11. Allah ki Raah mein Mashaqat [The Struggle (in the Cause of Allah)]
11 ـ باب المجاهدة
11. MUJAHIDE ( YANI NAFS O SHETAN KE WASWASON AUR AADAYE DEEN KI KOSHISHON KE KHILAAF JADO JEHED KARNE ) KA BAYAN:
قال الله تعالى: (وَالَّذِينَ جَاهَدُوا فِينَا لَنَهْدِيَنَّهُمْ سُبُلَنَا وَإِنَّ اللَّهَ لَمَعَ الْمُحْسِنِينَ) (العنكبوت: 69) .
وقال تعالى: (وَاعْبُدْ رَبَّكَ حَتَّى يَأْتِيَكَ الْيَقِين ُ) (الحجر: 99) .
وقال تعالى: (وَاذْكُرِ اسْمَ رَبِّكَ وَتَبَتَّلْ إِلَيْهِ تَبْتِيلاً) (المزمل: 8) ، أي انقطع إليه.
وقال تعالى: (فَمَنْ يَعْمَلْ مِثْقَالَ ذَرَّةٍ خَيْراً يَرَهُ) (الزلزلة: 7) ،
وقال تعالى: (وَمَا تُقَدِّمُوا لِأَنْفُسِكُمْ مِنْ خَيْرٍ تَجِدُوهُ عِنْدَ اللَّهِ هُوَ خَيْراً وَأَعْظَمَ أَجْراً) (المزمل: 20) ،
وقال تعالى: (وَمَا تُنْفِقُوا مِنْ خَيْرٍ فَإِنَّ اللَّهَ بِهِ عَلِيمٌ) (البقرة: 273) ،
والآيات في الباب كثيرة معلومة.
BAAB :
Allah taala ne farmaya : “ aur jo log hamari raah mein koshish karte hain ham zaroor unhein apne raastoon ki taraf hadaayat karte hain aur bilashuba Allah taala naiko karon ke sath hai.”
aur farmaya : “ apne Rab ki ibadat kar yahan tak ke tujhe mout aajay”.
aur farmaya : “ apne Rab ka naam yaad kar aur us ki taraf yaksu ho jaa.” yani har taraf se talluq toad kar us ki taraf mutwajjah ho ja.
aur farmaya Allah taala ne :” jo shakhs zarra barabar bhi neki kere ga, woh usay roz qayamat apne nama-e-aamaal mein dekh le ga”.
aur farmaya :” tum jo kuchh bhi bhalai apne nafsoon ke liye agay bhaijho gaye usay tum Allah ke paas paalo gaye woh behtar aur siilay mein bohat ziyada hogi “.mein bohat ziyada hogi. “
neez Allah taala ne farmaya: ” aur tum jo maal bhi kharch karo gaye,
bilaa shuba Allah taala usay jan-nay wala hai. “
is baab mein bohat si ayaat hain jo maloom hain .
103 ـ التاسع: عن ابن مسعود رضي الله عنه قال: صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم ليلة، فأطال القيام حتى هممت بأمر سوء! قيل وما هممت به؟ قال هممت أن أجلس وأدعه. متفق عليه.
[103] Hazrat Ibn Masood (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke main ne aik raat Nabi ( ﷺ ) ke sath namaz padhi. aap ne lamba qiyam farmaya hatta ke main ne buray kaam ka iradah kiya. un se poochha gaya : aap ne kis cheez ka iradah kiya tha? unhon ne farmaya : main ne iradah kiya tha ke main baith jaoon aur ( aap ki iqtida ) chode dun. ( Bukhari wa Muslim )
TAKHREEJ:
Sahih ul-Bukhari al tahajjud, baab tol il qiyam fi salatil layili hadees : 1135, wa Sahih Muslim, salatil musafir wa qasriha, baab istehbab Tatweel il qaraati fi salatil layili hadees 773
FAWAAID WA MASAIL:
1- Is se maloom huwa ke imam ki mukhalifat bura kaam hai kyunkay namaz mein is ki iqtida ka hukum hai.
2- Ibham ki wazahat ke liye sawal karna jaaiz hai.
3- Imam khaday ho kar namaz padha raha ho to Muqtadi bawaqt zaroorat baith kar namaz ada kar sakta hai taham afzal yehi hai ke imam ki aqtda kere .
104 ـ العاشر: عن أنس ـ رضي الله عنه ـ عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: (يتبع الميت ثلاثة: أهله وماله وعمله؛ فيرجع اثنان، ويبقى واحد: يرجع أهله وماله، ويبقى عمله) متفق عليه.
104_ Hazrat Anas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ)se riwayat hai Rasoolullah ( ﷺ ) ne farmaya” teen cheeze maiyat ke peechay jati hain : us ke ghar walay us ka maal ( ghulam waghera ) aur us ka amal. chunanchay do cheeze wapas aa jati hain aur aik ( us ke sath ) baqi reh jati hai. us ke ghar walay aur us ka maal wapas aa jatay hain aur us ka amal ( us ke sath ) baqi reh jata hai. ” ( Bukhari wa Muslim )
TAKHREEJ:
Sahih ul-Bukhari, al-riqaq, baab sakaraat ulmaut, Hadees : 6514.
Sahih Muslim, al-Zuhud al-raqaiq, baab : al-dunya sij-nul-mumin wa jnna-tul- kaafir, Hadees 2960.
FAWAAID WA MASAIL:
1- Is mein is amar ki targheeb hai ke insaan ko ziyada se ziyada aisay kaam karne chahiye jo us ke sath rahen aur qabar mein bhi insaan ka sath nah choden, jahan sab us ka sath chode jatay hain aur qabar ki tanhaiyon mein woh akela rah jata hai aur woh hain aamaal Saleha jo qabar mein insaan ke sath rehtay hain aur us ki mushkilaat aur tanhaiyon mein us ka sahaara aur nijaat ka zareya bantay hain.
2- Aamaal-e-Saleha mein se bhi un aamaal ka intikhab karna chahiye jo sadqa Jaria ke tor par insaan ke marnay ke baad bhi faida den aur un ka sawab jari rahay .
105 ـ الحادي عشر: عن ابن مسعود ـ رضي الله عنه: قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم (الجنة أقرب إلى أحدكم من شراك نعليه، والنار ذلك) . رواه البخاري.
105_ Hazrat Ibn Masood (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai Rasoolullah ( ﷺ ) ne farmaya :” jannat tumhare jootay ke tasmay se bhi ziyada qareeb hai aur isi terhan jahannum bhi itni hi qareeb hai. “( Bukhari )
TAKHREEJ:
Sahih ul-Bukhari, al-riqaq baab al-jannat aqrabu ila ahadikum….. Hadees: 6488 .
FAAIDAH :
jannat ya dozakh chunkay insaan ke apne amlon ka nateeja hai us liye yeh dono insaan ke qareeb aur us ki dastars mein hain. neki kere ga to jannat mein aur badi kere ga to jahannum mein jaye ga. darmiyan mein sirf mout ka parda haayil hai. us ke hat’tey hi Insaan jannat ya dozakh mein jane ka mustahiq qarar diya Jaye ga.
106 ـ الثاني عشر: عن أبي فراس ربيعة ابن كعب الأسلمي_ خادم رسول الله صلى الله عليه وسلم، ومن أهل الصفة ـ رضي الله عنه ـ قال: كنت أبيت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فآتيه بوضوئه، وحاجته، فقال: (سلني) ، فقلت: أسألك مرافقتك في الجنة، فقال: (أو غير ذلك؟) قلت: هو ذاك، قال: (فأعني على نفسك بكثرة السجود) رواه مسلم.
(106)_ Hazrat Abu Firas Rabiaa bin ka-ab Aslami (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ)se riwayat hai jo Rasoolullah ﷺ ke khadim aur ahal Suffah mein se hain yeh bayan karte hain ke main Rasoolullah ﷺ ke paas raat guzarta tha, to main aap ko wuzu ke liye pani aur zaroorat ki koi aur cheez laa deta. ( aik din khush ho kar ) aap ( ﷺ )ne farmaya :” mujh se kuchh maang le. main ne kaha : main aap se is baat ka sawal karta hon ke jannat main aap ki rafaqat naseeb ho jaye. aap ( ﷺ ) ne farmaya : “is ke ilawa kuchh aur ?” main ne kaha : bas wohi. aap ( ﷺ ) ne farmaya :” tum sajdon ki kasrat ke sath apne liye meri madad karo. ( yani kasrat se nawafil padho aur is terhan apni is khwahish ki takmeel mein meri madad karo kyunkay meri dua ke sath tumhara amal mil jaye ga to usay badi taqwiyat puhinche gi ). ( Muslim )
TAKHREEJ:
Sahih Muslim, al salati, baab fazl-is-Sujood wal hissi alaihi, hadees : 489
FAWAAID WA MASAIL:
1- Masjid Nabawi ke aakhir mein aik chabotira tha usay Arabi mein Suffa kehte hain. yeh islam ki ibtidayi aur awleen dars gaah thi jis ke Ustaaz, Muallim-e-Insaaniyat Hazrat Mohammad Rasoolullah ﷺ thay. woh Fuqahaa wa Masakeen jo aap se ilm deen haasil karte thay isi chabotre mein apna waqt guzartay thay.
2- Is hadees ne amal aur itebaa-e-sunnat ki ahmiyat wazeh kar di hai ke is ke baghair to un logon ko bhi jannat mein Rasoolullah ﷺ ki rafaqat naseeb nahi hogi jo shab o roz aap ke sath rehtay thay chay jayik_h woh log us ke mustahiq qarar pa jayen jin ki zindagi Amal-e-Saleh aur itebaa-e-sunnat se yaksar khaali hai.
RAVI HADEES :
[ HAZRAT ABU FIRAS RABIAA BIN KA-AB (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ]: Rabia bin ka-ab bin Maalik bin Yaemar. kuniat Abu Firaas hai. un ka shumaar ahal Hijaz mein hota hai. yehi woh sahabi hain jinhon ne Nabi ﷺ se kaha tha ke main jannat mein aap ka sath chahta hon. to us par jawaban Nabi ﷺ ne farmaya tha :
( أعنی على نفسك بكثرة السجود)
ashaab Suffa mein se hain. safar o Hazr mein Nabi ﷺ ke hamrah rahay. Qadeem-Ul-Islam sahabi hain. Nabi ﷺ ke baad bhi unhon ne taweel Umar payi. Madinah Munawwara mein 63 hijri ko faut hue .
107 ـ الثالث عشر: عن أبي عبد الله ـ ويقال: أبو عبد الرحمن ـ ثوبان مولى رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول: (عليك بكثرة السجود، فإنك لن تسجد لله سجدة إلا رفعك الله بها درجة، وحط عنك بها خطيئة) . رواه مسلم.
[ 107 ] Hazrat Abu Abdullah aur kaha jata hai ke Abu Abdul Rehman… Soban Rasoolullah ﷺ ke azad kardah ghulam se riwayat hai ke main ne suna Rasoolullah ﷺ farma rahay thay : Soban! tum kasrat Sujood ko lazim pakad lo is liye ke tum jo bhi sajda karo ge Allah taala us ke zariye se tumahra aik darja buland kere ga aur tumahra aik gunah us ki wajah se maaf kar day ga. ( Muslim )
TAKHREEJ:
Sahih Muslim, al salati baab fazl-is-Sujood wal hissi alaihi Hadees 488
FAWAAID WA MASAIL:
1- Sajdon ki kasrat se morad namazon ka ihtimaam hai aur faraiz ke ilawa nawafil ki adaigi ke yeh bulandi darjaat aur kaffara sayyat ka zareya hain. aik hadees mein hai ke aik sahabi ne Rasool Akram ﷺ se darkhwast ki ke main jannat mein aap ka sath chahta hon to aap ne usay bhi kasrat nawafil ki naseehat ki.
RAVI HADEES :
[ HAZRAT ABU ABDULLAH SOBAN MAULA RASOOLULLAH (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ]: Soban bin Bujdud bin juhdar – Maula Rasoolullah ﷺ . un ki kuniat Abu Abdullah ya Abu Abdur Rehman hai. yeh Sirat ilaqay ke bashinday thay. jo Makkah wa Madinah ke darmiyan aik jagah ka naam hai. baaz ke nazdeek un ka talluq Hamier qabeeley se tha. tadm zeist Nabi ﷺ ke ham rakaab rahay aur har terhan ki khidmat baja laatay rahay. un ko Nabi ﷺ ne khareed kar azad kiya tha. Rasoolullah ﷺ ki wafaat ke baad Shaam mein rahaish Pazeer hai. Shaam se Hamas ki taraf naqal makani kar gaye. zindagi ke baqi ayyaam wahan guzaarne ke baad 54 hijri ko wafaat payi. Nabi ﷺ ke 128 Faramin ke Ravi hain .
108 ـ الرابع عشر: عن أبي صفوان عبد الله بن بسر الأسلمي ـ رضي الله عنه ـ قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: (خير الناس من طال عمره وحسن عمله) رواه الترمذي. وقال: حديث حسن.
(بسر) بضم الباء، وبالسين المهملة.
[ 108 ] Hazrat Abu Safwan Abdullah bin busr Aslami (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se rivayet hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ” sab se behtar woh shakhs hai jis ki Umar lambi ho aur us ka amal achha ho.” ( isay Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai: yeh hadees hasan hai. )
بسر:
” ba” par paish aur seene” ke sath .
1- Umar daraaz yak Nemat hai bashart e kay imaan o amal Saleh ki tofeq ke sath ho. basorat deegar jitni Ziyad o Umar hogi itna hi gunaaho mein izafah ho ga. Umar ki aisi Tawalat ensaan ke liye sakht tabah kin hai.
2- Is Nemat ka ehsas nah karne walay khasaray mein rahen ge .
Jame Tirmizi, al-Zuhud, baab maja tole al-amr lil momin Hadees : 2329
RAVI HADEES :
[ HAZRAT ABU SAFWAN ABDULLAH BIN BUSR (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ)]; Abdullah bin Busr Maazni . khandan Maazin bin Mansoor bin Ikramah se hain. un ki kuniat Abu Safwan aur ba-qaul baaz Abu Busr hai. Nabi ﷺ ne apna dast mubarak un ke sar par rakh kar un ko dua di thi. yahi woh sahabi hain jinhen, donon Qibloon ( bait-ul-muqaddas aur Baitullah ) ki taraf mun kar ke namaz padhnay ka Shuruf haasil hai. 94 ya 100 saal ki Umar pa kar 88 hijri ko Hamas mein faut hue. Shaam mein faut honay walay sahaba mein se aakhri hain. un se taqreeban 150 ahadees kutub ahadees mein bayan ki gayi hain .
109 ـ الخامس عشر: عن أنس بن مالك ـ رضي الله عنه ـ قال: غاب عمي أنس بن النضر ـ رضي الله عنه ـ عن قتال بدر، فقال: يا رسول الله، غبت عن أول قتال قاتلت المشركين، لئن الله أشهدني قتال المشركين ليرين الله ما أصنع. فلما كان يوم أحد انكشف المسلمون، فقال: اللهم أعتذر إليك مما صنع هؤلاء ـ يعني أصحابه ـ وأبرأ إليك مما صنع هؤلاء ـ يعني المشركين ـ ثم تقدم، فاستقبله سعد بن معاذ، فقال: يا سعد بن معاذ، الجنة ورب النضر، إني أجد ريحها من دون أحد. قال سعد: فما استطعت يا رسول الله! ما صنع. قال أنس: فوجدنا به بضعاً وثمانين ضربة بالسيف، أو طعنة برمح، أو رمية بسهم، ووجدناه قد قتل ومثل به المشركين، فما عرفه أحد إلا أخته ببنانه، قال أنس: كنا نرى أو نظن أن هذه الآية نزلت فيه وفي أشباهه: (مِنَ الْمُؤْمِنِينَ رِجَالٌ صَدَقُوا مَا عَاهَدُوا اللَّهَ عَلَيْهِ)[الأحزاب:23] إلى آخرها. متفق عليه.
قوله: (ليرين الله) رؤى بضم الياء وكسر الراء؛ أي: ليظهرن الله ذلك للناس، وروي بفتحهما، ومعناه ظاهر، والله أعلم.
(109)_ Hazrat Anas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se rivayet hai ke mere chacha Anas bin Nazar Jang-e-Badar mein ghair haazir rahay they ( jis ka unhein shadeed qlq tha.) unhon ne ( aik martaba ) Rasoolullah ﷺ se kaha : aye Allah ke Rasool! pehli jang, jo aap ney Mushrikon se ladi main us mein ghair haazir raha Albata aindah agar Allah ney Mushrikeen se ladai ka mauqa mujhe ataa farmaya to main jo kuchh karoon ga Allah usay dukhaay ga. chunanchay jab Uhod wala din huwa to Musalmanoon ne ( ibtida mein ) apne morchay chode diye aur shikast kha gaye. to unhon ne kaha : aye Allah ! un ( peechhay hatnay walay Musalman ) sathiyon ney jo kiya hai us se mein teri bargaah mein moazrat aur un Mushrikeen ney jo kuchh kiya hai us se izhaar baraat karta hon. ( yeh keh kar ) phir agay badhay to un ka saamna Saad bin Maaz se huwa. un se kehnay laga : aye Saad bin Maaz! jannat Nazar ke Rab ki qasam! main us ki khusbhoo Uhod pahad se bhi ziyada qareeb mehsoos kar raha hon. ( yeh kaha aur Dushmanon ki saf mein ghus gaye hatta ke Uroos shahadat se ham kinar ho gaye. ) Hazrat Saad(رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ney kaha : aye Allah ke Rasool! unhon ney jo kiya mujh se woh nahi ho saka. hazrat Anas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ney bayan kiya ke ham ney un ke jism par Assi ( 80 ) se ziyada talwar ki chouten naizay ke nishaan ya teeron ke zakham paye. aur ham ney unhein dekha ke woh qatal ( shaheed ) kar diye gaye thay aur Mushrikon ne un ka maslah kar diya tha. ( yani aatish ghaiz o gazabb mein un ke aaza allag allag kaat diye aur un ka chehra bigaar diya tha. ) chunanchay un ki is haalat ki wajah se ) unhein kisi ne nahi pahunchana sirf un ki behan ne unhein un ki ( ungliyon ) ke poron se pehchana. Hazrat Anas ne kaha : ham dekhte ya gumaan karte thay ke yeh aayat un ke aur un jaisay deegar Hazraat hi ke baray mein nazil hui.
مِّنَ الْمُؤْمِنِينَ رِجَالٌ صَدَقُوا مَا عَاهَدُوا اللَّهَ
” mominon mein kuchh log aisay hain jinhon ne woh ehad sach kar dekhaya jo unhon ne Allah se kiya tha. aakhir aayat tak. ( Bukhari wa Muslim )
ليرین الله:
” ya” par paish aur” ra” ke zair ke sath bhimarwi hai jis ke maienay hain : Allah taala us s ko logon ke samnay zahir farma day ga. aur dono par zabar ke sath bhi marwi hai jis ke maienay wazeh hain ( yani Allah dekh le ga ). wallah aalm.
TAKHREEJ:
Sahih ul-Bukhari, Al-jihad was-sair, baab qaul allah taala
مِّنَ الْمُؤْمِنِينَ رِجَالٌ صَدَقُوا…….
Hadees : 2805, wa Sahih Muslim al-imaarat, baab suboot il jannat lish-shheed, hadees 1903.
FAWAAID WA MASAIL:
1- Is mein sahaba karaam(رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ) ke be misaal shoq shahadat aur un ke Ishtiyaq jannat ka bayan hai. ilawa azeen is mein apne tor par khair ke kamon ka apne aap ko paband karne aur phir unhein poora karne ka intikhab hai.
2- Neki ki tamanna aur izhaar durust hai ba-shart kay riya kaari aur dikhlawa maqsood nah ho .
110 ـ السادس عشر: عن أبي مسعود عقبة بن عمرو الأنصاري البدري ـ رضي الله عنهما ـ قال: لما نزلت آية الصدقة كنا نحامل على ظهورنا، فجاء رجل فتصدق بشيء كثير، فقالوا: مراء، وجاء رجل آخر فتصدق بصاع، فقالوا: إن الله لغني عن صاع هذا! فنزلت: (الَّذِينَ يَلْمِزُونَ الْمُطَّوِّعِينَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ فِي الصَّدَقَاتِ وَالَّذِينَ لا يَجِدُونَ إِلَّا جُهْدَهُمْ) (التوبة: 79) . متفق عليه.
(نحامل) بضم النون، وبالحاء المهملة: أي يحمل أحدنا على ظهره بالأجرة، ويتصدق بها.
[110]_ Hazrat Abu Masood Uqbah bin Amar Ansari Badri (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke jab sadqy ki aayat nazil hui ( to hamari gurbat ka yeh haal tha ke ) ham apni pithon par boojh uthatay thay ( yani mehnat mazdoori karte thay. chunanchay aik aadmi aaya aur bohat saari cheez ka sadqa kiya. to Munafiqeen ne kaha yeh riyakar hai. aik aur shakhs aaya us ne aik
Saa ( yani adhayi kilo taqreeban ) sadqa kiya. to unhon ne kaha : Allah taala is ke saa se be niaz hai ( yani itnay se sadqy ki Allah ke haan kiya ahmiyat ho sakti hai. ) chunanchay yeh aayat nazil hui :
الَّذِينَ يَلْمِزُونَ ……. إِلَّا جُهْدَهُمْ
woh log jo khushi se sadqa karne walay mominon par aib lagatay aur un logon par bhi tana zani karte hain jo apni taaqat ke mutabiq paate hain ( yani mehnat mazdoori kar ke thoda bohat sadqa karte hain ) .
( Bukhari wa Muslim )
نحامل :
” noon” par paish aur ha” ke sath yani hamara aik aadmi apni pusht par boojh uthata aur us se jo ujrat haasil hoti usay sadqa karta .
TAKHREEJ:
Sahih ul-Bukhari, al Zakat baab Itaqur unnar wa lau bi shiq tamaratin, Hadees : 1415
Wa Sahih Muslim al Zakat,
baab: alhaml bi ujrat yatasaddaq biha,…..Hadees : 1018
FAWAAID WA MASAIL:
1- Is se maloom huwa ke har insaan apni taaqat ke mutabiq sadqa kar sakta hai. ziyada se ziyada bhi aur thora se thora bhi. ziyada sadqa karne walon ko riyakar batla kar aur thora sadqa karne walon ki tanqees kar ke unhein sadqy se roknay ki koshish karna Munafiqeen ka Shewa hai.
2- Ahal-e-imaan ko Munafiqeen ki in baton ko nazar andaaz aur aapas mein aik dosray ke baray mein aisi baton se ijtinab karna chahiye .
RAVI HADEES :
HAZRAT ABU MASOOD UQBAH BIN AMRO (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ) Uqbah bin Amr bin salbah bin Aseerah ( Useerah ) Khazraji aur Badri hain. Abu Masood kuniat hai aur kuniat hi se yeh mashhoor thay. Ghazwah Badar mein shareek hue jabkay baaz kehte hain ke yeh Badar mein shareek nahi hue balkay jis jagah yeh Ghazwah huwa yeh us jagah ke rehaishi thay. Uhod aur us ke baad paish aamdah tamam ghazwaat mein shareek rahay. un 70 logon mein se hain jo baiet Uqbah mein haazir hue aur sab se kam sun thay. Badar ke maqam se coach kiya aur Koofa mein ghar taameer kar ke rahaish Pazeer hue. 41 hijri ko wafaat payi. Nabi ﷺ ki 102 Hadisoon ke Ravi hain .
111 ـ السابع عشر: عن سعيد بن عبد العزيز، عن ربيعه بن يزيد، عن أبي إدريس الخولاني، عن أبي ذر جندب بن جنادة ـ رضي الله عنه ـ عن النبي صلى الله عليه وسلم فيما يروي عن الله تبارك وتعالى أنه قال: (يا عبادي! إني حرمت الظلم على نفسي، وجعلته بينكم محرماً، فلا تظالموا، يا عبادي! كلكم ضال إلا من هديته، فاستهدوني أهدكم، يا عبادي! كلكم جائع إلا من أطعمته: فإستطعموني أطعمكم، يا عبادي! كلكم عارٍ إلا من كسوته، فاستكسوني أكسكم، يا عبادي! إنكم تخطئون بالليل والنهار وأنا أغفر الذنوب جميعاً، فاستغفروني أغفر لكم، يا عبادي! إنكم لن تبلغوا ضري فتضروني، ولن تبلغوا نفعي فتنفعوني، يا عبادي! لو أن أولكم وأخركم، وإنسكم وجنكم كانوا على أتقى قلب رجل واحد منكم، ما زاد في ملكي شيئاً، يا عبادي! لو أن أولكم وأخركم، وإنسكم وجنكم، كانوا على أفجر قلب رجل واحد منكم، ما نقص ذلك من ملكي شيئاً، يا عبادي! لو أن أولكم وأخركم وإنسكم وجنكم، قاموا في صعيد واحد، فسألوني فأعطيت كل إنسان مسألته، ما نقص ذلك مما عندي إلا كما ينقص المخيط إذا أدخل البحر، يا عبادي! إنما هي أعمالكم أحصيها لكم، ثم أوفيكم إياها، فمن وجد خيراً فليحمد الله، ومن وجد غير ذلك فلا يلومن إلا نفسه) قال سعيد: كان أبو إدريس إذا حدث بهذا الحديث جثا على ركبتيه. رواه مسلم.
وروينا عن الإمام أحمد بن حنبل ـ رحمه الله ـ قال: ليس لأهل الشام حديث أشرف من هذا الحديث.
{111}_Saeed bin Abdul Aziz, Rabia bin Yazid se woh Abu Idrees Khaulaani se woh Hazrat Abu Zar Jundub bin Junadah (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se bayan karte hain ke Nabi ﷺ Allah Tabarak wa taala se riwayat karte hain Allah taala ne farmaya : aye mere Bandoo ! main ne apne nafs par zulm ko haraam qarar diya hai aur main ne usay tumhare darmiyan bhi haraam kiya hai lehaza tum aik dosray par zulum mat karo. aye mere Bandoo ! tum sab gumraah ho siwaye un ke jinhen main hadaayat se Nawaz dun. chunanchay tum mujh hi se hadaayat talabb karo main tumhen hadaayat dun ga. ae mere Bandoo a tum sab bookay ho siwaye un ke jin ko main khana ataa kar dun lehaza tum mujhe hi se khana mango main tumhen khilaun ga. aye mere Bandoo a tum sab bar’hena ho siwaye un ke jin ko main poshak pehna dun to tum mujh hi se poshak ( libaas ) mango main tumhen libaas panaahon ga. aye mere Bandoo ! tum raat din gunah karte ho aur main tamam gunaahon ko maaf karta hon lehaza tum mujh hi se mughfirat ( bakhshish ) talabb karo main tumhen bakhash dun ga. aye mere Bandoo! tum mere nuqsaan ko nahi pahonch satke ke tum mujhe nuqsaan pouncha sako. aur tum mere naffa ko nahi pahonch satke ke tum mujhe naffa pouncha sako ( yani tum mujhe nuqsaan ya naffa pohanchanay par Qadir nahi ). aye mere Bandoo ! agar tumhare awwal aur aakhir tumhare insaan aur jaanat sab us shakhs ki terhan ho jayen jis ke dil mein tum mein se sab se ziyada Allah ka dar hai, to yeh baat meri badshahi mein koi izafah nahi kar sakti. aye mere Bandoo ! agar tumhare awwal aur aakhir tumhare insaan aur jaanat us shakhs ki terhan ho jayen jo tum mein se sab se ziyada fajir wa fasik hai to yeh cheez meri badshahi mein koi kami nahi kar sakti. aye mere Bandoo ! agar tumhare pehlay aur pichlle, ins o jin sab aik khulay maidan mein jama ho kar mujh se sawal karen aur main har aik ko us ke sawal ke mutabiq ataa kar dun to us se mere khazanon mein itni hi kami hogi jitni kami soi ko samandar mein daal kar nikaalte se samandar ke pani mein hoti hai. aye mere Bandoo ! yaqeenan tumhare aamaal hain jinhen main tumhare liye gin kar rakhta hon, phir tumhen un ka poora badla deta hon, pas jo bhalai paye woh Allah ki hamd kere aur jo us ke ilawa paye woh apne hi nafs ko malamat kere.” Saeed bin Abdul Aziz (رحمہ الله)kehte hain ke Abu Idrees Khaulaani jab bhi yeh hadees bayan karte to apne ghutnon ke bil gir padte. ( Muslim )
neez hamein Imam Ahmed (رحمہ الله) se riwayat ki gayi hai unhon ne kaha : Ahal-e-Shaam ke paas is se ziyada fazeelat wali hadees nahi hai.
