Search
Sections
< All Topics
Print

13. Qur’an aur Ramzaan

Qur’an aur Ramzaan

 

 

Khutba-e-Masnoona kay baad:

 

Allah Ta’ala ka irshad hai:

 

إِنَّا أَنْزَلْنٰهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ وَمَا أَدْرٰكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ تَنَزَّلُ الْمَلَئكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ امْرٍ سَلمٌ ھِي حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِ

 

“Allah kay naam say shuru jo nihayat meharban bada reham wala hai. Beshak ham nay is (Qur’an) ko Lailat-ul-Qadar mein nazil kiya. Aur aap ko kya maloom keh Lailat-ul-Qadar kya hai? Lailat-ul-Qadar hazaar maheenay say behtar hai. Is raat mein farishtay aur rooh (Jibreel) apnay Rab kay hukum say har kaam kay liye nazil hotay hain. (Woh raat) Tulu-e-Fajar tak salamti (Hi salamti) hai.” (Al Qadar: 1-5)

 

Qur’an-e-Paak ka nuzool

 

Is nashist kay liye unwan aap nay sun liya tha, Ramzaan aur Qur’an-e-Paak ka talluq. Yeh baat maloom hai keh Qur’an-e-Paak ka nuzool Maah-e-Ramzaan mein huwa tha: شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي انْزِلَ فِيهِ الْقُرْآن Ramzaan ka maheena woh maheena hai jis mein Qur’an-e-Hakeem nazil huwa. Aur is ka mukammal nuzool Ramzaan ki aik raat mein huwa jisay Shab-e-Qadar ya Lailat-ul-Qadar kaha jata hai. Mukammal nuzool ka maana yeh hai keh is raat Allah Rab-ul-Izzat nay poora Qur’an Loh-e-Mahfooz say utaar diya. Aasmaanon ki taraf bhej diya, Apnay farishton kay supard kar diya aur phir farishta Jibreel علیہ السلام Allah Ta’ala kay amar say, Allah kay hukum say mukhtalif auqaat mein Qur’an-e-Paak lay kar Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) par aata raha. Kabhi dus aayatein, Kabhi aik soorat, Kabhi paanch aayatein, Kabhi aik aayat. To Qur’an-e-Paak kay do nuzool hain. Aik hai mukammal nuzool, Yeh nuzool Loh-e-Mahfooz say aasmaan ki taraf huwa bayak waqt poora Qur’an. Aur yeh kab huwa? Shab-e-Qadar mein. Doosra nuzool aahista aahista kabhi paanch aayatein, Kabhi dus aayatein. Yeh aasmaan say zameen ki taraf, Jis ki Muddat-e-Takmeel taqreeban 23 saal hai. Allah Rab-ul-Izzat ki hikmat aur us kay amar kay tahat Allah ka farishta kuch ayaat Allah kay Nabi kay paas lay kar aata. To yeh doosra nuzool hai jabkeh asal jo awwal nuzool hai yeh Shab-e-Qadar mein huwa.

 

Razaan ki fazeelat Bawaja-e-Qur’an

 

Mein samajhta hoon keh Ramzaan ki jo shaan hai, Jo maqaam hai aur Shab-e-Qadar ka jo martaba hai, Jo maqaam hai yeh Nuzool-e-Qur’an ki bina par hai keh Allah Rab-ul-Izzat nay is maheenay ko Qur’an-e-Paak kay nuzool kay saath Musharraf banaya hai. Yeh Qur’an-e-Paak ki murafaqat, Qur’an-e–Paak ka nuzool aur Qur’an-e-Paak ki musahabat ka asar hai keh Ramzaan tamaam maheenon say Mamtaz qarar paaya hai. Aur is ka Martaba-o-Maqaam yaqeenan bohat buland hai sirf talluq bil-Qur’an ki bina par. aik Farsi kay shaair nay kaha tha:

 

جمالِ ہم نشین در من اثر کرد
وگرنہ من ہماں خاکم کہ ہستم

 

“Meray ham nasheen kay Husn-o-Jamal nay mujh par asar kar diya, Wagarna mein to mitti hi hoon jo hoon.”

 

Keh mitti utha kar soonghi, Us mein khushboo aarahi thi. Poocha keh tum mein say yeh khushboo kiun uth rahi hai? Mitti nay jawab diya keh yahan aik phool uga huwa hai, Us phool nay mujh mein khushboo peda kardi hai. “Jamal ham nasheen”, Yeh ham nasheen ka asar hai, Yeh is ki khushboo hai, Yeh musahabat ka asar hai keh mitti mein bhi khushboo aa jati hai, Phool ki suhbat hai. To Qur’an-e-Paak kay nuzool say Ramzaan ka maheena mubarak ho gaya. Bada ajar, Bada sawab, Bada martaba bada ooncha maqaam aur jo bhi shaan hai woh aap sab jantay hain. Yeh maheena tamaam maheenon say Mamtaz hai aur Shab-e-Qadar tamaam raaton say afzal hai. Aik raat ka qiyaam, Aik raat ki ibaadat aik hazaar maheenon ki ibaadat say afzal hai. Itna ooncha maqaam hai.

Is raat ka qiyaam aik hazaar maheenay ki ibaadat say afzal hai. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai:

مَنْ قَامَ لَيْلَةَ الْقَدْرِ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ (Bukhari: 1901) Jo shakhs Shab-e-Qadar ka qiyaam kar lay imaan kay saath aur ahtisaab kay saath, Achay aqeeday kay saath aur ahtisaab kay saath. Ahtisaab kay maana Allah say ajar lenay ki umeed ho, Riyakaari na ho, Is raat ko jaagay aur qiyaam karay. غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ Allah Ta’ala us kay Sabiqa saaray gunah maaf kar deta hai. Yeh is raat ka maqaam hai, Is raat ka qiyaam saaray gunaahon ki bakhshish ka sabab ban jata hai. Yeh maqaam isi liye haasil huwa keh Allah Ta’ala nay is azeem raat mein Qur’an-e-Paak utaara. فِيهَا يُفْرَقُ كُلُّ أَمْرٍ حَكِيمٍ (Al Dukha: 4) “Is raat baday baday umoor kay faislay hotay hain.” Yeh talluq bil-Qur’an ki bina par, Jibreel ameen Nabi Paak (صلی اللہ علیہ وسلم) kay saath Ramzaan mein Qur’an ka daur kiya kartay thay, Y’ani unhon nay bhi Qur’an kay daur kay liye Ramzaan kay maheenay ka intikhab kiya. Jis saal Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka intiqaal huwa us saal kay Ramzaan mein do baar daur kiya. (Bukhari: 4998)

 

Qur’an aur Rozay ka shafaa’at karna

 

Is amal say yeh saabit hota hai keh Qur’an-e-Paak ki tilaawat ka Ramzaan kay saath aik gehra talluq hai. Isi liye paighambar علیہ السلام ka farmaan hai: إِنَّ الصِّيَامِ وَالْقُرْآنَ يَشْفَعَانِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ “Roza aur Qur’an donon Qayaamat kay din banday kay liye sifarish karein gay.” Donon mil kar sifarish karein gay, Donon saath aayein gay. Aur yeh azeem sifarish hai. Bandah Allah kay saamnay khada hai. Us ki nekiyan aur badiyaan shumaar ho rahi hain. Nekiyon aur badiyon ka wazan ho raha hai. Aur yeh wazan ka marhala bada kathan aur ghambeer marhala hai. Imam Laalkaai sharah Aitqaad-o-Ahal-ul-Sunna mein yeh Hadees laaye hain. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai keh Qayamat kay din am’aal tolay jayein gey. Aur faisla kesay hoga? Yeh badi holnaak haqeeqat hai. Faisla kesay hoga? Farmaya:  مَنْ رَجَحَتْ حَسَنَاتُهُ عَلَى سَيِّئَاتِهِ مِثْقَالَ صُؤابَةٍ دَخَلَ الْجَنَّةَ وَمَنْ رَجَحَتْ سَيِّئَاتُهُ عَلَى حَسَنَاتِهِ مِثْقَالَ صُؤابَةٍ دَخَلَ النَّارَ (Kanz-ul-Ummal: 39025) Yeh faisla hai. Farmaya keh jis ki nekiyan gunaahon say joon kay anday kay barabar badh gain, Woh jannat mein jaye ga aur jis kay gunnah naikiyon say joon kay anday kay barabar badh gaye, Woh jahannum mein jaye ga.

Yeh joon ka andah jis ka koi wazan nahin hota, Duniya ka koi paimana is ka wazan nahin kar sakta. Itna chotta andah, Itnay chottay anday kay baqadar agar us kay gunnah badh gaye, Nekiyan kam ho gain to Allah Ta’ala us kay liye jahannum ka faisla kar day ga. Kitni khofnaak haqeeqat hai. Us waqt aik awaaz aaye gi: يَا رَبِّ إِنِّي مَنَعْتُهُ مِنَ النَّوْمِ بِاللَّيْلِ “Aey allah! Mein nay is banday ko raaton ko sonay nahin diya. Mein nay isay jagaaye rakha, Yeh lambay qiyaam karta aur meri Tilaawat karta.” Yeh Qur’an ki awaaz hai. Aur Qur’an kya hai? Allah taala ka kalaam hai. Allah ki sift hai. Yeh Allah say sifarish kar raha hai. Mein nay isay sonay nahin diya. Doosri awaaz aayegi: يَا رَبِّ إِنِّى مَنَعْتُهُ مِنَ الشَّهَوَاتِ بِالنَّهَارِ “Aey allah! Mein nay is banday ko khaanay say, Peenay say aur deegar khuwaishaat say rokay rakha.” Aik awaaz din kay talluq say hai aur aik awaaz raat kay talluq say hai. Din ki awaaz rozay ki aur raat ki awaaz Qur’an ki. Yeh raaton ki ghadiyon mein uth kar mujhay padhta, Meri tilaawat karta, Donon kahen gay: فَشَفَعْنِي فيه “Meri sifarish qabool kar lay is baaray mein.” Is ko maaf kar day, Is ka hisaab asaan kar day. فَيُشَفَعَانِ Hadees kay alfaaz hain keh donon ki sifarish qabool kar li jaye gi. (Sahih-ul-Jaame Lil Albani: 3/23)

Allah Rab-ul-Izzat Qur’an aur Rozay ki sifarish qabool kar kay us banday ki nijaat, Maghfirat aur jannat kay daakhlay ka hukum kar day ga. Yeh talluq wahan bhi qaim hai Rozay ka aur Qur’an ka. Is Hadees mein aik nukta hai keh Qur’an-e-Paak ki Tilaawat raat ko chup kar ki jaye taakeh yeh amal ikhlaas par qaim rahay. Bandah din ko bhi karay, Lekin raat ki ghadiyaan zaroor muntakhab karay. Raat ki tareekiyon kay amal, Andheron kay amal aur tanhaiyon kay neek amal Allah ko baday pasand hain. ثَلَاثَةُ يَضْحَكُ اللهُ إِلَيْهِمْ “Teen banday aisay hain jin kay amal ko dekh kar Allah hansta hai, Muskurata hai.” (Musnad-e-Ahmad: 3/80 Allamah Albani nay isay Zaeef kaha hai.) Woh amal chahay ghanton qaim rahay. Allah Ta’ala un bandon ko dekh kar ghanton muskurata rehta hai. Kya tawajjah aur pyaar ka aalam hai. Un mein say aik neek bandah woh hai jo logon say chup kar raat ka qiyaam karay, Lamba qiyaam, Qur’an ki Tilaawat karay. Jis ki yeh hirs hai keh kisi ko yeh amal dikhaai na day, Yeh amal tareeki aur tanhaai mein ho. Jab tak woh qiyaam mein masroof rehta hai, Qur’an-e-Paak ki Tilaawat karta rehta hai us waqt tak Allah Rab-ul-Izzat usay dekh kar muskurata rehta hai.

Yeh hai Allah ki Raza. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) nay sahabi Talha ka janaza padhaya. Sahaba kehtay hain keh ham nay Allah kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ki dua suni us sahabi kay baray mein: اللَّهُمَّ الْقَ طَلْحَةَ وَأَنْتَ تَضْحَكُ إِلَيْهِ وَهُوَ يَضْحَكُ إِلَيْكَ “Aey Allah! Tu apnay is banday Talha say is tarah milna keh tu usay dekh kar hansay, Yeh tujhay dekh kar hansay.” (Al Isaabah Fi Tamyeez-e-Al Sahabah: 3/525) Yeh mahabbat aur Raza kitni badi nemat hai. Jab tak woh bandah chup kar tareeki mein, Andheray mein Qur’an padhta rahay ga aur qiyaam mein masroof rahay ga tab tak Allah Rab-ul-Izzat usay dekh kar hansta rahay ga, Muskurata rahay ga. Yeh Roza aur Qur’an donon saath aa rahay hain banday ki sifarish karnay kay liye. Is ka maana yeh hai keh un donon ka baaham bada gehra talluq aur saath hai. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: اقرءوا الْقُرْآنَ “Qur’an khoob padho.” فَإِنَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ شَفِيعًا لأصْحَابِهِ “Yeh Qayaamat kay din apnay padhnay walon ki sifarish karnay kay liye aaye ga.” (Muslim: 804) Ba’az sooraton aur aayaton ka yeh maqaam Hadeeson mein bayan huwa hai keh yeh suratein aur aayatein Qayaamat kay din Allah Ta’ala say us banday ko bakhshwayein gi. تُحَاجَانِ kay alfaaz hain. Allah Ta’ala say us waqt tak jhagdein gi, Ladein gi jab tak us banday ko jannat mein na pohancha aayein. Raat ki ghadi mein Surah-e-Mulk ki Tilaawat, Jis kay baaray mein Hadees mein aata hai keh Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) raat ko us waqt tak sotay nahin thay Jab tak is soorat ki Tilaawat na kar letay. (Sahih-ul-Jaame-e-Al Sagheer: 1/446) Surah-e-Mulk, Tees aayatein aur Surah-e-Baqrah ki aakhri do aayatein, In ki bhi yahi fazeelat hai. (Muslim: 807) Kuch aayatein, Kuch suratein aisi hain jin ko khaas taur par padhna chahiye.

 

Surah-e-Ikhlaas ki fazeelat

 

Aik shakhs har Namaz mein Surah-e-Ikhlaas padhta tha. Wajah poochi gai? Us nay kaha keh اني أحبها “Mujhay is soorat say bohat mahabbat hai.” Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: احبك إِيَّاهَا أَدْخَلَكَ الْجَنَّةَ “Is soorat ki mahabbat nay tumhein jannat mein pohancha diya hai.” (Bukhari: 774)

Mu’awiya Bin Mu’awiya Al-Muzani رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka intiqaal huwa. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) us ka janaza padhtay hain. Janazay kay baad aap par ajeeb inkishaaf huwa. Us kay janazay mein Jibreel Ameen bhi thay. Pachaas hazaar farishton kay saath Allah kay Nabi say milnay aaye to aap nay Jibreel say poocha keh isay aap nay itna aizaz kiun diya? Is kay janazay mein aap nay shirkat ki, Is aizaz ki wajah? Farmaya keh hamein khaas taur par Allah nay bheja hai. Is ka aik amal tha bada hi piyaara amal. كَانَ يَقْرَءُ قُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ قَائِمًا وَقَاعِدًا وَرَاكِبًا وَجَالِسًا “Yeh uthtay bethtay, Chaltay phirtay, Sawaari par jatay huway قُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ padha karta tha. (Al Sunan-ul-Kubraa Lil Baihaqi: 2/260)

Yeh soorat kasrat say padha karein. Yeh Tilaawat agar Maah-e-Siyaam mein Rozay kay saath ho, To kitna is ka Ajar-o-Sawab hoga, Lihaza Tilaawat-e-Qur’an ka is Maah-e-Siyaam kay saath bada gehra talluq hai. Imam maalik رحمہ الله, Imam Daar-ul-Hijrah poori zindagi Hadeeseen padhtay padhatay rahay. Talamizah ka aik halqa hota jinhen Dars-e-Hadees detay rahay. Un ka yeh amal manqool hai keh jab Ramzaan shuru hota, Hadeeson kay dafatir band kar diya kartay aur Qur’an ki Tilaawat mein munhamik ho jatay. Phir aik aik nashist mein kai kai paaray padhtay. Is aik maheenay mein kai baar Qur’an mukammal kartay. Ba’az Muhaddiseen nay likha hai keh Qur’an-e-Paak kam az kam teen din mein khatam karna chahiye lekin Ramzaan kay ilaawa. Ramzaan mein khoob padho. Agar din mein khatam kar saktay ho to karlo. Is ki aik aik ghadi say faaidah uthao.

 

Qur’an padhnay kay fawaaid aur Rozah

 

Kasrat say Qur’an padhnay kay baday faaidahy hain. Aik to dil ka zang door hota hai. Kuch am’aal aisay hain jin say dilon ka zang door hota hai, Yeh pathar dil mom ho jatay hain. Qur’an ki Tilaawat, Allah ka zikar, Yateem kay sar par haath pherna, Yateem ki kifalat aur Infaq-e-Maal. In tamaam umoor say dil naram hotay hain aur dilon kay zang door hotay hain. Is baaray mein Hadeeseen mujood hain. Qur’an-e-Paak ki Tilaawat say dil naram hotay hain aur dil naram kiun na hon, Qur’an ki to shaan yeh hai: لو أَنْزَلْنَا هَذَا الْقُرْآنَ عَلَى جَبَلٍ لَرَأَيْتَهُ خاشِعًا مُتَصَدِّعًا مِنْ خَشْيَةِ اللهِ Farmaya keh “Is Qur’an ko agar ham pahodon par utaar dein to tum pahodon ko dekhtay, Allah ki khashiyat say reezah reezah ho jatay.” (Al Hashar: 21) Agar Qur’an kay nuzool kay saath yeh pahad mukallaf hota to itni sakht makhlooq Allah ki khashiyat say reezah reezah ho jati. Dil to phir bhi aik kamzor si cheez hai. Gosht ka lothda hai, Yeh to zaroor naram hoga. Qur’an-e-Paak ki Tilaawat ka yeh faaidah hai. Kasrat say Qur’an ki Tilaawat kiya karo. Ramzaan kay maheenay mein, Rozay ki haalat mein, Ramzaan ki raaton mein kasrat say Tilaawat-e-Qur’an ka aik faaidah yeh hai keh banday ki zabaan manfi umoor say kat jaye gi. Manfi umoor kya hain? jin ko Afaat-ul-Lisaan kaha jata hai. Zabaan ki aaftein: Gheebat, Jhoot, Darogh goi, Chughli, ilzaam tarashi, Bohtan tarazi, Yeh zabaan ki woh aaftein hain jo banday ko barbaad kar deti hain.

Yeh baat yaad rakho! Jis cheez kay jitnay fazaail zayada hon us cheez ki qadar ko agar zaya karo gay to gunah bhi usi miqdaar mein hoga. Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) jin kay amal, Jin ki nekiyan, Jin ka uswah, Jin ki seerat ummat kay liye ideal hai. Allah nay farmaya keh agar tum kuffar ki taraf maail ho gaye, Masiyat ki taraf maail ho gaye to tumhein zindagi mein bhi dohra azaab doon ga aur Qayaamat kay din bhi dohra azaab. (Bani Israeel: 74-75) Isi tarah Ramzaan kay taqaddus ko agar majrooh karo gay, Rozah rakh kar jhoot bolo gay, Ya gheebatein karo gay, Is ka wabaal bhi isi tarah shadeed hoga jis tarah us ka sawab azeem hai. Sawab kya hai? الصَّوْمُ لِي وَأَنَا أجْزي به Hadees-e-Qudsi hai, Allah Ta’ala farmata hai keh Rozah meray liye hai, Us ki jaza mein hi day sakta hoon aur koi nahin day sakta. (Bukhari: 7492) Kisi ko maloom hi nahin us ki jaza. Saaray farishtay mil kar bhi is ki jaza nahin day saktay. Unhein pata nahin is ka sawab kya hai. Is ka sawab mein hi doon ga. To is liye is azeem ibaadat ka taqaddus pamaal karo gay to wabaal bhi usi tareeqay say hoga. Wabaal kya hai? بُعْدًا لمَنْ أَدْرَكَ رَمَضَانَ فَلَمْ يُغْفَرُ لَهُ “Jo Ramzaan ka maheena paalay aur phir apnay gunah bakhshwa na sakay, Usay Allah ki rahmat say dhutkara diya jata hai.” (Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 2/3) Allah ki rahmat mein us ka koi hissa nahin. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: مَنْ لَّمْ يَدَعْ قَوْلَ الزُّوْرِ وَالْعَمَلَ بِهِ فَلَيْسَ لِلَّهِ حَاجَةٌ فِي أَنْ يَّدَعَ طَعَامَهُ وَشَرَابَهُ “Jo shakhs jhoot kehna aur jhoot apnana na choday (Ramzaan kay maheenay mein) to Allah Ta’ala ko us kay bhooka aur piyaasa rehnay ki koi zaroorat nahin.” (Bukhari: 1903) Woh yeh dhong chod day, Jaye khaaye piye, Is ka koi faaidah nahin. Wabaal bhi itna hi shadeed. To kiun na is zabaan ki hifazat ki jaye aur is ka behtareen formula Tilaawat-e-Qur’an hai. Qur’an padho gay to dil naram hoga, Bandish door hogi. Rukawatein door hongi. Adawaten door hongi. Aur Qur’an ki Tilaawat kay dauran mein gheebat ka sawal hi peda nahin hota. Aur jab dilon ki ranjishen door ho jayein gi to mustaqbil mein zabaan mahfooz rahay gi. Yeh Qur’an-e-Paak ki Tilaawat ka phal hai.

Bandah zindagi bhar neek amal karta hai aur neek amal kartay kartay jannat kay dahanay par pohanch jata hai. Hadeeson mein شبر (Balisht) kay alfaaz hain to us kay aur jannat kay darmiyan mein aik balisht ka faasla baqi reh jata hai aur wahan panch kar zabaan say aik kalma aisa bolta hai, Aik baat aisi keh deta hai keh us ki aik hi baat us ko jahhanum mein phenk deti hai. (Bukhari: 6478) Is mein koi tameez nahin chottay baday ki. Ghalat bol bolnay wala koi ho, Bada ho, chotta ho, Gunah gaar ho ya koi neekokaar ho. Sayyidah Ayesha Sidduiqa رضي الله عنها ka itna ooncha maqaam hai. Unhein aisay sharaf aur Imtiyaz haasil hain keh shayad hi ummat kay kisi insaan ko haasil hon. Allah kay paighambar say poocha gaya: Aap ko sab say badh kar piyaar kis say hai? Farmaya keh Ayesha say. (Bukhari: 3662) Aik Hadees mein aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: فَضْلُ عَائِشَةَ عَلَى النِّسَاءِ كَفَضْلِ الثَّرِيدِ عَلى سَائِرِ الطَّعَام “Ayesha ki fazeelat duniya ki tamaam aurton par aisi hai jesay sareed ki fazeelat tamaam khaanon par hai. (Bukhari: 3433) Allah kay paighambar ko khaanay mein sab say zayada sareed pasand tha. Sareed boltay hain roti kay tukray kar kay un ko shorbay mein bigho diya jaye. Jab woh achi tarah naram aur mulaaim ho jaye to phir aap us ko tanawul farmayein. Isay sareed boltay hain. Farmaya keh jo sareed ki fazeelat tamaam khaanon par hai, Woh Ayesha ki fazeelat tamaam aurton par hai.

Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) Ayesha Siddiqa kay saath jinhen yeh Imtiyaz haasil hai, Aik lehaaf oodhey so rahay hotay, Is haal mein Jibreel wahi lay kar aa jatay. (Bukhari: 2581) Aur ba’az auqaat wahi lay kar aatay aur jatay huway kehtay keh Ayesha ko mera salam kehna. (Bukhari: 3768) Un par ilzaam laga to bar’at kay liye Allah nay wahi utaar di. (Al Noor: 11) Aisi wahi jo taa Qiyaam-e-Qayaamat minbaron par aur mehrabon mein padhi jaye gi. Qur’an ka hissa ban gai. Itni azeem un ki shaan, Itna azeem un ka maqaam, Ummat ki faqeeha, Ummat ki muhaddisa, Do hazaar say zayada jinhon nay Allah kay paighambar kay amal aur farameen muntaqil farmaye. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay amal dekhay aur muntaqil farmaye. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Hadees hai keh tum mein do cheezein chod kar ja raha hoon: Aik Qur’an doosri cheez meray Ahal-e-Bait. (Tirmizi: 3786-3788) Is kay kya maana? Hamaray paas Qur’an hai aur Ahal-e-Bait hain. Ahal-e-Bait taqreeban meri aadhi zindagi ka amal tum tak pohanchayein gay. Mein ghar mein kya karta hoon? Yeh aam log nahin jaantay, Yeh meray ghar walay jaantay hain. Yeh Ilm meray Ahal-e-Bait tum tak pohanchayein gay. To is Hadees ka misdaaq sab say awwal kon hai? Ayesha Siddiqa رضی اللہ عنہا jo Allah kay paighambar ki do hazaar say zaaid sunnatein aur aap ka Ilm aur aap kay farameen naqal karti hain. Kitna ooncha maqaam hai? Aik dafa Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki aik biwi nay doosri biwi ko thigna keh diya keh chottay pan ki ho, Aur un ka qad waqaye chotta tha. Jo aib bayan kiya woh mujood tha. Allah kay Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: لَقَدْ قُلْتِ كَلِمَةً لَّوْ مُزجَتْ بِمَاءِ الْبَحْرِ لَمَزَجَتْهُ (Abu Dawood: 4875) “Tum nay aik aisi baat keh di hai keh tumhari baat agar samandar mein daal di jaye to samandar ka paani kadwa aur siyah ho jaye.” Y’ani tumharay is aik kalmay ko, Tumhari is aik baat ko samandar mein gira doon samandar kay paani ki safedi khatam ho jaye, Paani siyah tareen aur kadwa tareen ho jaye. Is mein koi farq nahin hai keh gheebat karnay wala kon hai: Koi gunah gaar hai ya koi Masjid ka choudhri hai, Koi Madrasay ka muhtamim hai ya koi haaji hai ya koi muttaqi aur parhaizgaar hai, Koi bhi hai. Ayesha say badh kar koi nahin ho sakta. Allah-u-Akbar. Is liye zabaan kay ghalat istemaal ko rokein. Bandah jab tak Qur’an padhay ga, Kisi ki gheebat nahin karay ga. Is liye kasrat say Qur’an-e-Paak ki Tilaawat ka ahtimaam karein. Rozry ki jo hifazat hai us mein markazi kirdaar Qur’an-e-Paak ki Tilaawat ka hai.

Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: إِنَّ لِلَّهِ عِنْدَ كُلِّ فِطْرِ عُتَقَاءَ (Ibn-e-Maajah: 1643) Ramzaan mein Allah kay kuch banday ateeq hain. Itaaqa, Ateeq ki jama hai. Ateeq boltay hain azad kardah ghulaam ko ya aisay shakhs ko jisay azad kar diya jaye. Jail say azad kar diya jaye ya kisi takleef say azad kar diya jaye, Ya kisi ghulaami say azad kar diya jaye. Farmaya keh Ramzaan kay maheenay mein kuch Allah kay Ateeq hain jin ko Allah apnay khaas order say jahhanum say azad karta hai aur kab karta hai? عِنْدَ كُلِّ فِطْرِ Ramzaan mein har iftaari kay waqt, Allah apnay order say un ko jahhanum say azad kar deta hai. Yeh bhi badi fazeelat hai. Iftaar kay waqt is liye keh un ka din bhar ka mamool dekha jata hai. Roza un ka mahfooz raha hai ya nahin? Aankhon say kya dekha? Agar din bhar aankhon say Qur’an dekhtay rahay, Allah Ta’ala kay farameen dekhtay rahay yeh aankhon ki kitni badi ibaadat hai. Muhaddiseen nay likha hai keh Qur’an ka hafiz bhi ho to us kay liye bhi behtar hai keh zabani padhnay kay bajaye dekh kar padhay taakeh aankhon say Qur’an ko dekhnay ka sawab bhi usay milay. Rozah haathon ka bhi hai, Rozah zabaan ka bhi hai, Rozah kaanon ka bhi hai. Buland awaaz say padhay ga, Apni awaaz ko khud sunay ga, Aankhon say Quran dekhay ga, Zabaan say Qur’an ki Tilaawat karay ga Rozay ki haalat mein.

 

Allah achi awaaz ko pasand karta hai

 

Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki hadees hai: مَا أَذِنَ اللَّهُ لِنَبِيِّ مَّا أَذِنَ لِنَبِيّ أَنْ يَتَغَنَّى بِالْقُرْ آن (Bukhari: 5024) Allah Ta’ala kisi kalaam aur kisi baat ko itni tawajjah aur shoq say nahin sunta jitna shoq say Qur’an ki Tilaawat sunta hai. Bandah Qur’an padh raha hai, Koshish karay achi awaaz say padhay. Achay tareeqay say gaaye, Aisa na gaaye keh Qur’an ko bigaad day. Shad aur mad ko bigaad day. Jis tarah hamaray ba’az waa’z jhoom jhoom kar padhtay hain. Woh Qur’an kya padhtay hain? Qur’an ki tauheen kartay hain. Achi awaaz say padhna aur gaana doosra gaana nahin. Qur’an-e-Paak kay qawaaid ka, Tilaawat kay qawaaid ka, Mukhrij ka, Haroof ki adaaigi ka aur jo zabar, Zair tamaam harkaat hain aur jo mad aur shad hain, Har cheez ka a’itbaar karay aur achi awaaz nikaalnay ki koshish karay. Is achi awaaz ko jis shoq say Allah sunta hai, Utnay shoq say duniya ki kisi aur baat ko nahin sunta. Allah kitnay shoq say banday ko dekh raha hai. To Tilaawat-e-Qur’an kay kitnay mahaasin hain. Bandah Qur’an ko dekh raha hai, Yeh aankhon ki ibaadat hai. Bandah Qur’an ki Tilaawat kar raha hai to yeh bani us ki zabaan ki ibaadat. Apni Tilaawat ko sun raha hai to yeh huwi us kay kaanon ki ibaadat aur us ka waqt Allah Ta’ala ki ibaadat mein sarf ho raha hai. Manfi umoor say bacha huwa hai, Woh khud zabaan ki aafton say mahfooz hai. Isi tarah agar us ka Rozah guzarta jaye to bila aakhir jab iftaar ka waqt hoga, Us ka Rozah tamaam gunaahon say paak hoga to Allah Rab-ul-Izzat iftaar kay waqt us banday ko jahhanum say azad karnay ka parwana aur apna hukum jaari kar day ga aur har roz aisa hoga.

 

Aitkaaf ki fazeelat

 

Khaas taur par meray mukhtalif bhai jo aitkaaf mein bethay huway hain, Jo aitkaaf ki chaardeewari mein chuppay huway hain, Koshish karein keh zayada waqt andar hi guzaarein. Logon say chup kar Qur’an ki Tilaawat karein, Allah ka zikar karein. Yeh aitkaaf ki ibaadat isi liye hai taakeh bandah riyakaari say bachnay ki poori koshish karay. Chaardeewari kay andar mahsoor hai, Kisi ko maloom nahin andar kya ho raha hai. Woh andar Allah ka zikar karay, Qur’an ki Tilaawat karay, Apna ikhlaas paish karay, Isi liye is ibaadat ki itni shaan hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم)  ka farmaan hai: من اعْتَكَفَ يَوْمًا Jo aik din ka aitkaaf kar lay Allah kay liye, Aik din ka aitkaaf جَعَلَ اللهُ بَيْنَهُ وَبَيْنَ جَهَنَّمَ ثَلَاثَ خَنَادِقَ كُلُّ خَنْدَقٍ أَبْعَدَ مِمَّا بَيْنَ الْخَافِقَيْنِ (Zaeef Al Targheeb wal Tarheeb: 1/167) Aik din ka aitkaaf kar lay, Allah us kay aur jahhanum kay darmiyan teen khandaqein khudwa deta hai. Har khandaq ka faasla Mashriq aur Maghrib kay faaslay kay baqadar hoga. Yeh khandaq itni chaudi hoti hai keh us ka faasla Mashriq aur Maghrib kay faaslay kay baraabar hota hai. Jahhanum say itni doori peda ho jati hai. Yeh to aik din kay aitkaaf ki fazeelat hai aur agar yeh aitkaaf pooray ashray ka ho, Das din ka ho, Das raaton ka ho to is ka sawab kitna hoga. Koshish karein keh andar rahen, Allah ka zikar karein, Qur’an-e-Paak ki Tilaawat karein, Allah kay paighambar par durood bhejen. Is ka faaidah yeh bhi hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki aik Hadees ka mafhoom hai. Aik shakhs agar Qur’an-e-Paak padhta rahay to us kay dil ki jo bhi tammanayein hain, Jo bhi khuwaishaat hain Allah bin maangay poori kar day ga. (Tirmizi: 2926)

To haqeeqat yeh hai keh Ramzaan ka aur Qur’an ka bada gehra talluq hai. Qur’an ka nuzool is maheenay mein huwa. Aur Rozay ki haalat mein Qur’an ki Tilaawat is liye bhi zaroori hai keh Rozah aur Qur’an Lazim-o-Malzoom hain. Yahan bhi ikatthay aur Qayaamat kay din bhi ikatthay aayein gay aur banday ki shafaa’at karein gay, To haqeeqat yeh hai keh nekiyon kay yeh mawaqay hain, In ko zaya na karein. Qur’an-e-Paak ki Tilaawat karein aur apnay Rozay Qur’an-e-Paak ki Tilaawat say muzzayan karein taakeh woh fazaail ham ko haasil hon jin ki barkat say iftaar kay waqt Allah Ta’ala in gardanon ko jahhanum say azaad kar day.

 

Rozedaar kay liye do khushiyaan

 

للصَّائِمِ فَرْحَتَانِ، فَرْحَةٌ عِنْدَ فِطْرِهِ وَفَرْحَةٌ عِنْدَ لِقَاءِ رَبِّهِ (Muslim: 1151) Allah Ta’ala Rozay daar ko do moqon par khush kar day ga. Aik iftaar kay waqt Allah usay khush kar day ga. Yeh khushi do tarah ki hai: Aik rohani aur aik jismani. Jismani khushi is tarah keh iftaari ki nematein saamnay padi huwi hain, Bandah din bhar ka bhooka aur piyaasa. Iftaar karay ga, Allah ki yeh nematein khaye ga, Yeh bhi khushi ki baat hai. Allah ka rizq khaye ga, Bandah bhi khush aur Allah bhi khush hai aur Allah khush kiun na ho? Allah ka pakeeza rizq Allah kay neek banday khaa rahay hain. Allah khush kiun na ho? Allah apnay banday say piyaar karta hai, Itna piyaar keh aisa piyaar maa apnay betay say nahin karti. Aur aap dekhtay hain keh maa betay ko kis tarah khilaati hai? Khaana lay kar betay kay peechay peechay ghhoomti hai. Beta aagay bhaag raha hai, Zid kar raha hai nahin khayoon ga aur maa minnatein kar rahi hai keh khaye. Jab beta khaata hai to kitni khush hoti hai maa!! Meray betay nay khaa liya. Beta na khaaye to maa raat bhar tadapti hai keh beta bhooka so gaya. To Allah ko to maa say bhi zayada piyaar hai apnay bandon say. Allah ki nematein aap khayein gay, Allah kitna raazi hoga. Iftaar kay dastarkhawan ko wasi karo, Khud bhi khaaw, Datt kay khaaw aur apnay bhaiyon ko bhi khilayo. Dawat-e-Iftaar karo. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: “Jo kisi Rozedaar ko iftaar karwaye ga, Allah Ta’ala usay un Rozedaaron kay baarabar sawab day day ga, Is tarah keh un kay sawab mein kami nahin hogi. Aik to yeh khushi hai. Doosri khushi rohani khushi hai keh us waqt Allah Rab-ul-Izzat apnay ba’az bandon ko jahhanum say azaad kar deta hai.

Aur doosri khushi kab hogi? عِندَ لِقَاءِ رَبِّہ Jab yeh bandah apnay Rab say ja milay ga. Duniya ko chod jaye ga. Apnay kaaroobaar, Rishtedaar, Biraadri aur qoum sab ko chod jaye ga, Apnay parwardigaar say ja milay ga. Us waqt Allah Rab-ul-Izzat banday ko itna nawazay ga, Itna nawazay ga keh bandah khush ho jaye ga. Koi pareshani baqi nahin rahay gi. فَرْحَةٌ عِنْدَ لقاء ربه “Doosri khushi us waqt hogi jab bandah apnay Rab say ja milay ga.” Ramzaan ki yeh shaan hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai keh Allah Ta’ala jannat say kehta hai: استعدي وتزيني لعِبادي “Aey jannat tu tayyar hoja aur meray bandon kay liye saj ja.” يُوشِكُ أَنْ يَسْتَرِيحُوا مِنْ تَعْبِ الدُّنْيَا إِلَى دَارِي وَكَرَامَتِي (Zaeef Al Targheeb wal Tarheeb: 1/147) Mumkin hai meray banday Ramzaan kay maheenay mein duniya ko chod kar meray paas aa jayein. Duniya ki mushaqqaton say araam paanay kay liye meray paas aa jayein. Us waqt un ki zayafat kay liye, Un kay istaqbaal kay liye to bilkul tayyar ho, Saji sanwri ho, Bilkul tayyar hoja. Ramzaan ka maheena woh maheena hai jab Allah Rab-ul-Izzat apni jannat ko sanwarta hai, Jannat ko sanwarnay ka hukum deta hai, Jannat to sanwri huwi. Mazeed husun peda hota hai, Mazeed nazafat peda hoti hai. Kin kay liye? Rozedaar bandon kay liye. Allah Ta’ala Hamein is Maah-e-Siyaam ka haq adaa karnay ki taufeeq day. Qur’an ki Tilaawat kay saath apnay Shab-o-Roz ko muzzayan karnay ki taufeeq ataa farma day.

 

وَأَقُولُ قَوْلِي هَذَا وَأَسْتَغْفِرُ اللهَ لِي وَلَكُمْ وَآخِرُ دَعْوَانَا أَنِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ.

 

 

Reference:
Book: “KHUTBAT”
“Allamah Fazilatus Shaikh Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullahu Ta’aala”

 

 

Table of Contents