53. Sharah [Al-Mawlaa]
Sharah [Al-Mawlaa]
97: المولی (Maalik, Madadgaar, Dost, Karsaaz )
“المولی“ Naam ka itlaq bohat saare logon par hota hai jaise, Rab, Maalik, Aaqa, Inaam karne wala, Azad karne wala, Madadgaar muhabbat karne wala, Matehat, Peirokaar, Padosi, Chachazad bhai, Haleef, Damaad, Ghulam, Aur jis par inaam kiya gaya ho, Aur un mein se aksar ma-ani ahadees mein warid hain. Chunancha un mein har aik ko is hadees ke taqaza ke mutabiq mansoob kiya jaye ga aur jo bhi kisi mu’aamla ka zimmadaar hota hai ya us ki nighdasht rakhta hai woh us ka Moola aur wali hota hai aur basa auqaat un naamon ke masadir mukhtalif hote hain: “Jaise “الولاية“ waw par zair ke sath. Nasb, Madad aur azad karne wale ke liye bola jata hai.
Aur الولاية waw par zair ke sath -Imarat ke liye istimaal hota hai aur الولاء azad kardah ghulam ko kehte hein الموالاۃ ” Wali-ul-Qoum se hai.
(Al Nihayah Fi Ghareeb-e-Al Hadees Az Ibn-ul-Aseer: 5/228, Neez: Dikhiy: Al Qamoos-ul-Muheet, Page: 782, Wal Mujam-ul-Waseet, Page: 1058, Wal Misbah-ul-Muneer, Page: 2/272).
Aur haqeeqi Molaa Allah Azzawajal hai. Allah ka irshad hai:
لَيْسَ كَمِثْلِهٖ شَيْءٌ ۚ وَهُوَ السَّمِيْعُ الْبَصِيْرُ 11
Us jaisi koi cheez nahi, Who suney wala aur dekhney wala hai.
(Al Shoora: 11)
“Lihaza Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa hi Molaa, Rab, Maalik aur Aaqa-o-Sardaar hai, Usi se Nusrat-o-Madad ki umeed ki jati hai. Kiunkeh wahi har cheez ka Maalik hai. Usi ne apna yeh naam rakha hai, Allah Azzawajal ka Irshad-e-Giraami hai:
فَاَقِيْمُوا الصَّلٰوةَ وَاٰتُوا الزَّكٰوةَ وَاعْتَصِمُوْا بِاللّٰهِ ۭ هُوَ مَوْلٰىكُمْ ۚ فَنِعْمَ الْمَوْلٰى وَنِعْمَ النَّصِيْرُ 78ۧ
“Pass tumhein chahiye keh Namazain qaim rakho aur Zakat adaa karte raho aur Allah ko mazboot tham lo wahi tumhara wali aur Maalik hai. Pas kaya hi acha Maalik hai aur kitna hi behtar madadgaar hai.”
(Al Hajj: 78)
Neez irshad hai:
وَاِنْ تَوَلَّوْا فَاعْلَمُوْٓا اَنَّ اللّٰهَ مَوْلٰىكُمْ ۭنِعْمَ الْمَوْلٰى وَنِعْمَ النَّصِيْرُ 40
“Aur agar rogrdani karen to yaqeen rakhen keh Allah Ta’alaa tumhara karsaaz hai woh bohat acha karsaaz hai aur bohat acha madadgaar hai.”
(Al Anfaal: 40)
ذٰلِكَ بِاَنَّ اللّٰهَ مَوْلَى الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا وَاَنَّ الْكٰفِرِيْنَ لَا مَوْلٰى لَهُمْ 11ۧ
“Woh is liye keh Imaan walon ka karsaaz khud Allah Ta’alaa hai aur is liye ke kafiroon ka koi karsaaz nahi.”
(Muhammad: 11)
Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa Imaan walon ka Maalik-o-Mola hai. Wahi un ka Aaqa aur un ke dushmanon ke khilaaf madadgaar hai, Woh bohat acha karsaaz hai aur bohat acha madadgaar hai. (Dikhiy: Tafseer Ibn-e-Kaseer: 4/310) Allah Ta’alaa hi apne momin bandon ki dekh bhaal karta hai un ki bhalai ki cheezen un tak pohanchata hai aur un ke liye un ke Deeni-o-Dunewi munafe aasaan farmata hai “Aur woh bada acha madadgaar hai” Jo un ki madad karta hai. Un se bad kirdaaron ki chaalun aur shar pasandon ki shar angizyon ka difaa karta hai, Aur Allah jis ka Haami-o-Madadgaar ho jaye use kisi baat ka dar nahi aur Allah jis ke khilaaf ho jaye us ki koi izzat nahi, Na hi koi himayati aur sahara. (Dikhiy: Tafseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi: 3/168, 5/331, Tafseer Ibn-e-Kaseer: 4/310, 2/238, 1/344) Lihaza Allah Ta’alaa hi mominon ka madadgaar hai apne Husn-e-Tadbeer se un ki tadbeer farmata hai, Woh apne se Dosti-o-Muhabbat rakhne wale ka bohat acha karsaaz hai chunancha use us ka matloob ataa kar deta hai aur apne se madad chahane wale ka bohat acha madadgaar hai chunancha us ki takleef ko dafaa kar deta hai, Aur Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa ka irshad hai:
بَلِ اللّٰهُ مَوْلٰىكُمْ ۚ وَھُوَ خَيْرُ النّٰصِرِيْنَ ١٥٠
Balkeh Allah hi tumhara Molaa hai aur wahi behtareen madadgaar hai.”
(Aal-e-Imraan: 150)
Aur momnin apne Rab Ta’alaa se dua karte hain jaisa keh Allah ne khabar di hai:
اَنْتَ مَوْلٰىنَا فَانْــصُرْنَا عَلَي الْقَوْمِ الْكٰفِرِيْنَ ٢٨٦ۧ
“Tu hi hamara Maalik hai hamein kafiroon ki qoum par ghalba ataa farma.”
(Al Baqarah: 286)
Y’ani tu hamara nigehbaan aur madadgaar hai tujh hi par ham ne bharosa kiya hai, Tujh se hi madad chaha hai. Tujh par hi bharosa hai, Aur hamare paas taire baghair koi quwwat-o-Tasarruf nahi (256-2)
Neez Irshad-e-Baari hai:
اِنْ تَتُوْبَآ اِلَى اللّٰهِ فَقَدْ صَغَتْ قُلُوْبُكُمَا ۚ وَاِنْ تَظٰهَرَا عَلَيْهِ فَاِنَّ اللّٰهَ هُوَ مَوْلٰىهُ وَجِبْرِيْلُ وَصَالِحُ الْمُؤْمِنِيْنَ ۚ وَالْمَلٰۗىِٕكَةُ بَعْدَ ذٰلِكَ ظَهِيْرٌ Ć
“(Aey Nabi ki dono biwion!) Agar tum dono Allah ke samne tubah karlo to bohat behtar hai) Yaqeenan tumahre dil jhuk pade hain aur agar tum Nabi ke khilaaf aik doosre ki madad karo gi pas yaqeenan is ka karsaaz Allah hai aur Jibreel hein aur naik Ahal-e-Imaan.”
(Al Tahreem: 4)
Neez irshad hai:
قَدْ فَرَضَ اللّٰهُ لَكُمْ تَحِلَّةَ اَيْمَانِكُمْ ۚ وَاللّٰهُ مَوْلٰىكُمْ ۚ وَهُوَ الْعَلِيْمُ الْحَكِيْمُ Ą
Tahqeeq ke Allah Ta’alaa ne tumahre liye qasmon ko khol daalna muqarrar kar diya hai aur Allah tumhara karsaaz hai aur wahi (pooore) ‘Ilm wala hikmat wala hai.” (Al Tahreem: 2)
Aur jab Abu Sufyan ne Sahaba (رضی اللہ عنہ) se kaha tha: ” Hamare paas to Uzza hai tumahre paas koi Uzza nahi to Rasool Allah (صلی اللہ علیہ وسلم) ne Sahaba (رضی اللہ عنہم ) ko rahnumai farmai aur kaha:
قولوا : اللہ مولانا ، ولا مولى لكمْ
Tum bhi kaho: “Allah hamara Maalik-o-Madadgaar hai tumhara to koi madadgaar nahi.”
(Sahih Bukhari, Kitab-ul-Jihad Wal Siar, Baab-o-Maa Yukrho Min-e-Al Tanazu-e-Wal Ikhtilaf fil Harab Wa Uqoobati Man Asaa Imamaho, Hadees: 3039, Wa Kitab-ul-Maghazi, Baab-o-Ghazwat-e-Uhad, Hadees: 4043)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.