Search
Sections
< All Topics
Print

01. MAUT AIK ATAL HAQEEQAT HAI [Every soul shall taste death in the end]

MAUT AIK ATAL HAQEEQAT 

 
            وَالْقَبْرُ بَابٌ کُلُّ نَفْسٍ دَاخِلُہُ اَلْمَوْتُ قَدْحٌ کُلُّ نَفْسٍ شَارِبُہُ

 

Maut har zinda par aati hai- bare par bhi aur chote par bhi- mard par bhi aur aurat par bhi- naik par bhi aur bure par bhi- maaldaar par bhi aur ghareeb par bhi, aur jispar aati hai wo na tou khud ussay bachsakta hai aur na uske ird gird baithay hue uske wursaa usko ussay bacha sakte hain- Al gharz yeh keh kisi ko issay chutkaara nahi- koi taqatwar ho tab bhi aur koi kamzor ho tab bhi, har haal mein usay uska zaiqah chakhna hi hai.

    Allah Ta’aala ne apni kitaab e muqaddas mein do tok faisla sunate hue farmaaya hai:

وَمَا جَعَلْنَا لِبَشَرٍ مِّن قَبْلِکَ الْخُلْدَ أَفَإِنْ مِّتَّ فَہُمُ الْخَالِدُوْنَ ٭ کُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَۃُ الْمَوْتِ

 

“Aur apse pehle kisi insaan ko bhi hamne hameshgi nahi di- kiya aap faut hogae tou wo hamesha ke liye zindah rahingay? Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai.”

[Surah Anbiya:21: 34-35]

 

     Yani Ae Muhammad(ﷺ) ! Na tou aapse pehle kisi insaan ko hamesha ke liye zinda rakha gaya aur na hi aap hamesha zinda rahene wale hain, balke har jaandar ko maut ka maza chakhna hai.

 

Aur sach hai keh: 

 

                        لَمَا مَاتَ خَیْرُ الْمُرْسَلِیْنَ مُحَمَّدُ لَوْ کَانَ فِی الدُّنْیَا بَقَائُ

 

   Yani agar duniya mein kisi ke liye baqaa hoti tou Afzal ur Rasool Hazrat Muhammad(ﷺ) duniya se ruksat na hote.

 

Aur Hazrat Abu Hurerah(رضي الله عنه) bayan karte hai keh :

 

( أُرْسِلَ مَلَکُ الْمَوْتِ إِلٰی مُوْسٰی فَلَمَّا جَائَ ہُ صَکَّہُ،فَرَجَعَ إِلٰی رَبِّہٖ فَقَالَ : أَرْسَلْتَنِیْ إِلٰی عَبْدٍ لَا یُرِیْدُ الْمَوْتَ ، قَالَ : ارْجِعْ إِلَیْہِ فَقُلْ لَّہُ یَضَعُ یَدَہُ عَلٰی مَتْنِ ثَوْرٍ فَلَہُ بِمَا غَطّٰی یَدُہُ بِکُلِّ شَعْرَۃٍ سَنَۃٌ ، قَالَ : أَیْ رَبِّ،ثُمَّ مَاذَا ؟ قَالَ : ثُمَّ الْمَوْتُ۔قَالَ : فَالْآنَ)

 

“Maut ke farishte ko Hazrat Moosa(علیہ السلام) ki taraf bheja gaya, chunacha jab wo unke paas aaya tou unho ne usay thappar raseed kar diya (aur uski aik ankh phor daali- wo apne Rab ke paas wapis lauta aur kaha: tu ne mujhe is banday ki taraf bheja jo maut ka khwahish mand nahi- Allah Ta’aala ne (Iski ankh usay wapis lautaey aur) kaha: jao aur issay kaho keh wo aik baiyl ki peet par apna haath rakhe, phir jitne baal uske haath ke neche aayen unme se har baal ke badle uske liye aik saal mazeed hai- Tou Hazrat Moosa(علیہ السلام) ne kaha : Ae mere Rab iske ba’ad phir kiya hoga? Allah Ta’aala ne farmaaya: phir maut- tou unho ne kaha : phir tou maut abhi manzoor hai.”

[Sahih Bukhari: 3407]

 

     Is hadees se sabit hua keh maut se qata’an chutkaara nahi hai chahay koi kitni lambi umr kyun na paey.

     Hazraat! maut aisi cheez hai jo apne waqt muqarrara par hi aati hai- na aik lamha pehle aati hai aur na aik lamha takheer se aati hai- Allah Ta’aala farmaatay hain:

﴿ وَلَنْ یُّؤَخِّرَ اللّٰہُ نَفْسًا إِذَا جَائَ أَجَلُہَا وَاللّٰہُ خَبِیْرٌ بِمَا تَعْمَلُوْنَ﴾

 

“Aur jab kisi ka muqarrara waqt aajata hai tou Usay Allah Ta’aala hargiz muhalat nahi deta- aur jo kuch tum karte ho ussay Allah bakhoobi bakhabar hai.”

    Kisi insaan ko na maut ka waqt maloom hai aur na usay yeh pata hai keh yeh kahan aegi- Apni maut ke muqarrara waqt par koi jis halat mein hoga aur jahan hoga usay maut aakar rahegi.

 
Irshad-e-Baari Ta’aala:

 

وَمَا تَدْرِیْ نَفْسٌ مَّا ذَا تَکْسِبُ غَدًا وَمَا تَدْرِیْ نَفْسٌ بِأَیِّ أَرْضٍ تَمُوْتُ  إِنَّ اللّٰہَ عَلِیْمٌ خَبِیْرٌ﴾

 

“Koi (bhi) nahi janta keh wo kal kiya kuch karega? Aur na kisi ko ye maloom hai keh wo kis zameen par marega- Beshak Allah Ta’aala bohat jaannay wala aur nihayat bakhabr hai.”

[Surah Luqhman:31: 34]

 

     Yani kisi ko kuch pata nahi hai keh usay maut kahan aegi? Ghar mein ya ghar se baher? Apne watan mein ya diyare – ghair mein? Jawani mein ya burhape mein? Apni arzoou aur khwahishat ki takmeel ke baad ya pehle? Kisi ko kuch maloom nahi- Allah Ta’aala ka farmaan hai:

أَیْنَمَا تَکُوْنُوْا یُدْرِککُّمُ الْمَوْتُ وَلَوْ کُنْتُمْ فِیْ بُرُوْجٍ مُّشَیَّدَۃٍ﴾

 

“Tum jahan kahin bhi hogay maut tumhe aa pakregi, gou tum mazboot qilou mein ho.”

[Surah Nisa:04: 78]

 

    Aur maut se koi shakhs raah-e-farar ikhtiyar nahi karsakta- Allah Ta’aala farmaata hai:

﴿قُلْ إِنَّ الْمَوْتَ الَّذِیْ تَفِرُّونَ مِنْہُ فَإِنَّہُ مُلَاقِیْکُمْ ثُمَّ تُرَدُّونَ إِلٰی عَالِمِ الْغَیْبِ وَالشَّہَادَۃِ فَیُنَبِّئُکُم بِمَا کُنتُمْ تَعْمَلُونَ﴾

 

“Keh dijie keh jis maut se tum bhaag rahe ho wo tumhe pohanchkar rahegi- phir tum sab is zaat ki tarf laouta diye jaougay jo har chupi hui aur har zahir ko jaannay wala hai- aur wo tumhe tumhaare kiye hue tamam kamon ke mutalliq khabardaar karega.”

[Surah Jumu’ah:68: 08]

 

      Azeezan-e girami! Jo ayaat hamne ab tak zikar ki hain unka khulasa yeh hai keh maut aik aisi atal haqeeqat hai keh jis say kisi ko chutkaara nahi- aur ye apne is muqarrar waqt par hi aati hai jiska kisi ko ilm nahi- aur har haal mein aakar rehti hai chahay koi usay pasand kare ya na kare- lehaza har insaan ko maut se pehle ka waqt ghanimat tasawwur karna chaheye aur usay Allah Ta’aala ki ita’at o farmaabardaari mein hi lagana chaheye taake jab uski maut ate tou uska parwardigar ussay raazi ho- Warna agar insaan apni zindagi masti aur aish parasti mein guzar de aur us dauraan is dhoke mein para rahe keh abhi naiki aur tawba karne ko bohat waqt para hai aur phir usi halat mein uski maut ajae tou ussay badh kar siyah bakhti aur mehroomi , kismat aur kiya hogi?

 

Irshad-e-Baari Ta’aala:

 

﴿وَأَنفِقُوا مِن مَّا رَزَقْنَاکُم مِّن قَبْلِ أَن یَأْتِیَ أَحَدَکُمُ الْمَوْتُ فَیَقُولَ رَبِّ لَوْلَا أَخَّرْتَنِیْ إِلَی أَجَلٍ قَرِیْبٍ فَأَصَّدَّقَ وَأَکُن مِّنَ الصَّالِحِیْنَ﴾

 

“Aur ko kuch hamne tumhe de rakha hai usme se maut ke aane se pehle (Hamari raah mein) kharch karlo. (Warna jab maut ajaegi tou wo kuf-e-afsoos malte hue) kahega: Ae mere Rab! Mjhe tu ne thori dair ke liye muhalat kyun na di keh mein isme sadqa karleta aur naik logon mein se hojata.”

[Surah Munafiqoon:63: 11]

 

       Goya maut ke waqt naiki karne ki khwahish aur naik logon mein se hojane ki tamanna kisi kaam nahi aaegi- Isliye wo waqt aane se pehle hi insaan ko naiki aur tawba karleni chaheye.

 

REFERENCE:
BOOK: “ZAAD UL KHATEEB” JILD: 02
BY:  DR. MUHAMMAD ISHAQ ZAHID

 

Maut Se Jannat Tak Ka Safar – Class – 1,04 Rabi Al Awwal 1442-21 Oct 20,Shaikh Yasir AlJabri Madani.
Table of Contents