05. Asar-e-Taleem aur uske nataij.
*A’asri Taleem Aur Is Kay Nataaiyej*
Shaagirdon par usaatizah ki shafqat aur talaamizah ka apnay usaatizah kay liye ahtaraam aur ta’azeem, ab dor-e-riftah ki daastaanion aur khawaab ki batain ho chukin hain, angriyzai aur a’asri ta’aleem nay maazi ki tamaam a’azeem riwaayaat ki taar o pood is tarhan bikhar kar rakh diya hay keh na ab ustaad, ustaad raha aur na shaagird, shaagird. A’asri ta’aleem ko aik nafa bakhash tijaarat bana diya hay, jis mein taalib ilm aik makhsoos raqam ada kar kay collage aur university say ta’aleem kharidta hai aur usaatizah bhi talb- e- rozgaar kay tur par tulabaa kay saamne apna lecture parh kar rukhsat ho jaatay hain .
Hindustaan mein sab say pehlay musalmaanon mein angraizi kay liye sha’uoor baidaar karnay walay Sir Sayyad Ahmad Khan marhoom baani ” Muslim Universty Ali Gadh ” thay, ap nay intihaai na musaad halaat aur mukhaalfaton kay toufaan mein ”Muhammadan college, ki bunyaad daali, Sir Sayyad marhoom ka khuloos muslim qoum kay liye kisi bhi shak-o-shuba say baala tar hai, lakin yeh bhi aik haqeeqat hai keh jab aik qoum kisi zubaan ko seekhnay kay liye uth’ti hai tou wo is qoum kay adaat o ikhlaaq say mutaasir ho jati hai jo is zubaan ki haamil hai, aur is tarha wo taqaddus jawaab tak usaatiza o tulabaa kay darmeyaan deeni nisaab-e-ta’aleem ki wajah say qaaim tha wo jald hi paarah paarah ho gaya, khud Sir Sayyad marhoom nay apni ankhon say is ka mushahida kar liya. Chunaanchah Janaab Zaakir Ali Khan saahib ”Riwaayaat-e-Ali Gadh”, mein likhtay hain:
Jameel Khan Saahib farmaatay hain: ”aik shaam ham tamaam masjid kay uqab mein waaqy’iya cricket ground mein hasb-e-maamool cricket khailnay mein esay masroof thay kay maghrib ki namaaz ka waqt ho gaya lekin is kay baa’wajood hostal ka rukh karnay kay ham khail mein madhoosh rahay, itnay mein hamaari nazar padi tou daikha Hazrat Sir Sayyad kharaamaan kharaamaan maghrib ki namaaz kay liye masjid ki taraf a rahay hain, yeh daikh kar gabrahat mein aur kuch na soojha tou kaptaan sahib nay kaha ” bhaiyon safain baandh lo aur namaaz kay liye kharay ho jao ta’kay yeh khatra tal jay, chunaanchah foran hi kaptaan sahib ki imaamat mein sab khilaadi muqtadi ban kar namaaz-e-ba’jamaat mein masroof ho gay, rukoo hua sajda kiya jo zyada kuch tool pakad gya, lekin Bajaay “Allah hu Akbar” kahnay kay sajday mein ser rakhay rakhay Imaam Saahib ne ba awaaz-e-buland daryaaft kiya:
“Bhaaiyo kya bhudha chala gaya?”
Muqtadiyon ki taraf se jawaab na anay par Imaam Saahib ne sajday se sir uthaya to dakhtay hain keh sajda rez muqtadiyon mein bhudha bhi shaamil hai, lekin be baaki kay aisay muzaahiray kay baad bhi baaba-e-millat ne mushfiqaana afuw-o-darguzar say kaam le kar masjid ki raah li.
(Riwaayaat-e-Ali Ghar: Page 10)
Sir Sayyad Marhoom kay zamaane mein be-baaki ki yeh ibtidaa thi, aur aaj wohi “Muslim University” ghunda gardi, siyaasat baazi, ilaaqaaei kashmakash aur professoron aur ghair samaaji anaasir ki aapsi chapqalish ki nazar ho kar laraai aur jhaghray ka maidaan ban chuki hai, aaey din ki hartaalon ne ta’aleem ka janaazah nikaal diya hai, aur yehi haal hindustaan ki baaqi universityon ka hai.
Maujoodah dour mein a’asri madaaris mein usaatizah ka adab, ahtraam khuwaab ki batain ban kar reh gai hain, yaha to usaatizah ki koshish yahi hoti hai keh apnay aap ko tulbaah kay haathon pitnay se mahfooz hon, kisi ustaad ka apnay tulbaa se mahfooz ho jana hi iski izzat o waqaar ki sab se badi daleel samjhi jaati hai, na yaha Ibn-e-Farra Nahwi jaisay ustaad hain na Maamoon al Rasheed kay shahzaadon jaisay shaagird, na Allama Jeewan jaisay usaatizah hain na Orangzaib ‘Aalamgeer jaisay shaagird, yaha ustaad o shaagird baaron mein baithay sharaab kay jaam aik dusray se takra kar peetay huy milen gay, tulabaa kay gool apnay hi professor ki pitaaie kartay huy balkay apni hi lady professor ki aabru raizi kartay huy nazar aaengay. Gharz yeh keh maujoodah college aur universityan insaaniyat kay mazbah khaanay ban chukay hain.
Jahaan bachay zaivar-e-taa’leem say araasta ho kar shareef insaan ban’nay kay bajaye, jaraaim paisha, gustaakh aur khoobi kirdaar say kouray ho kar nikaltay hain,( إلا ما شاء الله ) . Yahan ilm ikhlaaq kay liye nahin balkay mulaazmat kay liye parhaya jata hay aur jo faarighul tehseel ho rahay hain in ki nazar ”plait aur pocket” kay ilaawa aur kisi cheez par nahin, kitnay aisay bachay hain jab inhon nay angraizi taaleem hasil kar li aur kuch kamaanay khaanay kay laiq hue tou apnay waalidain ko bhi pehchaan’nay say inkaar kar diya, balkay aik saahib say jab in kay baapp kay ta’alluq say daryaaft kiya gaya: Who is he? tou inhon nay bari besharmi say jawaab diya: This is my butler “yeh meray baawarchi hain,” kehnay ka matlab yeh har giz nahin keh har angraizi parha likha shakhs aisa hi hai lakin hakeekat yeh hay kay asree school o college bachon ki taa’meer o tarraqi say zayaada takhreeb o bigaar mein aik ahem kirdaar ada kar rahay hain, is liye waalidain ko chaahiye kay apni oulaad ko ghar mein hi Deen aur ikhlaaq ki behtareen taaleem dain, in kay dilon mein usaatiza ki taa’zeem, insaaniyat ka ehtaraam, islaam ki haq’qaaniyat aur imaan ki muhabbat is tarha raasikh kar dain keh kisi bhi mour par Deen aur ikhlaaq ka sar rishta in kay haath say chootnay na paye.
Baqol Akbar Alah Abaadi:
Tum shoq say college mein padho park mein phoolo
Jaaiz hay, ghubaaron mein udo, charkh pay jhoolo
Lakin aik baat banda akbar ki rahay yaad
Allah ko, aur apni hakeekat ko, na bhoolo
Bilkhasoos larkiyon kay ta’alluq say waalidain ko intihaai chokan’na rehnay ki zaroorat hai keh inhein jahaan tak ho sakay girls college mein hi daakhila dilaaya jaye, aisay caaligon say guraiz kiya jaye jahaan makhloot taa’leem hoti hai, is kay saath hi larkiyon ki nigraani ki jaye, inhein apnay kisi mehram kay saath school aur college bheja jaye, issi tarha inhein wahan say laanay ka bhi bandobast ho, in kay tamaam kaamon ka sakht muhaasba kiya jaye takay college kay ghair ikhlaaqi maahol aur is say pin’nay wali buraiyon say inhein mehfooz rakha ja sakay. Kitnay waalidain aisay hain kay wo apni bachiyon ko college mein daakhila dilaa kar mutmain ho jaatay hain aur yeh tasawwur kar letay hain kay hamari bachi college mein nihaayat hi mehnat say taa’leem haasil kar rahi hai, basa oqaat wo yeh zehmat hi gawaara nahin kartay keh kya waaqa’ hamari bachi hamaray mustaqbil kay khawaabon ko pura kar rahi hai? is bay tawajjahi kay baday bhayaanak nataaij nikaltay hain, kaye bachiyan ghar say to college kay liye nikalti hain lakin college say apnay kisi “Dost larkay” kay saath nikal jaati hain, ya ghair samaaji aur bud ikhlaaq larkon ki hawas ka shikaar ho kar apnay ap ko tabaah kar leti hain jaisay kay ap nay pichlay waaq’iyaat mein padha. Waalidain kay liye zaroori hai keh wo apnay ghar kay no jawaan driver kay saath apni bachiyon ko college na rawaana karein, tuition kay liye kisi lady tuitter ka bandobast karein, agar bad qismati say is ka bndobast na ho to ya to tuition hi khatam kar dain ya ba darja majburi mard tuitter hi rakhna paday to tuitterr say tanha honay ka mokaa na dain, kahin aisa na ho keh tanhaai mein wo rasm o rawaah badha lain aur phir natijah mein saaray khaandaan kay liye zillat o ruswaai ka aik unmit daagh ban jayen, khaatay peetay khush haal khaandaan mein sainkadon aisay waaq’iyaat waalidain ki aankhain kholnay kay liye kaafi hain.
REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”