Search
Sections
< All Topics
Print

Hajj Pe Jaane Se Pahle Maafi Mangna

Hajj Pe Jaane Se Pahle Maafi Mangna

 

Tahreer : Shaykh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah , Jeddah Dawah Center Saudi Arabia

 

Hajj pe jaane se pshle pure Khulus ke saath apne Gunahon se Toubah karni chahiye aur Aainda Nah karne ka Azm-e-Mosam’mam kya jaye, agar kisi ko Dukh pahunchaya ho to Us se Maafi mangni chahiye, kisi ka Haq dabaaya ho to Maafi ke saath us ko wapas kardena chahiye, Haqdaar nah milay to Sadqah karna chahiye, saath hi Niyat rahay ki jab milay ga to wapas kar den ge.

Islam me Huqooq ul Ibaad ki Ahmiyat pe bohat ziyada ubhara gaya hai, aur yeh woh Haq hai jis ko khud Banda hi Maaf kar sakta hai, warna Allah Maaf nahi karay ga, agar isi haalat me Duniya se chala gaya to Aakhirat me us ki Neki Mazloom ko de di jayegi.

 

Rasool-e-Akram (ﷺ) ka Irshad-e-Gerami hai:

 

«من كانت عنده لأخيه مظلمةٌ فليتحلَّل منه قبل ألا يكون درهمٌ ولا دينارٌ، إن كان له عملٌ صالحٌ أُخِذ منه بقدر مظلَمته، وإن لم يكن له حسناتٌ أُخِذ من سيئات صاحبِه فحُمِل عليه» ’’

 

“Jis kisi ne apne Bhai par Zulm kiya ho to us se us Din se pahle Muamla Hal kar le jis Din us ke paas Dirham o Deenar Baqi nah rahen ge. Agar us ke paas koi Nek Amal ho ga to us ke Zulm ke baqadr le liya jayega aur agar us ke paas Nek Amal nah hon ge to Mazloom Shaks ki Buraiyan us ke Khatay me daal di jayen gi .”

 

Aur Sahih Muslim me Hazrat Abu Hurairah (رضى الله عنه) se Riwayat hai ki Nabi Kareem (ﷺ) ne Sahaba Kiram se poocha: ‘Tum me Muflis kaun hai?’

Sahaba ne kaha: ‘Jis ke paas Dirham o Deenar nah hon woh Muflis hai.’

Aap (ﷺ) ne farmaya:

 

«المُفلِسُ من أمتي: من يأتي بصلاةٍ وصيامٍ وزكاةٍ، ويأتي وقد شتمَ هذا، وقذفَ هذا، وضربَ هذا، وسفكَ دمَ هذا، وأخذَ مالَ هذا، فيأخُذ هذا من حسناته، وهذا من حسناته، فإن فنِيَت حسناتُه قبل أن يُقضَى ما عليه أُخِذ من خطاياهم فطُرِحَت عليه ثم طُرِح في النار»

 

‘Meri Ummat ka Muflis woh hai jo (Roz-e-Qiyamat) Namaz, Roze o Zakat ke saath aye ga. Aur us Haalat me aye ga ki us ne kisi ko Gali di hogi, kisi ki Chori ki hogi, kisi ko Maara hoga, kisi ka Khoon bahaya hoga, kisi ka Maal khaya hoga. To uski Nekiyan unko de di jayengi. Aur agar unka Muamla Pura hone se pehle uski Nekiyan khatam ho gain to unki Buraian uske hisse me daal di jayengi aur phir Jahannam me dhakel diya jayega.’

Jab Bandah Hajj jaise Farize ki adaiigi pe ja raha ho aur uske upar kisi ka Haq rah jata ho ya usne kisi ko Takleef di ho to Hajj to ho jayega magar uske is amal ka Gunah uske sar baqi rahe ga ya dusre lafzon me yeh kahen ke is Gunah ki wajah se bohat se Ajr se Mahroom ho jayega.

 

روى مسلم عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : ( تُفْتَحُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَيَوْمَ الْخَمِيسِ فَيُغْفَرُ لِكُلِّ عَبْدٍ لَا يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا إِلَّا رَجُلًا كَانَتْ بَيْنَهُ وَبَيْنَ أَخِيهِ شَحْنَاءُ فَيُقَالُ : أَنْظِرُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا ، أَنْظِرُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا ، أَنْظِرُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا ) .

 

Sahih Muslim Kitab al-Birr was-Silah, bab an-Nahi an ash-Shahna’i wat-Taha’Jar, ke teht Riwayat hai ki

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

‘Har Jumerat aur Somwar ko tamam A’mal pesh kiye jate hain, to us Din Allah Ta’ala har us Aadmi ko Baksh deta hai jo Allah Ta’ala ke saath Shirk nahin karta, Siwaye us Aadmi ke jiske Darmiyan aur uske Bhai ke Darmiyan Adawat ho. Kaha jata hai in Donon ko chhod dijiye, yeha tak ke Sulah kar len.’

(Sahih Muslim 317/2ح: 2565)

 

Allah Ta’ala hame Amal ki Taufeeq bakhshe. Ameen.

 

 

✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
Table of Contents