Search
Sections
< All Topics
Print

24. Sharah [Ash-Shaheed; Al-Hafeez] 

Sharah [Ash-Shaheed; Al-Hafeez] 

 


 

30: الشاھد ( Tamam Batum se Aagah)

 


 

“Al-Shaheed” ya’ani tamaam cheezon say agaah aur unki itlaah rakhne wala. Allah Ta’ala nay Poshidah-o-A’ilaniya tamaam awazon ko sun liya hai. Aur tamaam mujoodaat ko khuwah bareek hon ya moti choti hon. Ya badi dekh liya hai. Aur iska ‘ilm har cheez ko gheray huwe hai jo apne bandon kay a’mal kay mutabiq unke haq mein bhi agaah hai aur unke khilaaf bhi agaah hai. (Tafseer Allamah Saadi: 5/628, Neez name  الشھید aur المؤمن ki sarah Madarij-ul-Salikeen (3/466) mein mulahazah farmain.)

 

Shaikh Abdul-Rahmaan Sa’adi رحمہ الله farmaate hain: “Al-Raqeeb” aur “Al-Shaheed” dono mutraadif hain aur donon is baat par dalalat karte hain kay Allah ki samaat tamaam sunai deny wali baaton ko gheray huwe hai aur uski basarat dikhai deny wali cheezon ko gheray huwe hai aur Uska ‘ilm tamaam poshidah-o-A’ilaniya maloomaat ko moheet hai. Allah Ta’ala dilon mein khanakny wali cheezon aur harkat karne wali nighaahon say mutla’a aur agaah hai. A’azaa-o-jawareh say anjaam paane wale zaahri afa’al say badarja aola waqif aur matla’ah hai. Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيْبًا Ǻ۝

 

“Beshak Allah Ta’ala tum par nigahbaan hai” [Al Nisaa:  1]

 

Neez irshaad hai:

 

وَاللّٰهُ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ شَهِيْدٌ

 

“Aur Allah Ta’ala har cheez say waqif hai” [Al Mujadalah:  6]

 

Aur isi liye “muraqbaah” jo dilon kay buland tareen a’amaal mein say hai Allah kay naam “Al-Raqeeb” aur “Al-Shaheed” kay zariye Allah ki ‘ibaadat karne ka naam hai, Kiunkeh jab bande ko is baat ka ‘ilm hoga kay uski Zaahri-o-Baatni harkaten Allah kay ‘ilm kay gheray mein hain, Aur is ‘ilm ko woh har haal mein apne Dil-o-Dimagh mein taza rakhy ga. Tu yeh cheez Allah ki na pasandeedah har Soch-o-Fikar say us kay baatin ki nigraani aur Allah ko naaraaz karne wale har Qaol-o-Fa’il say uski zaahir ki hifazt ki moajab hogi. Aur woh Allah ki bandagi mein Maqaam-e-Ahsaan par faiz hoga, Chunaacha Allah ki ‘ibaadat aise kary ga goya woh Allah ko dekh raha hai aur agar woh usay na dekh raha ho tu Allah usay (zaroor) dekh raha hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 58-59)

 

Aur jab Allah Ta’ala nihayat poshidah aur bareek umoor ka nigraan aur bheydon aur niyaton say agaah hai tu zaahri aur a’ilaniya umoor ko badarjah auola janane wala hoga. Ya’ani woh af’aal jo arkaan ya’ani A’azaa-o-Jawareh say anjaam diye jaate hain. (Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/88)

 


 

31: الحفیظ ( Muhafiz, Nigahban)

 


 

Irshaad-e-Baari hai:

 

اِنَّ رَبِّيْ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ حَفِيْظٌ

 

“Yaqeenan mera Par-o-rdighaar har cheez par nigahbaan hai” [Hood:  57]

 

“Al-Hafeez” kay do ma’aini hain:

 

Pehla ma’aini: Yeh hai kay Allah Ta’ala apne bandon kay ‘amaal, Bhalaai, Burai, Aur ita’at, Gunah waghera ko mahfooz kar rakha hai. Kiunkeh Allah ka ‘ilm bandon kay tamaam Zaahir-o-Poshidah a’amaal ko gheray huwe hai aur woh Loh-e-Mahfooz mein darj hain. Neez Allah Ta’ala nay bandon par likhne waale mua’aziz farishte mutayyan kar rakhe hain. Irshaad-e-Baari hai:

 

يَعْلَمُوْنَ مَا تَفْعَلُوْنَ 12؀

 

“Jo kuch tum karte ho woh jaante hain” [الانفطار 12]

 

Chunaacha Allah ki hifaazat kay is ma’aina ka taqaazah yeh hai kay Allah Ta’ala ka ‘ilm bandon kay tamaam Zaahri-o-Baatni halaat, Loh-e-Mahfooz aur isi farishton kay hathon mujood saheefon mein unki kitabat waghera ko moheet hai. Neez Allah Ta’ala unki miqdaar, Pura adhura hone, Aur sawab-o-A’zaab mein uske silah ki miqdaar waghera ko bhi bakhubi jaanane waala hai phir apne fazal, Aur ‘Adal-o-Insaaf say unka badlah de ga.

 

Dusara ma’aini: “Al-Hafeez” kay ma’ainon mein say dusara ma’aini yeh hai kay Allah Ta’ala tamaam na pasandeedah cheezon say bandon ki Hifazt-o-Nigraani karne waala hai. Aur bandon kay taeen Allah ki Hifazt-o-Nigraani ki 2 qismen hain, A’am aur Khaas.

 

Pehli qisam: Allah Ta’ala ki tamaam makhluqaat ki ‘umumi hifazt aur dekh rekh, Baain tor kay Allah Ta’ala un kay liye woh asbaab asaan farmaata hai jin say unki ghiza aur khuraak faraham ho aur un kay Jisam-o-Wujood ki hifazt ho aur woh Allah ki ‘umumi Hidayat-o-Rahnumai kay zariye Allah ki hidayat aur apni maslihaton ki taraf chal saken. Jis kay baare mein Allah Azzwajal ka irshaad hai:

 

رَبُّنَا الَّذِيْٓ اَعْطٰي كُلَّ شَيْءٍ خَلْقَهٗ ثُمَّ هَدٰى 50؀

 

“Hamare Rabb nay har aik ko uski khaas surat, Shakal inayt farmaai phir raah sujha di” [Taaha:  50]

 

Ya’ani makhluq ko uski Zaruriyaat-o-Hajaat kay silsale mein jo kuch muqaddar kiya aur faisla farmaaya hai uski rahnumai kar di, Jaise khana peena, Shaadi biyah, Aur is kay asbaab kay liye dod dhup ki rahnumai waghera. Isi tarha Allah makhluqaat say mukhtalif qisam ki takaleef aur pareshaniyon ka dafa’a karta hai. Aur is (u’mumi  hifaazat) mein nek aur badd donon barabar hain, Balkeh haiwanaat waghera bhi shaamil hain. Chunaacha Allah Ta’ala hi asmaanon aur zameenon ko talne say mahfooz kar rakha hai. Aur wahi apni ne’ymaton kay zariye tamaam makhluqaat ki dekh rekh farma raha hai. Aur us nay admi kay sath nigraan farishte muqarrar kar rakha hai. Jo Allah kay hukum say uski hifaazat karte hain ya’ani us say in tamaam takleef deh cheezon ko hataate hain, Jo agar Allah ki nighedaasht hoti tu usy takleef pohnchaate.

 

Dusari qisam: Allah ki apne auliya ki khaas hifaazat aur nighedaasht, Guzishtah baaton kay ilawah Chunaacha Allah Ta’ala un kay Imaan ko nuqsaan pohnchany aur unke yaqeen ko kamzor karne waale shobhaat, Fitnon, aur khuwahishaat say unki hifaazat farmaata hai. Unhain in say ‘afiyat mein rakhta hai, Aur puri hifaazat, Salamti aur ‘afiyat say unhen un say baahir nikaalta hai isi tarha jinon aur insaanon mein say un kay dushmanon say unki hifaazat karta hai un kay khilaaf unki madad karta hai aur un say un kay Makr-o-Fareb ka difa’a karta hai, Allah Azzwajal ka irshaad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ يُدٰفِعُ عَنِ الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا 

 

“Yaqeenan sache mominoon kay dushmanon ko khud Allah Ta’ala hata deta hai” [Al Hajj:  38]

 

Yeh Ahl-e-Imaan say Deen-o-Duniya mein tamaam zarar rasaan cheezon kay difa’a mein ‘aam hai Chunaacha banda kay Imaan ki Miqdaar-o-Ma’yaar kay mutabiq Allah Ta’ala apne Lutaf-o-Karam say uska difa’a karta hai Hadees-e-Rasool mein hai:

 

احفظ اللہ یحفظک

 

“Allah ki hifaazat karo, Allah tumhaari hifaazat kary ga” (Jame Al Tirmizi, Kitab-o-Sifat-e-Al Qiyamati, Baab: 59, Hadees: 2516, Wa Mustadrak Hakim: 3/541, Aur farmaya hai: Yeh badi buland payah hadees hai, Aur Allamah Albani رحمہ اللہ ne isy Sahi Al Jame (Hadees: 7957) mein Sahi qarar dia hai.)

Ya’ani Allah ki farmaanbardaari kar kay Uske awamir ki aur ijtinaab kar kay Allah kay mana’ah kardah umoor ki aur tajawuz na kar kay Allah kay hudud aur pabandiyon ki hifaazat karo. Allah Ta’ala tumhaari jaan, Tumhaare deen, Tumhaare maal, Tumhaari ulaad, Aur tumhen ataa kardah apne tamaam tar Fazal-o-Ina’am mein tumhaari hifaazat farmaye ga. (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 60-61)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents