08. Hazrat Safiah Bint Abdul Muttlib (رضی اللہ عنھا) [Phuppi]
Hazrat Safiah Bint Abdul Muttlib (رضی اللہ عنھا) [Phuppi]
Hazrat Safia woh pehli musalman khatoon hain jis ne Deen-e-Ilaahi ke difaa main aik mushrik ko mout ki neend sula diya.
Morrikhin.
Bhala yeh raani kon hai jo Fahem-o-Faraasat ke aala miyaar par faiz hai aur mard jis ke kaarnamon ko rashk ki nigah se dekhte hain?
Yeh bUhadur sahabia kon hai jisay Tareekh-e-Islam main aik mushrik ko qatal karne ka sab se pehlay aizaz haasil hua?
Yeh woh Muhtaat-o-Zairak khatoon hai jis ne musalmanoon ke liye aik aisay bUhadur betay ko janam diya, Jis ne islam ki sar bulandi ke liye sab se pehlay talwaar haath main li?
Bilashuba yeh Rasool Allah ﷺ ki phophi Sayyidah Safiah Bint Abdul Muttlib رضی اللہ عنھا hai.
Hazrat Safiah Bint Abdul Muttlib رضی اللہ عنھا ko Majd-o-Sharf har jaanib se haasil hai:
Un ka baap Abdul Muttlib Nabi Akram ﷺ ke dada aur Quraish ke har dil-azaiz sardar thay aur un ki waalidahh Haala Bint Wahab Rasool Allah ﷺ ki Waalidahh-e-Majida Amina Bint Wahab ki behan theen. Un ka pehla khawand Haris bin Harab Bano Umayyah ke sardar Abu Sufyan bin Harab ka bhai tha woh faut ho gaya.
Aur un ka doosra khawand Awam bin Khuwaild Sayyidah khdijah ul Kubra رضی اللہ عنھا ka bhai tha. Jinhein Umhaat ul Momineen main se sab se pehlay islaam qubool karne ka aizaz haasil hua.
Aur un ka beta Zubair bin Awam Hawari-e-Rasool Allah ﷺ tha.
Kia is se badh kar koi sharf hai jise haasil karne ke liye logon ke dilon main koi tama peda ho.
Us ka khawand Awam bin Khuwaild faut hua to is ne apne peechay Zubair Nami aik chhota sa bacha choda. Waalidahh ne jungi Nuqta-e-Nigah se apne bachay ki tarbiyat nihaayat sakht andaaz se ki, Khailnay aur dil lubhanay ke liye Teer-o-Kamaan muhayya kiye har khofnaak jagah aur pur khatar maqaam main dhakel diya, Agar us ne un maqamaat par jaane se kabhi thoda inkaar ya Lait-o-Laallla se kaam liya to buri tarhan pitaayi karti, Hatta keh aik martaba to un ke chacha ne waalidah ko daant pilate hue kaha: Kya is tarhan bachon ko maara jaata hai. Tairay is Tarz-e-Amal se yun maloom hota hai keh tujhe is bachay ke sath inaad hai. To us ne irtijalan farmaya:
Jo yeh kehta hai keh main is bachay se bughz rakhti hoon woh jhoot bolta hai.
Main to isay is liye maarti hoon taakeh yeh aqal mand ho jaye.
Aur yeh lashkar ko Shikast-e-Faash day sakay.
Aur Kamyaab-o-Kamraan ho kar apne ghar ko lautay.
Jab Allah Subhana-o-Ta’alaa ne apne Nabi-e-Muazzam ﷺ ko Haq-o-Sadaqat aur Rushd-o-Hidaayat ka peghaam day kar ma’boos farmaya, Aur logon ke liye Basheer-o-Nazeer bana kar bheja aur yeh hukam diya keh sab se pehlay apne rishta daaron se deeni dawat ka aaghaz karen.
Aap ne Bano Abdul Muttlib ke Mard-o-Zan aur chotay bdon ko jama kar kay yeh irshaad farmaya: Aey Fatima Bint Muhammad Rasool Allah ﷺ! Aey Safiah Bint Abdul Muttlib رضی اللہ عنھا, Aey Bano Abdul Muttlib aagah raho, Main Allah ki jaanib se tumahray liye kisi cheez ka maalik nahi, Qayamat ke roz sirf amal hi kaam ayen ge. Phir inhen islaam qubool karne ki dawat di aur apni risaalat ka iqraar karne ki talqeen ki. Un main se baaz khush qismat logon ne Noor-e-Ilaahi ko apne daman main samait liya aur baaz bad qismat is roshni se mahroom rahay, Lekin hazrat Safiah Bint Abdul Muttlib رضی اللہ عنھا ko sab se pehlay imaan laane aur tasdeeq karne waalon main shaamil honay ka Sharf-e-Azeem haasil hua.
Isi tarhan hazrat Safiah رضی اللہ عنھا ko Hasb-o-Nasb aur islaam qubool karne ka Izz-o-Sharf bayak waqt haasil ho gaya.
Hazrat Safiah رضی اللہ عنھا aur un ka nojawaqn beta hazrat Zubair bin Awam رضی اللہ عنھ noorani jamaat ke sath mil gaye aur inhen bhi doosray musalmanoon ki tarhan Quraish ki jaanib se be shumaar takaleef ka saamna karna pada.
Jab Nabi Akram ﷺ ne Ahl-e-Imaan ko Madinah tayyibah ki taraf hijrat kar jaane ka hukam diya to is hashmi Sayyida ne Makkah-e-Muazama main apni jumla yaadashtain, Fakhr-o-Mubahaat aur tamaam tar tarjeehat ko chode kar Madinah-e-Munawara ki jaanib Riza-e-Ilaahi ke liye hijrat ka safar ikhtiyar kya.
Bawajood kay yeh azeem khatoon apni umar ki sath baharen dekh chuki theen, Lekin unhon ne Maidan-e-Haae-e-Jihaad main aisay aisay karhaye numaya sar injaam diye jo tareekh main sunehri baab ki hasiyat rakhtay hain. Un main se do kaarname Paish-e-Khidmat hain. Un main se aik Ghazwah-e-Uhad main sar injaam diya aur doosra Ghazwah-e-Khandaq main.
Ghazwah-e-Uhad main yeh azeem khatoon deegar khawateen ke hamrah Lashkar-e-Islaam main shaamil huien. Unhon ne sipahiyon ko paani pilanay, Zakhmion ki marham patti karne aur Teer-o-Kamaan ko durust karne ki khidmaat sar injaam dein. Is ke sath sath lashkar main shamoliat ka aik maqsad yeh bhi tha keh maarka aarai ka Bachshm-e-Khud mulahaza kar saken. Aap is liye bhi hosla mand aur pur azm theen ke aap keh bhateejay Rasool Allah ﷺ haqeeqi bhai Sher-e-Khuda Hazrat Hamza bin Abdul Muttlib aur beta Hawarti Rasool ﷺ hazrat Zubair رضی اللہ عنھ un ke hamrah thay. Aur sab se badh kar islaami Hamiyat-o-Ghairat aur imaani Jurat-o-Shuja’at shaamil haal thi. Islaam ki sar bulandi ke liye hi hijrat Ka raasta ikhtiyar kya aur us main hi jannat ka raasta dikhayi diya.
Ghazwah-e-Uhad main jab us ne dekha keh Maidan-e-Jung main chand aik ke ilawa tamam Rasool Allah ﷺ se door hatt chuke hain.
Us ne dekha keh aik musallah dushman Nabi-e-Akram ﷺ ke qareeb pouncha hi chahta hai aur khatrah hai keh woh aap ko jaani nuqsaan pohnchaye ga, Ghabraahat main apna mashkiza zameen par phenka aur us sherni ki tarhan jhpti jis ke bachay par hamla kar diya gaya ho, Aik shikast khorda sahabi ke haath se nezah cheena aur dushman ki safon ko cheerti hui aur apne naizay se dushman ke cheharon ko cheelti hui aagay badhi aur musalmanoon ko jhanjhodti hui kehnay lagi:
Musalmano! Tum par afsos tum Rasool Allah ﷺ ko akailay chod kar door hatt gaye ho!
