(69) SHALWAR TAKHNON SAY NICHAY LATKANAY SAY WUZOO NAHI TOOT’TA
(69) SHALWAR TAKHNON SAY NICHAY LATKANAY SAY WUZOO NAHI TOOT’TA:
(1) Kisi bhi mohaddis-o-faqeeh nay kutub-e-hadith-o-fiqah kay tarajim-o-abwab mein isay naaqiz-e-wuzoo mein shumaar nahi kiya .
(2) Is ziman mein paish ki janay wali riwaayat za’eef hai, Jis mein mazkoor hai keh ap ﷺ nay aik aadimi ko is haal mein namaz padhtay dekha keh us ka kapda takhnon say nichay tha to ap ﷺ nay usay hukam farmaya:
” إذهب فتوضأ “
” Jaao aur wuzoo karo “.(1)
Maloom huwa keh shalwar latkana naaqiz-e-wuzoo to nahi, Lekin shari’at mein is gunah ki jo saza muqarrar hai woh ba’har haal laaziman mil kar rahay gi.
(1) ZA’EEF: Al-mishkaat 1 / 238. Za’eef Abu Daud hadith no: 124, Kitab-us-salaah. Is ki sanad mein Abu Jaafar Raawi maj’hool hai, Jaisa keh Imam Munziri aur Imam Shaukani nay usay ghair maroof qaraar diya hai, ( Mukhtasar Sunan-e-Abi Daud 1 / 324 ) ( Neel-ul-autaar 3 / 118 ). |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.