Search
Sections
< All Topics
Print

29. Sharah [Al-Jabbaar ; Al-Haseeb]

Sharah [Al-Jabbaar ; Al-Haseeb]

 

 


 

42: الجبار ( Zur Aawar, Buland Talafi karney wala)

 


 

Irshad-e-Baari Ta’alaa hai:

 

هُوَ اللّٰهُ الَّذِيْ لَآ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ  ۚ اَلْمَلِكُ الْقُدُّوْسُ السَّلٰمُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيْزُ الْجَبَّارُ

 

“Wahi Allah hai jis ke siwa- koi M’abood nahi. Badshah, Nihayat pak sab ‘aibon se saaf, Aman daine wala, Nighbaan, Ghalib zor aawar.” ( Al Hashar: 23)

 

Allah ke Asmaa-e-Husna mein se “ الْجَبَّارُ ke teen ma’ani mein jo Allah ke naam الْجَبَّارُ mein daakhil hain:

 

1: Pehla ma’ani: Yeh hai keh Allah Ta’alaa hi kamzor aur Allah waste har Munkir dil ki talaafi karta hai. Chunancha Allah Ta’alaa toote ki talaafi karta hai faqeer ko mandari deta hai, Tangdast ki har tangi ko aasan karta hai, Aur Sabar-o-Saabit qadmi ki tufeeq de kar museebat zadah ki ghamkhawari karta hai, Aur agar woh apni zimmedaari nibhaaye to use apni museebat ke ‘aiwz ‘azeem tareen ajar se nawazta hai. Aur apni ‘Azmat-o-Jalaal ke samne jhukne walon neez muhabbat karne walon ke dilon ki khaas talaafi farmata hai, Baein tor keh unhain qisam qisam ki ‘izzat afzaaiyon aur mukhtalif Imaani ‘Uloom-o-Maarif aur ahwaal se nawazta hai. Chunancha Allah waste inkisaari karne walon ke dilon ki talaafi bohat qareeb hoti hai, Aur jab dua karne wala apni dua mein: اللَّهُمَّ اجْبرْنِي “(Aey Allah! Meri talaafi kar de bharpai kar de)” kehta hai to us ka maqsad yahi talaafi hota hai jis ki haqeeqat bande ki Islaah aur is se tamaam na pasandeedah umoor ka izaala hai.

 

2: Doosra ma’na: Yeh hai keh Allah har cheez par ghalib hai, Har cheez us ke tab’e aur us ke samne jhuki hui hai.

 

3: Teersra ma’ana: Yeh hai keh Allah har cheez par buland hai.

 

Is tarhanالجبار، الرؤوف، القھار aur العلی teeno Asma ke ma’ani ko shaamil hai.


4: Aik choutha ma’ana bhi Muraad ho sakta hai, Aur woh yeh hai keh Allah Ta’alaa har burai ‘Aib-o-Nuqs, Kisi ke ham misal hone, Neez apne kisi hamsar, Ya zid, Ya ham naam, Ya Huqooq-o-Khusoosiyaat mein Saajhi-o-Shareek se bartar aur badai wala hai (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 77, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/102, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/233).

 


 

43: الحسیب ( Kafi, Hisab leney wala)

 


 

Allah Azzawjal ka irshad hai:

 

وَكَفٰى بِاللّٰهِ حَسِـيْبًا 

 

“Aur darasal hisaab laine wala Allah Ta’alaa hi kaafi hai.” (Al Nisaa: 6)

 

Neez irshad hai:

 

اَلَا لَهُ الْحُكْمُ  ۣ وَهُوَ اَسْرَعُ الْحٰسِبِيْنَ   62؀

 

“Khoob sun lo faisala Allah hi ka ho ga aur woh bohat jald hisaab le ga.” (Al Anaam: 62)

 

 

✦  Aur “الحسیب” ke darjzail ma’ani hain ✦

 

1: Allah Ta’alaa apne bundon ke liye un ke tamaam Deeni aur dunewi umoor mein kaafi hai Khawah naffa bakhash cheezon ka husool ho ya nuqsaan deh cheezon ka daf’iyah.

 

2: Sab se khaas ma’ani ke ai’tibaar se الحسیب ka ma’ani Allah ka apne muttqi aur tawakkul karne wale bande ke liye kaafi hona hai aisi khusoosi kifaayat jis se us ke Deen-o-Duniya ki Islaah-o-Sudhaar ho jaaye.

 

3: Neez الحسیب woh zaat hai jo apne bundon ke ache bure a’amaal ko mahfooz kar rahi hai aur un ka Hisaab-o-Kitaab le gi, Agar neki hui to naik badla aur badi hogi to bura badla mile ga, Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

يٰٓاَيُّھَا النَّبِيُّ حَسْبُكَ اللّٰهُ وَمَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ الْمُؤْمِنِيْنَ 64؀ۧ

 

“Aey Nabi! Tujhe Allah kaafi hai aur un mominon ko jo teri pairwi kar rahe hain.” (Al Anfaal: 64)

 

Y’ani Allah Ta’alaa Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) aur Aap ke Pirokaaron ke liye kaafi hai.

 

Chunancha Allah Ta’alaa apne bande ke liye is qadar kaafi hota hai jitna woh Zahiri-o-Baatini tor par Rasool Allah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki pairwi karta hai aur Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa ki ‘Ibadat-o-Bandagi sar anjaam deta hai.

 

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 78, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/103)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents