرض کی آئندہ میں کوئی ایسی بات نہیں کروں گا جو آپ کو ناگوار گزرے۔
بھائی مجھے معاف کر دیجیے ۔
ان کا دل نرم ہو گیا اور فرمایا کوئی بات نہیں میرے بارے میں آپ کو بات کرنے کا حق پہنچتا ہے ۔

                   




مدینے کا ایک باشندہ بیان کرتا ہے کہ ایک مرتبہ زین العابدین مسجد سے باہر نکلے اور میں بھی ان کے پیچھے ہو لیا ، میں بغیر کسی وجہ کے انہیں گالیاں دینے لگا ۔ لوگ یہ سن کر مجھ پر پل پڑے ۔ مجھے اپنی جان کے لالے پڑ گئے قریب تھا کہ وہ میرا کچومر نکال دیتے ، زین العابدین نے لوگوں کی طرف دیکھا اور فرمایا رک جاؤ ۔ تو وہ سب رک گئے، جب آپ نے مجھے کانپتے ہوئے دیکھا تو بڑی خنداں پیشانی سے میری طرف متوجہ ہوئے ، مجھے دلاسہ دینے لگے تاکہ میرا خوف جاتا رہے۔
پھر آپ نے فرمایا ۔
آپ نے مجھے اپنی معلومات کے مطابق گالی دی لیکن وہ عیب جن پر پردہ پڑا ہوا ہے

آپ نہیں جانتے وہ تو کہیں زیادہ ہیں، پھر مجھ سے پوچھا کیا تیری کوئی ایسی ضرورت ہے جسے پورا کر کے ہم تیری مدد کر سکیں ۔ میں شرمندہ ہوا اور کچھ کہہ نہ سکا ۔
جب انہوں نے میری شرمساری کو دیکھا تو اپنی قیمتی چادر اتار کر مجھ پر ڈال دی اور ایک ہزار درہم مجھے عنایت کیا ۔
میں یہ حسن سلوک دیکھ کر پکار اٹھا ۔
واقعی آپ نواسہ ء رسول علیہ السلام ہیں۔
ایک غلام کہتا ہے کہ میں زین العابدین علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ کا غلام تھا ۔
انہوں نے مجھے کسی کام کے لیے بھیجا میں نے تاخیر کردی، جب میں انکے پاس آیا تو بڑے غصہ سے کوڑا پکڑا اور میری پٹائی شروع کردی میں رونے لگا ، مجھے غصہ بھی بہت آیا ، آپ نے اس سے پہلے کسی کو مارا بھی نہیں تھا۔
میں نے کہا، اے علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ اللّٰہ سے ڈرو ایک تو آپ مجھ سے خدمت لیتے ہیں ، میں آپ کے حکم کے مطابق ہر کام پوری محنت سے کرتا ہوں اوپر سے آپ میری پٹائی کرتے ہیں ، یہ کہاں کا انصاف ہے ؟
میری یہ بات سن کر روپڑے اور فرمایا ابھی مسجد نبوی میں جاؤ ۔ دو رکعت نماز پڑھو پھر یہ دعا کرو۔
الہٰی علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ کو معاف کر دے ، اگر آج آپ یہ کریں گے تو میری غلامی سے آپ آزاد ہوں گے ۔
میں مسجد گیا نماز پڑھی اور دعا کی۔

جب میں گھر واپس لوٹا تو آزاد تھا ۔

           




اللّٰہ سبحانہ و تعالیٰ نے حضرت زین العابدین رضی اللّٰہ عنہ پر بڑی وافر مقدار میں مال و دولت اور رزق کے خزانے کھول رکھے تھے۔
تجارت میں انہیں بہت نفع ہوتا تھا ۔
زراعت میں بھی بڑی فراوانی میسر تھی۔
یہ دونوں کام آپ کے نوکر چاکر سر انجام دیا کرتے تھے ۔ زراعت و تجارت کے ذریعے انہیں وافر مقدار میں مال و دولت ان کے ہاتھ لگتا ، لیکن اس تونگری و فراوانی نے ان کے اندر نخوت یا تکبر کا کوئی شائبہ پیدا نہیں کیا۔ البتہ دنیا کے مال کو انہوں نے آخرت کی کامیابی کا ذریعہ بنایا۔ ان کی دولت و ثروت ہر لحاظ سے ان کے لیے مفید و کار مند ثابت ہوئی ۔ رازداری اور پوشیدہ انداز میں صدقہ و خیرات کرنا انہیں بہت محبوب تھا۔ جب رات کا اندھیرا چھا جاتا تو یہ اپنی کمزور کمر پر آٹے کے تھیلے اٹھاتے اور مدینے کے ان ضرورت مندوں کے گھر چپکے سے چھوڑ آتے ، جو خوداری کی وجہ سے لوگوں کے سامنے دست سوال دراز نہیں کر تے تھے ۔ یہ کام سر انجام دینے کے لیے رات کی تاریخی میں اس وقت نکلتے جبکہ لوگ سوئے ہوئے ہوتے ۔
مدینہ منورہ میں بہت سے گھر خوشحالی سے زندگی بسر کر رہے تھے
جنھیں یہ بھی پتا نہیں تھا کہ ان کے پاس وافر مقدار میں رزق کہاں سے آتا ہے ۔ جب حضرت زین العابدین علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ فوت ہو گئے اور ان لوگوں کے پاس آٹا بند ہوا تب پتا چلا کہ یہ کہاں سے آتا تھا ۔
جب حضرت زین العابدین کو غسل دینے کے لیے تختے پر رکھا گیا ۔
غسل دینے والوں نے پیٹھ پر سیاہ نشان دیکھا تو کہنے لگے یہ کیا ہے ؟ انہیں بتایا گیا کہ یہ آٹے کی بوریاں اٹھانے کی وجہ سے نشان پڑا ، جو وہ مدینے کے تقریباً ایک سو گھر میں پہنچایا کرتے تھے ۔
آج یہ فیاضی کے ساتھ خرچ کرنے والے دنیا سے رخصت ہو گئے ۔
                           




حضرت زین العابدین علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ اپنے غلاموں کو اس کثرت اور فیاضی سے آزادی دیا کرتے تھے کہ اس کا چرچا مشرق و مغرب میں سفر کرنے والے مسافروں تک پہنچ چکا تھا ۔
ان کا یہ کارنامہ لوگوں کی فکرو نظر کے افق سے بھی کہیں بلند تھا ، اسکی پرواز تخیلات سے بھی کہیں اونچی تھی، کوئی عام انسان اس کا تصور بھی نہیں کر سکتا۔
یہ ہر اس غلام کو آزاد کر دیا کرتے تھے جو ان سے حسن سلوک سے پیش آتا اس کی آزادی اس کے حسن سلوک کا بدلہ ہوتی ۔
یہ اس غلام کو بھی آزاد کر دیا کرتے تھے جو نافرمانی کرتا اور پھر توبہ کر لیتا۔
اسے اپنی توبہ کے بدلے آزادی مل جاتی ۔ ان کے متعلق یہ بیان کیا جاتا ہے کہ جاتا ہے کہ انہوں نے اپنی زندگی میں ایک ہزار غلام آزاد کیے۔ یہ اپنے کسی غلام یا کنیز سے ایک سال سے زائد خدمت نہیں لیا کر تے تھے ۔
عیدالفطر کی رات یہ بہت زیادہ غلاموں کو آزاد کیا کرتے تھے ، ان سے یہ مطالبہ کیا کرتے کہ وہ قبلہ رخ ہو کر اللّٰه تعالیٰ سے یہ دعا کریں ۔
الہٰی علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ کو معاف کر دے اس طرح انہیں دوہری خوشی نصیب ہوتی۔ ایک خوشی عید کی اور دوسری خوشی آزادی کی۔

     





حضرت زین العابدین علی بن حسین رضی اللّٰہ عنہ کی محبت لوگوں کے دلوں میں اتر چکی تھی۔ لوگ انہیں بڑی عزت کی نگاہ سے دیکھا کرتے تھے ، لوگوں کے دلوں میں ان کا بہت مرتبہ تھا۔ گویا یہ لوگوں کے بے تاج بادشاہ تھے، انکے دور میں یہ مقام کسی اور کو حاصل نہ تھا، لوگ ان سے سچی محبت کرتے تھے ، ان کے ساتھ بڑی تعظیم سے پیش آتے ، بڑا ہی گہرا تعلق تھا، لوگوں کی نگاہیں ہر دم انکی متلاشی رہتیں ۔ گھر سے نکلتے ہوئے یا گھر میں داخل ہوتے ہوئے ، مسجد جاتے ہوئے یا مسجد سے واپس آتے ہوئے لوگ ان کی زیارت کی سعادت حاصل کیا کرتے تھے ۔

                   




ایک دفعہ کا ذکر ہے کہ ہشام بن عبد الملک حج کے لیے مکہ معظمہ آیا اس وقت وہ ولی عہد تھا۔ وہ طواف کرنا اور حجراسود کو چومنا چاہتا تھا

حفاظتی دستے نے لوگوں کو ہٹو بچو کرتے ہوئے اس کے لیے راستہ بنانا شروع کر دیا ۔
لیکن لوگوں میں سے ایک شخص نے ان کی طرف دیکھا ہی نہیں اور نہ ہی ان کے لیے راستہ بنایا بلکہ وہ یہ کہہ رہا تھا ۔
یہ گھر اللّٰہ کا ہے ۔
تمام لوگ اس کے بندے ہیں ۔
اسی دوران دور سے لا الہ الا اللّٰہ اور اللّٰہ اکبر کی آوازیں سنائی دینے لگیں ۔ لوگ ٹکٹکی لگا کر اسی طرف دیکھنے لگے ، وہ کیا دیکھتے ہیں کہ لوگوں کے جھرمٹ میں ایک خوبصورت ، چھریرے بدن اور روشن چہرے والا شخص احرام باندھے بڑے ہی وقار کے ساتھ بیت اللّٰہ کی جانب چلا آ رہا ہے ۔ اس کی پیشانی پر سجدوں کا نشان نمایاں ہے ۔ لوگ عقیدت کا اظہار کرتے ہوئے اس کے لیے راستہ بنا رہے ہیں۔ اور اسے محبت و عقیدت کی نظر سے دیکھ رہے ہیں وہ شخص حجرا سود تک پہنچا اور اسے بڑے ہی باوقار انداز میں چوما۔

ہشام بن عبد الملک کے حاشیہ برداروں میں سے ایک شخص نے اس سے پوچھا یہ کون ہے جس کی لوگ اس انداز میں تعظیم بجا لا رہے ہیں ۔
ہشام نے کہا میں اسے نہیں جانتا۔
دنیائے عرب کا مشہور شاعر فرزدق وہاں موجود تھا۔
اس نے کہا اگر ہشام اس کو نہیں جانتا تو کیا ہوا میں تو اسے جانتا ہوں تمام دنیا اسے جانتی ہے ۔
یہ حضرت حسین رضی اللّٰہ عنہ کا فرزند ارجمند علی ہے جسے لوگ زین العابدین کے نام سے جانتے ہیں ۔
پھر برخستہ اس کی شان میں اشعار کہے جن کا ترجمہ درج ذیل ہے ۔

۝ یہ وہ شخص ہے جس کے قدموں کی آہٹ کو وادی بطحاء جانتی ہے۔
بیت اللّٰہ بھی اس کو جانتا ہے اور حل و حرم بھی اسے جانتے ہیں

۝ یہ اللّٰہ کے بندوں میں سب سے بہتر انسان کا نواسہ ہے
یہ متقی ، پرہیزگار ، پاک صاف اور ممتاز انسان ہے
 
۝ یہ فاطمتہ الزہرا کا نواسہ ہے اگر تو نہیں جانتا تو سن لے اس کے نانا خاتم الانبیاء علیہ السلام ہیں

۝ تیرا کہنا کہ یہ کون ہے اسے کوئی نقصان نہیں دے گا تو اسے اگر نہیں جانتا تو عرب و عجم تو اسے جانتے ہیں
 
۝ اس کے دونوں ہاتھ بڑے فیاض ہیں
لوگ اس کی فیاضی سے خوب مستفیض ہوتے ہیں ، اسکے ہاتھ نہ دینا تو جانتے ہی نہیں
۝ یہ نرم طبیعت ہے اس میں ترش روئی کا شائبہ تک نہیں ہے
دو خوبیوں نے اسکو آراستہ کیا ہے وہ حسن اخلاق اور نرم طبیعت ہے

۝ تشہد کے علاوہ اس کی زبان پر لا نہیں آتا
اگر تشہد نہ ہوتا تو یہ لا بھی نعم ہوتا

۝ اس کے احسانات خلق خدا پر عام ہیں
جن کی وجہ سے تاریکیاں ، غربت و افلاس ختم ہو گئے

۝ جب قریش نے اسے دیکھا تو اس کا ایک شخص پکار اٹھا
یہ وہ شخص ہے جس پر حسن اخلاق ختم ہے

۝یہ حیاء کی وجہ سے اپنی نگاہیں نیچے رکھتا ہے اور لوگ اسکی ہبیت سے نگاہیں جھکا لیتے ہیں

جب تک یہ مسکراتے نہیں کسی کو بات کرنے کی جرات نہیں ہوتی
۝ اس کی ہتھیلی ریشم کی طرح نرم ہے اور اس سے کستوری کی خوشبو آتی ہے ۔
اور اسکی ناک تیکھی ہے جس سے شخصی عظمت آشکار ہوتی ہے
۝ اس کا اصل رسول ﷺ سے مشتق ہوا ہے
اس کا حسب و نسب کس قدر عمدہ ہے

                       




اللّٰہ تعالیٰ آل رسول علیہ السلام سے راضی ہو گیا ۔
حضرت زین العابدین ہر اس شخص کے لیے نادر نمونہ تھے ۔ جو پوشیدہ اور علانیہ اللّٰہ تعالیٰ سے ڈرتا ہے اور جو اللّٰہ تعالیٰ کے عذاب سے ڈرتے ہوئے اور اس کے ثواب کا لالچ کرتے ہوئے اپنے آپ کو بچا بچا کر رکھتے ہیں ۔


حضرت زین العابدین کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں ۔


١- طبقات ابن سعد
٥/ ٢١١
٢- تاریخ البخاری
٦/ ٢٦٦
٣- المعارف
٢١٤
٤- المعرفہ و التاریخ
١/ ٣٦٠ ، ٥٤٤
٥- الجرح والتعدیل
٣/ ١٧٨
٦- طبقات الفقہاء (شیرازی)
٦٣
٧- تاریخ ابن عساکر
١٢/ ٥١٥
٨- الاسماء واللغات
١/ ٣٤٣
٩- وفیات الاعیان
٣/ ٢٦٦
١٠- تاریخ الاسلام
٤/ ٣٤
١١- العبر
١/ ١١١
١٢- البدایہ والنہایہ
٩/ ١٠٣
١٣- النجوم الزاہرة
١/ ٢٢٩

 

 

حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر

 

Table of Contents