(29) KISI JANWAR KI BIL MEIN PISHAAB KARNA
(29) KISI JANWAR KI BIL MEIN PISHAAB KARNA
Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Sarjis ( رضي الله عنه say marwi hai keh:
” نهى رسول الله ﷺ أن يبال في الجحر”
” Rasoolullah ﷺ nay kisi janwar ki bil mein pishaab karnay say mana farmaya hai.(1)
Ibn-e-Sarjis say Qatadah ( رحمه الله ) kay simaa mein ikhtelaaf hai,
Jaisa keh Imam Ahmad ( رحمه الله ) farmatay hain keh Meray ilam kay mutabiq Qatadah nay Sayyiduna Anas ( رضي الله عنه ) kay ilawah kisi sahabi say riwaayat nahi ki,(2)…!
….Lekin Imam Ali Ibn-e-Madini ( رحمه الله ) nay us ka simaa saabit kiya hai, Aur Imam Ibn-e-Khuzaimah aur Imam Ibn-e-Sakan ( رحمهماالله ) nay isay sahih kaha hai.(3)
Khulasa-e-kalam yeh hai keh is riwaayat kay za’eef honay ki bina par is say janwar ki bil mein pishaab karnay say mamani’at akhaz karna dorust nahi, Albattah agar koi ahtiyati taur par bachta hai to is mein koi muzaaiqah nahi.
(1) ZA’EEF:. Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 55. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 29, Kitab-ut-tahaarah. Sunan-e-Nasaayi 1 / 33. Musnad-e-Ahmad 5 / 82. Mustadrak Hakim 1 / 186. Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 99. Sharah-us-sunnah 1 / 289. (2) Al-maraseel li-Ibn-e-Abi Hatim page no: 128, 129. 606:08 AM (3) Talkhees-ul-habeer 1 / 187. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.