Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

031. Mayyat ki taraf se sadqa karna shar’an jaaiz hai

Mayyat ki taraf se sadqa karna shar’an jaaiz hai

[Sawaal]

Kia mayyat ki taraf se sadqa ka ajar-o-sawaab us se milta hai? Kia mayyat ki taraf se sadqa se us ke am’aal-e-husna mein izaafa hota hai?

[Jawab]

Mayyat ki taraf se sadqa karna un umoor mein se hai jo shar’an jaaiz hain, Khuwah yeh sadqa maal ki soorat mein ho ya dua’a ki soorat mein’ Imaam muslim ne “Sahih” mein Imaam Bukhari ne “Al-Adab-ul-Mufarid” mein aur Ashaab-e-Sunan ne apni kitaabon mein Hazrat Abu Hurairah رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi yeh Hadees bayaan ki hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

إِذَا مَاتَ ابْنُ آدَمَ انْقَطَعَ عَنْهُ عَمَلُهُ إِلَّا مِنْ ثَلَاثٍ : إِلا مِنْ صَدَقَةٍ جَارِيَةٍ، أَوْ عِلْمٍ يُنْتَفَعُ بِهِ، أَوْ وَلَدٌ صَالِحٌ يَدْعُو لَه

“Jab Ibn-e-Aadam Faut hota hai to us ka ‘amal munqat’a (Khatam) ho jaata hai albatta teen tarah ka ‘amal baaqi reh jaata hai.”

(1)Sadaqa-e-Jaariya

(2) ‘Ilm-e-Naf’e (Mufeed) aur

(3) Neik aulaad jo us ke liye dua’a karti ho.”

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Wasiyat, Baab maa yalhaq Al-Insaan min Al-sawaab ba’d wafatihi, H: 1631, -O-Ikhraja Abu Dawood fi Al-Sunan Raqam 2880, -O-Tirmizi fi Al-Jame’y Raqam 1376, -O-Al-Nisai fi Al-Mujtabi 6/251, -O-Ahmad fi Al-Musand 2/372 -o-Al-Bukhari fi Al-Adab Raqam: 38)

Yeh Hadees apne ‘umoomi mafhoom ke e’itbaar se is baat par dalaalat karti hai ke sadqa ka sawaab mayyat ko haasil hota hai. Nabi Kareem (ﷺ) ne is mein farq nahi farmaaya ke sadqa mayyat ki taraf se wasiyat ki wajah se ho ya uski wasiyat ke baghair ho Lehaaza yeh Hadees ‘aam ho gi aur dono haalaton ke liye shaamil ho gi. Mayyat ke liye dua’a ke silsile mein sirf aulaad ke zikr ka koi mafhoom nahi kyunke bohat si sahih Ahadees se murdon ke liye dua’a saabit hai jaisa unki Namaz-e-Janaaza mein aur un ki qabron ki ziyaarat ke moq’a par dua’a ki jaati hai aur is e’itbaar se koi farq nahi ke mayyat ka koi qareebi ‘azeez dua’a kare ya koi ajnabi dua’a kare.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents