Search
Sections
< All Topics
Print

38. Sharah [Al-Hayy; Al-Qayyoom; Ar-Rabb; Allaah]

Sharah [Al-Hayy; Al-Qayyoom; Ar-Rabb; Allaah]

 


 

58: الحى ( Zindah )

59: القیوم ( Sambhalne wala )

 


 

Allah Subhan-o-Wa Ta’ala ka irshad hai:

 

اَللّٰهُ لَآ اِلٰهَ اِلَّا ھُوَ  ۚ اَلْـحَيُّ الْقَيُّوْمُ

 

“Allah Ta’ala hi M’abood-e-Barhaq hai jis ke siwa koi M’abood nahi jo zindah aur sab ka thamne wala hai.”

(Al Baqarah: 255)

 

Neez irshad hai:

 

الۗـۗمَّ   Ǻ۝ۙ اللّٰهُ لَآ اِلٰهَ اِلَّا ھُوَ ۙ الْـحَيُّ الْقَيُّوْمُ  Ą۝ۭ

 

” الۗـۗمَّ   “ Allah Ta’ala Woh hai jis ke siwa koi M’abood nahi, Jo zindah aur sab ka nigehbaan hai.”

(Aal-e-Imraan: 1-2)

 

Neez irshad hai:

 

وَعَنَتِ الْوُجُوْهُ لِلْحَيِّ الْقَيُّوْمِ  ۭ وَقَدْ خَابَ مَنْ حَمَلَ ظُلْمًا ١١١؁

 

“Tamaam chehre us zindah aur qaim daaim Mudabbir, Allah ke samne kamaal aajzi se jhuke hue hunge, Yaqeenan woh barbaad hua jis ne zulum laad liya.”

(Taaha: 111)

 

” الْـحَيُّ الْقَيُّوْمُ  “ Allah ke Asmaa-e-Husna mein se hain.

 

Allah Subhan-o-Wa Ta’ala ne un dono naamon ” الْـحَيُّ الْقَيُّوْمُ” Ko apne kitaab mein kayi jaghon par aur nihayat munasib moqaon par ikhatta farmaaya hai kiunkeh yeh dono naam Allah ke tamaam Sifaat-e-Kamaal ko shaamil hain, Is liye keh ” الْـحَيُّ “ ke maien’e hain mukammal zindagi wala, Aur yeh cheez Allah ki tamaam zaati Sifaat ko shaamil hai, Jaise ‘Ilm, I’zzat, Qudrat, Iradah A’zmat-o-Badai Kibriyai aur in ke ilawah Zaat-e-Baari Ta’ala ki deegar muqaddas Sifaat, aur ” الْقَيُّوْمُ “ ke maien’e mukammal Qayoomiyat wale ke hain. Aur is ke do ma’ani hain:

 

Pehla maan’a: Yeh hai keh Allah Azzawajal Bazat-e-Khud qaim hai. Us ki Sifaat ‘azeem hain aur Woh apni tamaam makhloqaat se be niaz hai.

 

Dosra maan’a: Yeh hai keh Allah Ta’ala hi ke dam se Zameen-o-Aasman aur un ke darmiyan ki makhloqaat qaim hain.

 

Usi ne inhain wujood bakhsha hai, Badhaya hai. Aur inhain har us cheez ke liye tayyar kiya hai jis mein Us ki baqaa bhalai aur wujood ka raaz panhan hai. Allah Ta’ala un se har tarhan se be niaz hai Albatta woh khud har tarhan se Allah Ta’ala ke mohtaaj hain, Chunancha ” الْـحَيُّ ” aur ” الْقَيُّوْمُ ” Allah ki zaat hai jis ke paas har kamaal ka waqt hai aur Wahi jo chahe kar guzarne wala hai(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 87-88, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/109, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/236).

 


 

60: نُوْرُ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ 

(Aasmano aur zameen ka Noor)

 

(Dikhiy: Majmoo Fatawa Ibn-e-Taimiyah, Is bare mein badi umdah guftugo farmai hai: 6/382-396)

 


 

Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

 

اَللّٰهُ نُوْرُ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ ۭ مَثَلُ نُوْرِهٖ كَمِشْكٰوةٍ فِيْهَا مِصْبَاحٌ ۭ اَلْمِصْبَاحُ فِيْ زُجَاجَةٍ ۭ اَلزُّجَاجَةُ كَاَنَّهَا كَوْكَبٌ دُرِّيٌّ يُّوْقَدُ مِنْ شَجَرَةٍ مُّبٰرَكَةٍ زَيْتُوْنَةٍ لَّا شَرْقِيَّةٍ وَّلَا غَرْبِيَّةٍ  ۙ يَّكَادُ زَيْتُهَا يُضِيْۗءُ وَلَوْ لَمْ تَمْسَسْهُ نَارٌ  ۭ نُوْرٌ عَلٰي نُوْرٍ  ۭ يَهْدِي اللّٰهُ لِنُوْرِهٖ مَنْ يَّشَاۗءُ 

 

“Allah Noor hai asmano aur zameen ka, Us ke Noor ki misaal aik taaq ke hai jis mein aik chairag ho aur chairag sheesha ki Qandeel mein ho aur sheesha chamakate hue roshan sitaare ke ho woh chairag aik babarkat darakht Zaitoon ke tail se jalaya jata ho jo darakht na Mashriqi hai nah Maghribi khud woh tail qareeb hai keh aap hi roshni daine lage agarchae use aag na bhi chooye noor par noor hai Allah Ta’ala apne noor ki taraf rahnumai karta hai jise chahe.”

( Al Noor: 35)

 

Aur Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka irshad hai:

 

اللهمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنتَ نُورُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَنْ فيهن … الحديث

 

“Aey Allah! Tamaam tareefen taire liye hain tu asmano, Zameen aur jo un ke darmiyan mein un ka noor hai.”

(Sahih Bukhari, Kitab-ul-Dawaat, Baab-ul-Duaa, Iza Intabaha Bil Lail, Hadees: 6317, Wa Sahih Muslim, Kitab-o-Salat-e-Al Musafireen Wa Qasriha, Baab-ul-Daa fi Salat-e-Al Lail Wa Qiyamihi, Hadees: 769)

 

Neez irshad hai:

 

إِنَّ اللهَ عَزّ وَجَلَّ لا يَنَامُ، وَلَا يَنْبَغِي لَهُ أَنْ يَنَامٍ، يَخْفِضُ الْقِسْط وَيَرْفَعُهُ، يُرْفَعُ إِلَيْهِ عَمَل اللَّيْلِ قَبْل عَمَلِ النَّهَارِ، وَعَمَلُ النَّهَارِ قَبْلَ عمل الليل، حجابُهُ النُّورُ لَوْ كَشَفَهُ لأَحْرَقَتْ سُبْحَاتُ وَجْهِهِ مَا انْتَهَى إِلَيْهِ بَصرُهُ مِنْ خَلْقِه

 

“Beshak Allah Azzawajal nahi sota aur na hi sona us ke Shayan-e-Shaan hai woh ‘Adal ko Past-o-Buland karta hai us ki taraf raat ka ‘amal din ke ‘amal se pehle aur din ka ‘amal raat ke ‘amal se pehle buland kiya jata hai us ka hijaab noor hai agar woh use khol de to us ke chehre ki zoofishaniyaan us ki Munthaaye nigah tak ki saari makhloqaat ko jala kar rakh dain gi.”

(Sahih Muslim, Kitab-ul-, Baab-o-Qaol-e-Al Nabi صلی اللہ علیہ وسلم: ان اللہ لا ینام, Hadees: 179)

 

Allama Abdul Rahman Bin Nasir Sa’adi (رحمہ الله) farmate hain:

 

Allah jallla Jalaluho ke Asma aur Sifaat mein se aik”النور” hai jo us ka nihayat ‘azeem wasaf hai. kiunkeh woh ‘Azmat-o-Buzurgi wala hai, Aur is qadar chamak aur Tabani wala hai keh agar woh apne Rukh-w-Kareem se hijaab khol de to to us ke chehre ki zoofishaniyaan us ki Hadd-e-Nigah tak ki saari makhloqaat ko jala kar rakh dain gi. Us ke dam se sara Aalam jagmaga raha hai, Chunancha us ke chehre ke noor se tarikiyaan roshan hain, Aur usi ke dam se ‘Arsh-o-Kursi, Saton tabaq aur tamaam kaainaat Munawwar-o-Mujalla hain.

 

Aur noor do qisam ka hota hai:

 

1: Hissi nor: Jaise yeh saari duniya jis mein Allah ke noor ke siwa koi noor nahi.

 

2: M’anwi nor: Jo Muhammad (صلی اللہ علیہ وسلم) ki layi hui Allah ki kitaab aur Sunnat ke zari’ya dilon aur roohon ko haasil hota hai. Chunancha Kitaab-o-Sunnat ka ‘Ilm aur un par ‘amal dilon, Kaanon aur nigahon ko noor bakhshta hai, Aur bande ke liye Duniya-o-Akhirat mein roshni ka zari’ya bantaa hai, Irshad-e-Baari hai:

 

يَهْدِي اللّٰهُ لِنُوْرِهٖ مَنْ يَّشَاۗءُ 

 

“Allah Ta’ala apne noor ki taraf rahnumai karta hai jise chahe.” ( Al Noor: 35)

 

Kiunkeh Allah ne zikar kiya hai keh woh asmano aur zameen ka noor hai aur Allah ne apni kitaab ko noor kaha hai, Apne Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ko noor kaha hai aur apni wahi ko noor kaha hai…

