Search
15. DAURAAN-E-NIKAAH MUNKARAAT WA MUKHAALAFAT JINSE BACHNA ZARURI HAI [The Evils from which we should Abstain Ourselves]
Munkaraat wa mukhaalafat jinse bachna zaroori hai
- Bila wajah shari nikaah na karna aur rahbaaniyat ikhtiyaar karna mana hai.
- Bahut zyada mehr baandhkar muashare ko takleef may daalna.
- Dawat may sirf maaldaar ko bulaana aur ghareeb ko na bulaana.
- Time barbaad karna, waqt ki paabandi na karna.
- Bila wajah aur yaadgaar tasaaweer lena.
- Naachna.
- Gaana.
- Mausiqi.
- Traffic aur raaste kharaab karna ya rukaawat dalna.
- Ladke ka sona pehanna.
- Sharaab.
- Mard wa aurat ka aik doosre ki mushaabihat ikhtiyaar karna.
- Ikhtelaat.
- Fuzool kharchi.
- Sahra baandhna.
- Baatil tareekhe say maal khaana aur jahez.
- Baraat kay saath band baaja.
- Khutba say pehle tajdeed kalima karwaana.
- Haazireen nikaah ko chuwhaare taqseem karne ko laazim samajhna.
- Joota chappal ki chori ki rasam.
- Pair say doodh ka pyaala girakar ghar may daakhil hone ki rasm.
- Quraan sar par rakh kar ghar may daakhil hone ki rasm.
- Moonh dikhaayi ya ghar bharani ya chillah ki rasm shaadi aur zachgi kay baad.
- Muharram may shaadi na karna.
- Talaaq ki niyyat say nikaah karna.
- Ajnabi aurat say musafah.
- Apni biwi ko talaash karne kay liye auraton may chale jaana.
- Tight kapde pehanna.
- Mard ka takhne say neeche kapde latkaana.
- Daadhi mundhaana.
- Aurat ka khushboo lagaana.
- Aurat ki be pardagi.
- Aurat ka baareek ya chust kapde pehanna.
- Palkein ukhaadna (ilaaj, aib ya zarar door karne ki niyyat say chehre ya palkon say kuch baal nikaalna jaaiz hai lekin zeb wa zeenat kay liye nahi.
(Ibne Baaz)
- Baalon may baal lagaana.
- Tattoo banana.
- Shaadi ko baaqi rakhne ki gharz say wehmi rasmein/ makhsoos anghooti/patthar/challa/ maala/kaali pout ka lachcha/ taweezaat.
REFERNCE:
BOOK: “NIKAH SE MUTALIQ AHEM MALOOMAT”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI