(0C). AUR IBTEDAA-E-WUZOO MEIN 3 MARTABAH KALAYION TAK HATH DHUNA BHI MUSTAHAB HAI
AUR IBTEDAA-E-WUZOO MEIN 3 MARTABAH KALAYION TAK HATH DHUNA BHI MUSTAHAB HAI
[[[[ وَ غَسۡلُ الۡيَدَيۡنِ اِلَی الرُّسُغَيۡنِ ثَلَاثًا قَبۡلَ الشُّرُوۡعِ فِيۡ غَسۡلِ الۡأَعۡضَاءِ الۡمُتَقَدَّمَةِ ]]]]
( Aur ibtedaa-e-wuzoo mein 3 martabah kalayion tak hath dhuna bhi mustahab hai {1}).
{1}= Jaisa keh dalaail hasb-e-zail hain:
(1) Sayyiduna Usman ( رضي الله عنه ) ki hadith mein hai keh unhon nay apnay dono hathon par paani dala:
” فغسلهما ثلاث مرات “
” Phir ap nay unhain 3 martabah dhuya.(1)
(2)
عن عمرو ابن شعيب عن أبيه عن جده ( رضي الله عنه )
say riwaayat hai keh aik aadmi nay Nabi ﷺ say wuzoo kay muta’alliq sawal kiya to ap ﷺ nay paani mangwaya ” فغسل كفيه ثلاثا ” ” Aur apnay donon hathon ko teen martabah dhauya ” phir apnay chahray aur baazoon ko teen teen martabah dhauya ” (2).
(3) Sayyiduna Aus Ibn-e-Aus Saqafi ( رضي الله عنه ) bayan kartay hain keh main nay Rasoolullah ﷺ ko dekha ” توضأ فاستوكف ثلاثا ” Ap ﷺ nay wuzoo kiya to apnay hathon ko teen martabah dhauya “ (3).
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 164, Kitab-ul-wuzoo, Baab-ul-mazmazh…! Sahih-ul-Muslim hadith no: 226. (2) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 123, Kitab-ut-taharah, Baab-ul-wuzoo salaasan salaasan. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 135. Sunan-e-Nasaayi hadith no: 140. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 422. (3) SAHIH: Sahih Nasayi hadith no: 81, Kitab-ut-taharah, Babo kam tughsalaani. Sunan-e-Nasaayi hadith no: 83. Musnad-e-Ahamd 2 / 21. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.