03. Ka’aba shareef ki Taareekh
✿ Ka’aba shareef ki Taareekh
✦ Wajah-e-Tasmiya:
Allah Ta’ala nay farmaaya:
جَعَلَ اللّٰهُ الۡـكَعۡبَةَ الۡبَيۡتَ الۡحَـرَامَ قِيٰمًا لِّـلنَّاسِ
“Allah Ta’ala nay hurmat waalay ghar Ka’aba ko logon kay qiyaam ka zariy’a banaaya.”
[Surat Al-Maaida: 97]
Ka’aba, Allah Ta’ala ka qabil-e-ehtiram ghar hai jo Masjid-e- Haraam kay darmiyaan mein waaqe’ hai.
Usay Ka’aba kehnay ki wajah ‘Allaamah Azraqi nay *Abu Najeeh * kay hawaalay say youn bayaan ki hai:
Is ka naam “Ka’aba” is liye rakha gaya hai keh yeh takhnay ki tarah baaqi zameen say ouncha tha isi liye isay “Murab’ah” bhi kaha gaya hai. ‘Ikrimah aur Mujaahid ka yehi qaul hai kyunkay jab chaadar ki chaar tahein laga di jaaein to usay ‘arabi mein mak’ab chaadar kaha jata hai.”
Dusra qaul yeh hai keh is kay buland aur numaayaan honay ki wajah say usay Ka’aba kaha jaata hai. Isay “Bayt Atiq” bhi kaha jaata hai kyunkay Allah Ta’ala nay isay kaafir Baadshaahon say aazaad rakha hai, Syedna ‘Abdullah bin Zubair (رضی اللہ عنھما) say riwaayat hai keh Nabi Kareem (ﷺ) nay farmaaya:
إِنَّمَا سُمِّيَ الْبَيْتُ الْعَتِيقَ لِأَنَّهُ لَمْ يَظْهَرُ عَلَيْهِ جَبَّارٌ
“Ka’aba ko Bayt Atiq is liye kaha gaya hai keh koi kaafir Baadshah is par qaabiz nahi hua.” 1⃣
[Jaame’ Tirmidhi, Hadees: 317 Imam Tirmidhi nay kaha: Hassan ghareeb hai, Haakim nay kaha: Bukhaari ki shart par sahih hai aur Shaikh Al Baani nay kaha: za’eef hai]
✿ Ka’aba ki Ta’ameer
Ka’aba aik se zaaid martaba banaaya gaya mashhoor yeh hai keh paanch martaba is ki ta’amer hui.
➤ Pehli martaba Farishton nay banaaya.
➤ Doosri martaba Adam (علیہ السلام) nay banaaya.
➤ Teesri martaba Ibrahim (علیہ السلام) nay banaaya.
➤ Chauthi martaba Quraysh nay daur-e-jaahliat mein banaaya. Us mauq’a par Nabi Kareem (ﷺ) bhi mojood thay. Us waqt Aap ki ‘umar pachees saal thi.
➤ Paanchwin martaba Hazrat ‘Abdullah bin Zubair (رضی اللہ عنہ) nay banaaya.
✿ Ibrahim wa Isma’il (علیھما السلام) ki ta’ameer-e-Ka’aba
Jab Sayeda Hajar (علیہا السلام) kay haan Isma’il (علیہ السلام) paida hue to Sayeda Sarah (علیہا السلام) ko bohat ghairat mehsoos hui. Unhon ne Syedna Ibrahim (علیہ السلام) say mutaalba kiya keh yeh mujhay nazar na aae. Syedna Ibrahim (علیہ السلام) Hazrat Hajira (علیہا السلام) aur un kay bachay ko lay kar chal pade aur unhein wahaan thehraaya jahaan aaj Makkah Mukarramah hai.
Syedna Ibrahim (علیہ السلام) ba’ad mein unhein milnay aur khabar geeri karnay jaaya kartay thay. Aik dafa’a tashreef laaye to Syedna Ismael (علیہ السلام) Zamzam ki jagah kay qareeb aik darakht kay neechay apne teer durust kar rahay thay. Jab unhon ne waalid mohtaram ko aatay dekha to lapak kar utthay donon aik dusray se gale mile aur muhabbat wa pyaar ka izhaar kiya. Syedna Ibrahim (علیہ السلام) farmaanay lagay:
“Isma’il! Allah Ta’ala ne mujhe aik hukum diya hai.”
Woh kehnay lage:
“Theek hai jaisay Allah Ta’ala nay hukum farmaaya hai, baja laaein.”
Unhon ne farmaaya:
“Aap meri madad karein ge?”
Woh kehnay lage:
“Zaroor karoon ga”
Syedna Ibrahim (علیہ السلام) ne bataaya:
“Mujhe Allah Ta’ala ne hukum diya hai keh main yahaan Allah ka ghar banaun. (Yeh baat unhon ne aik buland teele ki taraf ishaara karte hoye kahi)”
Phir unhon ne mil kar Baytullah ki bunyaadein uthaaein. Syedna Isma’il (علیہ السلام) pathar laatay thay aur Syedna Ibrahim (علیہ السلام) ‘imaarat banaatay thay, hatta keh jab ‘imaarat ounchi ho gai to Syedna Isma’il (علیہ السلام) yeh pathar (Maqaam-e-Ibrahim) laaye aur waalid mohtaram ke paas rakh diya taake is par chadh kar ‘imaarat bana sakein. Syedna Isma’il (علیہ السلام) unhein pathar pakdaate thay aur woh donon ta’ameer ke waqt Baytullah ke ird gird ghoomtay hoye yeh dua padhte thay:
رَبَّنَا تَقَبَلُ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
“Aey hamaaray Parvardigaar! (yeh kaam) hamaari taraf se qubool farma. Yaqeenan Tu khoob sunnane aur jannane waala hai.”
[Surat Al-Baqrah: 127]
✿ Quraysh ki ta’ameer-e-Ka’aba
Rasool Allah (ﷺ) kay e’laan-e-Nabuwwat se kuch ‘arsa qabal Baytullah, cement ke baghair aik dosray par rakhay hue saada patharon ki soorat mein tha. Is ki ounchaai insani qad se zaaid thi. Kuch logon ne Ka’aba ka khazaana lootne ka programme banaaya jo keh Ka’aba ke andar aik kunwein mein tha. Is liye Quraish ne iraadah kiya keh isay mazeed ouncha kar keh chhat daal di jaaye.