Phir Imam Ibn-ul-Qayyim (رحمہ الله) ne faraib khordah soofiyon se dhoka khane se daraya aur chokanna kiya hai jinhon ne Sifaat-e-Illahi ke noor aur Imaan aur U’loom-o-M’uarif ke Anwar ke darmiyan farq nahi kiya, Balkeh jab unhon ne furqan aur ‘Ilm kaamil ke baghair ‘Ibaadat-o-Bandgi ki, Aur un ke dilon mein ‘Ibaadat ke roshniyaan jagmagane lagi. Kiunkeh dilon mein ‘Ibadaat ka noor hua karta hai to unhon ne is roshni ko Zaat-e-Muqaddasa ka noor gumaan kar liya, Jis ka nateeja yeh hua keh un se aisi be tukki aur gandi baatein aayi jo isi jahalat, Faraib khordghi aur gumraahi ka nateeja hain.

lekin Ahal-e-Ilm, Imaan aur Furqan wale Zaat-o-Sifaat-e-Illahi ke noor aur Hissi-o-M’anwi makhlooq noor ke darmiyaan farq karte hain, Chunancha unhain is baat ka aitraaf hota hai keh Sifaat-e-Baari ka noor us ki zaat ko lazim rehta hai judaa nahi hota hai aur na kisi makhlooq mein daakhil hota hai, Allah Ta’ala zaalimo ki bakwas se bohat Buland-o-Bartar hai. Jabke makhlooq noor woh hai jis se Asbaab-o-Ma’ani ke mutabiq makhloqaat muttasif hoti hain .

Aur jab momin ka Imaan kaamil ho jaye to Allah Ta’ala us ke dil ko Munawwar kar deta hai chunancha us par cheezon ki haqeqteen aashkaar hoti hain. Aur Furqan haasil hota hai jis ke zari’ya woh Haq-o-Baatil ke darmiyan Farq-o-Imtiaz karta hai, Aur phir yahi noor bande ki zindagi aur ‘Ilmi-o-‘Amli tor par Khair-o-Bhalai ki quwwat ka madah ban jata hai aur ‘Ilm-o-Yaqeen mein a’ib lagane wale shubhat aur Zulmat-o-Ghaflat se paida hone wali khwahishat chat kar saaf ho jati hain, Aur nateeja yeh hota hai keh us ka dil noor ho jata hai, Us ki baat noor ho jati hai, Us ka ‘amal noor ho jata hai aur tamaam simtao se noor use ghaire mein le laita hai.

Aur Kafir, Ya munafiq, Ya Mukhalif-e-Haq, Ya sartabi karne wala Ghaafil yeh tamaam log tarikeon mein Hairaan-o-Bad-mast rehte hain, Har aik isi qadar tareeki mein hota hai jis qadar us ke sath us ke maade aur asbaab hote hain aur tufeeq dahinda Allah wahid ki zaat hai .

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 93-95, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/337, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/106).

 


 

61: الراب ( Parwar-Digaar, Palanhaar )

 


 

Allah Subhan-o-Wa Ta’ala ka irshad hai:

 

قُلْ اَغَيْرَ اللّٰهِ اَبْغِيْ رَبًّا وَّهُوَ رَبُّ كُلِّ شَيْءٍ 

 

“Aap farmaa dijiye keh kia mein Allah ke siwa kisi aur ko Rab banane ke liye talaash karoon halaankeh woh Maalik hai har cheez ka.”

(Al Anaam: 164)

 

Allah Azzawajal hi Tadbeer-o-Intizam aur tarhan tarhan ki N’ematon ke zari’ya apne tamaam bandgaan ki tarbiyat aur dekh rekh karne wala hai. Aur us se kahin khaas Allah Ta’ala ka dilon, Roohon aur akhlaq ki islaah ke zari’ya apne bargazeedon ki tarbiyat karta hai. Is liye us ba ‘Azmat naam ke zari’ya unhon ne bakasrat duayen ki hain kiunkeh woh Allah se isi khaas tarbiyat ka sawal karte hain.

 


 

62: اللہ ( M’abood-e-Haqeeqi )

 


 

Allah Azzawajal hi sacha M’abood aur Qaabil-e-‘Ibaadat hai jo apni tamaam makhloqaat par ‘Ibaadat-o-Bandagi ka haq rakhta hai, Kiunkeh woh ulohiyat ki un khoobiyon se muttasif hai jo kamaal ki khoobiyan hain, Aur yeh baat pehle guzar chuki hai keh Allah ke tamaam naam is naam ki taraf paltte hain chunancha yeh kaha jaye ga keh:

 

“Al Rahman” Allah ke naamon mein se hai yeh nahi kaha jaye ga keh “Allah” Al Rahman ke naamon mein se hai, Aur yahi mu’aamla tamaam naamon ka hai, Aur “Allah” naam Asmaa-e-Husna aur Sifaat-e-Ulya ke tamaam ma’ani ka jam’e hai

(Dikhiy: Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 2/249).

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents