Search
Sections
< All Topics
Print

30. UMRAH

MUDDAT KI ARZOO

Zi qadah 7 hijri: 

Umrah aik qism ka chota hajj hai jisme Ihram ke sath kaaba ke gird ghoom kar aur safa aur marwa ki pahariyon ke bech mein tez chalkar kuch duaen parhi jaati hai- yaad hoga keh pichle saal hudebiya mein ye tae paya tha keh agle saal musalmaan makkah aakar Umrah ada karlen- Is shart ke mutabiq Nabi Kareem(ﷺ ) ne Umrah ka ilaan kiya aur musalmaanon ka aik barha hessa josh ke sath rawana hogaya- Shart thi keh musalmaan hatiyar utarkar makkah mein dakhil honge- Agarchay ye shart poori karni khatre se khaali na thi- Magar musalmaanon ne Khane kaaba ke ziyarat ke shouq aur muahede keh Ehteraam mein is shart ko poora kiya- Makkah se adha mil udhar hi saare hatiyar utar kar rakhdiye gae aur 200 sawaron ka aik dasta uski hifazat par Mat’aeen hua- Baaqi musalmaanon ne makkah mein dakhil hokar josh o kharosh ke sath Jhoomte huay Umrah ke sab kaam poore kiye- Teen din ba’ad shart ke mutabiq Aap(ﷺ ) makkah se nikle.

Makkah se nikalte waqt aik ajeeb asr mein dooba hua manzar samne nazar aya- Hazrat Hamzah(رضی اللہ عنہ ) ki yateem bachi Aap(ﷺ ) ko Chacha keheti hui ae- Hazrat Ali(رضی اللہ عنہ ) ne usko unki bahen thi goud mein uthaliya- Hazrat Ali(رضی اللہ عنہ ) ke bhai Hazrat Ja’far(رضی اللہ عنہ ) aur Hazrat Zaid bin Haris(رضی اللہ عنہ ) ne uske liye apne alag alag daweh pesh kiye- Hazrat Ja’far( رضی اللہ عنہ) kehete the ke ye mere chacha ki larki hai- Zaid(رضی اللہ عنہ ) kehete the keh Hamzah(رضی اللہ عنہ ) mere mazhabi bhai the- 

Kiya ye Naaz aur Mohabbat ki laraee isi ke liye nahi horai thi jo Islam se pehle Zinda dafan kardi jaati thi zameen mein- Islam ne logon ke dilon ko ab kese badal diya tha.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
Table of Contents