Ittifaaqan un dinon samandar ne Jaddah ke qareeb aik Roomi taajir ka jahaaz saahil ki taraf pheink diya woh toot phoot chuka tha. Quraish-e-Makkah ne us ki lakdi ko chhat ke liye muntakhib kiya. Jab saabiqa ‘imaarat giraanay ka waqt aaya to log darnay lage magar Waleed bin Mughira ne giraana shuru’ kar diya . Jab usay kuch na hua to dusray log bhi us ke saath shaamil ho gaye.
*Nabi Kareem (ﷺ) ka Hijr-e-Aswad nasb farmaana*
Tamaam Quraishi qabaail nay Ka’aba ki ta’ameer kay liye apnay apnay taur par alag alag pathar jama’ kiye phir Ka’aba ki ta’ameer shuru’ hui. Jab ‘imaarat “Hijr-e-Aswad” waali jagah tak ounchi ho gai to un mein jhagda uth khada hua. Har qabeela chaahta tha keh Hijr-e-Aswad nasb karne ki s’aadat hamein hi haasil hatta keh woh aik dusray se door ho gaye aur ladaai kay liye tayyaar ho gaye.
Chaar paanch din isi tarah guzar gaye phir woh Masjid-e-Haraam mein jama’ hoye aur baahami mahswara shuru’ kiya taake haq wa insaaf se faisla ho sake. Ba’az muarrikhiin ke mutaabiq Abu Umayya bin Mughira ibn Abdullah ibn Umar ibn Makhzūm ne jo keh us waqt Quraysh mein sab se buzurg shakhs thay yeh tajweez paish ki keh is ikhtilaaf ko tay karne ke liye tum us shakhs ko faisal maan lo jo kal subah sab se pehlay Masjid mein daakhil ho. Woh sab maan gaye. ittefaq aisa hua keh aglay din sab se pehlay daakhil honay waalay Rasool Allah (ﷺ) thay. Woh sab kehnay lage:
“Yeh amaanat daar shakhs hain hum in ke faislay par raazi hain.”
Jab Aap (ﷺ) un ke paas puhanche to unhon ne poori soorat-e-haal Aap ke saamnay paish ki. Aap ne farmaaya:
“Mere paas aik kapda laao.”
kapda laaya gaya to Aap (ﷺ) ne apne dast-e-mubaarak se Hijr-e-Aswad us mein rakh diya phir farmaaya:
“Har qabeela is kapday ka koi na koi kinaara pakad le phir sab mil kar uthaao.”
Jab woh is tarah utha kar asal jagah ke paas puhanche to Aap (ﷺ) ne apne dast-e-mubaarak ke saath Hijr-e-Aswad asal jagah par nasb farma diya. Sab log is tadbeer se bohat khush hue.
[Seerat Ibn Hashaam: 234,233/1.]
✿ Abdullah bin Zubair (رضی اللہ عنھما) ki ta’ameer-e-Ka’aba
Jab Syedna ‘Abdullah bin Zubair (رضی اللہ عنہ) ne Yazid bin M’uawiya ki baeit karne se inkaar kar diya aur hukoomat ki taraf se khatrah mehsoos kiya to unhon ne Harram Makkah mein panaah lainay ka iraadah kiya. Unhon ne apne dost ahbaab jama’ kiye, Yazid ki kharaabiyon ka tazkara kiya aur banu Umayya ki datt kar mukhaalifat ki.
Yazid ko pata chala to us ne unhein qaid karne ke liye apne lashkar bhejnay ka faisla kiya. Abhi Yazid lashkar ki tayaari hi mein masroof tha keh usay ittila’ mili keh ahal-e-Madinah ne us ke governo
aur Banu Umayya ke afraad ko Madinah Munawwara se nikaal diya hai, albatta Syedna ‘Usmaan (رضی اللہ عنہ) ke khaandan ko rehne diya hai. To us ne pehlay Ahl-e-Madinah ki sarkobi ke liye lashkar bheja.
Jab yeh shukar fatah mand hua to is ne is lashkar ko Husain bin Numair ki qayaadat mein Makkah jaane ka hukum diya. Us lashkar ne Makkah Mukarramah ja kar chand din ladaai ki, Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ne apne saathiyon ko jama’ farmaaya aur Masjid-e-Haraam mein panaah guzin ho gaye.
Chunkay Ka’aba ke ird gird khaimon ki kasrat thi. Aik khaimay mein jo aag lagi to woh dusray khaimon tak phail gai. Us din hawwa bhi taiz chal rahi thi. Us waqt Ka’aba lakdi aur pathar se bana hua tha aur oopar ghilaaf bhi tha. Hawwa ke saath sh’olay uday to ghilaaf-e-Ka’aba ko aag lag gai. Aag aisi badhi ke ghilaaf ke saath lakdi bhi jo keh patharon ke darmiyaan thi sab jal gai.
Is tarah Baytullah ki deewarein kamzor ho gai hatta keh oopar se pathar girnay lagay. Agar koi Kabotar bhi Ka’aba ki ‘imaarat par aa bethta to pathar girnay lagtay. Yeh dekh kar Makkah waalay hatta keh Yazidi lashkar waalay (woh log jo Shaam se ladnay ki gharz se yahaan pohanchay thay) bhi ghabra gaye. Hussain bin Numair ne Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) aur un ke saathiyon ka muhaasra kar rakha tha. Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنھما) ne Makkah Mukarramah ke chand mu’atbar logon ko us ke paas bheja, unhon ne Hussain se kaha:
“Jis nojawaan (Yazid bin Mu’awiya) ki Ibn Zubair ne Bae’it nahi ki thi, woh faut ho chuka hai. (Us ki wafaat Ka’aba ko aag lagnay ke sataais (27) din baad hui thi) to ab tum hum se kis liye ladaai par musar ho? tum waapas Shaam chalay jaao aur dekho tumhaaray naye haakim (M’uawiya bin Yazid) ki raaye ka kya anjaam hota hai? log is par muttafiq bhi hotay hain ya nahi.”
