82. Sayyidah Shifa Bint-e-Abdullah رضى الله عنها
Sayyidah Shifa Bint-e-Abdullah رضى الله عنها
Khandani Pas-e-Manzar:
Nam Shifa, Walid ka nam Abdullah Qarshi aur khawand ka nam Abu Haisama Bin Huzaifa Bin Adi tha. Shadi kay bad beta peda huwa to us ka nam Sulaiman Bin Haisama rakha.
Sayyidah Shifa رضى الله عنها badi Zaheen-o-Fateen aur danishwar khatoon thein. Mazeed bar’aan woh aik Aalima-o-Fazila aurat thein. Woh Zamana-e-Jahiliyat mein likhna padhna khoob janti thein, Is bina par un kay liye Quraan-o-Hadees ko samajhna bhot aasan ho gaya tha. Woh jo kuch suntein ya padhatein woh unhein foran zubani yad ho jata. Sayyidah Shifa رضى الله عنها Daaira-e-Islam mein soch samajh kar dakhil huien. Unhon nay Madinah Munawarrah hijrat say pehlay Islam qabool kar liya tha.
(Al-Istiaab (2/104) Tabqaat Ibn-e-Saad (8/268) Usd-ul-Ghabah (3/372-373) Al-Isabah (4/14).)
Yeh un khawateen mein shamil thein jin kay baray mein yeh aayaat nazil huien:
“يٰۤاَيُّهَا النَّبِىُّ اِذَا جَآءَكَ الۡمُؤۡمِنٰتُ يُبَايِعۡنَكَ عَلٰٓى اَنۡ لَّا يُشۡرِكۡنَ بِاللّٰهِ شَيۡـئًا وَّلَا يَسۡرِقۡنَ وَلَا يَزۡنِيۡنَ وَلَا يَقۡتُلۡنَ اَوۡلَادَهُنَّ وَلَا يَاۡتِيۡنَ بِبُهۡتَانٍ يَّفۡتَرِيۡنَهٗ بَيۡنَ اَيۡدِيۡهِنَّ وَاَرۡجُلِهِنَّ وَلَا يَعۡصِيۡنَكَ فِىۡ مَعۡرُوۡفٍ فَبَايِعۡهُنَّ وَاسۡتَغۡفِرۡ لَهُنَّ اللّٰهَؕ اِنَّ اللّٰهَ غَفُوۡرٌ رَّحِيۡمٌ ۞”
(Al-Mumtahinah: 60/12)
“Aye Nabi! Jab tumharay pas auratein bait karnay kay liye aayein aur is baat ka ahad karein keh woh Allah kay sath kisi ko shareek nahin karein gi, Chori na karein gi, Zinaa nahin karein gi, Apni aulad ko qatal nahin karein gi, Apnay hath paon kay aagay koi bohtan ghad kar na layein gi aur kisi amar maroof mein tumhari na’farmani nahin karein gi to un say bait lay lo aur un kay haq mein Allah say maghfirat ki dua karo, Yaqeenan Allah darguzar karnay wala aur raham karnay wala hai.”
Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم auraton say bait bagher musafha kay liya kartay thay, Kiunkeh Aap صلی اللہ علیہ وسلم auraton say musafha nahin kartay thay. Jab koi aurat musafha kay liye hath badhaati to Aap صلی اللہ علیہ وسلم apna hath rok letay aur usay baata diya jata keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم auraton say musafha nahin kartay. (Sunan Nasaai. Kitab-ul-Beeah. باب: بيعة النساء: 4186, Sunan Ibn-e-Majah. Kitab-ul-Jihad. باب: بيعة النساء: 2874, وانظر صحيح بخارى، Kitab-ul-Tafseer. Soorat-ul-Mumtahinah: 4891. Sahih Muslim. Kitab-ul-Imaarah. باب: کيفية بيعة النساء: 1866)
Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki taraf say ikraam:
Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Sayyidah Shifa رضى الله عنها kay ghar tashreef lay jaya kartay thay. (Sunan Kubra Nasaai (7543). Musnad-e-Ahmad (6/372) Sunan Abi Dawood,. Kitab-ul-Tib. باب: فى الرقى: 3887, Al-Isabah: (4/144).) Aap صلی اللہ علیہ وسلم un ka ikraam kartay, Jab woh hijrat kar kay Madinah Munawarrah tashreef laaien to Aap! صلی اللہ علیہ وسلم nay unhein Madinah mein aik ghar tafweez kar diya tha, Jis mein woh apnay Walid-e-Muhtaram kay sath rihaish pazeer huien.
Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه nay jab yeh mushahida kiya keh Aap صلی اللہ علیہ وسلم Sayyidah Shifa رضى الله عنها ko badi ahmiyat detay hain to woh bhi apnay Daur-e-Khilafat mein un ki raaye ko muqaddam samjha kartay thay. Sayyidah Shifa رضى الله عنها nay Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه kay Islam mein Maqam-o-Martabay ko pehchan liya aur un ki Aadaat-o-Atwaar ko apnaya aur un kay Tareeq-e-Kaar ko buniyad qarar diya.
Sayyidah Shifa رضى الله عنها jab baz nojawanon ko jhoomtay huaye chalta dekhtein aur woh yeh dekhtein keh woh bhot pasat aawaz aur mastana andaz apnaaye huaye baatein kartay hain to woh unhein rok letein aur un say pochatein keh tum aisa kiun kartay ho? Woh kehtay keh ham ibadat guzar log hain. Ham Allah walon ka yahi mastana andaz hota hai. Sayyidah Shifa رضى الله عنها baday muhtat andaz mein unhein jawab detein aur farmatein: Allah ki qasam! Umar Bin Khattab jab kisi say baat kartay us ko wazeh tor par sunatay. Jab woh chaltay to teez raftari say chaltay aur jab kisi ki pitaai kartay to khoob us ki dhulaai kartay.
Sayyidah Shifa رضى الله عنها Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ki Ahadees ki likhai padhai kay hawalay say bhot shurat rakhti thein. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wafat kay bad Sayyidah Shifa رضى الله عنها zindagi bhar us muahiday ki paband rahein jo unhon nay Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki bait kartay waqat kiya tha.
Sayyidah Shifa رضى الله عنها nay bees (20) hijri mein wafat paai. Allah سبحانه وتعالى Sayyidah Shifa رضى الله عنها par Apni rahmat ki barkha barsaaye. Aameen Ya Rabb-ul-Aalameen!
Reference:
Book: Hayat-e-Sahaabiyaat kay Darakhshah pahelo.
Taleef: Mahmood T’ama Halbi
Mutarjim: Abu Ziya Mehmood Ahmad Ghaznofar Hafizahullah.