Search
Sections
< All Topics
Print

15. Aamaal ki Hifazat [The Righteous conduct on Regular base]

[15] ـ باب المحافظة على الأعمال 

15. AAMAAL KI HIFAZAT KARNE KA BAYAN.

 

قال الله تعالى: (أَلَمْ يَأْنِ لِلَّذِينَ آمَنُوا أَنْ تَخْشَعَ قُلُوبُهُمْ لِذِكْرِ اللَّهِ وَمَا نَزَلَ مِنَ الْحَقِّ وَلا يَكُونُوا كَالَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ مِنْ قَبْلُ فَطَالَ عَلَيْهِمُ الْأَمَدُ فَقَسَتْ قُلُوبُهُمْ) (الحديد: 16) ، 

وقال تعالى: (وَقَفَّيْنَا بِعِيسَى ابْنِ مَرْيَمَ وَآتَيْنَاهُ الْأِنْجِيلَ وَجَعَلْنَا فِي قُلُوبِ الَّذِينَ اتَّبَعُوهُ رَأْفَةً وَرَحْمَةً وَرَهْبَانِيَّةً ابْتَدَعُوهَا مَا كَتَبْنَاهَا عَلَيْهِمْ إِلَّا ابْتِغَاءَ رِضْوَانِ اللَّهِ فَمَا رَعَوْهَا حَقَّ رِعَايَتِهَا) (الحديد: 27) ، 

وقال تعالى: (وَلا تَكُونُوا كَالَّتِي نَقَضَتْ غَزْلَهَا مِنْ بَعْدِ قُوَّةٍ أَنْكَاثاً) (النحل: 92) ، 

وقال تعالى: (وَاعْبُدْ رَبَّكَ حَتَّى يَأْتِيَكَ الْيَقِينُ) (الحجر: 99) .

وأما الأحاديث؛ فمنها حديث عائشة: وكان أحب الدين إليه ما داوم صاحبه عليه وقد سبق في الباب قبله.

 

Allah taala ne farmaya : ” kiya imaan walon ke liye waqt nahi aaya ke un ke dil Allah ki yaad ke liye aur jo haq ki baatein utri hain, un ke liye jhuk jayen aur woh un logon ki terhan nah ho jayen jinhen un se pehlay kitaaben di gayeen, phir un par muddat lambi ho gayi to un ke dil sakht ho gaye. “

aur Allah taala ne farmaya :” aur hum ne eesa Ibn maryam ko un sab Rasoolon ke peechhay bheja aur ham ne unhein injeel di. aur hum ne un ke pairokaron ke dilon mein shafqat o rehmat rakh di. aur duniya ka tark karna, jo unhon ne ghud liya tha ham ne usay un par nahi likha tha, magar yeh ke razaye ellahi talaash karen, phir unhon ne is ka is terhan khayaal nahi rakha jis terhan us ka khayaal rakhnay ka haq tha. “

aur Allah taala ne farmaya :” tum is aurat ki terhan mat ho jao jis ne nihayat mehnat se kate hue soot ko toad kar tukde tukde kar diya. 

aur farmaya : ” aur apne Rab ki ibadat kar! yahan tak ke tujhe mout aajay. “


Is mauzo se mutaliqa ahadees mulahiza hon : un mein se hadees Aisha ne (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا) hai jo us se ma qabl baab ( 14 ) mein guzar chuki hai. mulahiza ho ( hadees : 142 ) is mein aik tukda yeh hai ke Allah ko woh amal sab se ziyada mehboob hai jisay is ka karne wala hamesha kare.


153 ـ وعن عمر بن الخطاب رضي الله عنه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: (من نام عن حزبه من الليل، أو عن شيء منه فقرأه ما بين صلاة الفجر وصلاة الظهر، كتب له كأنما قرأه من الليل) رواه مسلم.

 

(153) Hazrat Umar bin khattab (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ” jo shakhs apne raat ke wazifay se ya us ke kuchh hissay se so jaye aur woh usay Fajar ki namaz se le kar Zuhur ki namaz ke darmiyan padh le to us ke liye likh diya jata hai goya us ne usay raat hi ko padha hai. ( Muslim )

 

TAKHREEJ: 

Sahih Muslim, salati al musafirin wa qasriha Bab Jamie salati al laili man naama anhu aw mariza, Hadees: 747.

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Hizab, asal mein ghaat par pani lainay ki baari ko kaha jata hai, phir yeh us wazifay ke liye istemaal kiya jane laga jo insaan apne tor par ( bator nafli ibadat ke ) muqarrar kar laita hai masalan : main itnay nawafil ya Quran ka itna hissa ya falan amal rozana karoon ga. 

2- Is mein is amar ki targheeb hai ke apne aur uud ki hifazat ki jaye neez kisi se us ka wird rah jaye aur woh usay qareeb tareen waqt mein ada kar le to usay is ke wird ka poora ajar miley ga, is ke be waqt honay se ajar mein kami nahi ho gi. 3- Apne tor par nawafil ka taayun durust hai, masalan : koi shakhs yeh tay kar le ke main rozana paanch paaray tilawat Quran aur itnay nawafil ada karoon ga, Albata us makhsoos Adad ki logon ko dawat dena ya us ki fazeelat bayan karna na jaaiz hai jo bidaat ke zumray mein aata hai .


154_ وعن عبد الله بن عمر بن العاص رضي الله عنهما قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم: (يا عبد الله لا تكن مثل فلان، كان يقوم الليل فترك قيام الليل) متفق عليه. 

 

( 154 ) Hazrat Abdullah bin Amar bin Aas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا) bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne mujh se farmaya :” aye Abdullah! tum falan shakhs ki terhan nah hona, woh raat ko qiyam karta ( nawafil waghera padhta) tha, phir us ne ( ukta kar ) raat ka qiyam chode diya .

( Bukhari wa Muslim )

 

TAKHREEJ : 

Sahih ul-Bukhari, al tahajjud, bab maa yakrahu man taraka qiyam-il-lail… Hadees:1152

Sahih Muslim, Al siyam, Bab an Nahiyi anis saumi aldahr…. Hadees:(185)-1159

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Husn-e-Akhlaq ka taqaza hai ke jis shakhs ke andar koi qabil muzammat cheez hai to us shakhs ka naam to nah liya jaye Albata us feal ka tazkara kar diya jaye taa ke log us feal se ijtinab karen.

2- Is se yeh baat bhi maloom hui ke insaan jis amal kher ko shuru kere to us par hameshgi karna pasandeeda hai. 

3- Nafli ebadaat aur aamaal kher mein taaqat se ziyada boojh nahi daalna chahiye. is ka nateeja bil umoom yeh hota hai ke insaan ukta kar usay chode baithta hai .


155 ـ وعن عائشة رضي الله عنها قالت: (كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا فاتته الصلاة من الليل من وجع أو غيره صلى من النهار ثنتي عشرة ركعة) رواه مسلم.

 

(155)_ Hazrat Aisha (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا) se riwayat hai ke jab Rasoolullah ﷺ ki raat ki namaz kisi takleef ya aur kisi wajah se reh jati to aap din ko baara rakaat padhte thay. ( Muslim )

 

TAKHREEJ :

Sahih Muslim, salati al musafirin wa qasriha bab Jamie salati al laili wa man naama anhu…, Hadees: (140)-746

 

FAAIDAH : 

Nawafil  ki qaza nahi, taa ham agar us ka ihtimaam kar liya jaye to mustahab hai jaisay Nabi ﷺ ne kiya .

 

REFERENCE:
BOOK: Riyaz us Saliheen(Urdu)
Taleef: Imam Nawawi Rahimahullah.
Urdu Tarjumah aur Fawaid: Hafiz Salah Uddin Yusuf.

 

 

Chapter 15

The Righteous conduct on Regular base

Allah, the Exalted, says:

“Has not the time come for the hearts of those who believe (in the Oneness of Allah – Islamic Monotheism) to be affected by Allah’s Reminder (this Qur’an), and that which has been revealed of the truth, lest they become as those who received the Scripture [the Taurat (Torah) and the Injeel (Gospel)] before (i.e., Jews and Christians), and the term was prolonged for them and so their hearts were hardened?” (57:16)

“And We sent `Isa (Jesus) – son of Maryam (Mary), and gave him the Injeel (Gospel). And We ordained in the hearts of those who followed him, compassion and mercy. But the monasticism which they invented for themselves, We did not prescribe for them, but (they sought it) only to please Allah therewith, but that they did not observe it with the right observance.” (57:27)

“And be not like her who undoes the thread which she has spun, after it has become strong…” (16:92)

“And worship your Rubb until there comes unto you the certainty (i.e., death).” (15:99)


And there are Ahadith, one of them is narrated by `Aishah (May Allah be pleased with her): Messenger of Allah (PBUH) liked that act of worship most in the performance of which a person was regular and constant.
[Muslim].

153. `Umar bin Al-Khattab (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “Should anyone fall asleep at night and fail to recite his portion of the Qur’an, or a part of it, if he recites it between the Fajr prayer and the Zuhr prayer, it will be recorded for him as though he had recited it during the night”.


[Muslim].

Commentary: The word `Hizb’ originally means to take one’s turn for getting water from a well. Subsequently, people started using it for daily round of recitation which one adopts on his own voluntarily. For instance, fixing a number of Nawafil (voluntary prayers), recital of a certain portion of the Noble Qur’an or performance of some other noble deed as one’s daily routine. This Hadith stresses that one must adhere to such routine. It also tells that if for some reason one is unable to do it at the time fixed by him, he can do it later at the time closest to the one he has fixed for it. If one does so, he will be eligible to its full reward.


154. `Abdullah bin `Amr bin Al-`as (May Allah be pleased with them) reported: Messenger of Allah (PBUH) said to me, “O Abdullah! Do not be like so-and-so. He used to get up at night for optional prayer but abandoned it later.”

[Al-Bukhari and Muslim].

Commentary: The excellence of manners demands that if someone has something reprehensible in his character, the person concerned should not be mentioned but the shortcoming must be indicated so that people refrain from it. The second point that we learn from this Hadith is that if one starts a good deed, he should try his best to do it perpetually because its perpetuation is liked by Allah.


155. `Aishah (May Allah be pleased with her) reported: When Messenger of Allah (PBUH) missed the optional night Salat (Tahajjud) due to pain or any other reason, he would perform twelve Rak`ah during the day time.


[Muslim].

Commentary: The Qada’ of Nawafil (offering prayer to make up for having failed to offer it at their due time) is not binding. But it is Mustahab (desirable). The Prophet (PBUH) did it.

REFERENCE:
BOOK: Riyadh ul Saaliheen
Table of Contents