Woh log us par musalsal zor dete rahay hatta keh woh Shaam ki taraf laut gaya. Ka’aba ko aag lagnay ka waaq’ia baroz hafta 3 Rabi’ al-awwal 64 h ko paish aaya aur Husain bin Numair ki waapsi 5 Rabi’ al saani 64 hIJRI ko hui. Jab Shami lashkar waapas chala gaya to Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ne Makkah Mukarramah ke sardaaron aur m’uaziz logon ko akatha kiya aur un se Ka’aba ki jali hui ‘imaarat ko giraanay ke baaray mein mahswara liya, bohat kam logon ne is baat ki taaieed ki. Aksar logon ne is se inkaar kiya. Sab se ziyaada is ke mukhaalif Syedna ‘Abdullah bin ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) thay. Unhon ne farmaaya:
“Ka’aba ko usi haalat par rehne do jis haalat mein Rasool Allah (ﷺ) chhod gaye. Warna mujhe khatrah hai tumhaaray ba’ad aanay waalay hukmaraan isay giraatay banaatay rahein ge jis se is ka ehtraam ghaarat ho jaaye ga, haan isi ko murammat waghera kar do.”
Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ne farmaaya:
“Allah ki qasam tum mein se koi bhi yeh baat pasand nahi karta keh apne maa baap ke ghar ko sirf pewand lagaata rahe, to main kaisay Baytullah ko sirf pewand lagaanay par iktifa kar loon? jabkay main dekh raha hoon ke is ki divaarein oopar se neechay tak hil rahi hain aur Kabutar bethnay se bhi is ke pathar girnay lagtay hain.”
Phir kuch din to Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) intezaar aur mahswara farmaatay rahay aakhir unhon ne Ka’aba ki ‘imaarat ko giraanay ka faisla kar liya. Neez woh chaahtay thay keh Baytullah ko asal Ibraahimi bunyaadon par ta’ameer karein jaisa keh Sahiheen mein Sayeda Aisha (رضی اللہ عنہا) se marwi hai keh Rasool Allah (ﷺ) ne mujh se farmaaya:
“Aisha! tujhe ‘Ilm nahi keh jab teri qaum (Quraish) ne Ka’aba banaaya tha to woh Baytullah ko mukammal Ibraahimi bunyaadon par nahi bana sakay thay balkay unhon ne kuch hissa kam kar diya tha.”
Main ne kaha:
“Aey Allah ke Rasool! to phir Aap usay dubaarah Ibraahimi bunyaadon ke
mutaabiq kyun nahi bana dete?”
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaaya:
لوْلا حدْثان قوْمك بالْكفْر لفعلْت
“Abhi teri qaum (Quraish ke log naye naye Musalmaan hue hain, agar un ke murtid honay ka khatrah na hota to Main aisa kar guzarta.”
Syedna Ibn ‘Umar (رضی اللہ عنہ) farmaaya karte thay:
“Mera khayaal hai keh Rasool Allah (ﷺ) ne Hateem waali jaanib ke donob konob ko (tawaaf ke doraan mein) isi liye haath nahi lagaaya tha keh woh sahih Ibraahimi bunyaadon par nahi.” 1⃣
[Sahih Bukhari, Hadees: 1583]
Sayeda ‘Aisha (رضی اللہ عنہا) farmaati hain: Main ne Nabi Akram (ﷺ) se poocha:
“Kya wajah hai Baytullah ka darwaaza ouncha lagaaya gaya hai?”
Aap ne farmaaya:
“Teri qaum (Quraish) ka maqsad yeh tha keh jisay chaahain Baytullah mein daakhil honay dein aur jisay chaahain rok dein.” 2⃣
[Sahih Bukhari, Hadees: 1584, Sahih Muslim, Hadees: 1333]
Aik aur Hadees mein hai:
“Agar yeh baat na hoti keh Quraish abhi abhi Islaam mein daakhil hoye hain to Main Ka’aba ko gira kar dubaarah banaata aur is mein do darwazay laga deta. Aik se log daakhil hotay aur dusray se baahar nikalte.”
Chunaancha Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ne yeh kaam kar diya. 1⃣
Unhon ne Ka’aba ki jalli hui ‘imaarat gira kar usay asal Ibraahimi bunyaad ke mutaabiq bana diya, jab keh Quraish ne (halaal maal ki kami ki wajah se) kuch kam kar diya tha. Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ne Hateem ko Baytullah mein daakhil kar diya aur do darwaazay laga diye, aik mashriqi jaanib aur dusra maghribi jaanib. 2⃣
1. Akhbaar-e-Makkah, Azraqi: 200/1 219. 2. Akhbaar-e-Makkah, Azraqi: 205/1. |
Jab ‘Abdullah bin Zubair (رضی اللہ عنہ) Ka’aba ki ta’ameer se faarigh hoye to unhon ne Ka’aba ko neechay se oopar tak andar baahar khushbu lagaai, qibaati kapday ka naya ghilaaf chadhaaya aur farmaaya:
“Jis shakhs par meri itaa’t zaroori hai (jis ne meri bae’it kar rakhi hai) woh jaaye aur Tan’eem se ahraam baandh kar Baytullah ka umrah kare phir jo shakhs wus’at rakhta hai woh Ount zibah kare aur jo Oont zibah nahi kar sakta woh Bakri zibah kare.”
Phir aap paidal chalay log bhi aap ke saath paidal chalay hatta keh sab ne Tan’eem se ahraam baandh kar umrah kiya. maqsad, Allah Ta’ala ka shukar ada karna tha. Us din se ziyaada kabhi ghulaam aazaad hoye na Ount aur Bakray zibah hoye aur na us din se badh kar kabhi sadqa kiya gaya. Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ne khud so Ount zibah kiye phir jab tawaaf kiya to chaaron konon ko haath lagaaya aur farmaaya:
“Raool Allah (ﷺ) ne in do (shumaali wa gharbi) konon ko is liye haath nahi lagaaya tha keh us waqt Baytullah mukammal nahi tha.”
Is ke ba’ad Baytullah isi haal par raha jab koi shakhs tawaaf karta to chaaron konon ko haath lagaata aur mashriqi darwaazay se Baytullah mein daakhil ho kar maghribi darwaazay se nikalta. Darwaazay zameen par thay. Hatta keh Syedna Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) Shaheed kar diye gaye. Hajjaaj, Makkah mein daakhil hua. Us ne khalifa ‘Abdul Malik bin Marwan ko Ibn Zubair (رضی اللہ عنہ) ki ta’ameer ka saara waaqi’a likh bheja. ‘Abdul Malik ne jawaab mein likha:
“Maghribi darwaaza jisay Ibn Zubair ne banaaya hai band kar do aur jo Baytullah ki ‘imaarat mein Hijr ki jaanib izaafa kiya hai woh bhi gira do.”
Hajjaaj ne chhay haath aur aik baalisht (taqreeban das foot) Hijr ki taraf se ‘imaarat gira di aur pehli tarah ka ghilaaf chadha diya. Baaqi mein koi tabdeeli nahi ki. Baad mein ‘Abdul Malik ko Hazrat ‘Aisha (رضی اللہ عنہا) ki Hadees pohanchi to usay apne hukum par bohat afsos hua lekin us ne Baytullah ko isi tarah rehne diya, is mein koi izaafa na kiya. 1⃣
[Sahih Muslim, Hadees: 1333]
Jab Waleed bin ‘Abdul Malik ki khilaafat ka daur aaya, to us ne Makkah Mukarramah ke governor Khalid Qasri ko chhatees hazaar (36000) dinaar bheje. Us ne Ka’aba ke darwaazay par naalay aur androoni satunon waghera par sonay ke patray chadha diye. Islaami taareekh mein Waleed bin ‘Abdul Malik woh pehlay khalifa hain jinhon ne Baytullah mein sonay ka kaam karaaya.
✿ Waaqi’a Ashaab-e-Feel
Sardaar ‘Abdul Mutalib ke daur mein aik ‘azeem al shaan waaqi’a ronuma hua jisay Quran Majeed ne bayaan kar keh taareekh mein zindah rakha hai. Yeh Haathi waalon ka waaqi’a hai. Baat youn hui keh Yaman ke Baadshaah Abrah Habshi ne “Sana’a”, shehar mein aik gir ja ta’ameer kiya jisay Qullais kaha jaane laga maqsad yeh tha keh ‘arabi log Hajj karne ke liye “Ka’aba” ke bajaaye yahaan aaein. ‘Arbon ko is par bohat taish aaya. Aik Kunaani aadmi ne is girja Qullais mein gandagi kar di. Abrah ko pata chala to us ne ghazabnaak ho kar qasam uthaai keh main Baytullah ko gira kar dam loon ga. Phir us ne habshiyon ko tayaari ka hukum diya aur Haathi le kar Makkah ki taraf chal pada.
Jab Abrah, Taaif ke raastay mein Mukhammas maqaam par farokash hua to us ne Aswad bin Maqsood Habshi ko chand sawaar day kar Makkah ki taraf bheja. Us ne Tihaama ke ‘ilaaqay mein Quraishiyon aur dusray logon mein loot maar ki hatta keh woh ‘Abdul Mutalib bin Hashim ke do so (200) Ount bhi le gaya. ‘Abdul Mutalib hi un dinon Quraish ke baday aur sardaar thay. Pehlay to Quraish Kunaanah aur Huzail ke qabaail ne is ka muqaabla karne ki thaani magar jald hi unhein pata chal gaya keh woh is ka muqaabla nahi kar satke lihaaza woh chup ho gaye.
Abrah ne Hunaata Hummairi ko Makkah bheja keh ja kar is shehar ke sardar se milo aur usay meri taraf se peghaam do keh main us se ladnay nahi aaya. Main to sirf Baytullah dhaanay aaya hoon, agar tum rukaawat na bano to mujhe khoon raizi ki zaroorat nahi. Agar sardaar jung na chaahta ho to usay mere paas le aao.
✿ Surat Al-Feel
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
اَلَمۡ تَرَ كَيۡفَ فَعَلَ رَبُّكَ بِاَصۡحٰبِ الۡفِيۡلِؕ ۞
اَلَمۡ يَجۡعَلۡ كَيۡدَهُمۡ فِىۡ تَضۡلِيۡلٍۙ ۞
وَّاَرۡسَلَ عَلَيۡهِمۡ طَيۡرًا اَبَابِيۡلَۙ ۞
تَرۡمِيۡهِمۡ بِحِجَارَةٍ مِّنۡ سِجِّيۡلٍ ۞
فَجَعَلَهُمۡ كَعَصۡفٍ مَّاۡكُوۡلٍ ۞
Jab Hunaatah Makkah pohancha to us ne poochha:
“Shehar ka sardaar kon hai?”
Usay bataaya gaya keh Makkah ke sardaar, ‘Abdul Mutalib bin Hashim hain. Woh un ke paas aaya aur Abrah ka peghaam pohanchaaya. ‘Abdul Mutalib kehnay lage:
“Allah ki qasam! hum us se ladna nahi chaahtay na hamein itni taaqat haasil hai. Yeh Allah Ta’ala ka qaabil-e-ihtraam ghar hai jisay Khalil Ullah Ibrahim (علیہ السلام) ne banaaya tha. Agar Allah Ta’ala ne is ghar ko bachaana chaaha to bacha lay ga. Yeh Us ka ghar aur Haram hai. Aur agar Allah Ta’ala ne usay na roka to hamein itni taaqat hi nahi keh hum usay rok sakein.”
Hunaatah kehnay laga:
“Aap mere saath Baadshaah ke paas chalein, us ne aap ko bulaaya hai.”
Hazrat ‘Abdul Mutalib intihaai khoobsurat, khush shakal aur ‘azeem qad kaath ke maalik thay. Jab Abrah ne unhein dekha to un ka nihaayat ihtraam kiya aur munaasib na samjha keh un ko apne se neechay bethaaye. Woh yeh bhi nahi chaahta tha keh Habshi log unhein is ke baraabar takhat par betha dekhein. Is liye woh khud takhat se neechay utar aaya aur chataai par baith gaya aur un ko apne saath bitha liya. Phir apne tarjumaan se kehnay laga:
“In se puchho: kaisay aaye hain?” Tarjuman ne yeh baat un se kahi to woh kehnay lage:
“Mera maqsad yeh hai keh Baadshaah (Abaraha) mere do so (200) Ount waapas kar day.”
Turjumaan ne yeh baat Baadshaah se keh di.
Abaraha kehnay laga:
“Un se kaho ke main ne jab tumhein dekha tha to bohat ‘azeem samjha tha magar tum ne bohat ma’mooli baat ki hai. Tum apne do so Ounton ki to baat karte ho magar tumhein us ghar ki koi fikar nahi jo tumhaare aur tumhaare aaba wa ajdaad ke deen ki bunyaad hai. Main us ghar ko giraanay aaya hoon tumhein us ki fikar nahi?”
‘Abdul Mutalib kehnay lage:
“Main apne Ounton ka maalik hoon. Us ghar ka bhi aik Maalik hai, Woh khud us ki hifaazat kare ga.”
Abaraha ne kaha:
“Woh usay mujh se nahi bacha sakay ga.”
‘Abdul Mutalib ne farmaaya:
“Tu jaane aur Woh”
Abaraha ne ‘Abdul Mutalib ke Ount waapas kar diye. ‘Abdul Mutalib Quraish ke paas waapas gaye aur unhein Makkah khaali kar dainay ka hukum diya, taake woh pahaadon ki chotiyon par panaah haasil kar ke lashkar ke hamlay se bach sakein. Phir sardaar ‘Abdul Mutalib utthay, Ka’aba ke darwaazay ka kunda pakda. Un ke saath kuch aur Quraishi bhi Allah Ta’ala se Abaraha aur us ke lashkar ke khilaaf du’aaein kar rahay thay. Sardaar ‘Abdul Mutalib ne is tarah d’ua maangi:
“Aey Allah! har aadmi apne ghar ki hifaazat karta hai Tu bhi apne ghar ki hifaazat farma. Kal un ki saleeb aur saazish Teri tadbeer par ghaalib na aaye.”
Aglay din subah hi Abaraha ne Makkah Mukarramah daakhil honay ki tayaari ki. Apna Haathi tayyaar kiya aur lashkar tarteeb diya. Us ke Haathi ka naam Mahmood tha. Jab lashkar ne Haathi ko Makkah ki taraf chalaaya to Haathi baith gaya. Unhon ne usay maara aur badi koshish ki keh woh uth khada ho lekin woh tass se mass na hua. Jab unhon ne usay Yaman ki taraf chalaaya to woh bhaagnay laga. Shaam ki taraf chalaate tab bhi bhaagta. Mashriq ki taraf chalaate tab bhi bhaagta lekin Jab Makkah ki taraf chalaate to baith jaata. Allah Ta’ala ne samandar ki taraf se Parinday bheje. Har Parinday ke moun aur panjon mein teen pathar thay jo channe ya masoor ke daanay ke baraabar thay. Woh pathar jis ko bhi lag jaata, woh mar jaata tha. Baaqi maandah log bhaage, koi raastoon mein gir kar mara koi paani ke ghaaton par.
Abraha ko bhi pathar lage. Us ke darbaari us ko le kar Yaman chalay. Raastay mein us ki ungliyon ke poray aik aik kar ke girtay jaatay thay. Jab woh Sana’a pohancha to Parinday ke chooze ki tarah ho chuka tha, wahaan pahonch kar mar gaya.
Is waaqi’a ka dusray qabaail par bohat assar pada. Quraish ki fazeelat aur martaba ko chaar chaand lag gaye. Tamaam qabaail Quraish ki bohat ziyaada ‘izzat karne lage aur kehnay lage:
“Yeh Allah waalay hain, Allah Ta’ala ne in ki taraf se ladaai ki aur in ke dushman ka kachoomar nikaal diya.”
Is ke saath saath sardaar ‘Abdul Mutalib ka maqaam logon ki nazron mein bohat badh gaya. Tamaam ‘Arab qabaail mein unhein shohrat haasil ho gai aur woh ‘azmat wa shaan se behra war hue kyunkay unhon ne badi zahaanat aur husn-e-tadbeer ka muzaahira kiya aur apni qaum ko ‘azeem khatraat se bacha liya.
✿ Qayaamat ke qareeb inhedaam-e-Ka’aba
Bohat si Ahaadees mein yeh mazmoon aaya hai keh qurb-e-qayaamat Ka’aba ko shaheed kar diya jaaye ga. Abu Huraira (رضی اللہ عنہ) se riwaayat hai keh Rasool Allah (ﷺ) ne farmaaya:
یخرب الكعْبة ذو السویقتیْن من الْحبشة
“Chhoti chhoti tedhi pindliyon waala aik Habshi Ka’aba ki ‘imaarat dhaaye ga.” 1⃣
[Sahih Bukhari Hadees: 1591]
‘Ali رضی اللہ عنہ ka farmaan hai:
“Is ghar ka tawaaf jis qadar mumkin ho ziyaada se ziyaada kar lo aik waqt aaye ga tawaaf nahi hoga. Main tasawwur ki aankh se dekh raha hoon ke aik chhote sir aur chhote kaanon waala Habshi apni kudaal ke saath Baytullah ki ‘imaarat dhaa raha hai.” 2⃣
[‘Akhbaar Makkah, Allama Faakihi, S: 313]
Ibn ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) se riwaayat hai keh Rasool Allah (ﷺ) ne farmaaya:
كَانِي بِهِ أَسْوَدَ أَفْحَجَ يَقْلَعُهَا حَجَرًا حَجَرًا
“Goya keh main us kaalay tedhi pindliyon waalay shakhs ko dekh raha hoon jo Ka’aba ka aik aik pathar ukhaad day ga.” 3⃣
[Sahih Bukhari, Hadees: 1595]
Abu Huraira (رضی اللہ عنہ) se riwaayat hai keh Janaab Rasool Allah (ﷺ) ne farmaaya:
يُبَايِعُ لِرَجُلٍ بَيْنَ الرَّكْنِ وَالْمَقَامِ وَلَنْ يَسْتَحِلَّ الْبَيْتَ إِلَّا أَهْلُهُ فَإِذَا اسْتَحَلَّوْهُ فَلَا يُسْأَلُ عَنْ هَلَكَةِ الْعَرَبِ ثُمَّ تَأْتِي الْحَبَشَةُ فیحْربونه خرابا لا یعمر بعده أبدا, وهم الذین یسْتخرجون كنزه
“Hijr-e-Aswad aur maqaam-e-Ibraahim ke darmiyaan aik shakhs ke haath par bae’it ki jaaye gi. Sab se pehlay us ke mutba’in is ghar ki be hurmati karein ge. Us waqt ‘Arbon ki halaakat yaqeeni hogi, phir Habshi aaein ge aur Baytullah ko aisa viraan karein ge keh us ke ba’ad kabhi aabaad na ho sakay ga. Yehi log Baytullah ka khazaana nikaal le jaaein ge.” 1⃣
*يخرب الكعبة ذو السويقتين من الحبشة*
Yeh Hadees Sayeda ‘Aaisha (رضی اللہ عنہا) ki is Hadees ke khilaaf nahi hai keh Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:
[Musnad Ahmad: 291/2, Mustadrik Haakim: 452/4, Majma’ Al-Zawaaid: 298/3]
یغْزو جیْش الْكعْبة فإذا كانوا ببیْدا من الْأرْض یخْسف بأ ولهمْ واخرهمْ
“Aik lashkar Ka’aba par hamla karne aaye ga to un sab ko maqaam-e-“Baida” par dhansa diya jaaye ga.“2⃣
[Sahih Bukhari, Hadees: 2118]
‘Allama Ibn Hajar (رحمہ اللہ) apni kitaab Fatah al Baari mein “باب هدْم الْكعْبة” ke tehat raqam taraaz hain:
“Is Hadees mein ishaara hai keh Ka’aba par hamla do dafa’a hoga. Aik dafa’a to Allah Ta’ala Ka’aba tak pohanchanay se pehlay hi lashkar ko halaak farma dein ge. Doosri dafa’a woh pahonch jaaein ge aur zaahir hai keh Ka’aba ko munhadim karne waalon ka hamla dusra hoga.” 1⃣
[Fatah Al Baari, Kitaab al Hajj, baab hadam al kaaba]
Yeh nahi kaha ja sakta keh Allah Ta’ala ne Haathi ko to rok diya tha aur Haathi waalay Ka’aba ko munhadim nahi kar sakay thay, haalaanke us waqt Ka’aba Qibla bhi nahi tha. Ab jab keh woh Musalmaanon ka Qibla ban chuka hai to Allah Ta’ala kaisay Habshiyon ko is par musallat honay dein ge? kyunkay yeh aakhri zamaane ya’ni qurb-e-qayaamat ki baat ho gi jabkay rooye zameen par Allah ka naam lewa koi na hoga, jaisa keh Rasool Allah (ﷺ) ka farmaan hai:
لَا تَقُوْمُ السَّاعَةُ حَتَّى لَا يُقَالَ فِي الْأَرْضِ اللَّهُ اللهُ
“Qayaamat us waqt qaaim hogi jab zameen par koi Allah Allah karne waala na hoga.”2⃣
[Sahih Muslim, Hadees: 148]
Aur yehi matlab hai doosri Hadees ke in alfaaz ka:
لَا يَعْمُرُ بَعْدَهُ أَبَدًا
“Phir us ke ba’ad kabhi aabaad na hoga. (Ya’ni phir qayaamat aa jaaye gi)”
✿ Ka’aba ki paasbaani
‘Umar bin Khitaab (رضی اللہ عنہ) ne Quraish se khitaab farmaaya:
“Is Baytullah ke nigraan tum se pehlay “Banu Tasm” thay. Woh is ka haq ada na kar sakay balkay is ki be hurmati ki, Allah Ta’ala ne unhein halaak kar diya. Phir “Banu Jurhum” is ke paasbaan banay. Unhon ne bhi is ka haq ada na kiya balkay is ki be hurmati ki. Allah Ta’ala ne unhein bhi halaak kar diya to tum is ki toheen na karna balkay is ki hurmat ki ta’zeem baja laana.” 1⃣
Muarikhin kehte hain keh jab Banu Jurhum ne Ka’aba ki tauheen ki to Allah Ta’ala ne unhein muntashir kar diya phir Banu Khuza’ah is ke paasbaan bane. Un ke ba’ad Qussai bin Kilaab paasbaan bana. Ka’aba ki paasbaani ke saath saath us ne Makkah ki hukoomat bhi sambhaal li, phir us ne apne betay ‘Abdud Daar ko Ka’aba ki paasbaani, daar ul nidwah aur jhanda supurd kiya. 2⃣ Aur ‘Abdul Munaaf ko haajiyon ko paani pilaanay aur unhein khaana khilaanay ke sh’obay diye. Phir ‘Abdud Daar ne apne betay ‘Usmaan ko Ka’aba ki paasbaani saunp di aur phir nasal dar nasal yeh ‘ohda usi ki aulaad mein muntaqil hota raha hatta keh ‘Usmaan bin Talah paasbaan banay. Woh kehte hain:
“Hum somwaar aur jum’araat ko Ka’aba ka darwaaza khola karte thay. Aik din Rasool Allah (ﷺ) bhi logon ke saath Ka’aba mein daakhil honay lage to main ne Aap ko bura bhala kaha. Aap ne dar guzar farmaaya, phir farmaaya:
1. Dalaail An-Nabuwwat, Bayhiqi: 49,50/2, Musannaf ‘Abdul Razzaq, Hadees: 9108. 2. “Nidwah” ka ma’ana “majlis” hai aur Daar al Nidwah ki wajah tasmiya yeh hai keh wahaan mashwaron aur faislon ke liye majlis qaaim hoti thi. |
“‘Usmaan! aik din tum dekho ge keh yeh chaabiyaan mere haath mein hon gi, Main jisay chaahoon ga ‘ataa kar dun ga.”
Mein ne kaha:
“Us din to Quraish halaak aur zaleel ho chuke hon ge.”
Farmaaya:
“Nahi! balkay mu’aziz hon ge.”
Itna keh kar Aap to Ka’aba mein daakhil ho gaye lekin Aap ki yeh baat mere dil mein utar gai aur mujhe yaqeen ho gaya keh aisa ho kar rahay ga. Main ne Islaam laane ka iraadah kiya magar meri qaum mujhe sakhti se roknay lagi. Phir jab sulah hudaybiya se aglay saal Aap Makkah Mukarramah mein daakhil hue to Allah Ta’ala ne mere dil ki duniya badal di aur Islam dil mein ghar kar gaya lekin mujhe itni himmat na hui keh main Aap ke saamnay izhaar kar sakoon hatta keh Aap Madinah Munawwara tashreef le gaye. Aakhir main ne Madinah jaane ka pukhta iraadah kar liya aur raat ko Makkah Mukarramah se nikla to mujhe Khalid bin Waleed mil gaye hum donon chal pade. Kuch faaslay par ‘Umro bin ‘Aas mile. Hum ikathay chaltay hue Madinah Munawwara pohanche. Main ne Rasool Allah (ﷺ) ki Bae’it kar li aur Aap ke paas hi rehne laga. Hatta ke Ghazwah-e-Fatah Makkah mein Aap ke saath main bhi tha. Jab Aap Makkah Mukarramah mein daakhil hue to Aap ne farmaaya:
“‘Usmaan! chaabi laao.”
Main le aaya. Aap ne chaabi mujh se le li phir mujhe waapas kar di aur farmaaya:
“Abbu Talha! yeh chaabi le lo. Qadeem ‘arsa se tumhaaray paas hai. Aaindah bhi hamesha ke liye tumhaaray hi paas rahay gi. Jo tum se chheenay ga woh zaalim hoga.”
Ibn ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) farmaatay hain:
“Janaab Rasool Allah (ﷺ) ne ‘Usmaan (رضی اللہ عنہ) se chaabi maangi. Unhon ne Aap ko dainay ka iraadah kiya to Syedna ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) kehnay lage:
Mere maan baap Aap par qurbaan! haajiyon ko paani pilaanay ki khidmat ke saath saath chaabi bhi mujhe day dejiye. ‘Usmaan (رضی اللہ عنہ) ne is dar se haath peechhay kar liya keh Aap to ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) hi ko dein ge. Nabi Kareem ﷺ ne farmaaya:
“Chaabi laao! to ‘Abbas (رضی اللہ عنہ) ne apni baat duhraai aur ‘Usmaan (رضی اللہ عنہ) ne apna haath peechhay kar liya. Is par Nabi kareem (ﷺ) ne ‘Usmaan (رضی اللہ عنہ) se farmaaya:
أرنی الْمفْتاح إنْ كنْت تؤْمن بالله والْیوْم الْآخر
“Agar tu Allah Ta’ala aur yaum-e-aakhirat par Imaan rakhta hai to chaabi Mujhe day day.”
Woh kehnay lage:
Allah ke Rasool! yeh haazir hai lekin yeh Allah Ta’ala ki amaanat hai. Aap ne chaabi pakad li, Baytullah ka darwaaza khola to Syedna Jibreel (علیہ السلام) yeh wahi le kar utre:
إن اللہ یأْمركمْ أنْ تؤدوا الْأمْنت إلى أهْلها
“Allah Ta’ala Tumhein hukum dete hain keh amaanatain un ke maalikon ke supurd karo.” 1⃣
[Surat An-Nisa: 58]
Aap ne chaabi ‘Usmaan (رضی اللہ عنہ) ko day di. Phir wohi Baytullah kholte rahay hatta keh unhon ne apni wafaat ke waqt apne chacha ke betay Shibah bin ‘Usmaan bin Abi Talha ko day di. Us waqt se paasbaani ka mansab Shibah ki aulaad hi mein jaari hai. (رضی اللہ عنہم)” 2⃣
[Masheer al Gharaam Al Saakin, baab Sadaant al Ka’abah]
✿ Ghilaaf-e-Ka’aba
Ghilaaf-e-Ka’aba ki taareekh khud Ka’aba ki taareekh se alag nahi. Ghilaaf-e-Ka’aba ka is qadar ihtimaam Musalmaanon ke nazdeek Ka’aba ki ta’zeem wa taqdees aur buland maqaam wa martaba ko zaahir karta hai.
*Qabal az Islaam Ghilaaf-e-Ka’aba*
Imam Muhammad bin Ishaq ne farmaaya:
“Mujhe bohat se ahal-e-‘Ilm se yeh baat pohanchi hai keh sab se pehlay jis ne Ka’aba ko mukammal ghilaaf chadhaaya woh Tubba’ Asad Al-Himayri thay. Un ko khuwaab mein nazar aaya keh main Ka’aba ko ghilaaf chadha raha hoon, lihaaza unhon ne chamday ka ghilaaf chadhaaya, phir unhein khuwaab mein dikhaai diya keh aur ghilaaf chadhaaein to unhon ne Yaman ke banay hue surkh dhaari daar kapday ka ghilaaf chadhaaya. 1⃣ Tubba’ ke ba’ad daur-e-jaahliat mein bohat se logon ne apne apne waqt mein ghilaaf chadhaaye, kyunkay isay deeni fareeza khayaal kiya jaata tha. Albatta yeh qaid na thi keh kab chadhaaya jaaye aur kaisa chadhaaya jaaye. Ka’aba ko mukhtalif qisam ke kapdon ke ghilaaf chadhaaye jaatay rahay. Maslan:
Chamday ka ghilaaf, M’aafir (ya’ni Yaman ke ‘ilaaqay Hamdan ki bastiyon mein tayyaar shuda kapday) ka ghilaaf, isi tarah Yaman se banay.
✿ Taareekh-e-Makkah, Azraqi.
hue surkh dhaari daar kapday ka ghilaaf halkay aur baareek qisam ke kapday ka ghilaaf aur Yaman ke kaam daar kadhay hue kapday ka ghilaaf waghera. Ghilaaf oopar tale Ka’aba par daal diye jaatay thay. Jab ziyaada bojhal ho jaatay ya koi ghilaaf ziyaada puraana ho jaata to usay tabarukan taqseem kar diya jaata ya dafan kar diya jaata. Daur-e-jaahliat mein Quraish baahami t’aawun se ghilaaf tayyaar karte thay. Har qabeeley par us ki maali hesiyat ke mutaabiq raqam muqarrar kar di jaati. Qussai ke daur se yehi tareeqa kaar tha. Hatta keh Abu Rabi’a bin Mughira Makhzumi ka daur aaya woh tijaarat ki gharz se Yemen aaya jaaya karta tha woh bohat maal daar tha. Us ne e’laan kiya keh aik saal main akela ghilaaf chadhaaya karoon ga aur aik saal sab Quraish mil kar. Woh apni wafaat tak is par kaar band raha, woh Yemen ke shehar Janad se behtareen dhaari daar kapday laata aur ghilaaf tayyaar karta. Quraysh ne usay “Adal” ka khitaab diya, kyunkay us akaile ne tamaam Quraish ke baraabar kaam kiya. Us ki aulaad ko “Banu ‘Adal” kaha jaata hai. (Arabi zubaan mein ‘adal baraabari ko kehte hain) sab se pehli ‘Arabi ‘aurat jis ne Ka’aba ko resham ka ghilaaf chadhaaya woh Syedna ‘Abbas رضی اللہ عنہ ki waalida mohtarma Nutaila bint-e-Janaab theen.”
✿ Islaam ke daur mein Ghilaaf-e-Ka’aba
Rasool Allah (ﷺ) aur Sahaaba-e-Karaam (رضی اللہ عنہم) ne fatah Makkah se qabal Ka’aba par ghilaaf nahi chadhaaya kyunkay kufaar se bardaasht nahi kar satke thay. Fatah Makkah ke ba’ad bhi Aap ne ghilaaf tabdeel na farmaaya hatta keh khushbu mahkhaane waali aik ‘aurat ke haathon ghilaaf ko aag lag gai aur woh jal gaya. Phir Aap ne Yamni kapday ka ghilaaf chadhaaya. Phir Syedna Abu Baker wa ‘Umar wa ‘Usmaan (رضی اللہ عنہم) ne Qubaati kapday se ghilaaf chadhaaye. 1⃣
[Qubaati ka waahid Qubtia hai yeh Misar ka aik mashhoor kapda hai jo bohat bareek hota hai]
Ameer M’uawiya bin Abi Sufyan (رضی اللہ عنہ) saal mein do dafa’a ghilaaf chadhaatay thay. ‘Aashura ke din resham ka aur Ramzaan al mubaarak ke aakhir mein qubaati kapday ka. Phir Yazid bin M’uawiya, Syedna ‘Abdullah bin Zubair aur ‘Abdul Malik bin Marwan ne apne apne daur mein reshmi ghilaaf chadhaaye. Ka’aba ko har saal do ghilaaf pahnaaye jaatay thay. Aik reshmi dusra Qubaati. Reshmi ghilaaf ka oopar wala hissa (Qamees) 8 Dhuʻl-Hijjah ko pehnaaya jaata aur nichla hissa (Izaar) ‘Ashura ke din pehnaaya jaata, jab hujjaj kiram waapas chalay jaatay taakay un ke haath waghera lagnay se phatt na jaaye. Yeh reshmi ghilaaf 27 ramzaan al mubaarak tak rehta. Phir qubaati ghilaaf pehna diya jaata. Mamoon ke ‘ehad mein teen ghilaaf pahnaaye jaatay thay. 8 Dhuʻl-Hijjah ko surkh reshmi ghilaaf yakam Rajab ko qubaati aur 27 Ramzaan al mubaarak ko safaid reshmi. Us ke ba’ad Nasir ‘Abbasi ne pehlay sabz rang ka phir siyaah rang ka ghilaaf pehnaana shuru’ kiya. Us waqt se aaj tak siyaah rang ka ghilaaf hi pehnaaya ja raha hai.
‘Abbasi khilaafat khatam honay ke ba’ad sab se pehlay 659 h mein jis Yamani Baadshaah ne Ghilaaf-e-Ka’aba pehnaanay ki s’aadat haasil ki woh Malik Muzaffar tha. Us ke ba’ad woh Shahaan-e-Misar ke saath mil kar baari baari ghilaaf poshi karta raha aur sab se pehlay 661 h mein jis Misri Haakim ne ‘Abbasiyon ke ba’ad ghilaaf poshi ki koshish ki woh Malik Zaahir Baibaras Al Bundu Qudaari tha.
751 H mein Misar ke Baadshaah Isma’il bin Nasir Muhammad bin Qulaawoon ne Ka’aba ke ghilaaf ke liye aik makhsoos waqf qaaim kar diya. Woh har saal aik dafa’a siyaah ghilaaf Ka’aba ke liye aur paanch saal ba’ad Roza-e-Nabwiya ke liye sabz ghilaaf bhejta tha. Lekin Khudaiwi Muhammad ‘Ali ne tairhween sadi hijri ke awaail mein yeh waqf khatam kar diya aur ghilaaf sarkaari kharch par tayyaar honay laga. Turkey ke ‘usmaani Khulfa ne Ka’aba ka androoni ghilaaf apne zimma makhsoos kar liya.
810 H mein Ka’aba ke darwaazay ke liye aik alag munaqish parda tayyaar kiya gaya jisay ghilaaf ka burqa’ kaha jaata tha. Yeh 816 H se 818 H tak moqoof raha magar 819 H mein phir shuru’ kar diya gaya aur ab tak yeh parda bhi ghilaaf ke saath hi tayyaar kiya jaata hai.
✿ Ghilaaf-e-Ka’aba, Sa’udi daur mein
Malik ‘Abdul ‘Aziz bin ‘Abdul Rehman Aal-e-Saud (رحمہ اللہ) ne Harmain sharifain ki khidmat ki taraf bohat tawajah di. Is tawajah ke nateejay mein Shah Saud bin ‘Abdul Aziz (رحمہ اللہ) ne ghilaaf-e-Ka’aba tayyaar karne ke liye Makkah Mukarramah mein aik alag kaarkhaana lagaanay ka hukum diya aur is mein ghilaaf ki tayaari ke silsila mein tamaam sahulatein muhayya farmaain. 1382 H mein Shah Faisal (رحمہ اللہ) ne is kaarkhaanay ki ta’ameer-e-nou ka hukum diya taake ghilaaf intihaai mazboot aur ‘umdah tayyaar ho neez woh Ka’aba Musharafa ke taqaddus ke shayaan-e-shaan ho.
1397 H mein Makkah Mukarramah ke maqaam “Umm al Jud” mein is kaarkhaanay ki nai ‘imaarat ka iftitaah hua. Is mein ghilaaf ki tayaari ke liye jadeed aalaat lagaaye gaye. Aur ghilaaf masheeni aalaat se banaaya gaya lekin is ke saath saath dasti kasheeda kaari ka andaaz bhi qaaim rakha gaya kyunkay fanni lihaaz se dasti kasheeda kaari ka martaba bohat buland hai. Yeh kaarkhaana musalsal taraqqi ki manaazil tay kar raha hai aur dasti kasheeda kaari ki riwaayat ko qaaim rakhay hue hai taake ghilaaf-e-Ka’aba intihaai dilkash soorat mein tayyaar hota rahay. 1⃣
[Yeh ma’loomaat, kitaab “Misna’ kiswat ul Ka’abat ul Musharfat” se akhaz ki gai hain]