Search
Sections
< All Topics
Print

(0B). QAZAEY HAJAT KE LIYE ABADI SAY DOOR CHALA JAYE YA BAIT-UL-KHALA MEIN DAKHIL HO JAYE

QAZAEY HAJAT KE LIYE ABADI SAY DOOR CHALA JAYE YA BAIT-UL-KHALA MEIN DAKHIL HO JAYE

 


[[[[ وَالۡبُعۡدُ أَوۡ دُخُوۡلُ الۡكَنِيۡفِ ]]]]


( Abadi say door chala jaye {1}, ya bait-ul-khala mein dakhil ho jaye {2})

 

{1} Is kay dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Shoubah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh :

” كان إذا ذهب لحاجته أبعد في المذهب “

” Jab ap ﷺ qaza-e-haajat kay liye jatay to bohot door chalay jatay “(3)

 

(2) Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Shoubah ( رضي الله عنه ) say marwi aik riwaayat mein hai keh:

” فانطلق حتى توارى عني فقضا حاجته “

” Ap ﷺ qaza-e-haajat kay liye itna door chalay gaye keh meri nazron say ghaaib ho gaye, Wahan ap ﷺ qaza-e-haajat say farigh huway.(4)

 

(3) Sayyiduna Jabir ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh hum Rasoolullah ﷺ kay sath safar mein niklay:

” فكان لا يأتي البراز حتى يغيب لايرى “

” Ap ﷺ qaza-e-haajat kay liye jab bhi jatay to ghaaib ho jatay aur ap ﷺ ko dekha nahi ja sakta tha.

Sunan-e-Abi Daud ki riwaayat mein yeh lafaz hain:

” كان إذا أراد البراز إنطلق حتى لا يراه أحد ” (5).

 

{2} Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Omar ( رضي الله عنهما ) say marwi hai keh aik din main Sayyidah Hafsah ( رضي الله عنها ) kay gahr ki chhat par chadha to main nay nabi ﷺ ko ( Ghar mein ) Shaam ki taraf munh kiye huway aur kaabah ki taraf pusht kiye huway qaza-e-haajat kartay dekha.(6)

 

Is hadith say saabit huwa keh agar ghar mein qaza-e-haajat ka band-o-bast ho ( yaani bait-ul-khala maujood ho ) to ussi mein haajat kay liye chala jaye, Agarcheh log us kay qareeb hi kiyon na hon us par koi gunah nahi,

Mazeed is hadith ki wazaahat aagay issi baab mein aaye gi. 




(1) HASAN:

Sahih Abu Daud hadith no: 1,

Kitab-ut-tahaarah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 1.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 18.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 20.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 331.

Sunan-e-Daarimi 1 / 169.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah 1 / 30.

Musnad-e-Ahmad 4 / 248.

Mustadrak Hakim 1 / 140.

Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 93.


(2) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 363.

Kitab-us-salaah.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 404.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 128.

Sunan-e-Nasaayi hadith no: 81.


(3) SAHIH:

Sahih Abu Daud hadith no: 2,

Kitab-ut-tahaarah.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 335.

Mustadrak Hakim 1 / 140.

Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 /93.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 20.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 18.


(4) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 148,

Kitab-ul-wuzoo.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 266.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 12.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 11.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 23.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 322.

Musnad-e-Ahmad 2 / 41.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 59.

Sahih Ibn-e-Hibban hadith no: 1418.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents