Search
Sections
< All Topics
Print

(55) DAADHI KA KHILAL WAJIB HAI

(55) DAADHI KA KHILAL WAJIB HAI

 

(1) Sayyiduna Anas ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ jab wuzoo kartay to paani ka aik chulloo bhar kay apni thaudhi kay neechay dakhil kartay aur us kay sath apni daadhi ka khilal kartay aur farmatay:

” هكذا أمرني ربي “

” Meray Rab nay mujhay issi tarah hukam diya hai “.(1)

 

(2) Sayyiduna Usman ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh:

” أن النبي ﷺ كان يخلل لحيته “

” Nabi ﷺ apni daadhi ka khilal kiya kartay thay “.(2)

 

( Hasan Ibn-e-Saalih, Abu Saur, Ahl-e-zaahir ( رحمهم الله ) Wujoob kay qaail hain.

 

( Imam Shafie, Imam Abu Hanifah, Ahmad ( رحمهم الله )

Ghusal-e-janabat mein daadhi ka khilal wajib hai, Lekin wuzoo mein nahi.

Imam Abu Yousuf, Imam Muhammad Ibn-e-Hassan, Imam Sauri, Imam Auzayi, Imam Lais, Imam Is’haque, Imam Daud, Imam Tabri aur aksar ahl-e-ilam ( رحمهم الله ) issi kay qaail hain.

 

( Imam Malik ( رحمه الله )

Wuzoo ki tarah ghusal-e-janabat mein bhi daadhi ka khilal wajib nahi hai.(3)

 

( Imam Shaukani ( رحمه الله )

Daadhi ka khilal farz nahi hai,

Aur hadith ” هكذا أمرني ربي ” Nabi ﷺ kay khasaais mein say hai.(4)

 

( RAAJIH )

Nabi ﷺ ko diya gaya har hukam ummat kay liye bhi farz hai yahan tak keh takhsees ki koi wazih daleel na mil jaye,

Jaisa keh 4 say zaaid khawateen say aik waqat mein nikah ap ﷺ kay khasaais mein say hai.

Neez ulama nay jo Nabi ﷺ kay khasaais shumaar kiye hain un mein bhi is ka zikar nahi hai,

Lihazah Nabi ﷺ ko diya gaya khilal ka hukam is ummat kay liye bhi farz hai.

Sayyiduna Ammar Ibn-e-Yasir, Sayyiduna Ibn-e-Omar, Sayyiduna Anas, Sayyiduna Ali, Sayyiduna Abu Umamah, Sayyiduna Usman ( رضي الله عنهم ), Imam Ibn-e-Seerin, Imam Ibrahim Al-nakh’ei ( رحمهما الله ) say marwi hai keh daadhi kay khilal ko mujarrad baaz logon kay fatway ki bina par nahi chhauda ja sakta.(5)

 

 

(1) SAHIH:

Sahih Abu Daud hadith no: 133,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 145.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 45.

Sharah-us-sunnah 1 / 309.

Irwaa-ul-ghaleel 1 / 130.

(2) SAHIH:

Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 345.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 31,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 430.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 101, 102.

Sunan-e-Daarimi 1 / 178.

Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 125.

Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 13.

Mustadrak Hakim 1 / 149.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 54.

Imam Baihaqui nay is hadith ko Hasan kaha hai, 

Jabkeh Ahmad Shakir is ki tas’heeh ki taraf maail hain,

[ Khilafiyaat lil-baihaqui 1 / 309 ],

[ Al-taaleeq Ala Al-tirmazi lil-Shakir 1 / 46 ].

 

(3) Neel-ul-autaar 1 / 235.

 

(4) Neel-ul-autaar 1 / 235.

 

(5) Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 12.

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

Table of Contents