Search
02. Asmaa-e-Husnaa par Imaan ke arkaan
Dusra Mabhas:
Asmaa-e-Husnaa par Imaan ke arkaan
1: Naam par Imaan
2: Naam jis ma’aina par dalalat karta hai us par Imaan
3: Naam say muta’alliqah aasaar par Imaan
Chunacha hamein Imaan rakhna hai kay Allah “Raheem” hai, Ya’ani aisi rahmat -o-ala hai jo har cheez ko shaamil hai aur woh apnay bandon par raham farmaata hai.
“Qadeer” hai ya’ani qudrat -o-ala hai, Aur woh har cheez par qudrat rakhta hai.
“Ghafur” hai ya’ani Bakhashish-o-Maghfirat -o-ala hai, Aur woh apnay bandon ki maghfirat farmaata hai.
(Mukhtasar Al Ajwibat-e-Al Usooliyah Sarah Al Aqeedat-e-Al Wastiyah Az Abdul Azeez Al Salman, Page: 27)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madan