03. Hijrat-e-Nabwi se pehlay ke waaqiaat
Hijrat-e-Nabwi se pehlay ke waaqiaat
Subah ki kirnen:
Jab Allah Ta’ala ne iraadah farma lia keh apne sachay deen ko ghaalib farmaaye apne akhri Nabi ko izzat naseeb farmaaye aur apne waday pooray farmaye to Rasool Allah (ﷺ) apne sabiqa mamool ke mutabiq qabail ko dawat dete hue aik saal Hajj ke dinon mein Mina mein tashreef laye. Jab aap Jamra-e-aqaba ke paas pohanche to Aap ko qabeela Khazraj ke kuch log nazar aaye. Allah Ta’ala ko un ki hidaayat maqsood thi. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Tum kon log ho?”
Unhon ne kaha:
Hum qabeela Khazraj se talluq rakhtay hain.
Aap ne farmaaya:
“Kya woh jo yahudion ke haleef hain?”
Unhon ne kaha:
Jee haan!
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Kuch der betho ge takay Main tum se baat cheet kar sakoon?”
Unhon ne kaha:
Theek hai.
Woh Aap ke paas baith gaye. Aap ne un ko Allah Taala ki dawat pohanchai deen-e-Islam paish farmaya aur Quran Majeed ki chand Aayaat tilawat farmaeen. Ittifaaq aisa tha keh yahodi un ke ilaqay mein un ke saath rehtay thay, woh ehl-e-Ilm thay aur un ke paas bhi Allah Ta’ala ki aik kitab thi. Madinah walay mushrik aur buut parast thay aur apne ilaqay mein yahudion ko daba kar rakhtay thay. Jab un ka koi bahami jhagda hota to yahodi un ko dhamki dete keh aakhri Nabi ka daur aa raha hai hum us ke saath mil kar tumhein Aad-o-Iram ki tarah qatal karein ge.
Rasoolullah (ﷺ) ne jab un se baatein keen aur unhein Allah Taala ki dawat di to woh aik dusray se kehnay lage:
Allah ki qasam! youn maloom hota hai keh yehi woh Nabi Kareem hain jin ke baray mein yahodi tumhein dhamkiyaan dete rehtay hain, kahin woh tum se Aap ki pairwi mein sabqat na le jaein. Is liye unhon ne Aap ki dawat tasleem kar li Aap ki tasdeeq ki aur deen-e-Islam ko in alfaz ke saath qubool kiya:
Hamari qaum bahami dushmani aur ladai bhidai mein tamam aqwam se badh chuki hai. Mumkin hai Aap ki ittibaa ki barkat se Allah Taala un mein ittifaq peda farmade hum un ke paas ja kar Aap ki dawat paish karein ge aur jo deen hum ne qubool kiya hai is ki taraf un ko bhi dawat dein ge agar woh muttafiq ho gaye to ﷲ ﺷﺎء ان Aap ko azeem ghalba naseeb hoga.
Aap (ﷺ) par imaan lane aur Aap ki tasdeeq karne ke ba’ad yeh log Aap se rukhsat ho kar apne shehar chalay gaye. Un hazraat ke naam yeh hain:
1⃣ Asad bin Zaraarah
2⃣ Auf Ibn Ifra (Ifra un ki walida ka naam tha, un ke waalid ke naam Haris bin Rifaah tha) 3⃣ Raafe bin Malik Zarruqi 4⃣ Qutba bin Aamir Salma 5⃣ Uqba bin Aamir (un ki bajaaye Maaz bin Ifra ka naam bhi zikar kiya gaya hai) 6⃣ Jabir bin Abdullah. (اﺟﻣﻌﯾن ﻋﻧﮩم ﷲ رﺿﯽ). Yeh sab Banu Khazraj se talluq rakhtay thay.
[Tareekh Tabri: 86-87/2]
Bayt-e-Uqba auwla:
Jab yeh hazrat Madinah Munawwara waapas aaye to unhon ne apni qaum ke saamnay Rasoolullah (ﷺ ) aur Aap ki taleemaat ka tazkara farmaaya. Nateeja yeh hua keh aaindah saal mausam-e-Hajj mein Ansaar ke baara aadmi Jamra-e-Uqba ke paas Aap se mile aur in alfaaz ke saath Aap ki bayt ki jo Quran Majeed mein aurton ki bayt ke silsila mein mazkoor hain. Yeh pehli bayt-e-Uqba thi us waqt tak un par jung farz nahi hui thi.
[Tareekh Tabri: 87/2]
Abu Adrees Aaiz Ullah bin Abdullah se mazkoor hai keh Syedna Ibaadah bin Saami (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) jo keh Badr mein bhi hazir hue thay aur bayt-e-Uqba waalon mein bhi shamil thay ne mujhe bataya keh Rasool Allah (ﷺ) ke ird gird Sahaba ki aik jamaat bethi hui thi. Aap ne farmaya:
“Mujh se bayt (ahad) karo keh tum Allah Ta’ala ke saath kisi ko shareek na thehrao ge chori nahi karo ge zina nahi karo ge apne bachon ko qatal nahi karo ge, apni taraf se ghad kar kisi par jhoota ilzaam nahi lagao ge aur kisi achay kaam mein Meri na farmani nahi karo ge. Tum mein se jo shakhs is ahad ki pabandi kare ga is ka sawaab Allah Ta’ala ke zimma hai aur jo shakhs un mein se koi kaam kare phir usay duniya hi mein is ki saza mil jaye to woh saza is ke gunah ka kaffara ho jaaye gi aur jo shakhs in mein se koi kaam kare phir Allah Ta’ala us par parda daal de to woh Allah Ta’ala ke supurd hai, chahay usay maaf kar day aur chahay to usay saza de.” Hum ne in alfaz ke saath Aap ki bayt ki.
[Sahih Bukhari, Hadees: 18, Sahih Muslim, Hadees: 1709]
Pehlay Muallim:
Yeh shakhsiyat Syedna Musab ibn Umair (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) hain. Is pehli bayt ke baad Rasool Allah (ﷺ) ne unhein Islam lane walon ke saath Madinah Munawwarah bheja aur hukum diya keh unhein Quran Majeed padhaein, Islam ki talemaat sekhiye aur unhein deeni soojh boojh se roshnas karaein. Is liye Syedna Musab (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) ko Madinah Munawwarah mein Qari sahib kaha jata tha. Un ki rihaish Syedna Asad bin Zurarah (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) ke haan thi. Un ki koshish aur behtareen taleemi andaz ke nateja mein Hazrat Saad bin Maaz Musalmaan ho gaye jo keh Hazrat Asad bin Zurarah ke khala zaad bhai aur apni qaum ke baday sardar thay. Isi tarah aik dusray sardar Hazrat Usayed bin Zahir (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) Musalman ho gaye. In do shakhsiyation ka Islam, Madinah Munawwarah mein ashaat-e-Islam ka paish khaima ban gaya hatta keh Madinah Munawwarah ke har ghar mein koi na koi Musalmaan ho gaya.
Bayt-e-Uqba saania:
Rasoolullah (ﷺ) das saal tak Ukaaz aur Majannah mein aur mausam-e-Hajj mein Mina mein logon ke khaimon mein ja ja kar paish kash karte rahay:
“Kon Mujhe apne ilaqay mein le jaye ga? kon Meri madad kare ga keh Main apne Rab ka paighaam pohancha sakoon, is ke badlay woh jannat ka haqdaar hoga.”
Agar koi Sardar mutwajjah hota to Aap ki qaum ke log usay behkanay lagte keh is Qurashi nau jawaan se bach kar raho kahin yeh tumhein kisi musibat mein na daal de. Aap un mein se guzarte to woh ungliyan utha utha kar Aap ki taraf isharay karte.
Ansaar-e-Madinah ne socha keh hum kab tak Rasool Allah (ﷺ) ko Makkah ke pahadon mein youn pareshaan phirta chhodein ge lihaaza aglay mausam-e-Hajj mein sattar aadmi Aap (ﷺ) ki khidmat mein haazir hue aur Aap (ﷺ) se Uqba ki ghaati mein mulaaqaat ka programme tay kiya. Waqt-e-muqarrara par aik aik do do kar ke aadmi ikathay hotay gaye. Jab sab jama ho gaye to kehne lage:
“Aey Allah ke Rasool! hum Aap se kin sharait par Aap ki tashreef aawri ka muahida karein?”
Aap ne farmaya:
“Muahida isi baat par ho ga keh tum har pasand-o-na pasand mein Meri itaat par kaar band raho ge, neki ka hukum do ge, burai se roko ge, Allah ki baat karo ge, Allah Ta’ala ke muqabla mein kisi ki malaamat ka khauf nahi rakho ge aur jab Main tumharay haan aa jaun to tum Meri madad karo ge aur apne jaan-o-maal aur biwi bachon ki tarah meri hifaazat karo ge. Is ke nateeja mein tumhein jannat mile gi.”
Chunaancha sab Ansaar utthay aur Aap ki bayt kar li. Syedna Asad bin Zuraarah (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) jo un mein sab se chhote thay, Aap ka haath pakad kar kehnay lage:
“Aey Yasrab waalo! soch lo, hum itna pur mushaqqat, safar kar ke is liye Aap ke paas hazir hue hain keh Aap Allah Taala ke Rasool hain. Aap ko Makkah Mukarramah se nikaal kar apne saath le jane ka matlab poray Arab ki dushmani aur apne sardaron ka qatal aur talwaron ki jhankaar hai. Agar to tum is sab ko bardasht kar sako to yaqeenan tum Allah Taala se sawab ke haqdaar ho ge aur agar kisi nafsani kamzori ka khatrah ho to abhi bata do, yaqeenan tum Allah Taala ke haan mazoor shumaar ho ge.”
Ansar kehnay lage:
“Asad! is ka tasawwur bhi na karo, hum kabhi bhi is bayt ki khilaaf warzi nahi karein ge aur na hi is ko zaya karein ge.”
Un sab ne Aap ki bayt kar li aur Aap ne un sharait ke mutaabiq muahiday ke badlay un se jannat ka wada farma liya.
[Al-Badaaya Wa An-Nahaaya: 157/3]
Is bayt ki mazeed pukhtagi ke liye Syedna Bara bin Maroor (ﻋﻧہ ﷲ رﺿﯽ) ne Aap ka haath mubarak pakda aur arz pardaaz hue:
“Ji haan qasam Us Zaat-e-Aqdas ki jis ne Aap ko Nabi-e-Barhaq bana kar bheja hum apni zaat se badh kar Aap ki hifazat karein ge. Allah ki qasam! hum nasal dar nasal jungju log rahay hain aur hathyaar chalana khoob jantay hain. Is ke baad Ansar ne yeh khadsha zaahir kiya ke jab Allah Taala ki madad-o-nusrat ke saath Aap ko ghalba naseeb ho jaye to kahin Aap hamein chod kar apni qaum ke paas wapas na aa jaein.”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Hargiz nahi! ab to zindagi aur maut tumharay sath hai. Main aur tum aik hon ge, jis se tumhari jung ho gi us se Meri bhi jung hogi aur jis se tumhari sulah ho gi is se Meri sulah hogi.”
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Tum apne baara sardar Mere samnay paish karo woh apne apne qabeley ke zimma daar hon ge.”
Ansar ne bara sardaar paish kar diye. Nou Khazraj mein se aur teen Aws mein se.
[Al-Bidaya Wan-Nihaya: 158-159/3]
Book: “Tareekh-e-Madina Munawwarah”