Search
Sections
< All Topics
Print

40. Sharah [Al-Mutakabbir; Al-Khaaliq ; Al-Baari ; Al-Musawwir ; Al-Khaaliq; Al-Mu’min ; Al-Muhaymin; Al-Muheet]  

Sharah [Al-Mutakabbir; Al-Khaaliq ; Al-Baari ; Al-Musawwir ; Al-Khaaliq; Al-Mu’min ; Al-Muhaymin; Al-Muheet] 
 

 


 

68: المتكبر ( Buland-o-Bartar )

 


 

Allah Subhan-o-Wa Ta’ala ka irshad hai:

 

هُوَ اللّٰهُ الَّذِيْ لَآ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ  ۚ اَلْمَلِكُ الْقُدُّوْسُ السَّلٰمُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيْزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ ۭ سُبْحٰنَ اللّٰهِ عَمَّا يُشْرِكُوْنَ      23؀

 

“Wohi Allah hai jis ke siwa koi M’abood nahi, Badshah, Nihayat Paak, Sab ‘aibon se saaf, Aman daine wala, Nigehbaan, Ghalib zor aawar aur badai wala, Paak hai Allah un cheezon se jinhein yeh us ka shareek banate hain. ( Al Hashar: 23)

 

Lihaza Allah Subhan-o-Wa Ta’ala apni ‘Azmat-o-Kibriyyi ke baa’is har burai aur Nuqs-o-‘Aib se Buland-o-Bartar hai.

 


 

69: الخالق ( Paida karne wala )

70: الباری (Wujood bakhsne wala )
71: المصور ( Soorat banane wala )
72: الخلاق ( Paida karne wala )

 


 

Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

 

هُوَ اللّٰهُ الْخَالِقُ الْبَارِئُ الْمُصَوِّرُ لَهُ الْاَسْمَاۗءُ الْحُسْنٰى

 

“Wahi Allah hai paida karne wala wujood bakhsne wala, Soorat banane wala, Usi ke liye (nihaayat) ache naam hain.”

( Al Hashar: 24)

 

Neez irshad hai:

 

اِنَّ رَبَّكَ هُوَ الْخَلّٰقُ الْعَلِيْمُ     86؀

 

“Yaqeenan tera Parwar-Digaar paida karne wala aur janne wala hai.” ( Al Hijr: 86)

 

Allah Ta’ala hi ne tamaam mojoodaat ko paida farmaaya hai, Unhain wujood bakhshta hai, Apni hikmat se inhain barabar kiya hai, Apni Hamd-o-Hikmat se un ki soorat banai hai aur Woh hamesha se aur hamesha is ‘Azeem khoobi ka Maalik aur is se muttasif hai.

 


 

73: المومن ( Tasdeeq karne wala, Aman daine wala )

 


 

Allah ne Sifaat-e-Kamaal aur Jamaal-o-Buzurgi ke kamaal ke zari’ya apne Madah-o-Sana farmai hai, Jis ne apne Rasool bheje, Dalail-o-Mujizaat ke sath apni kitaaben utarain, Har Nishaan-o-Burhan ke zari’ya apne Rasoolon ki tasdeeq farmai jis se un ki aur un ki lai hui talemaat ki Sadaqat-o-Haqqaaniyat ka pata chalta hai.

 


 

74: المھیمن ( Ghaalib, Nighbaan)

 


 

Allah Ta’ala posheeda umoor mu’amlaat aur seenon ke sar basta bheidoon ki khabar rakhne wala hai, Jis ne har cheez ko apne ‘ilm se ghair rakha hai.

(Taseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi رحمہ اللہ: 5/624)

 

Imam Baghwi (رحمہ الله) farmate hain:

 

المھیمن ke maien’e mein Allah Ta’ala bandon ke a’amaal ke zari’ya un par gawah hai, Yeh Ibn-e-Abbas (رضی اللہ عنہ) aur Mujahid (رحمہ الله) waghairah ka qoul hai. Kaha jata hai: ھیمن یُھیمِن فھو مُھیمن “Jab koi kisi ki nigrani aur nighdashat kar raha ho..

(Tafseer-ul-Bhaqawi: 4/326).”

 


 

75: المحيط (Ihata karne wala, Gherne wala)

 


 

Irshad-e-Baari Ta’alaa hai:

 

وَلِلّٰهِ مَا فِي السَّمٰوٰتِ وَمَا فِي الْاَرْضِ ۭوَكَانَ اللّٰهُ بِكُلِّ شَيْءٍ مُّحِيْطًا ١٢٦؀ۧ

 

“Asmano aur zameen mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai aur Allah Ta’alaa har cheez ko ghairne wala hai .” ( Al Nisaa: 126)

 

Neez irshad hai:

 

وَاِنْ تَصْبِرُوْا وَتَتَّقُوْا لَا يَضُرُّكُمْ كَيْدُھُمْ شَـيْـــًٔـا  ۭاِنَّ اللّٰهَ بِمَا يَعْمَلُوْنَ مُحِيْطٌ ١٢٠؁ۧ

 

“Tum agar sabar karo aur parhaiz gari karo to un ka makar tumhein kuch nuqsaan na de ga.  Allah Ta’alaa ne unke aamaal ka ihata kar rakha hai .” ( Aal-e-Imraan: 120)

 

Allah Ta’alaa ne har cheez ko apne ‘ilm, Qudrat, Rahmat aur Ghalba-o-Bulandi se ghair rakha hai. Us ka ‘ilm tamaam m’aloomat ko muheet hai, Us ki Basarat tamaam dekhi jane wali cheezon ko ghaire hue hai. Aur us ki samaat tamaam suni jane wali cheezon ka ihaata kiye hue hai, Us ki Chahat-o-Qudrat tamaam mojoodaat mein nafiz hai. Us ki rahmat tamam Zameen-o-Aasman walon ko samoye hue hai. Woh apni izzat se har makhlooq par Ghalib-o-Buland hai aur tamaam cheezen us ke tab’e hain.

(Taseer Allamah Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi رحمہ اللہ: 5/179)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents