(15) MURDAAR KA CHAMDA NAJAS HAI
(15) MURDAAR KA CHAMDA NAJAS HAI
Rasoolullah ﷺ nay farmaya :
” أيما إهاب دبغ فقد طهر “
” Jis chamday ko rang diya jaye woh paak ho jata hai ” (1)
Is hadith say saabit huwa keh rangnay say pahlay chamda najas hota hai.
( Malikiyah, Hanabilah, Shafi’eiyah aur Hanafiyah ) Yeh hi mo’aqqaf rakhtay hain.(2)
( Shaukani ( رحمه الله ) Issi ko tarjeeh detay hain.(3)
( Albani ( رحمه الله ) Issi kay qaail hain.(4)
(1) SAHIH: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 2907, Kitab-ul-libaas, Baab lubsi julood-il-maitah iza dubighat. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 3609. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 2143. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 1728. Sunan-e-Nasaayi 7 / 173. Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 469. Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 1 / 20. Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 46. Mo’atta Imam Malik 2 / 498. Tabrani Kabeer 12 / 235. Tarteeb-ul-Musnad lish-Shafi’e 1 / 26. Musnad-e-Ahmad 1 / 219. Sunan-e-Daarimi 2 / 86. (2) Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 76. Badaai-us-sanaai’o 1 / 85. Al-mughni 1 / 66. Mughni-ul-mohtaj 1 / 82. Al-sharah-us-sagheer 1 / 51. (3) Al-sail-ul-jaraar 1 / 40. (4) Tamam-ul-minnah page no: 49. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.