Jab Nabi-e-Akram ﷺ ne usay pur josh andaaz main aagay badhtay hue dekha to aap ghabraaye keh kahin apne shaheed bhai Hamza ki laash ko nah dekh le jisay dushman ne buri tarhan masal rakha tha.
Aap ﷺ ne us ke betay se kaha: Zubair, Isay rokein.
Hazrat Zubair رضی اللہ عنھ ne agay badh kar kaha:
Ammi jaan! Ruk jaiye! Ammi jaan! Ruk jaiye!
Mujh se door hatt jaao.
Betay ne arz kya: Ammi jaan! Rasool Allah ﷺ ka hukam hai, Aap wapis aa jayeen.
Farmaaya! Kyun? Mujhe yeh khabar mili hai keh mere bhai ke Allah ki raah main naak kaan kaat diye gaye hain.
Rasool Allah ﷺ ne hazrat Zubair رضی اللہ عنھ se kaha:
Isay jaane den is ka raasta nah rokain.
Jab jung ki aag maand par gayi to hazrat Safiah رضی اللہ عنھا ne apne bhai Hamza ki laash dekhi. Un ka pait chaak kar diya gaya tha. Un ka jigar nikaal liya gaya tha, Naak aur kaan kaat diye gaye thay. Aur chehray par gehray zakham lagaaye gaye thay. Behen ne bhai ke haq main maghfirat ki dua ki aur bharraai hui aawaz main kehnay lagi.
Bhai jaan yeh sab kuch Allah ki raah main hai.
Main Allah Ta’alaa ke faislay par raazi hoon.
Allah ki qisam! Main sabr karoon gi aur inda Allah sawaab ki umeed rakhon gi.
Yeh to Ghazwah-e-Uhad main hazrat Safiah رضی اللہ عنھا ka misaali aur Qabil-e-Taqleed karnaama tha, Lekin unhon ne Ghazwah-e-Khandaq main jo karnaama sar injaam diya, Woh un ki Himmat-o–Jurrat aur Aqal-o-Danish ka shahkaar tha.
Tareekh ke aaina main is herat angaiz waqea ka mushahida karen.
Rasool-e-Akram ﷺ ki aadat mubarakah thi keh jab bhi aap kisi ghazwah par rawaangi ka iradah karte to muslim khawateen aur bachon ki rahaaish ka intizam qilah main karte taakeh dushman inhen koi nuqsaan nah pouncha sakay.
Ghazwah-e-Khandaq main Madinah ki tamam muslim khawateen aur bachon ko hazrat Hassan bin Sabit رضی اللہ عنھ ke us qilah main mahfooz kar diya gaya jo unhen apne ajdaad se wirsa main mila tha. Yeh qilah har taraf se intehaai mahfooz tha.
Musalman Khandaq ke kinaare Quraish ke muqaablay main datay hue thay. Dushman ke bil-muqabil aanay ki wajah se aurton aur bachon ki taraf mukammal tawajjah nah day sakay.
Aik subah mun andheray hazrat Safiah رضی اللہ عنھا kya dekhatii hain keh qilah ke nazdeek aik saaya mutharrik hai aur kisi ke paon ki aahat bhi suni, Ghor se dekha to inhen aik yahoodi qilay ki jaanib badhta hua dikhaayi diya aur woh qilay ke androoni halaat maloom karne ki koshish kar raha hai. Us ki harkaat dekh kar hazrat Safiah رضی اللہ عنھا ko yaqeen ho gaya keh yeh to apni qoum ke liye jasoosi kar raha hai aur yeh maloom karna chahta hai keh qilay ke andar mard bhi hain ya sirf aurtain aur bachay hi hain.
Hazrat Safiah رضی اللہ عنھا ne apne dil main kaha:
Bano Quraizah ne Rasool Allah ﷺ ke saath kiye gaye Ahad-o-Paiman ko pamaal kar ke musalmanoon ke khilaaf Quraish se taawun karna shuru kar diya hai.
Ab qilay ke andar koi mard nahi jo aurton aur bachon ke difaa ke liye aagay badhay Rasool Allah ﷺ aur aap kay Sahaba رضی اللہ عنھم dushman ke muqablay main masroof hain.
Agar yeh dushman qilay ki androoni Soorat-e-Haal se aagah ho kar apni qoum ko bataanay main kamyaab ho gaya, To yahoodi mauqa ko ghanimat jaantay hue aurton aur bachon ko qaid kar len gain aur yeh andohnak Soorat-e-Haal musalmanoon ke liye Suhan-e-Rooh saabit hogi.
Is naazuk mauqa par hazrat Safiah رضی اللہ عنھا ne apna dupatta ssr par baandha aur aik patka kamar main kass liya laathi haath main li aur qilay ke darwaazay par pahonch gayeen. Badi ahtiyaat ke sath darwaazay main aik chota sa sorakh kar liya aur us main se dushman ka badi ahtiyaat aur bedaar maghzi ke sath intzaar karne lagien, Jab woh qareeb aaya to unhon ne baday zor se laathi us ke sar par day maari aur woh chakra kar gir pada. Us ke baad taabar tod laathiyon ki bochaad kar di, Yahan tak keh woh mout ke mun main chala gaya, Aap aagay badheen, Churi se is ki gardan kaati aur qilay ke uopar se sar neechay pheink diya aur woh ludhakta hua un yahudion ke saamnay jaa gira jo us ka shiddat se intzaar kar rahay thay, Apne saathi ka sar dekh kar woh ghabra gaye aur unhen yaqeen ho gaya keh qilay ke andar bhi mujahideen mojood hain. Hazrat Muhammad ﷺ ne aurton aur bachon ko qilay main akela nahi choda. Yeh Soorat-e-Haal dekh kar woh ultay paon peechay mud gaye.
Allah Subhana-o-Ta’alaa hazrat Safiah رضی اللہ عنھا se raazi ho gaya. Bilashuba unhon ne musalman Khawateen kay liye aik roshan misaal qaaim ki.
Apny ikluty Farzand ki ahsan tareeq se tarbiyat ki. Apne bhai ki laash ko dekh kar intehai Sabr-o-Tahammul ka muzahara kiya.
Mushkilaat-o-Masaaib ko Sabr-o-Istiqaamat se bardaasht kya aur tareekh ke safhaat main yeh baat saabit ho gayi keh hazrat Safiah Bint Abdul Muttlib رضی اللہ عنھا woh pehli azeem khatoon hai jis ne Jurrat-o-Bahaduri ka muzaahara karte hue aik mushrik ko mout ke ghaat utaar diya.
Hazrat Safiah Bint Abdul Muttlib رضی اللہ عنھا ke mufassal Halaat-e-Zindagi maloom karne ke liye darjzail kitabon ka mutalea karen:
1: Usd ul Ghabah 7/173
2: Al Tabaqat ul Kubraa 8/41
4: Al Isaabah 348
5: Al Istiaab 4/345
6: Simt-ul-Laali 1/18
7: Hayat ul Sahabaah 1/154
8: Al Seerat ul Nabawiyyah Fahrist dikhiy
9: Zail Tarikh ul Tabari Fahrist dikhiy
10: Al Kamil Fil Tarikh Fahrist dikhiy
11: Aalam-ul-Nisaa 2/341-346
12: Futooh-ul-Buldan
13: Al Aghani Fahrist dikhiy
14: Al Mustatraf Fahrist dikhiy
15: Al Maarif Libn-e-Qutaibah Fahrist dikhiy
REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.