(56) DAAYEN JANIB SAY WUZOO KI IBTEDA KARNA WAJIB HAI
(56) DAAYEN JANIB SAY WUZOO KI IBTEDA KARNA WAJIB HAI
Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إذا لبستم و إذا توضأتم فابدؤوا بميامنكم “
” Jab tum libas pahno aur jab tum wuzoo karo to daayen janib say shuroo karo “.(1)
( Ameer San’aani ( رحمه الله )
Hadith mein maujood hukam aur ap ﷺ ka ussj par istemraar ( Hamaishgi ) wujoob ki wazih daleel hai.(2)
( Imam Nawawi, Imam Shaukani ( رحمهما الله )
Yeh amal wajib nahi, Balakeh sunnat-o-mustahab hai.(3)
Imam Nawawi ( رحمه الله ) nay to ulama-e-ahl-e-sunnat ka issi ( yaani adam-e-wujoob ) par ijmaa bhi naqal kiya hai,
Lekin raajih baat yeh hi hai keh sareeh hadith mein Ap ﷺ ka hukam mahaz wujoob par hi dalaalat karta hai.
(1) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 3488, Kitab-ul-libaas. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 4141. Musnad-e-Ahamd 2 / 354. Sahih Ibn-e-Khuzaimah 1 / 178. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 402. (2) Subul-us-salaam 1 / 96. (3) Sharah-ul-Muslim 2 / 163. Neel-ul-autaar 1 / 265. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.