TAKHREEJ;
Sahih Muslim, al-biri wa-s-silat wal-Adabi, baab tahrimiz zulumi, Hadees : 2577
FAWAAID WA MASAIL:
1- Is mein Allah taala ki qudrat-o-taaqat ka bayan hai is liye har cheez sirf ussi se mangi jaye. hadaayat se le kar rizaq tak har cheez ke khazanay us ke paas hain aur khazanay bhi aisay be payaan ke jin mein kabhi kami nahi hoti.
2- Allah taala ki badshahi aur hukmarani itni mazboot hai ke tamam kaayenaat ki mukhalfat ya himayat us par assar andaaz nahi hoti is liye insaan ki bhalai isi mein hai ke woh Allah ka ho kar ra hai aur us se duaa astaghfar aur hajat talabb kere.
3- Insaan ke achhay buray aamaal ka record Allah taala ke paas mojood hai aur roz qayamat woh noshta khul kar insaan ke samnay aa jaye ga us liye koi bhi amal karne se pehlay yeh soch lena chahiye ke kal ko us ka hisaab dena hai. achhay aamaal ki tofeq Allah taala ka inaam hai, us par Allah taala ka shukar ada karna chahiye jabkay insaan ke buray aamaal us ke nafs amarh ke baais sarzad hotay hain is liye buray aamaal ke irtikaab mein taqdeer ka sahara lena na jaaiz hai.
REFERENCE:
BOOK: Riyaz us Saliheen(Urdu)
Taleef: Imam Nawawi Rahimahullah.
Urdu Tarjumah aur Fawaid: Hafiz Salah Uddin Yusuf.
Chapter 11
The Struggle (in the Cause of Allah)
Allah, the Exalted, says:
“As for those who strive hard in Us (Our Cause), We will surely, guide them to Our paths (i.e., Allah’s religion – Islamic Monotheism). And verily, Allah is with the Muhsinun (gooddoers)”. (29:69)
“And worship your Rubb until there comes unto you the certainty (i.e., death)”. (15:99)
“And remember the Name of your Rubb and devote yourself to Him with a complete devotion.” (73:8)
“So whosoever does good equal to the weight of an atom (or a small ant), shall see it”. (99:7)
“And whatever good you send before you for yourselves (i.e., Nawafil – non-obligatory acts of worship: prayers, charity, fasting, Hajj and Umrah, etc.), you will certainly find it with Allah, better and greater in reward.” (73:20)
“And whatever you spend in good, surely, Allah knows it well.” (2:273)
95. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “Allah the Exalted has said: ‘I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine. And the most beloved thing with which My slave comes nearer to Me is what I have enjoined upon him; and My slave keeps on coming closer to Me through performing Nawafil (prayer or doing extra deeds besides what is obligatory) till I love him. When I love him I become his hearing with which he hears, his seeing with which he sees, his hand with which he strikes, and his leg with which he walks; and if he asks (something) from Me, I give him, and if he asks My Protection (refuge), I protect him”.
[Al-Bukhari].
Commentary:
1. Those who make innovations in religion and associate partners with Allah (such as Hululi – who believe in the indwelling light in the soul of man, Wujudi – who believe in the physical form of Allah, and pagans who worship other than Allah) interpret this Hadith in support of their beliefs and thus seek support of one wrong from another although the meaning and interpretation of the Hadith is not at all what they describe. The Hadith means that when a person adds voluntary prayers to the obligatory ones, he becomes a favourite slave of Allah and on account of it, he receives special help from Allah. Then he is protected by Allah to the extent that He supervises every organ of his body. Thus, he is saved from disobedience of Allah. He bears what is liked by Allah, sees what is liked by Him, handles what pleases Him. When he attains that lofty position of love and obedience of Allah, then Allah in return also grants prayers of His obedient and loyal slaves.
2. A saint is not one who has a peculiar attire and appearance, or who occupies the seat of a righteous as his successor, or a person who is lost in meditation, or a half-mad, or one who has invented his own style of remembrance and worship of Allah, but it is one who strictly fulfills the obligations imposed by Islam, is fond of voluntary prayers and adheres to Divine injunctions in every walk of life.
3. The love of such righteous is a means to attain the Pleasure of Allah, and enmity (hatred and repulsion) with them is a cause of His serious displeasure and wrath.
4. Voluntary prayer is certainly a means of attaining the Pleasure of Allah, but it must be preceded by the fulfillment of obligatory prayers. The former is of no value if the latter is neglected. The desire to attain nearness of Allah without strict observance of the obligatory prayers is fallacious and meaningless.
96. Anas (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (PBUH) said, “Allah says: ‘ When a slave of Mine draws near to Me a span, I draw near to him a cubit; and if he draws near to Me a cubit, I draw near to him a fathom. And if he comes to Me walking, I go to him running.”’.
[Al-Bukhari].
Commentary: This Hadith mentions infinite benevolence, generosity, kindness and regard of Allah for His slaves, which is evident from the reward that He gives to His slaves even on their minor good deeds.
97. Ibn Abbas (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “There are two blessings in which many people incur loss. (They are) health and free time (for doing good)”.
[Al-Bukhari]
Commentary:
1. Al-Ghabn in Arabic means loss. What it really signifies is to sell something of one’s own on less than its due price, or to buy something on its double or triple price. In both cases one is a loser. When a person comes to know about such a loss, he repents and feels sorry for it. This loss coupled with regret is called Al-Ghabn. In Ahadith, man has been compared with trader, and health and leisure enjoyed by him with merchandise. One who uses his merchandise with care, gains profit while he who wastes it, that is to say, uses it carelessly, will be a loser on the Day of Resurrection.
2. The majority of people do not take proper care of both these things, with the result that one wastes the time in useless activities and spends the physical strength and energy in the disobedience of Allah. One will have to face severe consequences of it on the Day of Resurrection when he will be brought into account for everything.
98. `Aishah (May Allah be pleased with her) said: The Prophet (PBUH) would stand (in prayer) so long that the skin of his feet would crack. I asked him, “Why do you do this while your past and future sins have been forgiven?” He said, “Should I not be a grateful slave of Allah?”
[Al-Bukhari and Muslim].
Commentary:
1. All the Prophets were free from major sins. However, some religious scholars justify some of their minor sins with plausible reasons but the majority of them maintain that they are free from all sins because of their innocence. In this situation, it does not make any sense to speak of their sins. But the fact of the matter is quite different. Anything short of excellent done by them is counted as a sin.
2. The more one is rewarded by Allah, the greater the proportion of one’s gratitude of Allah for His Benevolence should be. The best form of doing so is that one should not only be highly obedient and dutiful in the performance of the obligations but also add maximum voluntary prayers to them.
99. `Aishah (May Allah be pleased with her) said: With the start of the last ten days of Ramadan, Messenger of Allah (PBUH) would pray all the night, and would keep his family awake for the prayers. He tied his lower garment (i.e., avoided sleeping with his wives) and devoted himself entirely to prayer and supplication.
[Al-Bukhari and Muslim].
Commentary: One should try to do more good deeds in the blessed hours and times, as was the practice of the Prophet (PBUH) during the last ten days of the month of Ramadan every year.
100. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “A strong believer is better and dearer to Allah than a weak one, and both are good. Adhere to that which is beneficial for you. Keep asking Allah for help and do not refrain from it. If you are afflicted in any way, do not say: `If I had taken this or that step, it would have resulted into such and such,’ but say only: `Allah so determined and did as He willed.’ The word `if’ opens the gates of satanic thoughts”.
[Muslim].
Commentary:
1. In this Hadith, goodness is acknowledged in weak as well as strong because the real Faith is a common feature of both. The one who is stronger is, however, better with Allah for the reason that he is more active and energetic in the matter of noble deeds and performance of ritual prayers, obligatory as well as voluntary.
2. This Hadith ordains that in case of trouble, one should exercise patience and show submission and obedience rather than saying `ifs’ and `buts’ about it, because it provides Satan with a chance to mislead the sufferer.
101. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said. “The (Hell) Fire is surrounded with all kinds of desires and passions, while Jannah is surrounded with adversities.”
[Al-Bukhari and Muslim].
Commentary: The way to Hell is littered with these evils. When a person crosses them, it is an indication that he has entered into Hell. On the other side exists a series of griefs and calamities, Islamic injunctions and obligations (the compliance with which is often irksome for man) impede his way to Jannah. When a person endures them with patience he, in fact, overcomes those obstacles and becomes eligible for Jannah.
102. Hudhaifah (May Allah be pleased with him) reported: I offered Salat (Tahajjud – optional night prayer) with the Prophet (PBUH) one night, and he started reciting (Surat) Al-Baqarah. I thought that he would bow at the end of one hundred Verses, but he continued reciting; I, then, thought that he would perhaps recite the whole (Surah) in a Rak`ah, but he proceeded on, and I thought he would perhaps bow on completing (this Surah); he then started (reciting Surat) An-Nisa’; he then started (Surat) Al-`Imran and his recitation was unhurried. And when he recited the Verses which referred to the Glory of Allah, he glorified Him (by saying Subhan Allah – My Rubb, the Supreme is far removed from every imperfection), the Great, and when he recited the Verses that mention supplication, he supplicated, and when he recited the Verses that mention seeking Refuge of the Rubb, he sought (His) Refuge. Then he bowed and said: “My Rubb, the Supreme is far removed from every imperfection (Subhana Rabbiyal-Azim);” his bowing lasted about the same length of time as his standing (and then on returning to the standing posture after Ruku`) he said: “Allah listened to him who praised Him (Sami` Allahu liman hamidah, Rabbana wa lakal hamd).” Then he stood about the same length of time as he had spent in bowing. He then prostrated himself and said: “My Rubb, the Supreme is far removed from every imperfection (Subhana Rabbiyal-A`la),” and his prostration lasted nearly the same length of time as his standing.
[Muslim].
Commentary: This Hadith makes the following three points clear:
Firstly, optional Salat can also be performed in congregation.
Secondly, as is commonly believed, it is not essential that in Salat, the Ayat of Qur’an are recited according to their sequence in the Book. It is permissible to recite them regardless of their sequence in the Qur’an.
Thirdly, it is commendable to relatively prolong the optional prayers.
103. Ibn Mas`ud (May Allah be pleased with him) said: One night I joined the Prophet (PBUH) in his (optional) Salat. He prolonged the standing so much that I thought of doing something evil. He was asked: “What did you intend to do?” He replied: “To sit down and leave him”.
[Al-Bukhari and Muslim].
Commentary:
1. This Hadith makes it evident that opposition of Imam (one who leads the prayer) is an evil act because one is ordered to follow him in the prayers.
2. It is permissible to ask clarification of something which is ambiguous or abstruse.
104. Anas (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “Three follow a dead body: members of his family, his possessions and his deeds. Two of them return and one remains with him. His family and his possessions return; his deeds remain with him”.
[Al-Bukhari and Muslim].
Commentary: This Hadith induces one to perform such deeds which always remain with him in the grave, where every being and thing leaves one and he is all alone in the grave. What is left is his good deeds which become the means of refuge and salvation.
105. Ibn Mas`ud (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (PBUH) said, “Jannah is nearer to anyone of you than your shoe-lace, and so is the (Hell) Fire”.
[Al-Bukhari].
Commentary: Going to Jannah or Hell is the result of one’s own actions, both are close to everyone. One will be admitted into Jannah if he does good deeds, and will be consigned to Hell if he does evil. After death, one’s entitlement for Jannah or Hell will be decided.
106. Rabi`ah bin Ka`b Al-Aslami (May Allah be pleased with him (a servant of the Messenger of Allah and also one of the people of As-Suffah) said: I used to spend my night in the company of Messenger of Allah (PBUH) and used to put up water for his ablutions. One day he said to me, “Ask something of me.” I said: “I request for your companionship in Jannah”. He inquired, “Is there anything else?” I said, “That is all.” He said, “Then help me in your request by multiplying your prostrations”.
[Muslim].
Commentary: There was a terrace at the end of the Prophet’s Mosque which is called As-Suffah in Arabic. People of poor means who were taught by him used to live there. This Hadith evidently shows the importance of good actions and faithful following of the practice of the Prophet (PBUH). Leave others alone, in the absence of these two, even such people will not be close to the Prophet (PBUH) who used to be all the time with him. It is not difficult to visualize the fate of those who neither perform good deeds nor follow in the footsteps of the Prophet (PBUH).
107. Thauban (May Allah be pleased with him) said: I heard Messenger of Allah (PBUH) saying, “Perform Salah more often. For every prostration that you perform before Allah will raise your position one degree and will remit one of your sins”.
[Muslim].
Commentary: Abundance of prostrations means strict observance of Salat and performance of obligatory and optional and voluntary prayers, it is a means for atonement of sins and the elevation of one’s status in this life and the Hereafter.
108. `Abdullah bin Busr Al-Aslami (May Allah be pleased with him) said: Messenger of Allah (PBUH) said, “The best of people is one whose life is long and his conduct is good”.
[At-Tirmidhi].
Commentary:
1. Longevity of life is a blessing, provided it is accompanied by Faith and good deeds; otherwise, the longer life one has, the greater will be the number of sins. Such a long life is disastrous.
2. Those who do not realize the blessings of longevity of life will be losers.
109. Anas (May Allah be pleased with him) said: My uncle Anas bin An-Nadr (May Allah be pleased with him) was absent from the battle of Badr and he said: “O Messenger of Allah! I was absent from the first battle you fought against the pagans, and if Allah let me participate in a battle against the pagans, Allah will see what I do.” So he encountered the day of Uhud Battle. The Muslims left the positions (the Prophet (PBUH) told them to keep) and were defeated, he said: “O Allah! excuse these people (i.e., the Muslims) for what they have done, and I am clear from what the pagans have done”. Then he went forward with his sword and met Sa`d bin Mu`adh (fleeing) and said to him: “By the Rubb of the Ka`bah! I can smell the fragrance of Jannah from a place closer than Uhud Mount”. Sa`d said: “O Messenger of Allah, what he did was beyond my power”. Anas said: “We saw over eighty wounds on his body caused by stabbing, striking and shooting of arrows and spears. We found that he was killed, and mutilated by the polytheists. Nobody was able to recognize him except his sister who recognized him by the tips of his fingers.” Anas (May Allah be pleased with him) said: “We believe that the Ayah `Among the believers are men who have been true to their covenant with Allah [i.e., they have gone out for Jihad (holy fighting), and showed not their backs to the disbelievers]…’ (33:23), refers to him and his like”.
[Al-Bukhari and Muslim].
Commentary:
1. This Hadith brings into prominence the exemplary life of the Companions of the Prophet (PBUH) for martyrdom and Jannah.
2. It also shows the enthusiasm of the believers for dedicating their lives to good deeds and their fervent supplication for their acceptance by Allah.
110. Abu Mas`ud `Uqbah bin `Amr Al-Ansari (May Allah be pleased with him) said: When the Ayah enjoining Sadaqah (charity) was revealed,* we used to carry loads on our backs to earn something that we could give away in charity. One person presented a considerable amount for charity and the hypocrites said: “He has done it to show off.” Another one gave away a few Sa` of dates and they said: “Allah does not stand in need of this person’s dates”. Thereupon, it was revealed:
“Those who defame such of the believers who give charity (in Allah’s Cause) voluntarily, and such who could not find to give charity (in Allah’s Cause) except what is available to them…” (9:79)
[Al-Bukhari and Muslim].
* This is the A°yah in which Allah says! “Take Sadaqah (alms) from their wealth in order to purify them and sanctify them with it, and suppliate Allah for them…” (9:103)
Commentary: This Hadith shows that everyone can give charitable donation according to one’s means. It can be more or less as one likes. To regard those as showy and criticize those who pay less to withhold them from alms amounts to hypocrisy. Believers must ignore such criticism of the hypocrites and refrain from such things in their dealings.
111. Abu Dharr (May Allah be pleased with him) said: The Prophet (PBUH) said, “Allah, the Exalted, and Glorious, said; ‘O My slaves, I have prohibited Myself injustice; and have made oppression unlawful for you, so do not oppress one another. O My slaves, all of you are liable to err except the one whom I guide on the Right Path, so seek guidance from Me so that I will guide you to the Right Path. O My slaves, all of you are hungry except the one whom I feed, so ask food from Me, I will feed you. O My slaves, all of you are naked except those whom I clothe, so ask clothing of Me and I shall clothe you. O My slaves, you commit sins night and day and I forgive all sins, so seek My forgiveness and I shall forgive you. O My slaves, you can neither do Me any harm nor can you do Me any good. O My slaves, were the first of you and the last of you, the human of you and jinn of you to be as pious as the most pious heart of any man of you, that would not increase My domain a thing. O My slaves, were the first of you, and the last of you, the human of you and the jinn of you to be as wicked as the most wicked heart of any man of you, that would not decrease My domain in a thing. O My slaves, were the first of you and the last of you, the human of you and the jinn of you to stand in one place and make a request of Me, and were I to give everyone what he requested, that would not decrease what I have, any more than a needle decrease the sea if put into it. O My slaves, it is but your deeds that I reckon for you and then recompense you for, so let him who finds good (i.e., in the Hereafter) praise Allah and let him who finds other than that blame no one but himself.”’.
[Muslim].
Commentary: This Hadith mentions the Power and Majesty of Allah and stresses that one should supplicate Allah for everything that one needs. From guidance to sustenance, the treasures of everything are with Him – the treasures which are unlimited and any withdrawal from them does not make any reduction in them. Similar is the case of His Sovereignty; it is not affected even if the whole universe supports or opposes them. Thus, it is in the interest of man that he should dedicate himself entirely to Allah and beg all his needs from Him and Him Alone.
REFERENCE:
BOOK: Riyadh ul Saaliheen